Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

KITAB AL HAIZ


 

KITAB UL HAIZ

Haiz Se Mutallik Ahkaam wa Masail.

Irshad Bari Tala Hay:" Aur Log Aapse Haiz Ke Bare Me Sawal Puchte Hay. Kahe Dijiye: Wo Ek Gandagi Hay, Lihaza Halat e Haiz Me Auraton Se Alag Raho Aur Jab Tak Wo Paak Na Hojay, Unke Qareeb Na Jao, Haan! Jab Wo Khoob Paak Jo Jay To Unke Pass Jao, Jaha Se Allah Tala Ne Tumhe Ijazat Di. Allah Tala Taoba Karne Walo Ko Aur Paak Rahne Walo Ko Pasand Karta Hay."

  1. BAAB: HAIZ KI IBTEDA KAISE HUI?


Nabi Akram ﷺ Ka Irshad Grami Hay:" Haiz Aisi Chiz Hay Jo Allah Tala Ne Hazrat Adam عليه السلام Ki Betiyon Ke Liye Mukarrar Farma Di Hay." Baaz Hazrat Kahte Hay:" Haiz Pahle Pahle Bani Israail Par Musallat Kiya Gaya Tha. Abu Abdullah(Imam Bukhari RH) Kahte Hay: Nabi ﷺ Ki Hadees Me Tamam Aurte Shaamil Hay.
BAAB: HAIZAH KO JAB HAIZ AAJAY TO IS MUTALLIK KYA HUQM HAY?

۞ Hazrat Aisha r.a. Se Riwayat Hay, Wo Farmati Hay Ke Hum Sab Madinah Munawwara Se Sirf Hajj Ke Irade Se Nikle, Chunancha Jab Hum Muqam Sarf Par Pahunche To Mujhe Haiz Aagaya. Rasool Allah ﷺ Mere Pass Tashreef Laay To May Roo Rahi Thi. Aap Ne Faramaya:"Tujhe Kya Hua Hay? Kya Tujhe Haiz Aagaya Hay?" May Ne Ar.a. Kiya: Ji Haan. Aap Ne Farmaya:" Ye Amr To Allah Tala Ne Adam Ki Betiyon Par Likh Diya Hay, Lihaaza Tum Wo Tamam Kaam Karo Jo Haaji Karta Hay, Albatta Baitullah Ka Tawaaf Na Karna." Hazrat Aisha r.a. Ne Farmaya: Rasool Allah ﷺ Ne Apni Azwaj e Mutehraat Ki Tarf Se Gaay Ki Qurbaani Di.

Sahih al-Bukhari 294
Vol. 1, Book 6, Hadith 294

  1. BAAB: HAIZAH AURAT KA APNE KHAWIND KE SAR KO DHOONA AUR IS ME KANGHI KARNA.


۞ Hazrat Aisha r.a. Se Riwayat Hay, Unhone Farmaya: May Bahalat Haiz Rasool Allah ﷺ Ke Sar Mubarak Me Kanghi Kiya Karti Thi.

Sahih al-Bukhari 295
Vol. 1, Book 6, Hadith 295
۞ Hazrat Amroh r.a. Se Riwayat Hay, Inse Sawal Kiya Gaya: Aya Haizah Aurat Meri Khidmat Kar Sakti Hay Ya Bahalat Janabat Mere Kareeb Aasakti Hay? Hazrat Amroh Ne Farmaya: Mere Nazdeek Isme Koi Harj Nahi. Is Tarh Ki
Aurat Meri Bhi Khidmat Baja Laati Hay. Kisi Shakhs Par Is Silsile Me Koi Mazaiqa Nahi. Mujhe Aisha r.a. Ne Bataya Ke Wo Bahalat Haiz Rasool Allah ﷺ Ke Sar Mubarak Me Kanghi Karti Thi, Halanke Rasool Allahѕα ℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Us Waqt Masjid Me Aytaqaf Farma Rahe Hote. Aap Apna Sar Mubarak Qareeb Kardete Aur Hazrat Aisha r.a. Haizah Hone Ke Bawajud Apne Hujre Se Hi Kanghi Kardiya Karti Thi.

Sahih al-Bukhari 296
Vol. 1, Book 6, Hadith 296

  1. BAAB: MARF KA APNI HAIZAH BIWI KE GODME QURAN PADHNA.


Hazrat Abu Wail Apni Khadma Ko Abu Razin Ke Pass Bhejte Jab Ke Wo Bahalat Haiz Hoti Thi. Wo(Glaf Me Lipte Huy) Quran Ko Iski Dori Se Pakde Le Aati.

۞ Jazrat Aisha r.a. Se Riwayat Hay Unho Ne Farmaya: Nabi ﷺ Meri Godme Takiya Laga Lete The Jab Ke May Haiz Se Hoti, Fir Aap Quran Karim Ki Tilawat Farmate The.

Sahih al-Bukhari 297
Vol. 1, Book 6, Hadith 297

  1. BAAB: JIS NE NAFAAS KA NAAM HAIZ RAKHA


۞ Hazrat Umme Salma r.a. Se Riwayat Hay. Unho Ne Bayan Kiya Ke May Ek Martaba Nabi ﷺ Se Saath Ek Chadar Me Leti Hui Thi Ke Mujhe Haiz Agaya, Isliye May Aahista Se Bahar Aagai Aur Apne Haiz Ke Kapde Pahen Liye. Rasool Allah ﷺ Se Farmaya:" Kya Tujhe Nafaas Aagaya Hay?" Maine Ar.a. Kiya Ji Haan. Aapne Mujhe Apne Paas Bula Liya Aur May Chaadar Me Aap Ke Saath Let Gai.

Sahih al-Bukhari 298
Vol. 1, Book 6, Hadith 298

  1. BAAB: HAIZAH AURAT KE BADAN SE BADAN MILANA.


۞ Hazrat Aisha r.a. Se Riwayat Hay, Unhone Farmaya: May Aur Nabi ﷺ Ek Hi Bartan Se Gusool Kiya Karte The Jab Ke Hum Dono Janbi Hote The.

۞ Aur Aap Mujhe Huqm Farmate To May Izaar Baandh Leti, Fir Aap Mere Saath Istrahat(Mubashrat) Farmate, Yaani Malkar Sote Jabke May Bahalat Haiz Hoti.

۞ Aur Aap Apna Sar Mubarak Meri Janib Nikal Dete Jab Ke Aap Ayteqaf Me Hote Aur May Bahalat Haiz Apke Sar Mubarako Dho Deti.

Sahih al-Bukhari 299, 300, 301
Vol. 1, Book 6, Hadith 299, 300, 301
۞ Hazrat Aisha r.a. Se Riwayat Hay, Unho Ne Farmaya: Hum Azwaj Me Se Jab Koi Haiz Se Hoti Aur Is Halat Me Rasool Allah ﷺ Humare Saath Istrahat Ka Irada Farmate To Aap Izaar Bandhne Ka Huqm Dete Bawajud Ye Ke Haiz Josh Me Hota, Fir Aap Iske Saath Istrahat Farmate. Hazrat Aisha r.a. Ne Farmaya: Tumme Se Aisa Kon Hay Jo Nabi ﷺ Ki Tarh Apni Khwahishat Ko Qaboo Karne Wala Ho?
Is Hadees Jo Shibani Se Bayan Karne Me Khalid Ko Aur Jareer Ne (Ali Bin Mashar Ki) Mutabiat Ki Hay.

Sahih al-Bukhari 302
Vol. 1, Book 6, Hadith 302
۞ Hazrat Memuna r.a. Se Riwayat Hay, Unho Ne Farmaya: Rasool Allah ﷺ Apni Azwaj Me Se Kisi Ke Saath Istraahat Farmana, Yaani Milkar Sona Chahte Aur Wo Haiza Hoti To Aap Ke Huqm Se Wo Izaar Bandh Leti. Is Hadees Ko Sufiyan Ne Shebaani Se Bayan Kiya Hay.

Sahih al-Bukhari 303
Vol. 1, Book 6, Hadith 303

  1. BAAB: HAIZAH AURAT KA ROZA CHHOR DENA.


۞ Hazrat Abu Said Khudri r.a. Se Riwayat Hay, Unho Ne Kaha: Rasool Allah ﷺ Eid Ul Fitr Ya Eid Ul Azhaa Ke Din Eidgaah Tashreef Le Gaye. Fir Apka Guzar Aurto Ke Pas Se Hua To Aap Ne Farmaya:" Aye Aurto Ke Groh! Tum Sadqa Zyada Kiya Karo Kyunke Maine Tumhari Aksariyat Jahannam Me Dekhi Hay." Wo Bolo:"Ya Rasool Allah! Aisa Kyun? Aap Ne Farmaya:"Tum Laanat Bahot Karti Ho Aur Apne Khawind Ki Nashukri Karti Ho. Maine Tumse Zyada Kisi Ko Deen w Aqal Me Nuks Rakhne Ke Bawajud Pukhta Raay Mard Ki Aqal Ko Lejane Wala Nahi Paaya." Inho
Ne Ar.a. Kiya: Aye Allah Ke Rasool! Humari Aqal Aur Deen Me Nuksaan(Kami) Kya Hai? Aapne Farmaya:"Kya Aurat Ki Gawahi Mard Ki Nisf Gawahi Ke Barabar Nahi Hai?" Unhone Kaha: Beshak Aisa Hi Hay. Aap Ne Farmaya:"Yahi Iski Aqal Ka Nuksaan Hay. " Fir Aap Ne Farmaya:" Kya Ye Haqeeqat Nahi Ke Jab Aurat Ko Haiz Aata Hay To Wo Na Namaz Padhti Hay Aur Na Hi Roza Rakhti Hay." Unho Ne Kaha: Han, Ye To Hay, Aap Ne Farmaya:"Bas Yahi Aurat Ke Deen Ka Nuksaan Hay.

Sahih al-Bukhari 304
Vol. 1, Book 6, Hadith 304

  1. BAAB: HAIZAH KA TAWAF E KABA KE SIWA DEGAR MANASIK HAJJ ADA KARNA.


Ibrahim Nakhai Ne Farmaya: Haizah Aurat Ke Liye Ayat Padhne Me Koi Mazaiqah Nahi. Hazrat Ibn e Abbas r.a. Janbi Ke Liye Quran Karim Padhne Me Koi Harj Nahi Khayal Karte The. Nabi ﷺ Apne Tamam Awqat Me Allah Ka Zikr Kiya Karte The. Hazrat Umme Atiyah Farmati Hay: Eid Ke Deen Haizah Aurat Ko Bhi Bahar Nikalne Ka Huqm Hota Tha. Wo Bhi Mardon Ki Tarh Taqbirat Padhti Thi Aur Dua Karti Thi. Hazrat Ibn e Abbas r.a. Ne Farmaya: Unhe Hazrat Abu Sufiyan r.a. Ne Bataya Kul Ne Nabi ﷺ Ka Namah Mubarak Talab Kiya Aur Use Padha, Isme Likha Tha: Shuru Allah Ke Naam Se Jo Bada Maherban Intehai Rahem Karne Wala Hay: Aye Ahle Kitab! Ek Aise Kalme Ki Taraf Aajao Jo Humare Aur Tumhare Darmiyan Mushtarik Hay Ke Hum Allah Ke Siwa Kisi Ki Ibadat Na Kare Aur Kisi Ko Iska Sharik Na Thaheray.......(Ayat)." Hazrat Ataa Hazrat Jabir r.a. Se Bayan Karte Hay Ke Hazrat Aisha r.a. Ko(Hajj Me) Haiz Agaya To Unhone Baitullah Ke Tawaf Ke Ilawa Digar Tamam Manasik Hajj Pure Kiye Aur Wo Namaz Bhi Nahi Padhti Thi. Hazrat Hakum Ne Kaha: Mai Janbi Hone Ke Bawajud Janwar Zubah Kar Leta Hun Aur Allah Tala Ka Irsha Hay:" Tum Us Zabihe Ko Na Khao Jis Par Allah Ka Naan Na Liya Gaya Ho."
۞ Hazrat Aisha r.a. Se Riwayat Hay, Unho Ne Kaha: Hum Rasool Allah ﷺ Ke Humrah Hajj Ke Liye Is Haalat Me Nikle Ke Humari Zabano Par Hajj Ke Ilawa Kisi Chiz Ka Zikr Na Tha. Jab Hum Muqam Sarif Par Pahunche To Mujhe Haiz Agaya. Nabi ﷺ Mere Pass Tashreef Lay To May Roo Rahi Thi. Aap Ne Pucha: Tum Kyun Rorahi Ho?" May Ne Ar.a. Kiya: Kaash May Is Saal Hajj Ka Irada Hi Na Karti. Aap Ne Farmaya:" Shayad Tumhe Haiz Ayagaya Hay?" May Ne Kaha: Ji Haan. Aap Ne Farmaya:"Ise To Allah Tala Ne Tamam Adam Ki Betiyon Par Likh Diya Hay. Is Liye Tum Wo Tamam Afaal Karti Raho Jo Haaji Karta Hay. Albatta Baitullah Ka Tawaf Nahi Karna Jab Tak Paak Na Hojao."

Sahih al-Bukhari 305
Vol. 1, Book 6, Hadith 305

  1. BAAB: ISTIHAAZE KA BAYAN.


۞ Hazrat Aisha r.a. Se Riwayat Hay, Unho Ne Farmaya: Fatima Bint Abi Hubaish r.a. Ne Rasool Allah ﷺ Se Ar.a. Kiya: Aye Allah Ke Rasool! Mujhe Paaki Hasil Nahi Hoti, Kya May Namaz Chhor Dun? To Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya:" Ye Ek Rag Ka Khun Hay, Haiz Nahi, Lihaaza Jab Haiz Aay To Namaz Chhor Do Aur Jab Haiz Ke Ayyam Guzar Jaay To Khud Se Khun Dho Dalo,
Yaani Gusool Karo Aur Namaz Padho."

Sahih al-Bukhari 306
Vol. 1, Book 6, Hadith 306

  1. BAAB: HAIZ KE KHOON KO DHOONA.


۞ Hazrat Aasma Bin Abi Bakar r.a. Se Riwayat Hay, Unho Ne Kaha: Ek Aurat Ne Rasool ﷺ Se Sawal Kiya, Kahne Lagi: Aye Allah Ke Rasool! Jab Hum Aurton Me Se Kisi Ke Kapde Ko Haiz Ka Khoon Lag Jay To Wo Kya Amal Kare? Iske Mutallik Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya:" Jab Tum Me Se Kisi Ke Kapdon Ko Haiz Ka Khun Lag Jay To Use Chutkiyon Se Male, Fir Ise Paani Se Dho Daale, Fir Isme Namaz Padhle."

Sahih al-Bukhari 307
Vol. 1, Book 6, Hadith 307
۞ Hazrat Aisha r.a. Se Riwayat Hay, Unhone Farmaya: Jab Humme Se Kisi Ko Haiz Aata To Kapde Paak Karte Waqt Apne Kapde Se Khoon Ko Chutkiyo Se Kharoch Dalti Aur Use Dhoo Deti, Fir Is Me Namaz Padh Leti.

Sahih al-Bukhari 308
Vol. 1, Book 6, Hadith 308

  1. BAAB: MUSTEHAAZAH KA AETEQAF BAITHNA.


۞ Hazrat Aisha r.a. Se Riwayat Hay Ke Nabi ﷺ Ke Saath Apki Azwaj Mutehrat Me Se Kisi Ek Ne Aeteqaf Kiya Jab Ke Wo Istihaaza Me Mubtila Thi. Wo Aksar Khoon Dekhti Rahi Aur Aam Taor Par Wo Apne Niche Khoon Ki Wajah Se Tasht Rakhliya Karti Thi.
Rawi e Hadees Hazrat Akrama Ne Kaha Ke(Kisi Taqreeb Me) Hazrat Aisha r.a. Ne Kism Ka Paani Dekha To Farmaya: Ye To Aisa Hi Malum Hota Hay Jaise Falan Sahibah Ko Istihaaza Ka Khoon Aata Hay.

Sahih al-Bukhari 309
Vol. 1, Book 6, Hadith 309
۞ Hazrat Aisha r.a. Se Riwayat Hay, Unhone Farmaya: Rasool Allah ﷺ Ke Humrah Aapki Ek Ahliya Ne Aeteqaf Kiya To Wo Khoon Aur Zardi Dekhti Thi. Tasht Inke Niche Hota Aur Wo Isi Halat Ne Namaz Padhti Thi.

Sahih al-Bukhari 310
Vol. 1, Book 6, Hadith 310
۞ Hazrat Aisha r.a. Se Riwayat Hay Ke Amhaal Al Momineen Me Se Kisi Ek Ne Istihaaza Ki Halat Me Aeteqaf Kiya.

Sahih al-Bukhari 311
Vol. 1, Book 6, Hadith 311

  1. BAAB: AURAT LA US LIBAS ME NAMAZ PADHNA JISME USE HAIZ AAYA HO?


۞ Hazrat Aisha r.a. Se Riwayat Hay, Unhone Farmaya: Humare Pass Sirf Ek Ho Libaas Hota Tha. Usi Me Ayyam E Haiz Guzari. Agar Isme Haiz Ka Khoon Lagjata. To Uspar Thook Daal Deti Aur Ise Apne Nakhuno Se Masal Deti.

Sahih al-Bukhari 312
Vol. 1, Book 6, Hadith 312

  1. GUSOOL E HAIZ SE FAARIG KE BAAD AURAT KA KHUSHBOO ISTEMAL KARNA.


۞ Hazrat Umme Atiya r.a. Se Riwayat Hay, Unhone Farmaya: Hume Kisi Mayyat Par Teen(3) Din Se Zyada Soog Karne Se Rooka Jaata Tha. Siway Shohar Ke Keh Iske Ke Maamle Me Chaar(4) Maah Das(10) Din Tak Soog Ka Huqm Tha, Nez Ye Bhi Huqm Tha Ke Is Daoraan Me Hum Na Surma Lagay, Na Khooshboo Istemaal Kare Aur Na Koi Rangeen Kapda Pahne, Magar Jis Kapde Ka Dhaaga Banawat Ke Waqt Hi Ranga Hua Ho. Albatta Haiz Se Faarig Ke Waqt Ye Ijaazat Thi Ke Jab Hum Me Koi Gusool Haiz Kare Wo Kast Azfaar(Khoshboo) Ostemal Kare. Is Ke Ilawa Hume Iske Saath Hume Janaze Ke Saath Jaane Se Bhi Roka Diya Gaya.
Is Hadees Ki Rawi Hashaam Bin Hasaan Ne Hafsa Se, Unhone Umme Atiya r.a. Se Unho Ne Nabi sαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм Se Bhi Ki Hay.

Sahih al-Bukhari 313
Vol. 1, Book 6, Hadith 313

  1. BAAB: HAIZ SE FAARIGAT KE BAAD (NAHATE WAQT) AURAT KA APNE BADAN KO MALNA AUR GUSOOL KARNE KA TARIKA, GUSOOL KA BAAD WO CHIZ JIS PAR MUSHQ LAGAYA GAYA HO, USE KHOON AALUD MUQAMAAT PAR FER DEN.


۞ Hazray Aisha r.a. Se Riwayat Hay Ke Ek Aurat Ne Nabi ﷺ Se Apne Gusl Haiz Ke Mutallik Daryaft Kiya To Aap Ne Iske Saamne Gusl Ki Qayfiyat Bayan Ki. Mazeed Farmaya:" Kastoori Laga Hua Rawai Ka Ek Tukra Le Kar Us Se Taharat Hasil Kar." Wo Kahne Lagi: Iske Saath Kaise Taharat Haasil Karu? Aapne Farmaya: SubhanAllah! Paakizgi Haasil Kar." Hazrat Aisha r.a. Farmati Hay: Maine Us Aurat Ko Apni Taraf Khincha Aur Ise Samjhaya Ke Use Khoon Ke Muqamat Par Lagale.

Sahih al-Bukhari 314
Vol. 1, Book 6, Hadith 314

  1. BAAB: GUSOOL E HAIZ KA BAYAN.


۞ Hazrat Aisha r.a. Se Riwayat Hay Ke Qabilah E Ansaar Ki Aurat Ne Nabi ﷺ Se Ar.a. Kiya: May Haiz Ka Gusl Kis Tarah Karun? Aapne Farmaya:" Kastoori Laga Hua Rawai Ka Ek Tukra Lo Aur Isse Paaki Hasil Karo." Ye Aapne Teen(3) Martaba Farmaya. Fir Nabi ﷺ Ko Hayaa Daman Gayr Hui Aur Aapne Chahera Mubarak Dusri Taraf Fer Liya, Ya Farmaya:" Isse Paaki Hasil Karo." Hazrat Aisha r.a. Farmati Hay: Ke Maine Us Aurat Ko Pakda Aur Apni Taraf Khinch Liya Aur Nabi ﷺ Jo Baat Kahena Chahte The, Wo Maine Ise Samjhai.

Sahih al-Bukhari 315
Vol. 1, Book 6, Hadith 315

  1. BAAB: GUSOOL E HAIZ KE WAQT AURAT KA BAALON ME KANGHI KARNA.


۞ Hazrat Aisha r.a. Se Riwayat Hay, Unhone Farmaya: Maine Rasool Allah ﷺ Se Saath Hajjat Ul Widaa Me Aheram Bandha To May Un Logo Me Shaamil Thi Jinho Ne Hajj Tamattu Ki Niyyat Ki Thi Aur Apne Saath Qurbani Ka Janwar Laay The. Hazrat Aisha r.a. Ne Kaha Ke Unhe Haiz Agaya Aur Shab E Arfah Tak Paak Na Hosaki. Tab Unho Ne Ar.a. Kiya: Aye Allah Ke Rasool Ye Arfah Ki Raat Hay Aur May Ne Umre Ka Aheraam Bandh Kat Tamattu Ka Irada Kiya Tha? Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya:" Tum Apna Sar Khool Kar Kanghi Karlo Aur Apne Umre Ke Aamal Ko Mauqoof Kardo." Chunancha May Ne Aisa Hi Kiya. Aur Jab May Hajj Se Farig Hogai To Aapne Shab Mahesab(Mere Bhai) Abdul Raheman r.a. Ko Huqm Diya To Wo, Mere Is Umre Ke Badle Jiska Maine Aheram Bandha Tha, Mujhe Muqaam Tan'im Se Umra Kara Laay.

Sahih al-Bukhari 316
Vol. 1, Book 6, Hadith 316

  1. BAAB: GUSOOL E HAIZ KE WAQT AURAT KA APNE BAALON KO KHOLNA.


۞ Hazrat Aisha r.a. Se Riwayat Hay, Unhone Farmaya: Hum Halal Zi-Lhajjah Ke Qareeb Hajj Ke Liye Rawana Huy To Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya:" Jo Shakhs Umre Ka Aheram Bandhna Chahe, Wo Umre Ka Aheram Bandh Le Aur Khud Me Agar Hadi(Qurbani Ka Janwar) Na Laaya Ho To Umre Hi Ka Aheram Bandhta." Chunancha Kuch Logo Ne Umre Ka Aheram Bandha Tha. Mujhe Arfe Ka Din Bahalat Haiz Aaya, Chuncha Maine Nabi ﷺ Se Ar.a. Kiya To Aap Ne Farmaya:" Umrah Tark Kardo Aur Sar Ke Baal Khool Kar Khanghi Karlo, Fir Hajj Ka Aheram Bandhlo." Chunancha Maine Aisa Hi Kiya, Yaha Tak ke Jab Waadi E Mahesab Me Padao Ki Raat Aai To Aap Ne Mere Saath Mere Bhai Abdul Raheman Bin Abu Bakar r.a. Ko Bheja. Mai (Inke Saath) Tan'im Tak Gai Aur Wahan Se Faot Shudah Umre Ki Jagah Dusra Aheram Bandha. Hasham Raawi Kahte Hay Ke In Sab Baaton Me Na Qurbani Laazim Hui, Na Roza Rakhna Pada Aur Na Sadqa Dena Pada.

Sahih al-Bukhari 317
Vol. 1, Book 6, Hadith 317

  1. BAAB: MUKHALLKAT YA GAIR MUKHALLAKAT KA BAYAN.


۞ Hazrat Anas Bin Mailk r.a. Se Riwayat Hay, Wo Nabi ﷺ Se Bayan Karte Hay, Aap Ne Farmaya:" Allah Tala Rahem Madar Par Ek Farishta Mukarrar Kar Deta Hay Jo Ar.a. Karta Hay: Aye Parwardigaar Rahem Madar Me Ye Nutfa hay. Aye Rab! Ye Alqa, Yaani Khoon Bastah Hogaya. Aye Rab! Ab Ye Goshat Ka Loothra Bangaya. Fir Allah Tala Is Ke Khalqat Ko Mukammal Kardena Chahta Hay To Farishta Kahta Hay: Muzakkar Ya Mo'annas? Bad Bakht Ya Nek Bakht? Fir Iska Rizk Aur Umr Kis Kadar Hay? Ye Tamam Baten (Farishte Ki Taraf Se) Rahem Madar Me Hi Likh Di Jaati Hay.

Sahih al-Bukhari 318
Vol. 1, Book 6, Hadith 318

  1. BAAB: HAIZAH AURAT HAJJ AUR UMRE KA AHERAM KISTARH BANDHE ?


۞ Hazrat Aisha r.a. Se Riwayat Hay, Unhone Farmaya: Hum Nabi ﷺ Ki Humrah Hajjat Ul Widaa Ke Liye Rawana Huy. Hum Me Se Kisi Ne Umre Ka Aheram Bandha Aur Kisi Ne Hajj Ka. Jab Hum Makka Mukarrama Aay To Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya:"Jis Ne Umre Ka Aheram Bandha Hay Aur Wo Qubani Ka Janwar Saath Me Nahi Laaya To Wo(Umrah Karne Ke Baad) Halal(Sar Mundhway) Ho Jay. Aur Jisne Umre Ka Aheram Bandha Hay Aur Hadi Ka Janwar Saath Laaya Hay To Wo Hadi Ki Qurbani Se Pahle Halal Nahi Hoga. Aur Jisne Sirf Hajj Ka Aheram Bandha Hay. Use Apne Hajj Ko Pura Karna Hoga." Hazrat Aisha r.a. Ne Farmaya: Mujhe Haiz Agaya Aur Yom e Arafah Tak Isi Haal Me Rahi. Chunke Mayne Sirf Umre Ka Aheram Bandha Tha, Is Liye Nabi ﷺ Ne Mujhe Huqm Diya Ke : May Apna Sar Khool Kar Khanghi Karlum, Fir Hajj Ka Aheram Bandhlun Aur Umre To Tark Kardun. Mayne Aisa Hi Kiya Taa Kee Maine Apna Hajj Pura Karliya. Fir Aap ﷺ Ne Mere Saath Hazrat Abdul Raheman Bin Abi Bakar r.a. Ko Rawana Kiya Aur Mujh Se Farmaya Ke May Apne Tark Kardah Umre Ke Badle Tan'im Se Dusra Umrah Karlun.

Sahih al-Bukhari 319
Vol. 1, Book 6, Hadith 319

  1. BAAB: HAIZ KI AAMAD AUR KHATM HONE KA BAYAN.


Aurten Hazrat Aisha r.a. Ke Pas Dabbe Me Roti Bhejti Jisme Zardi Hoti Thi, To Aisha r.a. Inse Farmati: Jaldi Na Karo Aur Chune Ki Tarh Safed Dekho. Is Se Murad Haiz Ki Paaki Hoti Thi. Hazrat Zaid Bin Sabit r.a. Ki Beti Ko Ye Baat Maalum Hui Ke Aurten Darmiyan Raat Chirag Mangwa Kar Tahar Dekhti Hay To Unhone Farmaya: Pahle Aurten (Sahabiyat) Aisa Na Karti Thi Aur Unho Ne Is Ma'ayoob Khayal Kiya.

۞ Hazrat Aisha r.a. Se Riwayat Hay Ke Fatima Bint Abi Habish r.a. Ko Istihaaze Ka Aar.a.ah Tha. Unhone Ne Nabi ﷺ Se Daryaft Kiya To Aap Ne Farmaya:" Ye Haiz Nahi Balke Rag Ka Khoon Hay, Lihaaza Jab Haiz Ki Aamad Ho To Namaz Tark Kardo Aur Jab Haiz Khatam Ho Jaay To Gusool Karke Namaz Adaa Karo."

Sahih al-Bukhari 320
Vol. 1, Book 6, Hadith 320

  1. BAAB: HAIZAH AURAT KA NAMAZ KI QAZAA ADAA NA KARNA.


Hazrat Jabir Aur Hazrat Abu Saeed r.a. Ne Nabi ﷺ Se Riwayat Karte Hay." Haizah Namaz Chhordegi."

۞ Hazrat Mazah Bayan Karti Hay Ke Ek Aurat Ne Hazrat Aisha r.a. Se Ar.a. Kiya: Jab Hum Me Se Koi Haiz Se Paak Hoto Kya Wo Faot Shuda Namazo Ki Kazah Adaa Kare? Hazrat Aisha r.a. Ne Farmaya: Kya Wo Haraura (Kharji) Hay? Hume Nabi ﷺ Ke Ahed Mubarak Me Haiz Aata Tha Aur Aap Hume Namaz Ka Huqm Nahi Dete The Ya Farmaya: Hum Namaz Nahi Parhte The.

Sahih al-Bukhari 321
Vol. 1, Book 6, Hadith 321

  1. BAAB: HAIZAH KE SAATH SONA JAB KE WO HAIZ KE KAPDON ME HO.


۞ Hazrat Umme Salma r.a. Se Riwayat Hay, Unhone Farmaya: May Nabi ﷺ Ke Saath Chaadar Me Leti Thi Ke Mujhe Haiz Aagaya. May Aahista Se Uthi Aur Us Chaadar Se Nikal Aai. Fir May Ne Apne Haiz Ke Kapde Leliye Aur Unhe Pahen Liye. Mujhse Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya:"Kya Tumhe Haiz Aagaya Hay?" Mayne Ar.a. Kiya: Ji Haan! To Aap Me Mujhe Bulaya Aur Apne Saath Chaadar Me Leliya. Zainab Ne Kaha Hazrat Umme Salma r.a. Ne Ye Bhi Bayan Kiya Ke Nabi ﷺ Roze Ki Halat Me Hote The Aur Isi Halat Me Inka Bosa Le Lete The, Nez May Aur Nabi ﷺ Ek Hi Bartan Me Gusool Janabat Karte The.

Sahih al-Bukhari 322
Vol. 1, Book 6, Hadith 322

  1. BAAB: AAM KAPDON KE ILAAWA HALAT E HAIZ KE LIYE ALAG LIBAAS BANANA.


۞ Hazrat Umme Salma r.a. Se Riwayat Hay, Wo Kahti Hay: May Nabi ﷺ Ke Humraah Ek Chaadar Me Leti Hui Thi Ke Mujhe Haiz Aagaya. May Chupke Se Nikal Aai Aur Haiz Ka Libaas Pahen Liya. Aap Ne Farmaya:" Kya Tujhe Haiz Aayagaya Hay? Mayne Ar.a. Kiya: Ji Haan! To Aapne Mujhe Bula Loya Aur May Aap Ke Saath Chaadar Me Let Gai.

Sahih al-Bukhari 323
Vol. 1, Book 6, Hadith 323

  1. BAAB: HAIZAH KA EID'EN AUR MUSALMANO KA DUA ME SHAREEK HONA BASHART YE KE EIDGAAH SE ALAG RAHEY.


۞ Hazrat Hafsa Bin Sereen Se Riwayat Hay, Unhone Kaha: Hum Jawan Ladkiyo Ko Eid Ke Liye Bahar Nikalne Se Mana Kiya Karti Thi. Ek Aurat Aai Aur Bani Khalf Ke Mahel Me Utri. Isne Apni Bahen Ke Waste Se Ye Hadees Sunai Aur Iski Bahenawi Ne Nabi ﷺ Ke Humrah Barah(12) Gazwaat Me Shareek Ki Thi Aur Khud In Ki Bahen Aut Khud Inkr Bahen Bhi Apne Shohar Ke Humrah Chee(6) Gazwaat Me Shirkat Kar Chuki Thi. Is(Bahen) Ne Bataya Ki Hum Zakhmiyo Ko Marham Patti Kiya Karti Thi Aur Marizo Ki Teemardaari Bhi Kiya Karti Thi. Meri Bahen Ne Ek Martaba Nabi ﷺ Se Daryaf Kiya: Agar Hum Me Se Kisi Ke Pas Badi Chaadar Na Ho To Iske(Namaz e Eid Ke Liye) Bahar Jaana Koi Harj Hay? Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya:" Iski Saathi Ko Chahiye Ke Wo Ise Apni Chaadar Ka Kuch Hissa Pahena De Taa ke Wo Majaalis Khayr Aur Musalmano Ki Dua'on Me Shareek Ho." Fir Jab Umme Atiyah r.a. Aain To Maine Inse Daryaft Kiya: Kya Aap Ne Nabi ﷺ Se Aisa Suna Hay? Unhone Farmaya: Mere(Maa) Baap Aap Par Fidaa Ho........ Umme Atiyah r.a. Jab Bhi Aap Ka Zikr Karti" Mere (Maa) Baap Aap Par Fidaa Ho Ke Alfaz Zaroor Kahti...... Haan, Maine Aapko Ye Farmate Huy Suna Hay Ke"Jawan Ladkiya Pardah Nasheen Khwatoon(Ya Farmaya) Parda Nasheen Jawan Ladkiyan Aur Haiz Waali Aurte Eidgaah Jaay Aur Majaalis Khayr, Nez Musalmano Ki Dua'on Me Shareek Hon, Albatta Haizah Aurten Eidgaah Se Alag Rahe." Hafsaa Bin Sereen Kahti Hay: May Ne Hazrat Umme Atiyah r.a. Se Dariyaaft Kiya: Aaya Haizah Bhi Shareek Hosakti Hay? Unho Ne Farmaya:(Kyun Nahi?) Kya Haizah Aurat Arfaa Me Aur Falaa Falaa Jagah Nahi Jaati?

Sahih al-Bukhari 324
Vol. 1, Book 6, Hadith 324

  1. BAAB: AGAR KISI AURAT KO EK HI MAHINE ME TEEN(3) BAAR HAIZ AAJAY.


Jab Haiz Aane Ka Imkaan Ho To Haiz Aur Hamal Ke Mutallik Aurato Ki Tasdeek Ki Jaaygi Kyunke Irshad Bari Tala Hay:" In Aurto Ke Liye Jaiz Nahi Ke Jo Kuch Allah Tala Ne Inke Rahem Me Paida Kiya Hay, Wo Use Chupaay." Hazrat Ali r.a. Aur Qaazi Shareeh Se Manqaol Hay: Agar Aurat Ke Gharaane Ka Koi Dindaar Fard Gawahi De Ke Is Aurat Ko Ek Mahine Me Teen(3) Martaba Haiz Aaya Hay To Is Ki Tasdiq Ki Jaaygi. Hazrat Ataa Ne Kaha: Aurat Ke Haiz Ke Deen Utne Honge Jitne Pahle Hoye The. Ibraheem Nakhai Ne Bhi Yahi Kaha
Hay. Hazrat Ataa Ne Ye Bhi Kaha: Haiz Ek(1) Din Se Pandraah(15) Din Tak Hosakta Hay. Hazrat Maatamar Bin Sulemaan Apne Baap(Sulemaan) Se Bayan Karte Hay, Unhone Ibn Sereen Se Ek Aisi Aurat Ke Mutallik Dariyaft Kiya Jo Apni Aadat Ke Mutabik Haiz Aajane Ke Baad Panch(5) Din Tak Khoon Dekhti Hay? To Unho Ne Jawab Diya: Aurat Apne Mamlaat Ke Mutallik Zyada Ilm Rakhti Hay.

۞ Hazrat Aisha r.a. Se Riwayat Hay, Hazrat Fatima Bin Abi Habeesh r.a. Ne Nabi ﷺ Se Pucha: Mujhe Istihaaze Ka Khoon Aata Hay Aur may Muddaton Baak Nahi Hosakti, To Kya May Namaz Chhod Diya Karun? Aap Ne Farmaya:" Nahi, Ye To Ek Ragg Ka Khoon Hay. Haan, Itne Din Namaz Chhor Diya Karo Jin Me Is(Bimaari) Se Qabl Tumhe Haiz Aaya Karta Tha. Is Ke Baad Gusl Karke Namaz Padha Karo."

Sahih al-Bukhari 325
Vol. 1, Book 6, Hadith 325

  1. BAAB: AYYAM HAIZ KE ILAAWAH ZARD AUR KHAAKASTRI RUTOOBAT KA AANA.


۞ Hazrat Umme Atiyah r.a. Se Riwayat Hay, Unhone Farmaya: Hum Zard Aur Khaakastri Rang Ki Ratoobat Ko Koi Ahmiyat Nahi Deti Thi.

Sahih al-Bukhari 326
Vol. 1, Book 6, Hadith 326

  1. BAAB: ISTIHAAZE KE RAG KA BAYAN.


۞ Hazrat Aisha r.a. Zojah Nabi ﷺ Se Riwayat Hay Ke Hazrat Umme Habibah r.a. Saat(7) Saal Tak Mustihaazah Rahi. Unhone Ne Is Mutallik Rasool Allah ﷺ Se Dariyaft Kiya To Aap Ne Unhe Gusool Karne Ka Huqm Diya Aur Farmaya:" Ye Rag(Ka Khoon) Hay." Chunancha Hazrat Umme Habibah r.a. Har Namaz Ke Liye Gusool Karti Thi.

Sahih al-Bukhari 327
Vol. 1, Book 6, Hadith 327

  1. BAAB: TAWAAF AFAAZAAH KE BAAD AURAT KO HAIZ AANA.


۞ Hazrat Aisha r.a. Zojah Nabi ﷺ Se Riwayat Hay, Unhone Ne Rasool Allah Se Ar.a. Kiya: Aye Allah Ke Rasool! Safiya Bin Heei r.a. Ko Haiz Aagaya? Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya:" Shaayad Wo Hume (Madina) Jaane Se Baaz Rakhegi. Kya Usne Tumhare Saath Tawaaf(Ziyarat) Nahi Karliya Tha?" Unho Ne Ar.a. Kiya: Kyun Nahi. Aap Ne Farmaya: "Fir Wo Rakht Safar Bandhe.

Sahih al-Bukhari 328
Vol. 1, Book 6, Hadith 328
۞ Hazrat Abdullah Bin Abbas r.a. Se Riwayat Hay, Unhone Farmaya: Agar Haizah Ko Azr Haiz Shru Hojaay, To Wo (Tawaaf Vadaa Ke Bagair) Makke Se Rawana Ho Sakti Hay.
Hazrat Ibn Umar r.a. Pahle Pahle Is Haalat Me Makke Se Wapas Hone Ki Ijaazat Nahi Dete The.(Hazrat Ta'oos Kahte Hay Ke) Fir Maine Inhe Ye Farmate Huy Suna Ke Wo Tawaaf Vadaa Ke Bagair Jaa Sakti Hay Kyunke Rasool Allah ﷺ Se Inhe Jaane Ki Ijaazat De Di Thi.

Sahih al-Bukhari 329, 230
Vol. 1, Book 6, Hadith 329, 230

  1. BAAB: JAB MUSTIHAAZAH KA KHOON AANA BAND HOJAAY.


Hazrat Ibn e Abbas r.a. Farmate Hay Ke (Mustihaazah Ka Jab Khoon Band Ho Jaay To) Gusool Kare Aur Namaz Padhe Agar Cha'h Ye Bandish Thori Der Ke Liye Ho. Jab Wo Namaz Padh Sakti Hay Jiski Ahemiyat Bahot Zyada Hay, To Iska Shohar Darjah Aawla Is Ke Paas Asakta Hay.

۞ Hazrat Aisha r.a. Se Riwayat Hay, Unhone Kaha: Nabi ﷺ Ne( Fatimaah Bint Abi Hubaish Se) Farmaya:" Jab Haiz Ke Ayyam Aay To Namaz Chhor Do Aur Jab Haiz Ke Ayyam Guzar Jaay To Khoon Ko Dhoolo Aur Namaz Adaa Karo."

Sahih al-Bukhari 331
Vol. 1, Book 6, Hadith 331

  1. BAAB: NAFAAZ WAALI AURAT KA JANAZAH AUR TARIKA.


۞ Hazrat Samraah Bin Jundoob r.a. Se Riwayat Hay Ke Ek Aurat Ka Zachgi Me Inteqaal Ho Gaya To Nabi ﷺ Ne Iski Namaz E Janazah Padhaai Aur Janazah Padhte Waqt Iske Darmiyan(Kamre Ke Samne) Khade Huy.

Sahih al-Bukhari 332
Vol. 1, Book 6, Hadith 332

  1. BAAB: (BILAUNWAN)


۞ Hazrat Abdullah Bin Shadad r.a. Se Riwayat Hay, Wo Kahte Hay: Maine Nabi ﷺ Ki Azwaaj Mohtrama Aur Apni Khalah Hazrat Memona r.a. Se Suna Ke Wo Haizah Hoti Aur Namaz Na Padhe To Bhi Rasool Allah ﷺ Ko Sajdahgah Ke Pas Leti Rahti. Raool Allah ﷺ Apni Chhoti Chataai Par Namaz Padhte Rahte, Jab Sajdah Karte To Aap Ka Kuch Kapda In Ke Jism Se Lag Jaata Tha.

Sahih al-Bukhari 333
Vol. 1, Book 6, Hadith 333

 

Post a Comment