Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

KITAB al EIDAIN


Bab no : 1
Edain aur inme zeb wa zeenat ka bayan :

Hazrat Abdullah bin Umar Radi Allah Tala ‘Anhu se riwayat hai inhone Farmaya ke Hazrat Umar Radi Allah Tala ‘Anhu ne ek reshmi jubba liya Jo bazar me farokht ho raha tha phir ise le kar Rasool ﷺ ki khedmat me hazeer huwe arz kiya, Allah ke Rasool ! Aap ise khreed le ta ke eid ke din aur wafud ki aamad ke waqt zeb tan farma kar khud ko aarasta kiya kare, Aap ﷺ ne farmaya " ye to in logo ka lebas hai jinka Akherat me koi hessa nahe " Hazrat Umar Radi Allah Tala ‘Anhu jis qadar Allah ko manzur tha tahre rahe phir Rasool ﷺ ne inke paas ek reshmi jubba bheja phir Hazrat Umar Radi Allah Tala ‘Anhu ise lekar Aap ﷺ ki khedmat me haazer huwe aur arz kiya " ya Rasool Allah ﷺ aap ne to Farmaya tha ke " ye in logo libas hai jin ka Akhirat me koi hessa nahe hai " iske bawajood aap ne jubba mere ha bhej diya ? Rasool ﷺ ne Hazrat Umar Radi Allah Tala ‘Anhu se farmaya " ise farokht kar ke apne koi zaroorat pure kar lo ".

Sahih al Bukhari
Vol :1 Book : 13 Hadees : 948

Baab no : 2

Eid ke din barchiyo aur dhalo se jihaadi mashk Karna :

Hazrat Ayesha r.a. se riwayat h inhone farmaya ke rasool ﷺ mere ha tashreef laye is waqt mere paas 2 ladkiya Bethe Jung e b'aas ke geet ga rahe the, Aap chera Mubarak dusre taraf pher kar let Gaye, ithne me Abu Baqar siddique r.a. tashreef laye, unhone mujhe dant' te huwe kaha ke rasool ﷺ ke paas ye shetani aawaze cha Mani dard? Is par Rasool ﷺ inke taraf mutwajja ho kar farmaya : " inhe inke haal par chodh do " jab Abu Baqar siddique r.a. ne tawajja bataye to Maine in ladkiyo ko ishara kiya chunancha wo waha se chale gaye.

Sahih al Bukhari :
Bol :1 Book : 13 Hadees : 949

 Hazrat Ayesha r.a. se he riwayat hai ke inhone Farmaya ke ) Chun ke wo eid ka din tha isliye Habshi dhalo aur barcheyo se Khel rahe the, Maine Rasool ﷺ se darkhost ki ya Aap ne khood Farmaya : " kya tum ye Khel dekhna chahti ho ? Maine ha me jawab diya to aap ne mujhe apne piche khdaha kiya mera rukhsar aap ke dosh par tha, aap ne farmaya : " aye banu arfada ! Apna kaam jari rakho, yaha tak ke jab me ugta Gaye tab aap ne mujh se farmaya : " bas tujhe kafe hai " Maine kaha je ha, Ab chle jao.

Sahih al Bukhari :
Bol :1 Book : 13 Hadees : 950

Hazrat Bara Bin Azeeb r.a. se riwayat hai inhone kaha ke Maine Nabi ﷺ se suna, Aap ﷺ ne farmaya : " Sab se pahle cheez jis se ham aaj ke din ka ham aazad kare wo hamara namaz padhna hai, phir Ghar ja kar qurbani Karna hai, jisne istarha kiya isne sunnat ko pa liya ".

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 13 : Hadees : 951

Hazrat Ayeshaa r.a. se riwayat hai ke unhone Farmata : Hazrat Abu Baqar r.a. mere paas us waqt tashreef laye jab Ansar ki 2 bachiya wo sher ga rahe the Jo Ansar ne Jung Ba'as ke moqe par ek dusre ke Mutalliq padhe the, Hazrat Ayesha r.a. ne wazahat ki ke wo bachiya maroof gulu ka-rayee na the, Hazrat Abu Baqar r.a. ne ye dekh kar farmaya : ye shetani saaz Rasool ﷺ ke Ghar me maujood hai, ba'as tajjub hai. Ye waqeya eid ke din ka hai, Rasool ﷺ ne farmaya : Aye Abu Baqar r.a. har Kom ke liye eid hoti hai ( jis din wo khushya manate hai ) ye hamara eid ka din hai. ( isliye inhe khushiya manane do )

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 13 : Hadees : 952

Baab : 4
Eidul Fitar ke din eidgah me Jane se qabal kuch khana :

Hazrat Anas bin Malik se riwayat hai inhone farmaya ke rasool ﷺ Eidul Fitar ke din jab tak chnd khjoore tanaool na farma lete namaz ke liye na jate the.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 13 : Hadees : 953

Baab : 5
Eidul Azha KE din Khane ka bayan :

Hazrat Ana's r.a. se riwayat hai inhone kaha : Nabi ﷺ ne farmaya : " Jis shkhs ne namaz e Eid se pahla qurbani ko zubah kar liya wo dobara qurbani kare, ek shkhs khdha ho kar arz karne laga ke aaj ke din gosht ki bahot khoyesh hoti hai aur isne apne padhoseyo ka tazkira kiya, Nabi ﷺ ne iske bato par mohar tasdeek sabat faramaye. Is ne arz kiya ke mere paas ek baqre ka bacha hai Jo gosht ki 2 baqreyo se mujhe zeyada mahboo hai. Nabi ﷺ ne ise zubah karne ki ejazat mohramat farmaye. Rawe kahta h ke ab mujhe pata nahe ke ye ejazat dusre logo ko bhe h ya nahe.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 13 : Hadees : 954

Hazrat barra bin Aazeeb se riwayat hai inhone kaha ke Nabi ﷺ ne Eidul Azha ke din hame namaz ke baad hamare samne khutba dete huwe Irshad Farmaya : " Jo shkhs hamare jaise namaz padhe hamare jaise qurbani kare to iska fareeza pura ho gaya aur jisne namaz se qabal qurbani to wo namaz se pahle hone ki bena par qurbani nahe hai " is par hazrat barra r.a. ke Mamu hazrat Abu barda bin neyar r.a. ne arz kiya : " Allah ke rasool Maine apni baqre namaz se pahle he zubah kar de hai kun ke mere elm me tha ke aaj khane peene ka din hai aur meri khoyeesh the ke sab se pahle mere he gahr me baqre zubah ki Jaye is beena par Maine apne baqre zubah kar de aur namaz ke aane se qabl kuch nashta bhe kar liya ". Aap ﷺ ne faramaya : " tumhari baqre to sirf gosht ki baqre he tahre ( qurbani nahe hai ) " inhone arz kiya : Alla ke Rasool hamare paas bhedh ka ek sala bacha hai Jo mujhe 2 baqreyo se zeyada Azeezh hai kya wo mere liye kafe ho jayega ? Aap ﷺ ne farmaya : " Ha ! Lekin tumhare elawa kisi dusre ko kafe na hoga ".

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 13 : Hadees : 955

Baab : 6
Eidgah me member ke bagair Jana :

Hazrat Abu Sayeed Khudre r.a. se riwayat hai inhone farmaya : Nabi ﷺ Eidul Fitar Eidul Azha ke din tashreef le jate to pahla Jo kaam karte wo namaz hote, is se faragat ke baad aap logo ke samne khade hote, log apne safo me baithe rahte tab aap inhe nasehat wa talqeen karte aur achi bato ka hukm dete phir aap koi lashkar bhejna chahte to inhe tayyar karte ya jiska kaam ka hukm Karna chahte is kaam ka hukm dete, iske baad Ghar lot aate Hazrat Abu Sayeed Khudre r.a. farmate hai h ke iske baad bhe log aise he karte rahe yaha tak me ek dafa marwan ke hamrah Eidul Fitar aur Eidul Azha padhne gaya. Wo in dino Madeena ka governor tha jab ham Eidgah ponche to ek member waha rakha huwe tha jise Kaser Bin Salat r.a. ne tayyar kiya tha. Marwan ne chaha ke Achanak namaz padhne se pahle is par chadhe, chunancha Maine is ka parda pakdah kar khencha lekin is ne mujhe pakdh kar jhtak diya, phir wo member par chadh gaya. Baad aza isne namaz se pahle khutba diya to Maine is se kaha " Allah ki kasam ! Tum logo ne sunnat e Nabwe ko badal diya hai " isne jawab diya " Abu Sayeed wo baat jate rahe jo tum jante ho, Maine jawaban kaha " Allah ki kasam Jo me Janata Hun wo is se kahe bhter hai jise me nahe janta " is par marwan goya huwa, baat darasal ye hai ke log hamare khutbe ke liye namaz ke baad baith-te nahe lehaza Maine khutba ko namaz se pahle kar diya.

Sahih al Bukhari :
Vol : Book : 13 : Hadees : 956

Baab : 7
Eid ke liye paidal ya sawar hi kar Jana khutbe se pahle namaz adaa karna aur azan wa aqamat ke bagair namaz padhna :

Hazrat Abdullah bin Umar r.a. se riwayat hai ke Rasool ﷺ Eidul Azha aur Eidul Fitar ki namaz padhte the phir namaz ke baad khutba dete the.

Sahih al Bukhari :
Vol :1 : Book : 13 : Hadees : 957

Hazrat Jabir bin Abdullah r.a. se riwayat hai ke Nabi ﷺ Eidul Fitar ke din Eidgah ki taraf tashreef le Gaye aur khutbe se pahle namaz padhe.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 Book : 13 : Hadees : 958

Ata farmate hai Hazrat Ibne Abbas r.a. ne Hazrat Abdullah bin Zubair r.a. ki taraf paigam bheja jab ke inke liye baith le ja rahe the ke eidul Fitar ke din namaz ke liye azan nahe kahe jate the aur khutba namaz ke baad hota tha.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 Book : 13 : Hadees : 959

Hazrat Ata se riwayat hai wo haz Ibne Abbas r.a. aur Jabir r.a. se Bayan karte hai ke Eidul Fitar aur Eidul Azha ke din Azan nahi di jati thi.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 Book : 13 : Hadees 960

Hazrat Jabir bin Abdullah r.a. se riwayat hai : inhone kaha Nabi ﷺ khdhe huwe pahle namaz padhe phir logo ke samne khutba diya jab Nabi ﷺ khutbe se farig huwe to utar kar Aurto ke paas aaye to inhe nasehat farmaye jabke aap ﷺ ne Hazrat Bilal r.a. ke hath ka Sahara liya huwa tha aur Bilal apna kapdha phelaye huwe the aur aurte isme apne sadqat daal rahe the,
( rawe hadees kahte hai ) ke Maine hazrat ataa se kaha ke ab bhe aap imam ke liye zaroori samjhte h ke wo namaz se fareeg ho kar Aurto ke paas aaye aur inhe naseehat kare ? To jawab diya ye inke zemmedari to hai lekin ab inhe kya ho gaya h ke wo apne zemmedari pure nahe karte.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 13 : Hadees : 961

Baab : 8
Namaz e Eid ke baad khutba Dena :

Hazrat Ibne Abbas r.a. se riwayat h ke Maine namaz e eid Rasool ﷺ hazrat Abu Baqar r.a., Hazrat Umar r.a., aur Hazrat Usman r.a. ke sath padhe hai ye sab Hazrat khutbe se pahle namaz e Eid padhte the.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 13 : Hadees : 962

Hazrat Ibne Umar r.a. se riwayat hai inhone farmaya : Rasool ﷺ Hazrat Abu Baqar r.a., Hazrat Umar r.a., Eidain ki namaz khutbe se pahle padhte the.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 13 : Hadees : 963

Hazrat Abbas r.a. se riwayat hai ke Nabi ﷺ ne Eidul Fitar ke din 2 rakat namaz padhe is se pahle is ke baad koi namaz adaa na ke phir aurto ki taraf tashreef laye aur aap ke hamrah Bilal r.a. the aurto ko aap ne sadqa karne ka hukm diya to kherat dalne lage, hatta ke Aurte apne baleya aur haar dalne lage.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 13 : Hadees : 964

Hazrat Bar'ra bin Azeeb se riwayat hai, inhone kaha ke Nabi ﷺ ne farmaya : Sab se pahle cheez jis se ham aaj ke din ka aagaz kare wo ye hai ke ham namaz padhe phir ghro ko wapas ho aur qurbani kare, aur jisne aisa kiya isne hamare sunnat ko pa liya, aur jisne Namaz se pahle qurbani zubah ki to wo sirf gosht hai jo isne apne ghar walo ke liye tayyar kiya qurbani nahe hai, ansar ke ek aadmi ne kaha jise Abu barda bin nayar kaha jata tha, " Allah ke rasool me to qurbani ka janwar zubah kar chuka hu ab mere PAAS ek sala baqre ka bacha hai jo 2 dante se bhter hai " aap ne ﷺ ne farmaya : ise is Ke jagah qurban kardo magar tumhare baad kisi dusre ke liye kafe nahe hoga.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 Book : 13 : Hadees : 965

Baab : 9
Edain aur haram paak me hathyar uthana makrooh hai :

Hazrat Hasan basri r.a. farmate hai ke eid ke din Musalmano ko hatyar uthane se rok diya gaya, ha agr dushman ka khtra ho to ejaazat hai.

Hazrat sayeed bin juber r.a. se riwayat hai ke me Hazrat Ibne umar r.a. ke hamrah tha jab inke paaw ke talwe me neeze ki nok chubh Gaye aur jab inka paaw rakab se chemat gaya chunancha me niche utra aur ise paaw se nikala ye waqeeya meena me huwa tha, hajjajh bin Yousuf ko jab iske itallah mile to wo aap ki eyadat ke liye aaya aur kahne laga : Kash ! Hame maloom ho jaye ke ye kisne aap ko taqleef ponchaya hai, Hazrat Ibne umar r.a. ne jawab diya : ke tune he khood mujhe ye taqleef ponchaye hai, isne kaha aisa kun kar ho sakta hai ? Hazrat Ibne umar r.a. ne jawab diya ke tune he is din hatyaar uthaye jis din hatyar nahe uthaye jate aur tune he haram me hatyar dakheel kiye Halanke haram me hatyar nahe laye jate.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 Book 13 : Hadees : 966

Hazrat Sayeed bin umru se riwayat hai inhone kaha ke hajjaj Hazrat Ibne umar r.a. ke khedmat me hazeer huwa,is waqt me bhe aap ke PAAS tha isne aap ka haal pucha to aap ne farmaya : theek hu, isne pucha ke aap ko ye taqleef kisne pohnchaye hai ? Aap ne jawab diya mujhe is shkhs ne taqleef ponchaye hai jisne aise din hathyar uthane ki ejazat de jis din hatyar uthana jayaz Na tha, inhone ise hajjaj ko Murad liya.

Sahih al Bukhari :
Vol : Book 13 : Hadees : 967

Baab : 10 Namaz Eid ke liye subha sawere jana.

Hazrat Abdullah bin basr faramate hai ke ham to Namaz e Eid ke liye is waqt fareeg ho jate the, aap ne ye baat bwaqt chast farmaye jis waqt nafeel padhna jayaz hota hai.

Hazrat Bar'ra bin Azeeb se riwayat hai inhone farmaya ke Nabi ﷺ qurbani ke din hame khutba diya to farmaya : Sab se pahle ham jis kam se is din ka aagaz karte hai, wo namaz padhna hai phir wapas ja kar qurbani karna, jisne aisa kiya isne hamare sunnt ko pa liya aur jissne namaz se pahle qurnbani zubah kar di to wo gosht hai Jo isne apne ghar walo ke liye jaldi tayyar kar liya hai qurbani nahe hai, mere mamu Hazrat Abu Barrda bin Abe neyar khdhe huwe aur kaha : Allah ke rasool Maine apne qurbani ko qabl az namaz adaa kar diya hai aur mere PAAS baqri ka ek sala bacha hai Jo 2 dante se bahtar hai, aap ne farmaya : ise pahle ki jagah par kar de, ya farmaya: is ki jagah par zabah kar de lekin tere baad kisi dusre ke liye aisa karna jayaz nahe hoga.

Sahih al Bukhari :
Vol 1 : Book : 13 : Hadees : 968

Baab : 11
Aayam e Tashreek me Amal Ki Fazeelat :

Hazrat Abbas r.a. bayan karte hai ke irshad e Bare tala hai :"ویذکروا....ایام معلومات" " Maloom Dino me Allah tala Ko khoob yaad kare " me Ayam e maloomat se muraad zilhajja ke pahle 10 din hai aur " Ayyam e Madoodat " se Murad Ayyam Tashreek hai.
Hazrat Ibne umar r.a. aur Hazrat Abu Hurerah r.a. in Dino baazar Nate to takbeerat kahte the. Log bhe inke taqbeeeat ke sath Allahu Akbar kahte the Aur Mohammed bin Ale nafele namazo ke baad bhe taqbeerat kahte the.

Hazrat Ibne Abbas r.a. se riwayat wo Nabi ﷺ se bayan karte haai ke aapne farmaya : Jo amal in ( das ) dino me kiya jaye iske muqable me dusre Dino ka koi amal Afzal nahe, logo ne arz kiya kya jehad bhe inke barabar nahe ? Aap ne farmaya : jehad bhe inke barabr nahe seway is shkhs ke jisne apne jaan aur maal ko khtre me daal aur koi chee wapas le kar Na lota.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 13 : Hadees : 969

Baab : 12
Ayyam e Meena aur Arfaat ki taraf jate waqt taqbeer kahna :

Hazrat Umar r.a. Meena ke Dino apne kheeme he me taqbeer kahte the, jise Ahle Masjeed sunte aur wo bhe taqbeer kahte, Ahle sook yaani Bazar Wale bhe Allahu Akbar kahte, yaha tak ke Meena ki fiza Allahu Akbar ki sada se goonj uthte, Hazrat Ibne umar bhe in Dino namazo ke baad, apne bistar par apne kheeme me, apne majlees me aur rasta chalte waqt, algarz in tamam Dino me taqbeerat kahte the, ummul momeen maymoona r.a. yomu-nnahar yaani 10we zilhejja ko taqbeer kahte the, dusre khoteen bhe Tashreek ki rato me Hazrat Aban bin usman, aur Hazrat Umar Bin Abdul Aziz ke piche mardo ke sath Masjeed me taqbeerat kahte thi.

Hazrat Mohammed bin Abu Baqar Sakhfe se riwayat hai : inhone kaha nab ham subha Meena se Arfat ki taraf ja rahe the to mine Hazrat Anas bin Malik r.a. se talbeeya ke mutalliq sawal kiya ke aap Hazraat Nabi ﷺ ke hamraah jate waqt kis tarha karte the ? Inhone kaha labbaek kahne wala labbayaek kahta to is par koi aytraaz naahe karta aur ise tarha taqbeer kaahne wala taqbeer kahta to ise mana nahe kiya jata.

Sahih al Bukhari :
Vol :1 Book : 13 : Hadees : 970

Hazrat Umme Atiya r.a. se riwayat hai inhone faramaya ke hame hukm diya jata tha ke Eid ke din ghar se nikle hatta ke kuwari Ladkiyo ko inke parde ke sath nikale aur hayza aurto ko bhe inke gahro se bar-aamad kare, chunancha wo mardo ke piche rahti, inke taqbeer ke sath taqbeer kahti, nez mardo ke Duwa ke sath Duwa mangtee aur is din ki barkat aur taharat ki ummed rakhte thee.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book 13 : Hadees : 971

Baab :13
Eid ke din neze ki aadh me namaz padhna.

Hazrat Ibne Umar r.a. se riwayat h ke Nabi ﷺ ke samne Eidul fitar aur Eidul Azha ke Moqe par neza gaadh diya jata tha phir iske taraf mu kar ke namaz padhte the.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book :13 : Hadees : 972

Baab :14
Eid ke din chota neza ya barchi Imam ke aage aage uthana :

Hazrat Ibne umar r.a. se riwayat hai ke inhone faramaya ke Nabi ﷺ subha sawere eidgaah ki taraf tashreef le jate aur neza aap ke aage aage uthaya jata tha ise eidgaah me aap ke samne gaadh diya jata tha, to aap iske taraf mu kar ke namaz padhte the.

Sahhee Bukhari :
Vol : 1 : Book : 13 : Hadees : 973

Baab : 15
Aurto Aur Haiza Khwateen ka eidgaah Jana :

Hazrat Umme Atiya r.a. se riwayat hai kaha : Hame hamare Nabi ﷺ ne hukm diya hai ke ham ( namaz Eid ke liye ) in Jawan aurto ko bhe nikale Jo parda nasheen hai.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 13 : Hadees : 974

Hazrat Hafsa binte sereen se marwe ek hadees me h ke nawjawan aur parda nasheen aurto ko Eid ke liye nikale, Albatta hayza Aurte Namaz se Alag rahe.

Baab 16 :
Bacho Ka Eidgaah Jana :

Hazrat Ibne Abbas r.a. se riwayat hi inhone farmaya : me ek dafa Eidul Fitar ya Eidul Azha ke Moqe par Nabi ﷺ ke hamrah nikla, aap ﷺ ne namaz padhe, phir khutba diya, iske baad aap aurto ke pass aaye aur waaz wa nasheehat farmane ke baad sadqa wa kherat ka hukm diya.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1: Book : 13 : Hadees : 975

Baab : 17
Khutba Eidain me imam ka logo ki taraf mu karna :

Hazrat Abu Sayeed Khudri r.a. farmate hai ke Nabi ﷺ logo ke samne khdhe huwe.
Hazrat Bar'ra bin Azeeb r.a. se riwayat hai inhone farmaya ke Nabi ﷺ Eidul Azha ke din nikle aur 2 rakat namaz Eid adaa ki, phir hamare taraf mu kar ke khdhe huwe aur farmaya : hamare is din se Sab se pahle ibadat ye hone chaye ke ham namaz padhe,phir wapas ho aur Qurbani kare, jisne aisa kiya isne hamare Sunnat ke mutbeeq kaam kiya, aur jisne Namaz se pahle qurbani zubah karde to wo gosht hai Jo isne apne ghar walo ke liye tayyar kiya hai, Qurbani nahe hai, is doran me ek shkhs khdha huwa aur arz karne laga Allah ke rasool Maine to ( namaz se pahle ) qurbani zubah karde hai, aur ab mere pass ek sala bhedh ka bacha hai Jo 2 dante se kaye bhter hai. Aap ne farmaya : tum isko zubah kar do lekin tumhare baad kisi aur ke liye kafe nahe hoga.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 13 : Hadees : 976

Baab : 18
Eidgah me koi Alamat muqarar karna :

Hazrat Ibne Abbas r.a. se riwayat hai inse pucha gaya : kya aap Nabi ﷺ ke hamrah Eid ki namaz me shreek huwe hai ? Inhone farmaya agr mera chote hone ki waja se aap ﷺ ke ha Martaba wa makam Na hota to me Eid ka mushaheda Na kar sakta bhar haal aap ( namaz ke liye ) nikale yaha tak is nishan ke pass aaye Jo kaseer bin salat ke ghar ke pass tha, namaz padhe, phir khutba diya, iske baad aap aurto ke pass tashreef laye, aap ke hamrah Hazrat Bilal r.a. bhe the, aap ne in aurto ko waz wa naseehat farmaye, aur sadqe ka hukm diya chunancha Maine aurto ko dekha ke wo apne hath jhuka ke apne zewrat Hazrat Bilal r.a. ke kapdhe me dalte the, iske baat aap ﷺ aur Hazrat Bilal r.a. apne gahr ki taraf rawana ho gaye.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 13 : Hadees : 977

Baab : 19
Eid KE Din Imam Ka Aurto ko Naseehat Karna :

Hazrat Jabir bin Abdullah r.a. se riwayat hai inhone farmaya ke Eidul Fitar ke din naabi ﷺ khdhe huwe, aur namaz padhe, yaani namaz se aagaz kiya, phir khutba diya, jab fareeg huwe to aurto ki taraf tashreef le Gaye inhe naseehat farmaye jab ke aap Hazrat Bilal r.a. ke hath ka Sahara liye huwe the, aur Hazrat Bilal r.a. apna kapdha phelaye huwe the jisne me Aurte kherat daal rahe the, ( rawe kahta hai ) maine Hazrat ataa se daryaft kiya wo sadqa e Fitar daal rahe the, inhone farmaya : nahe is waqt Waise he kherat kar rahe the, Agr ek Aurat angothe dalte to dusri Aurat bhe dalti. ( ataa se ) daryaft kiya: aap ke kheyal ke mutbeeq kya imam ke liye Zaroori hai ke wo aurto ko Naseehat kare ? Ha ! In ke zemme to hai, lekin na maloom wo kun nahe karte ?

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 Book : 13 : Hadees : 978

Hazrat Ibne Abbas r.a. se riwayat hai ke inhone faramaya Eidul Fitar ke Moqe par Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqar r.a. Hazrat Umar farooq r.a. Hazrat Usman r.a. ke sath shreek huwa, ye tamam Hazrat Namaz Eid khutba se pahle padhte phir khutba diya jata tha, el martaba Nabi ﷺ bahar tashreef laye, hota me ab bhe aap ko dekh raha hu jab aap apne hath ke ishare se logo ko bitha rahe the, phir aap safo ko cherte huwe aurto ke pass aaye. Aap ke hamrah Hazrat Bilal r.a. the aap ne ye aayat telawat farmaye : " Aye Nabi jab aap ke paas Ahle emaan khoteen baith ke liye hazeer ho " Phir aap iske telawat se fareeg huwe to farmaya : " tum Sab is Wade par qayam ho ? To Un aurto me se sirf ek Aurat ne Ha me jawab diya iske elawa kisi Aurat ne aap ki baat ka jawab na diya, ( rawe hadees ) Hasan kahte hai is Aurat ke mutalliq elm nahe wo kon the, aap ne farmaya : Tum sadqa wa kherat kiya karo, Bilal r.a. ne apna kapdha phela diya aur kaha tum Lao, mere maa baap tum par qurban ho chunancha wo Aurte apni Angothiya aur challe Bilal r.a. ke kapdhe me dalne lage.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 Book : 13 : Hadees : 979

Imam Abdul Razak ne kaha h الفتح se muraad badhe Angothiya hai jinka Ahad Jaheeliyat me rewaj tha.

Baab : 20
Jab Kisi Aurat ke pass Eid ke liye chadar Na ho ( to kya kare ? )

Hazrat Hafsa binte sereen r.a. se riwayat hai inhone farmaya ham apni jawan Ladkiyo ko Eid ke din bahar nikalne se mana karti the, chunancha ek Aurat Kasar Bani khalaf me aa kar maqeem huwe to me iske pass ponchi, isne bayan kiya ke iska bhnowe Nabi ﷺ ke hamrah 12 gazwat me shreek huwa tha. Iske bahen bhe 6 gazwat me iske hamrah the. Hamsheera ne bayan kiya ke hamara kaam mareezo ki khbar geeri aur zakhmeyo ki marham Patti karna tha. Inhone Arz kiya : Allah ke rasool kisi Aurat ke PAAS badhe chadar Na ho aise halat me wo Eid ke liye bahar Na jaye to koi Harj nahe ? Rasool ﷺ ne jawab diya : iske sahele apne chadar me se kuch hessa ise pahna de ta ham inhe chahe ke wo umoor e khair Sur Ahle emaan ki Duwao me zarror shmuliyat kare.

Hazrat Hafsa binte sereen ne kaha jab Hazrat unme Atiya r.a. tashreef laye to me inke khedmat me hazeer huwe to inse arz kiya : aap ne is masle ke mutalliq kuch suna hai ? Inhone farmaya : Ha ! Aap par mere ma baap qurban ho, aur wo jab bhe Nabi ﷺ ka naam leti to ye jumla zaroor kahti ke mere ma baap aap par qurban ho, Nabi ﷺ ne farmaya : parda nasheen do shezaye ya parda nasheen aur nawjawan ladkiya Eid ke liye zaroor jaye.... Alfaz ke mutalliq ( rawe e hadees ) Hazrat Ayoub ko shaq hai... Balke hayza Aurte bhe shreek ho, lekin wo namaz ki jagah se Alag thalag rahe bhare haal khoteen ko umaoor e khair aur Ahle emaan ki Duwao me zaroor shreek hona chaye. Hamfa binte sereen ka bayan hai ke Maine inse arz kiya, ke haiz Wale Aurte bhe shreek ho ? Inhone farmaya : Ha ! Haiz Wale bhe shreek ho. Kya ye aurte maidan e Arfaat aur falah falah me hazeer nahe hoti ?

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 Book : 13 : Hadees : 980

Baab : 21
Haiza aurto ka Eid me namaz ki jagha se alag rahna :

Hazrat Umme Atiya r.a. se riwayat hai inhone farmaya : hame hukm diya gaya tha ke Eid ke liye khood bhe nikle haiza, nawjawan aur parda nasheen Aurto ko bhe nikale.... Rawe hadees Ibne Aon ne kaha ke parda nasheen nawjawan aurte... Chunancha haiza Aurte Musalman ki Jamat aur in ki Duwa me shreek hoti the, Albatta namaz padhne ki jagah se alehda rahti the.

Sahih al Bukhari :
Vol : Book : 13 : Hadees : 981

Baab : 22
Qurbani ke din Eidgaah me bahar aur zubah karna :

Hazrat Abdullah bin Umar r.a. se riwayat hai ke Nabi ﷺ oont ya kisi aur janwar ki qurbani Eidgaah me kiya karte the.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 13 : Hadees : 982

Baab : 23
Khutba Eid ke doran imam aur muqtade Hazrat ka guftagu karna aur jab imam se doran e khutba sawal kiya jaye ( to iska jawab Dena ) :

Hazrat Bar'ra bin Azeeb r.a. se riwayat hai inhone farmaya : Eidul Azha ke din ke rasool ﷺ ne hame namaz ke baad khutba diya, aap ne farmaya :" jisne ha.are jaise namaz padhe, hamare tarha qurbani ki to isne hamare treqa e qurbani ko haseel kar liya aur jisne Namaz se pahle qurbani ki to ye ek gosht ki baqri hai " Hazrat Abu Barrda bin niyaz r.a. uthe aur Arz kiya : Allah ke rasool ! Allah ki kasam ! Maine namaz ke liye nikalne se pahle qurbani kar di hai ! Aur Maine socha ke aaj ka din khane peene ka din hai, isliye Maine jaldi ki, khood khaya, nez Ahle khana aur hamsayo ko khelaya, Rasool ﷺ ne Farmaya : ye to gosht ki baqri hai ! ( qurbani nahe ). Maine arz kiya mere pass ek sala baqri ka bacha hai, Jo 2 baqriyo ke gosht se bhter hai, kya wo mujhe qurbani se kafe hoga? Aap ne farmaya : Ha ! Lekin tere baad kisi ke liye kafe nahe hoga.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 13 : Hadees : 983

Hazrat Anas bin Malik r.a. se riwayat hai inhone farmaya : Rasool ﷺ be Eidul Azha ke din Namaz padhaye phir khutba diya, Aap ne khutbe me hukm diya jisne Namaz se pahle qurbani ki wo dobara kare, ansar me se se ek shakhs khdha huwa aur isne arz kiya : Allah ke Rasool ﷺ mere padhose hai Jo mohtaj hai ya kaha wo faqeer hai, lehaza maine inke waja se kabl az namaz apni qurbani ko zubah kar diya, Aur mere pass ek sala baqri ka bacha Jo mujhe gosht ki me 2 baqriyo se Mahboob tar hai. Aap ne ise wahe zubah karne ki ejazat de di.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 13 : Hadees : 984

Hazrat Jandab r.a. se riwayat hai inhone faramaya ke Nabi ﷺ ne Eidul Azha ke din Namaz padhe phir khutba diya, phir qurbani ki, aur doran e khjtbe me farmaya : jisne Namaz se pahle ( qurbani ka janwar ) zubah kiya to ise dusra janwar zubah karna chaye aur jisne Namaz se pahle zubah nahe kiya ise ko chye ke Ab Allah ka naam lekar zubah kare.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 13 : Hadees : 985

Baab : 24
Eid ke din wapase par rasta badalna :

Hazrat Jabir r.a. se riwayat hai ke inhone farmaya : Jab Eid ka din hota to Nabi ﷺ rasta tabdeel karte yaani ek raste se jate to wapase ke waqt dusra rasta ikhteyar karte.

Hazrat Abu Hurerah r.a. se bhe istarha Marwe hai lekin Hazrat Jabir r.a. ki riwayat zeyada sahe hai.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 13 : Hadees : 986

Baab : 25
Jab kisi se namaz e Eid foth ho jaye to wo 2 rakat padhe :

Istarha khoteen aur wo log Jo ghro aur dehato me rahte hai wo bhe 2 rakat padhe, kun ke Nabi ﷺ ka irshad e garami hai : Aye Ahle Islam ye hamare Eid ka din hsi.

Hazrat Anas bin Malik r.a. ne zaweya me apne Gulam Ibne Abe utba ko hukm diya to isne inke ghar walo aur Beto ko jama kiya phir wo shahar walo ki tarha namaz padhte aur in jaiso ki taqbeerat kahte the. Hazrat Akrama ne kaha : dehat ke log Eid me jama ho aur imam ke tarha 2 rakat padhe.
Hazrta Ataa ne kaha jab kisi ki namaz e Eid foth ho jaye to wo 2 rakat padh le.

Hazrat Ayesha r.a. se riwayat hai ke inke ha Hazrat Abu Baqar siddi r.a. tashreef laye to Ayam e Meena me is waqt 2 ladkiya Daf Baja kar geet GA rahe the Aur Nabi ﷺ ne apna chahra kapdhe se dhanp rakha tha, Hazrat Abu Baqar r.a. ne In Ladkiyo ko danta to Nabi ﷺ ne apne chare se kapdha hata kar farmaya : " Aye Abu Baqar r.a. Inhe apni halat me rahne do, isliye ke ye Eid ke din hai " aur ye Mina ke Dino ki baat hai.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 13 : Hadees : 987

Hazrat Ayesha r.a. se he riwayat hai ke Maine Nabi ﷺ ko dekha ke aapne mujhe chupa rakha tha aur me Ahle habsaha ki taraf dekh rahe the, jabke wo Masjeed me khel rahe the, Inhe Hazrat umar r.a. ne danta to naabi ﷺ ne faramaya : " Inhe apni halat par rahne do, Aye Banu Alfeda ! Tum ithmeenan se apne qartab jari rakho " hadees me lafaz Aman ke mana beela khof wa khtre ke hai.

Sahih al Bukhari :
Vol : Book : 13 : Hadees : 988

Baab : 26
Namaz e Eid se pahle aur iske baad namaz padhne ki hayseyat :

Abu Moala bayan karte hai ke Maine sayeed bin juber ko Ibne Abbas r.a. se bayan karte huwe suna wo Eid se pahle namaz ko maqrooh khyal karte the.

Hazrat Ibne Abbas r.a. se riwayat hai ke Nabi ﷺ Eidul Fitar ke din bahar tashreef le Gaye, waha 2 rakat namaz e Eid padhe lekin is se pahle is ke baad kuch nahe padha, Aap ke hamrah Hazrat Bilal r.a. the.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 13 : Hadees : 989




 

Post a Comment