Sahih al Bukhari hadith ka majmua hai jise Imam Muhammad al-Bukhari (d. 256 AH/870 AD) ne compile kiya tha. Agar Quran ke baad kisi kitab ka darja aata hai to wo hai Imam Bukhari ki saheeha ka jise imam Bukhari ne riwayat kiya hai. Imam Bukhari ek bade Imam, ulema, Ameer hai unke jo hadith par eeman rakhte hai, Abu ‘Abd-Allaah Muhammad ibn Ismaa’eel ibn Ibraaheem al-Bukhaari. Inki wiladat Bukhaara me hui thi 194 AH me, aur wo yateem hi bade hue. Inhone bachpan me hi apni roshni kho di thi fir Allah ne inko roshni ata kari. Wo bachpan se hi hadith yaad karne lage the aur wo gani the isme, Allah inpar apni rahmat kare. Sahih al Bukhari me takreeban 7500 hadith hai (with repetitions) aur 97 kitabe hai. More Information ..
.