Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

KITAB UL EEMAN


SAHIH AL BUKHARI, KITAB UL IMAAN, KITAAB NO:2  

  
(2) BAAB:TUMHARI DUA SE MURAAD TUMHARA IMAAN HAI  

۝ Hazrat Ibn e Umar r.a. se riwayat, hai ki ke Rasool ﷺ  ne farmaya, "Islam ki buniyad paanch (5) cheezo par qayam ki gai hai;  
Awwal: Gawahi dena ki Allah ke siwa koi ma'abood nahi aur beshaq Rasool ﷺ Allah ke sacche Rasool hai aur namaz qayam karna, aur zakat adaa karna, aur hajj karna, aur Ramzan  ke roze rakhna.  

Sahih al-Bukhari,8  
Vol. 1, Book 2, Hadith 8.  

  
(3) BAAB:UMOOR IMAAN KA BAYAN  

۝ Hazrat Abu Huraira r.a. ne nakal farmaya Rasool ﷺ se ki Rasool ﷺ ne farmaya ki Emaan ki saath (60) se zyada shaakhe hai, aur haya (sharm) bhi Emaan ki ek shaakh hai.  

Sahih al-Bukhari,9  
Vol. 1, Book 2, Hadith 9.  

 (4)BAAB:MUSALMAAN WO HAI JIS KI ZABAN AUR HATH SE DUSRE MUSALMAAN MEHFOOZ RAHE.  

۝ Abdullah bin Amr r.a. Rasool ﷺ se riwayat karte hai, ki Rasool ﷺ ne farmaya, "Musalman woh hai jis ki zuban aur haath se musalman mahfuz rahe aur Muhajir woh hai jo un kaamo ko chor de jin se Allah ne mana farmaya hai.  

Sahih al-Bukhari,10  
Vol. 1, Book 2, Hadith 10.  
  
(5)BAAB:KOUN SAA(SAHAB)ISLAAM AFZAL HAI?.  

۝ Hazrat Abu Musa Ash'ary r.a. farmate hai ki logo ne pucha ya Rasool ﷺ! kon sa Islam afzal hai ?  
To Rasool ﷺ ne farmaya woh jis ke maanne wale Musalmano ki zuban aur haath se saare musalman salamti me rahe.  

Sahih al-Bukhari,11  
Vol. 1, Book 2, Hadith 11.  

(6)BAAB:KHANA KHILANA,ISLAAM KA HISSA HAI.  

 ۝ Hazrat Abdullah bin Amr r.a. se riwayat hai ki ek din ek aadmi ne Rasool ﷺ se pucha ki konsa islam behtar hai ? Aap ﷺ ne Farmaya ye ki tum (gareebo ko) khana khilaao aur jis ko pehchano usko bhi aur jisko na pahchano usko bhi Salaam karo.  

Sahih al-Bukhari,12  
Vol. 1, Book 2, Hadith 12.  

  
(7) BAAB:APNI PASANDEEDAH CHIZ KO APNE BHAI KE LIYE PASAND KARNA IMAAN KA HISSA HAI.  

  
۝ Hazrat Anas r.a. ne Rasool ﷺ se nakal farmaya, ki Rasool ﷺ ne farmaya tum me se koi insan imandaar na hoga jab tak apne bhai ke liye wo na pasand kare jo apne liye pasand karta ho.  

Sahih al-Bukhari,13  
Vol. 1, Book 2, Hadith 13.  

(8)BAAB:Rasool ﷺ SE MUHABBAT BHI IMAAN KA HISSA HAI.  

  
۝ Hazrat Abu Huraira r.a. farmate hai Beshaq! Rasool ﷺ ne farmaya, "Kasam hai us zaat  
ki jis ke haath mai meri jaan hai, Tum mai se koi bhi Emaandaar na hoga jab tak mai uske walid aur aulad se bhi zyada uska mahboob na ban jaoon.  

Sahih al-Bukhari,14  
Vol. 1, Book 2, Hadith 14.  

  
۝ Hazrat Anas r.a. farmate hai, Rasool ﷺ ne farmaya, "Koi aadmi Emaandaar na hoga  
jab tak uske walid aur uski aulad aur tamaam logo se zyada uske Dil me meri muhabbat na ho jaye."  

Sahih al-Bukhari,15  
Vol. 1, Book 2, Hadith 15.  
  
(9) BAAB:IMAAN KI MITHAAS KA BAYAN.  

  
۝ Hazrat Anas r.a. se marwi hai ki Rasool ﷺ ne farmaya teen (3) khaslate aesi hai ki jis me paida ho jaye us ne Emaan ki mithas ko paa liya; Awwal ye ki Allah aur uska Rasool us ke nazdik   
sab se zyada mahboob ban jaye, dusri ye ki woh kisi insan se khalis Allah ki raza ke liye mohabbat rakhe,  teesri ye ki woh kufr me wapas lautne ko aisa bura jane jesa ki aag me daale jane ko bura janta ho."  

Sahih al-Bukhari,16  
Vol. 1, Book 2, Hadith 16.  

  
(10) BAAB:ANSAAR KI MUHABBAT IMAAN KI NISHANI HAI.  

  
۝ Hazrat Anas bin Malik r.a. Rasool ﷺ se riwayat karte hai ki Rasool ﷺ ne farmaya Ansar se muhabbat rakhna Emaan ki nishani hai aur ansar se kina (bugz, nafrat) rakhna nifaq ki nishani hai.  

Sahih al-Bukhari,17  
Vol. 1, Book 2, Hadith 17.  

  
(11) BAAB: BILA'UNWAAN.  

 
۝ Hazrat Ubada bin Samit r.a. jo badr ki jung mai shareek the aur lailatul Ukba ke (12) nakibo mai se the farmate hai ki Rasool ﷺ ne us waqt jab Aap ke paas sahaba ki ek jama'at bethi  
thi farmaya ki "Mujh se bait karo is baat par ki Allah ke saath kisi ko sharik na karoge,  
chori na karoge, zina na karoge, apni aulad ko qatl na karoge, aur na umdan kisi par koi na haq   
bohtan bandhoge aur kisi bhi acchi baat me (khuda ki) nafarmani na karoge, jo koi tum mai (is ahad ko) pura karega to uska sawab Allah ke zimme hai aur aur jo koi in (in buri baato) mai se kisi ka   
irtekab kare aur usko duniya me (islami kanoon ke tehet) saza de di gai to ye saza uske   
(gunaho ke) liye badla ho jayegi aur jo koi un me se kisi baat me mubtila ho gaya aur Allah ne  
uske (gunah) ko chupa liya to fir us ka (mu'aamla) ALLAH ke hawale hai, agar chahe mu'aaf kare agar chahe saza de de. (Ubada kahte hai ki) fir ham sab ne in (sab baato) par Rasool ﷺ se bait karli."  

Sahih al-Bukhari,18  
Vol. 1, Book 2, Hadith 18.  

  
(12) BAAB: FITNO SE FARAAR BHI DEEN KA HISSA HAI.  

  
۝ Hazrat Abu Sae'ed Khudri r.a. nakal karte hai ki Rasool ﷺ ne farmaya ki, "Woh waqt karib hai jab Musalman ka (sab se) umda (behtrin) maal (uski) bakriya hongi, jin ke piche woh pahado ki chotiyo aur barsati wadiyo mai apne Deen ko bachane ke liye bhaag  jayega.  

Sahih al-Bukhari,19  
Vol. 1, Book 2, Hadith 19.  

  
(13)BAAB:FARMAAN E NABAWI (KI WAZAHAT) KE ALLAH KE MUT'ALLIQ MAI TUM SE ZYADA JAANNE WALA HOON

  
۝ Hazrat Ayesha r.a. farmati hai ki Rasool ﷺ logo ko kisi kaam ka hukm dete to woh aisa hi kaam hota jis ke karne ki logo me taqat hoti (is par) sahaba r.a. ne arz kiya ki ya Rasool ﷺ ! Ham log to Aap jaise nahi hai (aap to masum hai) aur aap ki Allah Paak ne agli pichli sab kotahi se mu'aaf farmaya hai (is liye hame apne se kuch zada ibadat karne ka huqm farmaye) (ye sun kar) Aap naraz huye hat'ta ki narazgi Aap ke chehre mubark se zahir hone lagi fir farmaya ki Besaq! Mai tum sab se zyada Allah se darta hu aur tum sab se zyada ise janta hu (pas tum mujh se badh kar Allah ki ibadat nahi kar sakte) .

Sahih al-Bukhari,20  
Vol. 1, Book 2, Hadith 20.  

(14) BAAB: JO KUFR ME JANA IS TARAH NA PASAND KARTA HO JAISE AAG ME PHAINKA JANA, TO YE IMAN HY SE HAI.  

  
۝ Hazrat Anas r.a. se riwayat hai ki Rasool ﷺ ne farmaya, "Jis aadmi me teen baate hogi woh Emaan ka maza Paa lega, "Ek woh aadmi jise Allah aur uske Rasool puri dunya se zyada mahboob ho, aur dusri ye ki jo kisi bande se mahaz Allah hi ke liye mohabbat kare aur  teesri baat ye ki jise Allah ne kufr se nijaat di ho, fir dobara kufr ikhtiyar karne ko woh aisa bura samjhe jaisa aag me gir jane ko bura janta hai."  

Sahih al-Bukhari,21  
Vol. 1, Book 2, Hadith 21.  

  
(15) BAAB: AHLE E IMAAN KA A'AMAAL KE LIHAAZ SE EK DUSRE SE AFZAL HONA.  

  
۝ Hazrat Abu Sa'ed Khudri r.a. Rasool ﷺ se nakal karte hai ki Rasool ﷺ ne farmaya, "Jab jannati jannat mai aur dozakhi dozakh me dakhil ho jayenge, Allah paak farmayega jis ke Dil mai raai (mustard seed) ke dane ke barabar (bhi) Emaan ho, usko bhi dozakh se nikal lo, Tab (aise log) dozakh se nikale jayenge aur woh jal kar koyle ki tarah siyah ho chuke honge, Fir zindgi ki nehar me ya barish ke paani mai dale jayenge (yaha raawi ko saq ho gaya hai ki uper ke raavi ne konsa lafz istemaal kiya) is waqt woh daane ki tarah Ug (grow) aayenge jis tarah nadi ke kinare daane Ug aate hai. Kya tumne nahi dekha ke daana zardi bich dar bich nikalta hai. 

Sahih al-Bukhari,22  
Vol. 1, Book 2, Hadith 22.  

۝ Hazrat Sae'ed bin Khudri r.a. Rasool ﷺ se bayan karte hai ki Rasool ﷺ ne farmaya, "Mai ek waqt so raha tha, maine khwab mai dekha ki log mere samne pesh kiye jaa rahe hai aur woh kamiz pahne huye hai, kisi ka kamiz sine tak hai aur kisi ka usse niche hai (fir) mere samne Umar bin Khattab laye gaye un ((ke badan) par (jo) kamiz tha use woh ghaseet rahe the, (yani unka kameez zamin tak niche tha). Sahaba r.a. ne pucha Ya Rasool ﷺ ! Is ki kiya tabeer hai ? Rasool ﷺ ne farmaya ki (is se) Deen murad hai."  

Sahih al-Bukhari,23  
Vol. 1, Book 2, Hadith 23.  

  
(16) BAAB:HAYA JUZ E IMAAN HAI.  

  
۝ Hazrat Abdullah bin Umar r.a. farmate hai ki ek baar Rasool ﷺ ek ansari aadmi ke paas se guzre is haal me ki woh apne bhai se kah rahe the ki tum itni sharm kiyu karte ho. Rasool ﷺ ne is Ansari se farmaya ki usko uske haal par rahne do kiyu ki Haya bhi Emaan hi ka ek hissa hai."  

Sahih al-Bukhari,24  
Vol. 1, Book 2, Hadith 24.  

17. BAAB: (FARMAN ILAAHI KI WAZAHAT:)"FIR AGAR WO TAOBA KAREN NAMAZ QAYAM KAREN AUR ZAKAAT DEN TO INKA RAASTA CHHOR DO"

۞ Hazrat Abdullah Bin Umar r.a. Se Riwayat Hay, Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya:"Mujhe Huqm Mila Hay Ke May Logon Se Jang Jaari Rakhu Yaha Tak Ke Wo Is Baat Ki Shahadat De Ke "ALLAH KE SIWA KOI MABOOD HAQEEQI NAHI AUR HAZRAT MOHAMMAD ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ALLAH KE RASOOL HAY. Pure Adaab Se Namaz Adaa Kare Aur Zakaat De. Jab Wo Ye Karne Lage To Unhone Ne Apne Maal O Jaan Ko Mujhe Bacha Liya, Siway Haq Islam Ke Aur Inka. Hisaab Allah Je Zimme Hay."

Sahih al-Bukhari 25
Vol. 1, Book 2, Hadith 25.

18. BAAB: US SHAKHS KI DALIL JO KAHTA HAY IMAN AMAL HI KA NAAM HAY.

۞ Irshad Bari Tala Hay, Aur Ye Jannat Hay Jiske Tum Amal Ke Badle Waris Bane Ho. Nez Quran Majeed Me Hay: Qasam Hai Tere Rab Ki! Hum Inse Zarur Baz Paras Karnge Har Us Chiz Ki Jo Wo Karte Rahe.Is Ayat Ke Mutallik Aksar Ahle Ilm Kahte Hay Ki, Is Se Murad [La Ilaha Illallah] Ke Mutallik Sawal Hona Hay. Nez Irshad Bari Tala Hay "Aise Hi Kamiyabi Ke Liye Amal Karne Walo Ko Amal Karna Chahiye"

۞ Hazrat Abu Huraira r.a. Se Riwayat Hay, Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Se Daryaft Kiya Gaya Konsa Amal Afzal Hay? Aap Ne Farmaya:" Allah Aur Uske Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Par Iman Laana." Sawal Kiya Gaya: Fir Konsa? Farmaya:" Allah ki Raah me Jihaad karna." Pucha Gaya:"Fir Konsa? Farmaya:"Wo Hajj Jo Qubool Ho."

Sahih al-Bukhari 26
Vol. 1, Book 2, Hadith 26.

19. BAAB: AGAR ISLAM SE ISKI HAQEEQI(SHARAI) MAANI MURAD NA HO BALKE ZAHIRI ATAAT MURAD HO YA QATL KE KHAOF SE(KOI SHAKHS) MUSALMAN KAHELWAY(TO LUGHWI HAYSIYAT SE YE ITAAT DUROOST HAY).

۞ Hazrat Saad Bin Abi Waqas r.a. Ka Bayan Hay Ke, Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Chand Logo Ko Kuch Maal Diya Aur(Wo) Saad r.a. Saath Wahan Baithe The. Aap Ne Ek Shakhs Ko Chhor Diya Yaani Use Kuch Na Diya Haalanke Wo Tamam Logo Se Mujhe Zyada Pasand Tha. Mai Ne Kaha: Aye Allah Ke Rasool Aap Ne Fulaa Shakhs Ko Chhor Diya, Allah Ki Qasam! Mai To Ise Momin Samjhta Hun. Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Kaha : "(Momin) Ya Musalman" Mai Thori Der Khamosh Raha Fir Iske Mutallik Mai Jitna Jaanta Tha Isne Mujhe Bolne Pe Majboor Kiya, Maine Dobara Arz Kiya:" Aap Ne Fulaa Shakhs Ko Kyun Nazar Andaaz Kardiya? Allah Ki Qasam Mai To Ise Momin Khayal Karta Hun. Aap Ne Farmaya:"(Momin) Ya Musalman" Mai Fir Thori Der Chup Raha. Fir Iske Mutallik Janta Tha Usne Mujhe Majboor Kardiya. To maine Teesri
Martaba Wahi Arz Kiya Aur Allah Ke Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Bhi Wahi Farmaya. Iske Baad Aap Ne Kaha: Aye Saad! Mai Ek Shakhs Ko Kuch Deta Hun, Halanke Dusra Shakhs Mujhe Isse Zyada Maheboob Hota Hay. Ye Is Andeshe Ke Peshe Nazar Hay Ke Kahi Aisa Na Ho Ke(Wo Apni Kamzori Ki Waja Se Islam Se Fir Jaay Aur) Allah Tala Use Aondhe Muhh Dozakh Me Daal De."

Sahih al-Bukhari 27
Vol. 1, Book 2, Hadith 27

20. BAAB: SALAM KI ASHA'AT BHI ISLAM KA HISSA HAY.

۞ Hazrat Abdullah Bin Umar r.a. Se Riwayat Hay, Ek Shakhs Ne Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Se Daryaft Kiya: Konsa Islam Bahetar Hay? Aap Ne Farmaya:" Tum Khana Khilao, Sab Ko Salam Karo Khwah Use Tum Jante Ho Ya Na Jante Ho."

Sahih al-Bukhari 28
Vol. 1, Book 2, Hadith 28

21. BAAB: KHAWIND KI NASHUKRI BHI KUFR HAY, LEKIN KUFR KUFR ME FARK HAY.

۞ Hazrat Ibn e Abbas r.a. Se Riwayat hay, Unho Ne Kaha: Nabi Akram ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya:" May Maine Dozakh Dekhi To Wahan Aksar Aurten Thi(Kyun Ke) Wo Kufr Karti Hay." Logo Ne Kaha: Kya Wo Allah Ke Saath Kufr Karti Hay? Aap Ne Farmaya:" Nahi Balke Wo Apne Khawind Ka Kufr Karti Hay. Wo Yun Ke Agar Tu Saari Umar Aurton Ke Saath Achcha Sulook Kare, Fir Wo Mamuli Se (Nagawar) Baat Tujhme Dikhe. To Kahne Lagti Hay Ke Mujhe Tujhse Kabhi Aaraam Nahi Mila.

Sahih al-Bukhari 29
Vol. 1, Book 2, Hadith 29.

22. BAAB: GUNAH, JAHALAT KE KAAM HAY AUR INKA MURAKAB KAFIR NAHI HOTA, ALBATTA SHIRK KA MURTAKAB(YA KUFR KA MAATAKAD) ZARUR KAFIR HOJATA HAY.

۞ Hazrat Maaroor RH Bayan Karte Hay Ke Mai Rabzah(Jagah) Me Hazrat Abu Zar Gafari r.a. Se Mila, Dekha To Unhone Aur Inke Gulam Ne Ek Jaisa Joda Zeb Tan Kiya Hua Hay. Maine Inse Iske Babat Pucha To Unho Ne Faramaya: Maine Ek Shakhs Ko Bura Bhala Kaha Tha To Iski Maa Ki Yaad Dilaay. Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne(Ye Sunkar Farmaya) Farmaya:"Tune Ise Iski Maa Ki Yaad Dilaay Hay? Abhi Tak Tujhme Jahalat Ka Asar Baaki Hay. Tumhara Gulam Tumhara Bhai Hay.
Unhe Allah Tala Ne Tumhare Tasreef(Kabze) Me Rakha Hay, Chunancha Jis Shakhs Ka Bhai Iske Kabze Me Ho, Ise Chahiye Ke Use Wahi Khilaay Jo Khud Khata Ho Aur Use Wahi Libaas Pahnaay Jo Wo Khud Pahenta Ho. Aur Unse Wo Kaam Na Lo Jo Inki Taakat Se Zyada Ho. Aur Aise Kaam Ki Zahemat Do To Khud Bhi Aise Kaam Me Haath Bithaao."

Sahih al-Bukhari 30
Vol. 1, Book 2, Hadith 30

BAAB: "AUR AGAR AHLE IMAN ME SE DO(2) GROH APAS ME KATAL KARE TO INKE DARMIYAAN SULAAH KARWADO."
US MUQAAM PAR ALLAH TALA NE JUNG O KATAL KE BAWAJUD DONO GROHO KE LIYE LAFZ MOMIN ISTEMAAL FARMAYA HAY.

۞ Hanif Bin Qasim Ka Bayan Hay Ke May Us Shakhs(Hazrat Ali) Ki Madad Ke Liye Chala. Raste Me Mujhe Abu Bakar r.a. Mile. Unho Ne Pucha: Kaha Ka Irada Hay? Maine Kaha: Mera Irada Us Shakhs Ki Madad Karne Ka Hay.Unhone Farmaya: Wapas Ho Jao, Maine Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ko Ye Farmate Huy Suna Hay:" Jab Do Musalman Apni Apni Talware Le Kar Aapas Me Lad Pade To Kaatil Aur Maktool Dono Jahannami Hay." Maine Arz Kiya: Aye Allah Ke Rasool! Ye To Jaatil Hay(Iska Jahannami Hona Samjh Me Aata Hay) Lekin Maktool Ka Kya Jurm Hay? Aap Ne Farmaya:" Iski Khwahish Bhi Dosre Saathi Ko Katal Karne Ki Thi."

Sahih al-Bukhari 31
Vol. 1, Book 2, Hadith 31.

23. BAAB: EK ZULM JA DUSRE ZULM SE KAMTAR HONA.

۞ Hazrat Abdullah Bin Masood r.a. Farmate Hay: Jab Ye Ayat Utri: Jo Log Iman Laay Aur Unhone Iman Ko Zulm Ke Saath Aaluda Nahi Kiya Wahi Log Hay Jinke Liye Aman Hay Aur Wahi Hidayat Yafta Hay. " To Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ke Sahaba e Kram r.a. Ne Kaha: (Aye Allah Ke Rasool!) Hum Me Se Kon Aisa Hay Jisne Zulm Nahi Kiya? Tab Allah Tala Ne Ye Ayat Utaari:"Beshak Shirk Zulm e Azim Hay."

Sahih al-Bukhari 32
Vol. 1, Book 2, Hadith 32.

24. BAAB: MUNAFIK KI NISHANIYAN.

۞ Hazrat Abu Huraira r.a. Se Riwayat Hay, Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya:"Munafik Ki Teen(3) Nishaniyan Hay: Jab Baat Kahe To Jhoot Bole, Jab Wada Kare To Khilaaf Warzi Kare Aur Jab Iske Pass Amanat Rakhi Jaay To Khayanat Kare."

Sahih al-Bukhari 33
Vol. 1, Book 2, Hadith 33.

۞ Hazrat Abdullah Bin Umar r.a. Se Riwayat Hay, Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya:"Chaar(4) Baaten Jisme Hongi Wo Khalis Munafiq Hoga Aur Jisme Inme Se Koi Ek Bhi Hogi, Isme Nafak Khaslat Hogi Yaha Tak Ke Wo Use Tark Karde:" Jab Iske Pass Amanat Rakhi Jaay To Khayanat Kare, Jab Baat Kahe To Jhoot Bole, Jab Ahad Kare To Daga Bazi Kare Aur Jhagde To Behuda Bakwas Kare."

Sahih al-Bukhari 34
Vol. 1, Book 2, Hadith 34

25. BAAB: SHAB E QADR KA QAYAM BHI JUZ V IMAN HAY.

۞ Hazrat Abu Huraira r.a. Se Riwayat Hay, Unho Ne Kaha: Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya:"Jo Shakhs Iman Ka Takaza Samjh Kar Sawab Ki Niyyat Se Shab e Qadr Ka Qayam Karega, Iske Sabqa Gunah Bakhsh Diye Jaaynge."

Sahih al-Bukhari 35
Vol. 1, Book 2, Hadith 35

26. BAAB: JIHAAD IMAN KA HISSA HAY.

۞ Hazrat Abu Huraira r.a. Riwayat Karte Hay, Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya:" Allah Tala Us Shakhs Ki Zimmedari Leta Hay Jo Iski Raah Me(Jihad Ke Liye) Nikle. Ise Ghar Se Sirf Is Baat Ne Nikala Ke Wo Mujh(Allah) Par Iman Rakhta Hay, Aur Mere Rasoolon Ki Tasdeeq Karta Hay. To Mai Ise Is Sawab Ya Maal e Ganimat Ke Saath Wapas Karunga Jo Isne Jihaad Me Paaya, Ya Ise(Shahid Bana Kar) Jannat Me Dakhil Karunga. Aur Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya:" Agar Mai Apni Ummat Ke Liye Dushwar Na Samajhta To Kabhi Chhote Se Chhote Lashker Se Bhi Piche Na Baith Raheta. Aur Meri Ye Arzu Hay Ke Allah Ki Raah Me Maara Jaun, Fir Zinda Kiya Jaun, Fir Maara Jaun, Fir Zinda Kiya Jaun, Fir Maara Jaun."

Sahih al-Bukhari 36
Vol. 1, Book 2, Hadith 36

27. BAAB: RAMZAN ME TARWEEH PADHNA BHI IMAN KA HISSA HAY.

۞ Hazrat Abu Huraira r.a. Se Riwayat Hay, Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya:" Jo Shakhs Ramzan Me Imaandaar Ho Kar Hasool e Sawab Raat Ke Waqt Qayam Karega To Uske Saabikah Gunah Maaf Kardiye Jaaynge."

Sahih al-Bukhari 37
Vol. 1, Book 2, Hadith 37

28. BAAB: SAWAB KI NIYYAT SE RAMZAN KE ROZE RAKHNA IMAN KA HISSA HAY.

۞ Hazrat Abu Huraira r.a. Se Riwayat Hay Ke Unho Ne Kaha, Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya:" Jis Shakhs Ne Apne Iman Ke Peshe Nazar Hasool E Sawab Ke Liye Mahe Ramzan Ke Roze Rakhe Is Ke Taman Guzishta Gunah Bakhsh Diye Jaaynge."

Sahih al-Bukhari 38
Vol. 1, Book 2, Hadith 38

29. BAAB: DEEN ASAAN HAY.

۞ Hazrat Abu Huraira r.a. Se Riwayat Hay, Nabi Ѕαℓℓαℓℓαнυ Αℓαyнє Ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya: "Beshak Deen Aasaan Hai. Aur Jo Shakhs Deen Me Sakhti Karega To Deen Ispar Gaalib Ajaayga. Toh Shiddat Pasand (Extremists) Mat Bano Lekin Koshish Karo Ki Takmeel (Perfection) Ke Kareeb Raho Aur Khush Raho Aur Subha Aur Dopaher Aur Raat Ke Aakhri Hisse Me Ibadat Karke (Allah Se) Se Madad Haasil Karo."

Sahih al-Bukhari 39
Vol. 1, Book 2, Hadith 39

30. BAAB: NAMAZ BHI IMAAN KA JUZZ HAY.

۞ Hazrat Baraa Bin Aazab r.a. Se Riwayat Hay Ke Nabi sαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Jab (Hijrat Karke) Madina Tashreef Laay To Pahle Aapne Nanihaal Me Utre, Jo Ansaar Se The, Aur (Madine Me) Solah(16) Ya Satrah(17) Mahine Bait Ul Muqaddas Ki Tarf Muh Karke Namaz Padhte Rahe. Albatta Ap Chahte The Ke Aap Ka Qibla Kaabe Ki Taraf Hojay (Chunancha Hogaya), Aur Pahli Namaz Aapne (Kaabe Ki Tarf) Padhi, Wo Asar Ki Namaz Thi Aur Aapke Humraah Kuch Aur Log Bhi The. Fir Inme Se Ek Shakhs Nikla Aur Kisi Masjid Walon Ke Pass Se Is ka Guzar Hua, (Wo Bait Ul Muqaddas Ki Taraf Muhh Kiye Huy) Ruku Ki Haalat Me The Fir Isne Kaha: May Allah Ko Gawah Bana Ke Kahta Hun Ke Maine Rasool Allah sαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ke Humraah Makke Ki Taraf Namaz Padhi Ye Sunte Hi Wo Log Jis Halat Me The Usi Halat Me Bait Ullah Ki Taraf Firgaye. Aur Jab Aap Bait Ul Muqaddas Ki Taraf Muhh Karke Namaz Padhte The To Yahoodi Aur Doosre Ahle Kitab(Nasara) Bahot Khush Hote The Lekin Jab Aapne Ne Apna Muhh Bait Ullah Ki Taraf Fer Liye To Ye Unhe Bahot Nagawar Guzra.

Sahih al-Bukhari 40
Vol. 1, Book 2, Hadith 40

31. BAAB: AADMI KE ISLAM KI KHUBI.

۞ Hazrat Abu Said Khudri r.a. Se Riwayat Hay , Unho Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Se Suna Aap Farma Rahe The :"Jab Koi Banda Musalman Ho Jata hay, Fir Islam Par Achchi Tarh Karband Rahta Hay To Allah Tala Uske Tamam Gunahon Ko Maaf Kardete Hay. Jo Islam Laane Se Pahle Kiye The. Aur Iske Baad Qasaas Ka Usool Chalta Hay. Ke Ek Neki Ke Badla Das(10) Gunah Se Lekar Saat Sao(700) Gunah Tak Diya Jaata Hay. Aur Burai Ka Badla To Burai Ke Mutabik Hi Diya Jaata Hay. Magar Ye Allah Tala Isse Darguzar Farmaye."

Sahih al-Bukhari 41
Vol. 1, Book 2, Hadith 41

۞ Hazrat Abu Huraira r.a. Se Riwayat Hay, Unhone Kaha: Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya:"Jab Tum Me Se Koi Apne Islam Ko Achcha Kare To Har Achchai Jis Ko Bajaa Lega, Das(10) Guhan Se Saat Sao(700) Gunah Tak Likhi Jaaygi Aur Har Wo Bura Kaam Jo Karta Hay Wo Utna Hi Likha Jaayga(Jitna Usne Kiya Hay)."

Sahih al-Bukhari 42
Vol. 1, Book 2, Hadith 42

32. BAAB: ALLAH TALA KO DEEN(KA) WO(AMAL)BAHOT PASAND HAY JO HUMESHA KIYA JAAY.

۞ Hazrat Aisha r.a. Se Riwayat Hay, Nabi Akram sαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ek Martaba Inke Pass Tashreef Laay, Wahan Ek Aurat Baithi Hui Thi, Aap Ne Pucha: "Ye Kon Hay?" Hazrat Aisha r.a. Ne Kaha:" Fala Aurat Hay Aur Iski (Kasrat) Namaz Ka Haal bayan Karne Lagi. Aap Ne Farmaya:"Ruk Jao! Tum Apne Zimme Sirf Wahi Kaam Lo Jo(Humesha) Karsakte Ho. Allah Ki Qasam! Allah Tala Sawab Dene Se Nahi Uktata Tum Hi Ibadat Karne Se Thak Jaoge. Aur Allah Tala Ko Sab Se Zyada Maheboob, Wo Kaam Hay Jiska Karna Wala Ispar Humeshgi Kare."

Sahih al-Bukhari 43
Vol. 1, Book 2, Hadith 43

33. BAAB: IMAAN ME KAMI BESHI KA BAYAN.

۞ Hazrat Anas r.a. Se Riwayat Hay, Wo Nabi Akram sαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Se Bayan Karte Hay, Aap Ne Farmaya:"Jisne LA ILAHA ILLALLAH Kaha Aur Iske Dil Me Ek Jao Ke Barabar Neki(Iman) Ho, Wo Dozakh Se Zarur Niklega. Aur Jisne LA ILAHA ILLALLAH Kaha Aur Iske Dil Me Ek Zarra Barbar Neki(Iman) Ho, Wo Bhi Dozakh Se (Zarur) Niklega."

Hazrat Imam Abu Abdullah Bukhari RH Farmate Hay:"Aban Ne Bariwayat Katada Bawastah Hazrat Anas r.a. Se Nabi sαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Se Lafz "Khair" Ki Jagah "Iman" Ka Lafz Nakal Kiya Hay

Sahih al-Bukhari 44
Vol. 1, Book 2, Hadith 44

۞ Hazrat Umar Bin Khattab r.a. Se Riwayat Hay, Ek Yahoodi Ne In Se Kaha: Aye Amir Ul Momineen! Tumhari Kitab(Quran) Me Ek Aisi Ayat Hay Jise Tum Padhte Rahte Ho, Agar Wo Ayat Hum Yahood Par Nazil Hoti To Hum Is Deen Ko Eid Ka Deen Tahera Lete. Hazrat Umar r.a. Ne Kaha Wo Konsi Ayat Hay? Yahood Bola Ye Ayat: "Aaj Maine Tumhare Liye Tumhara Deen Kamil Kardiya Aur Tum Par Apni Niyamat Puri Kardi Aur Deen e Islam Ko Tumhare Liye Pasand Karliya." Hazrat Umar r.a. Ne Kaha:"Hum Us Din Aur Us Muqaam ko Jante Hay Jis Me Ye Ayat Nabi sαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Par Nazil Hui. Ye Ayat Jume Ke Deen Utri Jab Aap Arfaat Me Khade The.

Sahih al-Bukhari 45
Vol. 1, Book 2, Hadith 45

34. BAAB: ZAKAAT ISLMAN KA HISSA (RUKN) HAY.

۞ Hazrat Talha Bin Abdullah r.a. Ka Bayan Hay Ke Ahle Najd Se Ek Shakhs Pura Ganda Mu(Baal) Rasool Allah sαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ke Pass Aya. Hum Iski Awaz Ki Gun Gunahat Sun Rahe The Magar Ye Na Samjhe ke kya Kahta Hay Taake Wo Nazdeek Aaphuncha. Rasool Allah sαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya:"Deen Raat me Panch(5) Namze Hay." Is Ne Kaha: Inke Ilawa Bhi Mujh Par Koi Namaz Farz Hay? Aap Ne Farmaya:
"Nahi Magar Ye Ke Tu Apni Khushi Se Padhe."(Fir) Rasool Allah sαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya :"Aur Ramzan Ke Roze Rakhna." Is Ne Arz Kiya:"Aur To Koi Roza Mujh Par Farz To Nahi? Aap Ne Farmaya:"Nahi, Magar Ye Ke Tu Apni Khushi Se Rakhe." Hazrat Talha Kahte Hay:" Rasool Allah sαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Isse Zakat Ka Bhi Zikr Kiya. Isne Kaha Mujh Par Is Ke Ilawa(Koi Aur Sadqa Bhi) Farz Hay? Aap Ne Farmaya:"Nahi Magar Ye Ke Tu Apni Khushi Se Dede." Hazrat Talha Ne Kaha: Fir Wo Shakhs Ye Kahta Hua Piche Hata: Allah Ki Qasam! Mai isse Zyada Ya Kam Nahi Karunga. Rasool Allah sαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya:"Agar Ye Sach Kahe Raha Hay To Kamiyab Hogaya."

Sahih al-Bukhari 46
Vol. 1, Book 2, Hadith 46

35. BAAB: JANAZE KE SAATH JAANA IMAAN KA HISSA HAY.

۞ Hazrat Abu Huraira r.a. Se Riwayat Hay ,Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya:"Jo Koi Imandar Hokar Hasool Sawab Ki Niyyat Se Kisi Musalman Ke Janaze Ke Saath Jaay Aur Namaz Aur Dafan Se Farig Hone Tak Is Ke Saath Rahe To Wo Do(2) Qiraat Sawab Lekar Wapas Aata Hay. Har Qiraat Uhud Pahad Ke Barabar Hay. Aur Jo Shakhs Janaza Padhkar Dafan Se Pahle Laot Aye To Wo Ek Kiraat Sawab Le Kar Laotta Hay."
Usman Al-Muzan(Rawi) Ne Aof Se Bayan Karne Me Rawah(Rawi) Ki Mutabiaat Ki Hay, Chunancha Inse Kaha: Hume Aof Ne Mohammad Se, Unho Ne Hazrat Abu Huraira Se, Unho Ne Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Se Isi Ki Tarah Bayan Kiya.

Sahih al-Bukhari 47
Vol. 1, Book 2, Hadith 47

36. BAAB: MOMIN KO DARNA CHAHIYE KE KAHIN ISKE AAMAAL NE KHABRI ME ZAAY NA HOJAAU.

Hazrat Ibrahim Taimi Kahte Hay: Jab Bhi Maine Apne Qaol o Fel Ka Takabul Kiya Khatra Lahak Hua Ke Kahi Meri Taqzeeb Na Kardi Jaay. Aur Ibn Abi Malika Ne Kaha: Meri Mulaqat Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ke Tees(30) Sahaba Se Hui hay. Inne Se Har Ek Ko Apne Mutallik Nafaq Ka Andesha Tha. Inme Se Koi Ye Na Kaheta Ke Mera Iman Jibrail ya Mikail Jaisa Hay. Husn Basri Se Manqol Hay Ke Munafiq Se Momin Ke Ilawa Aur Koi Befikr Nahi Hota. Is Baab Me Bahmi Jung w Jadal Aur Gunaho Par Asrar, Nez Toba Na Karne Se Bhi Daraya Gaya Hay.
Kyuke Irshad Bari Tala Hay." Momin Momin Danistah Apne Gunaho Par Israar Nahi Karta."

۞ Zabid Bin Haaris Se Riwayat Hay, Unhone Kaha: Maine Hazrat Abu Dail Se Marjiya Ke Mutallik Daryaft Kiya( Ke In Ka Aqida Hay Ke Gunah Se Admi Faasiq Nahi Hota) Unho Ne Is Ke Jawab Me Hazrat Abdullah Bin Masood r.a. Ki Riwayat Pesh Ki Nahi Akram ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya:" Musalman Ko Gaali Dena Fasik Aur Isse Ladna Kufr Hay."

Sahih al-Bukhari 48
Vol. 1, Book 2, Hadith 48

۞ Hazrat Ubaadah Bin Samit r.a. Se Riwayat Hay, Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ek Dafa Shab e Qadr Batane Ke Liye (Apne Hujre Se) Nikle. Itne Me Do(2) Musalman Apas Me Jhagad Rahe The. Aap Ne Farmaya:"Mai To Is Liye Bahar Nikla Tha Ke Tumhe Shab e Qadr Batau, Magar Fala Fala Admi Jhagad Pade, Is Liye Wo(Mere Dil Se) Uthai(Bhulai) Di Gai, Shayad Yahi Tumhare Haq Me Mufid Ho. Ab Tum Shab e Qadr Ko Ramzan Ki Sattaiswi(27), Untiswi(29) Aur Pachiswi(25) Raat Me Talash Karo."

Sahih al-Bukhari 49
Vol. 1, Book 2, Hadith 49

37. BAAB: HAZRAT JIBRAIL KA NABI ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм SE IMAAN, ISLAM, EHSAAN AUR QAYAMAT KE ILM KE MUTALLIK DARYAFT KARNA.

Fir Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ka Jibrail Ke Liye In Umur Ko Bayan Farmana. Fir Aap Ne Faramay:"Hazrat Jibrail A.S Tumhe, Tumhara deen Sikhane Ke Liye Aye The." Is Muqam Par Aap Ne In Tamam Chizo Ko Deen Shumar Farmaya, Nez In Baton Ke Bayan Me Jo Rasool Allah Ne Wafad Abdul Qays Ke Samne Bayan Farmai Thi Aur Irshad Bari Tala Hay:" Jo Islam Ke Ilawa Koi Aur Deen Ikhtiyaar Karega, Wo Isse Hargiz Qubool Nahi Kiya Jaayga."

۞ Hazrat Abu Huraira r.a. Se Riwayat Hay, Nabi Akram ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Logo Ke Saamne Tashrif Farma The. Ke Achchanak Ek Shakhs Aapki Khidmat Me Hazir Hua. Aur Puchne Laga:"Iman Kya Hay?" Aap Ne Farmaya:" Iman Ye Hay Ke Tum Allah Par, Aur Uske Farishton Par Aur Roz e Hashar Allah Ke Huzur Pesh Hone Par Aur Allah ke Rasoolon Par Iman Lao Aur Qayamat Ka Yaqeen Karo." Isne Mazeed Sawal Kiya: Islam Kya Hai? Aap Ne Farmaya:" Islam Ye Hay Ke Tum Mahez Allah Ki Ibadat Karo Aur Uske Saath Kisi Ko Shareek Na Banao. Namaz Thik Taor Pe Ada Karo Aur Farz Zakat Ada Karo Aur Ramzan Ke Roze Rakho." Fir Isne Pucha: Ehsaan Kya Hay? Aap Ne Farmaya:"Ehsaan Ye Hay Ke Tum Allah Ki Ibadat Istarh Karo Goya Tum Use Dekh Rahe Ho, Agar Tum Use Nahi Dekh Rahe Ho To Wo To Tumhe Dekh Raha Hay." Isne Kaha: Qayamat Kab Barpa Hogi? Aap Ne Farmaya:" Jis Se Sawal Kiya Gaya Wo Bhi Sawal Karne Wale Se Zyada Nahi Jaanta, Albatta May Tumhe Qayamat Barpa Hone Ki Kuch Nishaniya Bata Deta Hun: Jab Laondi Apni Malika Ko Janegi Aur Jab Siyah Unto Ke Charane Wale (Deehati Log Tarakki Karte Karte) Maqanat Ki Taamir Me Ek Dosre Se Bazi Lejaynge(To Qayamat Karib Hongi). Darasal Qayamat In Paanch Baato Me Se Hay Jinko Allah Ke Siwa Aur Koi Nahi
Jaanta. Fir Aapne Ye Ayat Tilawat Farmai:" Beshak Allah Hi Ko Qayamat Ka Ilm Hay.." Iske Baad Wo Shakhs Wapas Chala Gaya, To Apne Farmaya:" Ise Mere Pass Laao." Chunancha Logo Ne Ise Talash Kiya Lekin Uska Koi Suraag Na Mila To Aap Ne Faramaya: "Ye Jibrail The Jo Logo Ko Unka Deen Sikhane Aay The."
Abu Abdullah(Imam Bukhari RH) Ne Kaha:"Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne In Tamam Chizo Ko Iman Karar Diya Hay.

Sahih al-Bukhari 50
Vol. 1, Book 2, Hadith 50

38. BAAB: (BILA UNWAN)

۞ Hazrat Abdullah Ibn e Abbas Kahte Hay:" Mujhe Abu Sufiyan Ne Bataya Ke Heraclius Ne In Se Ye Kaha: Mai Ne Tumse Daryaft Kiya Tha Ke Iske Pair o Kaar Tarakki Pazir Hay Ya Roba Inhetat? To Tum Ne Bataya Ke Wo Deen Ba-Deen Zyada Hote Jarahe Hay. Yaqinan Iman Ka Mamla Isi Tarh Hota Hay. Take Wo Paaya Taqmeel Ko Pahunch Jaay. Fir Maine Tumse Pucha: Iske Tabain Me Se Koi Deen Me Dakhil Hone Ke Baad Use Bura Samjhte Huy Murtad Bhi Hojata Hay? To Tumne Jawab Diya: Nahi. Aur Iman Ka Yahi Haal Hay Jab Iski Bashasht Dilo Me Saraiyat Karjaati Hay , To Fir Koi Shakhs Isse Naraz Nahi Hota.

Sahih al-Bukhari 51
Vol. 1, Book 2, Hadith 51

39. BAAB: APNE DEEN KI KHATIR GUNAHO SE ALAG HOJANE WALE KI FAZILAT.

۞ Hazrat Namaan Bin Basheer r.a. Se Riwayat Hay. Unhone Kaha: Maine Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Se Suna, Aap Farmarahe The:" Halal Zaheer Hay Aur Haram Bhi Zaheer Hay Aur Dono Ke Darmiyan Kuch Mushtabah Chize Hay Jinhe Aksar Loog Nahi Jaante, Chunancha Jo Shakhs In Mushtabah Chizo Se Bach Gaya Isne Apne Deen Aur Apni Abru Ko Bacha Liya Aur Jo Koi In Mushtabah Chizo
Me Mubtila Hogaya Is Ki Misaal Us Charwahe Kisi Hay Jo Shahi Chiragah Ke Aas Pas(Apne Janwaro Ko) Charay. Karib Hay Ke Chargah Ke Andar Uska Janwar Ghus Jaay. Aagah Raho Ke Har Badaha Ki Ek Charagah Hoti Hay. Khabardaar! Allah Ki Charagah Iski Zameen Me Haram Kardah Chize Hay. Sunlo! Badan Badan Me Ek Tukra(Gosht Ka) Hay, Jab Wo Sawar Jaata Hay To Saara Badan Sawar Jaata Hay Aur Jab Wo Bigad Jaata Hay To Saara Badan Kharab Hojata Hay. Aagah Raho! Wo Tukra Q Dil Hay."

Sahih al-Bukhari 52
Vol. 1, Book 2, Hadith 52

40. BAAB: KHAMS KA ADA KARNA JUZ WA IMAN HAY.

۞ Hazrat Abu Huraira Se Riwayat Hay, Unhone Kaha: May Hazrat Ibn e Abbas r.a. Ne Pas Baytha Karta Tha. Wo Mujhe Khas Apne Takht Par Bithate. Ek Dafa Kahne Lage: Tum Mere Pas Kuch Roz Aqamat Karo, Mai Tumahare Liye Apne Maal Me Se Kuch Hisaa Mukarrar Kardunga. To May Inke Han Do Mahine Tak Aqamat Pazeer Raha. Fir Unhone Farmaya: Jab Wafad Abdul Qays Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Je Pas Aye To Aapne Faramaya:"Ye Kon Log Hay Aur Konse Numainde Hay?" Unhone Kaha Hum Khandan
Rabia Ke Log Hay. Aap Ne Farmaya:"Tum Aaram Ki Jagah Aay Ho Na Zaleel Hoge Aur Na Sharmindah!" Fir Inlogo Ne Arz Kiya: Aye Allah Ke Rasool Hum Maah Haram Ke Ilawa Dusre Dino Me Aap Ke Pas Nahi Asakte Kyunke Humare Aur Aapke Darmiyan Kaafir Mazar Ka Qabila Hay Rahta Hay, Lihaaza Aap Khulase Ke Taor Par Hume Koi Aisi Baat Bataden Ke Hum Piche Walo Ko Iski Italla Karde Aur Hum Sab Is(Par Amal Karne) Se Jannat Me Dakhil Hojay. Aur Unho Ne Aapse Mashrubaat Ke Mutallik Bhi Pucha Tp Aap Ne Inhe Char(4) Baaten Ka Huqm Diya Aur Char(4) Baaton Se Mana Kiya: Aap Ne Inhe Ek Allah Par Iman
Laane Ka Huqm Diya. Fir Aapne Farmaya:"Tum Jante Ho, Akele Allah Par Iman Laana Kya hay?" Unho Ne Kaha: Allah Aur Uske Rasool Hi Khoob Waqif Hay. Aap Ne Farmaya:"Is Baat Ji Gawahi Dena Ke Allah Ke Siwa Aur Koi Ibadat Ke Layk Nahi Aur Hazrat Mohammad ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Iske Rasool Hay. Namaz Thik Tarike Se Ada Karna, Zakat Dena, Ramzan Ke Roze Rakhna, Aur Maal e Ganimat Se Paanchwa(5wa) Hissa Ada Karna." Aur (Sharab Shazi Ke) Char Bartano, Yaani Bade Matko, Karu Se Tayar Karda Pyalo, Lakdi Se Tarashe Huy Lagan Aur Taar Kol Se Range Huy Rogni Bartano Se Inhe Mana Kiya. Fir Aapne Farmaya:" Inbaton Ko Yaad Rakho Aur Apne Walo Ko Inse Mutla kardo."

Sahih al-Bukhari 53
Vol. 1, Book 2, Hadith 53

41. BAAB: AMAAL KA MADAR NIYYAT AUR EHTASAAB PAR HAY.

۞ Hazrat Umar r.a. Se Riwayat Hay, Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya:" Amaal Ka Madar Niyyat Par Hay. Har Insan Ko Wahi Milega Jo Isne Niyyat Ki. Agar Koi Apna Watan Allah Aur Uske Rasool Ke Liye Chhorta Hay To Uski Hijrat Allah Aur Uske Rasool Ke Liye Hogi. Agar Kisi Ki Hijrat Duniya Haseel Karne Ke Liye Hay Ya Kisi Aurat Se Shaadi Rachane Ke Liye Hay To Uski Hijrat Usi Kaam Ke Liye Hogi Jiske Liye Usne Hijrat Ki Hay."

Sahih al-Bukhari 54
Vol. 1, Book 2, Hadith 54

۞ Hazrat Abu Masood r.a. Se Riwayat Hay, Wo Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Se Bayan Karte Hay, Aap Ne Farmaya:"Jab Mard Apne Ahel O Ayyal Par Sawab Ki Niyyat Se Kharch Karta Hay To Wo Iske Haq Me Sadqa Ban Jaata Hay."

Sahih al-Bukhari 55
Vol. 1, Book 2, Hadith 55

۞ Hazrat Saad Bin Abi Waqas r.a. Se Riwayat Hay, Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya:" Tumhe Is Nukte Par Zarur Ajr Diya Jayga Jis Se Tumhara Maqsad Allah Ki Raza Ko Hasil Karne Ka Ho Hatta Ke Us Lukme Par Bhi Jo Tum Apni Biwi Ke Muh Me Daalo."

Sahih al-Bukhari 56
Vol. 1, Book 2, Hadith 56

42. BAAB: NABI AKRAM ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм KA FARMAN HAY:"DEEN KHAYR KHWAHI KA NAAM HAY. YE KHAYR KHWAHI ALLAH, ALLAH ISKE RASOOL, AHLE ISLAM HUKMARANO AUR MUSALMANO KE SAATH HONI CHAHIYE."

Irshad Bari Tala Hay:" Jab Allah Aur Uske Rasool Ke Saath Khayr Khwahi Ka Talluq Rakhe"

۞ Hazrat Jabir Bin Abdullah Aljabi r.a. Se Riwayat Hay, Unho Ne Kaha: Maine Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Se Namaz Padhne, Zakat Dene, Aur Har Musalman Se Khayr Khwahi Karne(Ke Iqrar) Pe Bait Ki.

Sahih al-Bukhari 57
Vol. 1, Book 2, Hadith 57

۞ Ziyad Bin Alaaqah Se Riwayat Hay, Unho Ne Kaha: May Ne Hazrat Jabir Bin Abdulla Aljabi r.a. Se Suna, Jis Din Hazrat Mageer Bin Shayba r.a. Ki Wafaat Hui To Wo Khutbe Ke Liye Khade Ho Gaye, Allah Ki Hamd O Sana Ki Aur Kaha: Tumhe Sirf Ek Allah Se Darna Chahiye Jis Ka Koi Shareek Nahi, Nez Tumhe Dosre Amir Ke Aane Tak Tahmil W Itminan Se Rahna Chahiye, Bas Wo Ankareeb Hi Aajaynge. Fir Farmaya: Apne Amir Ke Liye Dua E Magfirat Karo Kyunke Wo Khud Bhi Maaf Karne Ko Pasand Karta Tha. Fir Kaha: Tumhe Maalum Hona Chahiye Ke May Ek Dafa Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ki Khidmat Me Haazir Hua Aur Arz Ki: Aye Allah Ke Rasool! May Aapse Islam Par Bait Karna Chahta Hun To Aapne Mujhse Har Musalman Se Khayr Khwah Karne Ka Ahad Liya, Fir Isi Shart Par May Ne Aapse Bait Karli. Mujhe Masjid Ke Rab Ki Qasam! May Tumhara Khayr Khwah Hun. Fir Apne Astagfaar Kiya Aur Membar Se Utar Aay.

Sahih al-Bukhari 58
Vol. 1, Book 2, Hadith 58.

leafy_divider-iloveimg-compressed

 

Post a Comment