Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

KITAB AL WITR


Witr se Muttaliq Ahkaam wa Masayeel :

(1)  BAAB: WITR NAMAZ KE BAREME KYA KAHA GAYA HAI

Hazrat Ibn e Umar r.a. se riwayat hai ke ek shakhs ne Rasool ﷺ se raat ki namaz ke muttaliq daryaft kiya to, Aap ne farmaya : Raat ki namaz 2, 2, rakaat hai, jab tumse kisi ko subha (Fajr) hojane ka khadsha ho to ek rakat padh lo wo isko witr bana dege.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 14 : Hadees : 990

Hazrat Nafi se riwayat hai ke Hazrat Abdullah bin Umar r.a. Namaz e Witr me ek ( 1 ) aur do ( 2 ) rakat ke dsrmiyan salam pherte the, hatta ke apni baaz zarroriyat ko pura karne ka hukm Farmate the.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 14 : Hadees : 991

Hazrat Ibne Abbas r.a. se riwayat hai ke inhone apne Khala, Ummuml Momeeenen Hazrat Maimuna r.a. ke yaha raat basar ki farmate hai : "Mai Takiye ke arz me let gaya, jab Rasool ﷺ aur Aap ki ahliya mohtrama iske tool me mahwar istrhat huwe. Aap aadhe yaa is ke lag bhag raat tak soye rahe, phir jab bedar huwe to chehre par hath pher kar neend ke asrat door kiye. Iske baad Aap ne surah Al-Imran ki 10 aayat tilawat farmaye, phir Aap paani se bhare huwe aaweza purani mashk ki taraf aaye, is se achi tarha Wuzu kiya aur namaz ke liye khade ho gaye. Mai bhi is tarha karta huwa Aap ke pahlu me ja kar khdha huwa. Aap ne apna daya hath mere sar par rakha aur mera kaan pakadh kar marodhne lage. Phir Aap ne 2 rakate padhe, iske baad 2 rakat, phir 2 rakat, baad aza 2 rakat, phir 2 rakate padhe, pahir 2 rakate mazeed adaa Ke, phir witr padh kar aap let gaye, hatta ke Aap ke paas moazan ( namaz ki itallah dene ) aaya to Aap khadhe huwe aur 2 rakate ( Sunnat e Fazr ) padhe, phir bahar tashreef le gaye aur Fazar ki namaz padhayi.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 14 : Hadees : 992

Hazrat Abdullah bin Umar r.a. se riwayat hai inhone kaha Nabi ﷺ ne faramaya : "Raat ki namaz do ( 2 ) do ( 2 ) rakat hai, jab tu khtam karne ka irada kare to, ek rakat padh le, ye rakat Teri sabeqa namaz ko Witr bana degi ". Qaseem bin Mohammed bin Abe Baqar kahte hai : Hamne Jawan hone taq logo ko dekha ke wo 3 rakat Witr padha karte the, yakeenan  3 ya 1 (rakat witr) har ek me wasat hai, mujhe ummed hai ke kisi me kabahat na hogi.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 14 : Hadees : 993

Hazrat Ayesha r.a. se riwayat hai ke inhone bataya Rasool ﷺ ( raat ko ) 11 rakat padha karte the, Aap ki raat ki namaz yahi hoti thi, in rakat me Aap ka sajda ithna taweel hota tha ke Aap ke sar uthane se pahle tum me se koi bhe 50 aayate padh sakta tha. Namaz e Fazr se pahle aap 2 rakat padhte the, phir Aap daye pahlu par lete rahte, hatta ke Moazzan Namaz ki etallah dene ke liye aap ke paas aata.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 14 : Hadees : 994.




 

(2)  BAAB: AWQAAT WITR KA BAYAN 

Hazrat Abu Huraira r.a. bayan karte hai ke mujhe Rasool ﷺ ne wasiyat farmaye ke sone se pahle Witr padh liya karo.

Hazrat Anas bin Seereen se riwayat hai ke inhone kaha Maine Hazrat Ibn e Umar r.a. se daryaft kiya ke namaz subha se kabl 2 rakat ke mutalliq Aap ka kya khyal hai, kya ham inme lambi Qirat kar sakte hai ? Inhone jawab diya ke Nabi ﷺ raat ki namaz do ( 2 ) do ( 2 ) rakat padhte, phir aakhir me ek rakat padh kar ise taak bana lete. Subah ki namaz se pahle 2 rakat to is tarha adaa karte Goya azaan, yaani aqamat ki aawaz Aap ke kaan par pad rahi hai.
(Raawi e Hadees ) Hammad ne kaha ke is se muraad jaldi padhna hai.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 14 : Hadees : 995

Hazrat Aayesha r.a. se riwayat hai, inhone faramaya Rasool ﷺ ne raat ke har hisse me namaz e Witr adaa ki hai, bil aakher Aap ki namaz e Witr waqt sahar tak pohanch Gayi.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 14 : Hadees : 996.

 

(3) BAAB: RASOOLALLAH ﷺ APNE AHL O AYAL KO WITR KE LIYE JAGAYA KARTE THE

Hazrat Ayesha r.a. se riwayat hai, ap ne faramaya Nabi ﷺ tahajjud ki namaz padhte rahte jab ke me Aap ke bistar par lete soyi hote. Jab Aap Witr padhne ka irada karte to mujhe bedar kar dete, to mai Witr padh leti.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 14 : Hadees : 997.

(4) BAAB: WITR AKHRI NAMAZ KE TAUR PAR

Hazrat Ibn e Umar r.a. se riwayat hai ke, unhone kaha ke Nabi ﷺ ne faramaya : " Logo! Raat ki Aakhri Namaz, Witr ko banao ".

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 14 : Hadees : 998.




 

(5) BAAB: SAWARI PAR WITR PADHNA

Hazrat Sa`id bin Yasar se riwayat hai, inhone kaha me tareeqe makka me Hazrat Abdullah bin Umar r.a. ke hamrah safar kar raha tha Sa 'id kahte hai jab mujhe subha hone ka khadsha la haq huwa to sawari se utar kar Maine Witr adaa kiye, phir unse ja mila. Hazrat Abdullah bin umar r.a. ne faramaya kaha Gaye the ? Maine arz kiya "Mujhe subha ka khadsha la haq huwa to utar kar Witr adaa karne laga tha. Us par inhone farmaya kya tumhare liye rasool ﷺ ki zaat garaame me acha namuna nahi hai? Maine kaha Allah ki kasam! Kyu nahi! To inhone farmaya ke: "Rasool ﷺ oont par sawar ho kar Witr padh liya karte the.

Sahih al Bukhari :
Vol 1 : Book : 14 : Hadees : 999.




 

(6) BAAB: DORAAN E SAFAR ME WITR PADHNA

Hazrat Ibn e Umar r.a. se riwayat hai ke, unhone faramaya Nabi ﷺ safar ke doran me raat ki namaz me apne sawari par ishare se padhte the, us ka jidhar ko bhe mu ho jata, usi tarha namaz Witr bhi apni sawari par padh lete lekin farz namaz is par na padhte the.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 14 : Hadees : 1000.




 

(7) BAAB : RUKU SE PAHLE AUR ISKE BAAD KUNUT KA BAYAN 

Hazrat Anas bin Malik r.a. se daryaft kiya gaya ke kya Nabi ﷺ ne namaz e Fazar me Qunut padhe hai ? Unhone jawab diya : Ha!. Phir pucha gaya kya Aap ﷺ ne ruku se pahle Qunut padhe the ? Unhone jawab diya : Ruku ke baad thode dino ke liye aisa kiya tha.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 14 : Hadees : 1001

Asim bin Suleman se riwayat hai ke Maine Anas r.a. se Qunut ke mutalliq sawal kiya to unhone jawab diya bila shuba Qunut padhe jate the. Maine pucha ruku se pahle ya baad ? Unhone kaha, "Ruku se pahle padhe jate the". Phir unse pucha gaya ke falah shakhs to ap se bayan karta hai ke ap ne ruku ke baad faramaya hai. Hazrat Anas r.a. bole wo galat kahta hai kyun ke Rasool ﷺ ne sirf ek maheena ruku ke baad Qunut padhe the. Mere khyal ke mutbeeq Rasool ﷺ ne mushrakeen ki taraf taqreeban 70 aadmi rawana kiye jinhe Qari (jinhe Quran yad ho) kaha jata tha, ( mushrakeen ne unhe katal kar diya ) ye ( qaatal karne Wale mushreek log in mushreekeen ke elawa the Jin ke aur Rasool ﷺ ke darmiyan muhayeda sulah tha. Rasool ﷺ ne Qunut padhne ka ahtemaam kiya aur ek maah tak inke khilaf bad-duwa karte rahe.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 14 : Hadees : 1002

Hazrat Anas r.a. he se ek aur hadees hai, unhone faramaya Nabi ﷺ ne ek maah tak Duwa e Qunut padhe aur kebleya e ra'al was kowan ke khelaf bad-duwa karte rahe.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 14 : Hadees : 1003

Hazrat Anas r.a. se riwayat hai, unhone faramaya Qunut Magrib aur Fazr ki namaz me padhe jate the.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 14 : Hadees : 1004

 




 

Post a Comment