Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

Kitab al Wuzu




4. Kitab al Wuzu

Wuzu ke mutalaq ahkaam wa masail.

۞ Baab 1: Wuzu ke mutalaq kya warid hai?

Nez irshad e bari ta'ala (ki wazahat): "Aye imaan walo! Jab tum namaz ke liye utho to apne chehre aur hath kohniyon tak dho lo aur apne saron ka masah karo aur apne paoon bhi tukhno tak dho lo."

۩ Abu abdullah (Imam Bukhari r.h) kehte hain: Nabi s.a.w ne bayan farmaya,

Aazaye wuzu ka ek ek martaba dhona farz hai, nez aap s.a.w ne in aaza do do baar aur teen teen baar bhi dhoya hai, haan teen martaba se zyada nahi dhoya.aur ahle ilm ne wuzu me pani ka had se zyada istemaal na pasand kiya hai aur ise bhi makrooh qarar diya hai ke log Nabi s.a.w k fael se tajawuz karein.

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith- 134

۞ BAAB 2: Wuzu KE BAGHAIR NAMAZ KYUN QUBOOL NAHI HOTI.

۩ Hazrat Abu Huraira r.a. se riwayat hai Rasoolullah ﷺ ne farmaya "Jis shaks ka wuzu toot jaye (ise hads hojaye) iski namaz qubool nahi hoti Jab tuk wuzu na kare".

Ek hazrami ne poocha: aye Abu Huraira, hads kya hai? Unhone kaha : fisa ya ziraath.(yaani wo hawa jo paakhane ke muqaam se kharij ho).

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith- 135

۞ BAAB 3: Wuzu KI FAZEELAT AUR IN LOGON KA BAYAN JIN KI PESHANIYAN AUR HATH PAAON wuzu KE ASRAAT KI WAJAH SE CHAMAKDAAR HONGE.

۩ Hazrat Abu Huraira r.a. hi se riwayat hai, unhone kaha: Mai ne Rasoolullah ﷺ ku ye farmate suna hai : "meri ummat ke log qayamat ke din bulaye jayenge Jab ke wuzu ke nishanaat ki wajah se inki peshaniyaan aur hath paaon chamakte honge. Ab jo koi tum me se apni chamak badhana chahe, to ise badhaye.

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith- 136

۞ BAAB 4: SHAK KI BUNIYAAD PAR wuzu NA KARE Jab TAK (BEWAZU HONE KA) YAQEEN NA HOJAYE.

۩ Hazrat Ibad bin tameem apne chacha se se riwayat karte hain unhone Rasoolullah ﷺ ke saamne ek aise shaks ka haal bayan kiya jise ye khayal hojata tha k wo dauran e namaz me kisi cheez ( hawa nikalne) ku mahsoos kar raha hai. Aap s.a.w ne farmaya : " Wo namaz se is waqt tak na phire Jab tak hawa nikalne ki aawaaz ya boo na paye."

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith- 137

۞ BAAB 5: Wuzu ME TAQJFEEF KA BAYAN

۩ Hazrat Ibn Abbas r.a. se riwayat hai, Nabi ﷺ soye, yahan tak ke qarate bharne lage, phir aap ne bedaar hokar namaz padhi. Kabhi hazrath Ibn Abbas r.a. ne kaha: Nabiﷺ karwat par lete, yahan tak ke saans ki aawaaz aane lagi, phir bedaar hokar Aap ne namaz padhi. Phir hazrath Sufiyaan ne is riwayat ku dobara tafseel se bayan kiya ke Ibn Abbas ne farmaya, : mai ne apni khala hazrath Maimoona r.a. ke ghar raat guzari. Nabi ﷺ raat ke kisi hisse me bedaar hiwe. Jab kuch raat guzar gayi to aap khade huwe aur latakte huwe mashkeeze se halka wuzu farmaya. Umru (rawi) is (wuzu) ka halka pan aur mamooli hona bayan karta hai. Aur khade hokar namaz padhne lage. Mai ne bhi aap hi ki tarah wuzu kiya, phir mai aakar aapke ki bayei janib khada hogaya... Sufiyaan ne kabhi yasar ke bajaye shumaal ka lafz istemaal kiya. Aap me mujhe phera aur apni dayein khada karliya. Phir aap ne jis qadr Allah ki taufeeq mayassar aayi, ( tahajjud ki) namaz ada farmayi, phir karwat ke bal let kar sogaye hatta ke qarate bharne lage. Phir muazzan aaya aur is ne aap ku namaz ki ittala di. Aap iske sath namaz ke liye tashreef le gaye. Aap ne namaz padhi aur wuzu nahi farmaya. (Sufiyaan kehte hain) hum ne (apne ustaad) umru se kaha: kuch logon ka khayal hai ke neend ka asar Rasoolullah s.a.w ke dil par nahi, balke sirf aankh par hota tha. Umru ne jawaab diya, : mai ne Ubaid bin Umair ku ye kehte suna hai ke hazraath Anbiya a.s ke khwab wahi hote hain, phir darje zeel aayat ku bataur e daleel tilawat farmaya: "mai khwaab me dekh raha hoon ke mai tumhe zabah kar raha hoon".

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith- 138

۞ BAAB 6: MUKAMMAL wuzu KARNA

۩ Hazrat Abdullah bin Umar r.a. ka irshaad hai : Wuzu poora karne Usama bin Zaid r.a. se riwayat hai, unhone kaha: Ek dafaa Rasoolullah s.a.w arafaat se laute, Jab ghati me pahunche to aap utrey, peshaab kiya, phir wuzu farmaya, lekin wuzu poora na kiya. Mai ne arz kiya: Aye Allah ke Rasool,! Namaz ka waqt qareeb hai? Aap ne farmaya:" Namaaz aagey chal kar padhengey." Phir Aap sawaar huwe, Jab Muzdalifah aaye to utrey aur poora wuzu kiya., phir namaaz ki takbeer kahi gayi aur aap ne maghrib ki namaaz ada ki. Iske baad har shaks ne apna oont apne maqaam par bithaya, phir ishaa ki takbeer huwi aur aap ne namaaz padhi aur dono ke darmiyaan nafil waghaira nahi padhe.

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith- 139

۞ BAAB 7: CHULLU BHAR KAR DONO HATHON SE MUH DHONA

۩ Hazrat Ibn Abbas r.a. se hai, unhone wuzu kiya aur apna muh dhoya. Is tarah ke paani ka ek challu lekar is se kulli ki aur naak me pani daala, Phir ek aur challu pani liya, hath mila kar is se muh dhoya, phir ek challu pani se apna dayaan hath dhoya, phir ek aur challu pani liya aur is se apna bayaan hath dhoya, phir apne sar ka masah kiya. Baad azan ek challu pani apne dayeen paon par daala aur ise dhoya, phir doosra challu pani lekar apna bayaan pao dhoya. Is ke baad kehne lage: mai ne Rasoolullah s.a.w ku isi tarah wuzu karte huwe dekha hai.

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith- 140

۞ BAAB 8: HAR KAAM KE WAQT BISMILLAH KEHNA HATTA KE JAMAA KE WAQT BHI ALLAH KA NAAM LIYA JAYE.

۩ Hazrat Ibn Abbas r.a. hi se riwayat hai, wo is hadees ku Nabi s.a.w tak pahunchate the, Aap ne farmaya :" Jab tum me se koi apni biwi ke paas jaye to Kahe: " Allah ke naam se, aye Allah hume shaitaan se mehfooz rakh aur ise bhi shaitan se mehfooz rakh jo tu hume inayat farmaye. Phir in dono ko agar koi aulaad nasib ho to shaitan ise nuksaan nahi pahuncha sakega."

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith- 141

۞ BAAB 9: BAIT UL KHALA JANE KI DUA

۩ Hazrat Anas r.a. se riwayat hai, unhone farmaya, Nabi s.a.w Jab bait ul khala jaate to farmate : "Aye Allah! Mai naa paak cheezon aur napakiyon se teri panah chahta hoon".

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith- 142

۞ BAAB 10: BAIT UL KHALA KE PASS PANI RAKHNA.

۩ Hazrat Ibn Abbas r.a. se riwayat hai, ek dafa'a Nabi s.a.w bait ul khala gaye to mai ne aap ke liye wuzu ka pani rakh diya. Aap ne (baher nikal kar) poocha: " Ye pani kis ne rakha hai?" Aap ku bataya gaya,to aap ne farmaya: "Aye Allah! Ise deen ki samajh ata farma".

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith- 143

۞ BAAB 11: QAZAYE HAJAT KE WAQT QIBLA RUQ NA BAITHA JAYE ILLA YE KE KOI IMARAT HO, JAISE DEEWAAR WAGHAIRA

۩ Hazrat Abu Ayyub Ansari r.a. se riwayat hai, unhone kaha: Rasoolullah s.a.w ne farmaya: " Jab koi qazaye hajat ke liye jaye to qible ki taraf muh na kare aur na pusht, balke mashriq ya maghrib ki taraf muh kiya karo".

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith- 144

۞ BAAB 12: EENTON PAR BAITH KAR QAZAYE HAJAT KARNA

۩ Hazrat Abdulla bin Umar r.a. se riwayat hai, wo farmate hain,: kuch logon ka khayal hai ke Jab tum qazaye hajat ke liye baitho to Baitullah aur Bait e Muqaddas ki taraf muh na karo, halanke mai ek din apne ghar ki chat par chadha to dekha ke Rasoolullah s.a w qazaye hajat ke liye do kachi eenton par bait ul muqaddas ki taraf muh karke baithe hain. Hazrat Ibn Umar r.a. ne wasee bin haban se kaha: shayad tum in logon me se ho jo apni sareeno par namaz padhte hain. (Yaani zameen se chimat kar).Waasee ne kaha : Wallah! Mai nahi jaanta ( ke aapka matlab kya hai?) Malik kehte hain: (Ibn Umar) is se wo shaks muraad lete hain jo namaz padhe aur zameen se ooncha na ho, sajda is tarah kare ke zameen se laga rahe.

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith- 145

۞ BAAB 13: AURATON KA QAZAYE HAJAT KE LIYE BAHER JANA

۩ Hazrat Ayesha r.a. se riwayat hai ke Nabi s.a.w ki azwaje mutahharat raat ko qazaye hajat ke liye manasaw ki taraf jati thi, is se muraad khula maidaan hai. Hazrat Umar r.a. Nabi s.a.w ki khidmat me arz kiya karte the ke aap apni biwiyon ko parde ka hukm de, lekin Rasoolullah s.a.w aisa na farmatey, chunanche ek raat isha ke waqt Nabi s.a.w ki Zaujaye muhtarama hazrath Sauda binte zamaa (qazaye hajat ke liye) baher niklei aur wo qad aawar thi to hazrath umar r.a. ne inhe aawaz di aur kaha: Aye Sauda! Hum ne tumhe pehchan liya hai. (Hazrat umar ne ye is liye kaha) inki khwaahish thi ke parde ka hukm naazil ho, chunanche Allah taala ne parde ka hukm naazil farmadiya.

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith- 146

۩ Hazrat Ayesha r.a. se riwayat hai, wo Nabi s.a.w se bayan karti hain, aap ne (apni azwaaje Mutahharat r.a. se) farmaya: "(Allah taala ki taraf se) tumhe apni haajat ke liye baher nikalne ki ijazat marhamat farma di gayi hai". Hishaam kehte hain: is se qazaye hajat ke liye ghar se nikalna muraad hai.

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith- 147

۞ BAAB 14: GHARON ME QAZAYE HAJAT KA INTEZAAM KARNA

۩ Hazrat Abdullah bin Umar r.a. se riwayat hai,unhone farmaya: mai ek din hazrath Hafsa r.a. ke ghar ki chat par apni kisi haajat ke pesh e nazar chadha to mai ne dekha ke Rasoolullah s.a.w qible ki taraf pusht aur shaam (bait ul muqaddas) ki taraf muh kiye huwe qazaye hajat kar rahe hain.

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith- 148

۩ Hazrat Ibn umar r.a. hi se riwayat hai, unhone farmaya: mai ek din apne ghar ki chat par chadha to dekha ke Rasoolullah ﷺ do eenton par baithe bait ul muqaddas ki taraf muh kiye qazaye hajat kar rahe hain.

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith- 149

۞ BAAB 15: PANI SE ISTENJA KARNA

۩ Hazrat Anas r.a. se riwayat hai, unhone farmaya: Nabi ﷺ Jab qazaye hajat ke liye nikalte to mai aur ek aur ladka apne sath pani ka ek bartan lekar aate,(raviye hadees hisham kehte hain) yaani Rasoolullah ﷺ is se istenja karte the.

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith- 150

۞ BAAB 16: DOOSRE SHAKS KI TAHARAT KE LIYE PANI HUMRAAH LE JAANA.

۩ Hazrat Abu aldarda r.a. ne farmaya: kya tumhare haan naalaine mubaarak, aabe taharat aur takiya uthane wala khadim maujood nahin hai?

۩ Hazrat Anas r.a. se riwayat hai , unhone farmaya , rasoolullah ﷺ Jab qazaye hajat ke liye bahar jaate to mai aur hum me se ek ladka Aap ke sath ho jate aur hamaare saath pani ki chaagal hoti thi.

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith-151

۞ BAAB 17: ISTENJA KE LIYE PANI KE SATH BARCHI LE JAANA

۩ Hazrat Anas r.a. hi se riwayat hai , aap ne farmaya, e mubaarak, aabe taharat aur takiya uthane wala khadim maujood nahin hai?

Hazrat Anas r.a. se riwayat hai , unhone farmaya , rasoolullah ﷺ Jab qazaye hajat ke liye bahar jaate to mai aur hum me se ek ladka Aap ke sath ho jate aur hamaare saath pani ki chaagal hoti thi.

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith-152

۞ BAAB 18: DAYEN HATH SE ISTENJA KARNE KI MUMANIYAT

۩ Hazrat Abu Qatada r.a. se riwayat hai , unhone kaha, Rasoolullah ﷺ ne farmaya, " Jab tum me se koi shaks koi cheez nosh kare to bartan me saans na le , nez Jab bait ul qala jaye to dayen hath se apni sharamgaah ku na chuye aur na is se istenja kare".

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith-153

۞ BAAB 19: PESHAAB KARTE WAQT DAYEN HATH SE AZU E MUSTAWAR KU NA PAKDE

۩ Hazrat Abu Qatada r.a. bayan karte hain ke rasoolullah ﷺ ne farmaya: "Tum me se Jab koi peshaab kare to apne azu e mustawar ku dayen hath se na thaame aur na dayen hath se istenja kare aur na bartan me saans hi le".

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith-154

۞ BAAB 20: DHEELON SE ISTENJA KARNA

۩ Hazrat Abu Qatada r.a. se riwayat hai, unhone farmaya: ek din Nabi ﷺ qazaye hajat ke liye baher gaye to mai bhi Aap ke peeche holiya. Aap ( ki aadat e mubaarakah thi ke chalte waqt ) dayein bayen na dekhte the. Jab mai aap ke qareeb pahuncha to Aap ne farmaya: "mujhe dheele talaash kar do, mai in se intenja karoonga.... Ya iski misalv koi aur lafz istemaal farmaya.... Lekin haddi aur gobar na lana". Chunanche mai apne kapde ke kinaare me kayi dheele le kar aaya aur inhe aap ke paas rakh diya aur khud ek taraf hat gaya.

Phir jab aap qazaye hajat se farigh huwe to dheelon se istenja farmaya.

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith-155

۞ BAAB 21: LEED WAGHAIRA SE ISTENJA NA KIYA JAYE.

۩ Hazrat Abdulla ibn Masood r.a. se riwayat hai, unhone farmaya: Nabi ﷺ ek dafa qazaye hajat ke liye tashareef le gaye aur mujhe teen pathar lane ka hukm diya, chunanche mujhe do pathar to mil gaye. Talaash basyaar ke baawajood teesra na mil saka to mai ne (khusk) leed le aur wo aapke pass le aaya. Aap ne dono pathar to le liye aur leed ku phenk diya aur farmaya: " Ye paleed hai".

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith-156

۞ BAAB 22: Wuzu ME AA'ZA KU EK EK BAAR DHONA

۩ Hazrat Ibn Abbas r.a. se riwayat hai, unhone farmaya: Nabi ﷺ ne wuzu me aa'za ku ek ek baar dhoya.

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith-157

۞ BAAB 23: Wuzu ME AA'ZA KU DO, DO BAAR DHONA

۩ Hazrat Abdullah bin Zaid r.a. se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne aa'za e wuzu ku do,do baar dhoya.

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith-158

۞ BAAB 24: Wuzu ME AAZA KU TEEN, TEEN BAAR DHONA

۩ Hazrat Usman bin Affan r.a. ke maulabe hamraan se riwayat hai, unhone kaha: hazrath Usman r.a. ne ek dafa pani ka bartan mangwaya aur apne hatho par teen martaba pani daal kar unhe dhoya, phir dayein hath ku bartan me daal kar pani liya,kulli ki, naak me pani daala aur ise saaf kiya.Phir apne muh aur dono hathon ku kuhniyon

Samet teen dafa dhoya. Baad azan sir ka masah kiya, phir apne paoon tukhno samet teen baar dhoye. Phir kaha: Rasoolullah ﷺ ne farmaya: "Jo bhi mere is wuzu ki tarah wuzu kare aur iske baad do rakaat ada kare aur inki adaayegi ke dauraan me koi khayal dil me na laye to iske saabiqa tamaam gunaah bakhash diye jayein ge".

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith-159

۩ Janab Hamran hi se riwayat hai ke Jab Hazrat Usman r.a. ne wuzu Karliya to farmaya : Mai tumhe ek hadees na sunao? Agar Quran me ek aayat na hoti to mai wo hadees na sunata. Mai ne Nabi ﷺ Ku ye farmate suna hai : " jo shaks achi tarah wuzu kare aur namaz padhe, to jitne gunah is namaz se doosri namaz tak honge, wo baksh diye jayenge." Hazrat Urwa ne kaha: wo aayat ye hai. :"Beshak wo log jo hamari naazil kardah khuli aayat aur hidayat ku chupate hain, iske baad ke hum kitab me inhi logon ke. liye saaf bayan karchuke hain, in par Allah bhi laanat bhejta hai aur laanat karne wale bhi laanat karte hain".

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith-160

۞BAAB 25: Wuzu ME NAAK SAAF KARNA

Ise Hazrat Usman, hazrath Abdullah bin Zaid aur hazrath Ibn Abbas r.a. ne Nabi ﷺ se bayan kiya hai.

۩ Hazrat Abu Huraira r.a. se riwayat hai , Nabi ﷺ ne farmaya:" ko shaks wuzu kare, wo naak saaf kare aur jo dheele se istenja kare wo taaq dheele le".

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith-161

۞ BAAB 26: ISTENJA ME TAAQ DHEELE ISTEMAAL KARNA

۩ Hazrat Abu Huraira r.a. se riwayat hai, Rasoolullah ﷺ ne farmaya: "Jab tum me se koi wuzu kare to apni naak me pani Dale aur ise saaf kare. aur jo shaks dheele se istenja kare to taaq dheelon se kare. aur Jab tum me se koi sokar uthe to wuzu ke pani me apne hath daalne se pehle inhe dhole kyunki tum me se kisi ku khabar nahi ke raat ke waqt iska hath kaha kaha phirta raha hai".

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith-162

۞ BAAB 27: DONO PAAON DHONE CHAHIYE, QADMO PAR MASAH NAHI KARNA CHAHIYE

۩ Hazrat Abdullah bin Umru r.a. se riwayat hai, unhone kaha: Nabi ﷺ ek safar me hum se piche rehgaye. Phir aap ne hum ku paaliya jubke asar ka waqt khatam ho raha tha. Hum wuzu karne lage aur jaldi jaldi paaon par hath pherne lage.aap ne do ua tesn martaba buland awaaz se pukaar kar kaha : "aediyon ke liye aag ka azaab hai".

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith-163

۞ BAAB 28: Wuzu ME KULLI KARNA

Is hukm ku hazrath Ibn Abbas r.a. aur hazrath Abdullah bin Zaid r.a. ne Nabi ﷺ se naqal farmaya hai .

۩ Hazrat Usman r.a. ke azaad karda ghulam hazrath Hamran se riwayat hai, unhone hazrath Usman r.a. ku dekha ke unhone waU ke liye pani mangwaya , phir ise apne dono hathon par daala aur inhe teen martaba dhoya, iske baad apna dayan hath bartan me daala, kulli ki aur naak me pani chadhaya, phir ise saaf kiya.Baad azan apna chehra teen martaba dhoya, apne dono hath kohniyon tak teen baar dhoye, phir sir ka masah kiya, phir har paaon ku teen dafaa dhoya. Iske baad unhone farmaya: mai ne Nabi ﷺ ku apne is wuzu ki tarah wuzu karte dekha hai, nez Aap ﷺ ne ye bhi farmaya:. "Jis shaks ne mere is wuzu ki tarah wuzu kiya aur do rakaat is taur padhein ke apne dil se baatein na ki, to Allah taala iske saabiqa gunah maaf farmadega.

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith-164

۞ BAAB 29: AEDIYON KA DHONA

Hazrat Ibne Seereen wuzu karte waqt angothi ki jagah bhi dhoya karte the.

۩ Mohamed bin Ziyad kehte Hain: mai ne hazrath Abu Huraira r.a. se suna, Jab wo hamare paas se guzarte aur log bartan se wuzu kar rahe hote to farmaate : logo! wuzu poora karo kyunki Abul Qasim ﷺ ne farmaya : "Khushk aediyon ke liye aag ka azaab hai".

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith-165

۞ BAAB 30: JOOTON PAR MASAH KARNE KE BAJAYE, INHE PEHNE HUE PAAON DHONA

Hazrat Ubaid bin jareeh r.a. se riwayat hai, unhone ek martaba hazrath Abdullah bin Umar r.a. se daryaft kiya: aye abu Abdur Rahman! Mai aapko chaar aisi cheezen karte dekhta hun jo aapke saathiyon me se koi nahi karta. Hazrat Ibne Umar r.a. ne farmaya: Ibne jarerj: wo kya?" Mai ne arz kiya : mai dekhta hun ke aap hajre aswad aur rukne yamani ke ilawa Baitullah ke kisi kone ku hath nahi lagate. Doosre aap sabti joote pehnte hain.

Aur( teesre) zard ghisaab istemaal karte hain. (Chautha) makke me doosre log to zil hajja ka chand dekhte hi ihraam baandh lete hain Magar aap aathween tareeq tak ihraam nahi baandhte. Hazrat Ibne Umar r.a. ne jawaab diya : Baitullah ke kono ku cheene ki baat to ye hai ke Mai ne Rasoolullah ﷺ ku dono yamani rukuno ke alawa aur kisi rukun ku hath lagate huwe nahi dekha. Aur sabati juton ke mutaliq ye hai ke mai ne Rasoolullah ﷺ ku aisi jootiyan pehne dekha jin par baal na the aur aap in me wuzu farmaate the, lehaza mai in jootiyon ku pehenna pasand Karta hun. Aur jahan tak zard khisaab ki baat hai to Mai ne Rasoolullah ﷺ ku zard khisaab istemaal karte dekha hai.isliye mai bhi ise istemaal karna pasand Karta hun.aur ihraam bandhne ki baat ye hai ke Mai ne Rasoolullah ﷺ ku is waqt tak Ihram baandhte nahi dekha Jab tuk aapki sawari aap ku lekar seedhi khadi na hojati.(yaani aathween zul hijja ku).

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith-166

۞ BAAB 31: Wuzu AUR GHUSL ME DAYEIN JANIB SE SHURU KARNA

۩ Hazrat Umme Atiya r.a. se riwayat hai, unhone kaha: Rasoolullah ﷺ ne apni beti ke ghusl ke mutaliq aurton se farmaya: " Ghusl dayein janib aur wuzu ke muqamaat se shuru karein".

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith-167

۩ Hazrat Ayesha r.a. se riwayat hai, unhone farmaya: Jab Nabi ﷺ ne joota pehenna hota, kanghi karni ya paaki hasil karni hoti, algarz aap ku har zeeshan kaam me dayein janib se aagaz karna acha lagta tha.

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith-168

۞ BAAB 32 : NAMAZ KA WAQT AAJANE PAR wuzu TO KE LIYE PANI TALAASH KARNA

Aur Hazrat Ayesha r.a. farmati hain : Subah ki namaz ka waqt aagaya , pani talaash kiya gaya to na mila, aakhir tayammum ki aayat utri.

۩ Hazrat Anas r.a. se riwayat hai, unhone kaha : mai ne Nabi ﷺ Ku is halat me dekha ke namaz e asar ka waqt hochuka tha, logon ne wuzu ke liye pani talaash kiya magar na mila. Aakhir Rasoolullah ﷺ ke paas (ek bartan me) wuzu ke liye pani laaya gaya to Aap ne apna hath Mubarak is bartan me rakh diya aur logon ko hukm diya ke is me se wuzu karein. Hazrat Anas r.a. kehte hain : mai ne dekha ke pani aap ke angusht haaye mubarak ke neeche se phoot raha tha, yaha tak ke sub logon ne wuzu Karliya.

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith-169

۞ BAAB 33: IS PANI KA HUKM JIS SE INSAAN KE BAAL DHOYE GAYE HO.

Hazrat Ata' insaani baalon se soot aur rassiyaan banane me koi harj nahi samajhte the, nez kutton ke jhoote pani aur inke masjid me aane jaane ka hukm.

Hazrat Imam Zahri farmate hain ke Jab kutta bartan me muh daal jaye aur iske alawa pani na ho to ise se wuzu Karliya jaye. Hazrat Sufiyaan r.a. kehte hain: irshad e baari "tum pani na pao to tayammum karlo" se yahi naat samajh me aayi hai kyunke kutte ka jhoota bhi pani hi hail lekin is ke istemaal se dil ne karahat paida hoti hai, lehaza is pani se wuzu bhi karle aur tayammum bhi karle.

۩ Hazrat Ibn e Seereen se riwayat hai, unhone bayan kiya, mai ne Obaida sulaimani se kaha: hamare paas Nabi e Akram ﷺ ke moye mubarak hain jo humein Hazrat Anas r.a. ya inke ahle khana ki taraf se mile hain. Is par Hazrat Obaida r.a. ne kaha : agar mere paas in me se ek baal bhi hota to mujhe duniya wa ma feeha se zyada mahboob hota.

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith-170

۩ Hazrat Anas r.a. se riwayat hai, Jab Nabi e Akram ﷺ ne apna sir mundwaya to sub se pehle Hazrat Abu Talha r.a. ne aapke moye mubarak liye the.

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith-171

۞ BAAB: Jab KUTTA BARTAN ME SE PEELE TO BARTAN SAAT MARTABA DHOYA JAYE

۩ Hazrat Abu Huraira r.a. se riwayat hai, unhone kaha: Rasoolullah ﷺ ne farmaya: " Jab kutta tum me se kisi ke bartan me se peeley, to chahiye ke use saat martaba dhoye".

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith-172

۩ Hazrat Abu Huraira r.a. hi se riwayat hai, wo Nabi ﷺ se bayan karte hain: " ek shaks ne kutte ku dekha jo shiddat e pyaas ki wajah se geeli mitti chaat raha tha, chunanche is shaks ne apna mooza liya aur isme paani bhar bhar Kar ise pilana shuru kardiya yaha tak ke wo khoob sair hogaya. Allah taala ne iske amal ki qadr karte huwe ise jannat ata farmadi" .

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith -173

۩ Hazrat Abdullah bin Umar r.a. se riwayat hai, unhone farmaya: Rasoolullah ﷺ ke zamane me kutte masjid me (peshaab karte) aur aatey jatey the aur sahaba karaam r.a. wahan kisi jagah par pani nahi chidaktey the.

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith-174

۩ Hazrat Adi bin hatim r.a. se riwayat hai, unhone kaha: mai ne Nabi e Akram ﷺ se (kutte ke shikaar ke mutaliq) daryaft kiya to aap ne farmaya: " Jab tu apne sudhaye huwe kutte ku chode aur wo shikaar kare to ise khaley. Agar wo kitta khud isse kuch khale to ise mat kha kyunke ab isne shikaar apne liye kiya hai." Mai ne arz kiya: baaz dafa mai apne kutte ku shikaar ke liye chodta hun, phir iske sath kise doosre kutte ku bhi paata hun? Aap ﷺ ne farmaya: " aise shikaar ku mat kha, kyunke tu ne apne kutte par bismillah padhi thi, doosre kutte par nahi padhi".

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith-175

۞ BAAB 34: JIS SHAKS KA MUQAF HO KE wuzu SIRF IS HADAS SE HAI, JO DONO RAASTON, YAANI QABL YA DABR SE NIKLE

Kyunke irshad e baari taala hai: "ya tum me se koi jaye zaroorat se aaya ho". Aur Hazrat Ataa ne kaha: jiski dabr Se keeda ya azu e mustawar se joon ki tarah koi cheez nikle to wo dobara wuzu kare. Aur Hazrat Jabir bin Abdullah r.a. ne farmaya: agar koi dauraan e namaz me hans de to wo namaz dobara padhe lekin wuzu dobara na kare. Aur Hasan Basri ne kaha : jisne apne sir ke baal mundwaye ya naakhoon katraye ya apne mooze utar daley to is par wuzu ka iaadah nahi. Nez Hazrat Abu Huraira r.a. ne farmaya: Wuzu lazim nahi hota magar hads ( bewazu hone se) . Jabir bin Abdullah r.a. se bayan kiya jaata hai ke Nabi ﷺ Gazwaye zaat iriqaa me the ke wk shaks ku teer laga, is me se bahoot sa khoon baha lekin isne rukoo aur sajda kiya aur namaz padhta raha. Aur Hasan Basri ne kaha: musalmaan apne zakhmo se choor hone ke bawajood hamesha namaz padhte rahe. Taaoos, Mohammed bin Ali, Ataa aur hijaz ke ahle ilm ka kehna hai ke khoon nikalne se wuzu nahi tootta. Hazrat Abdullah bin Umar r.a. ne ek dafa phunsi ku dabaya to is se khoon nikal aaya, lekin unhone wuzu nahi kiya. Aur Hazrat Ibn e Umar r.a. ne khoon thooka, lekin namaz padhte rahe. Hazrat Ibn e Umar r.a. aur Hasan Basri ne kaha: jo koi seengi lagwaye to seengi ki jagah dhodaley.

۩ Hazrat Abu Huraira r.a. se riwayat hai, unhone kaha: Rasoolullah ﷺ ne farmaya: "banda is waqt tak namaz me rehta hai Jab tak wo masjid me namaz ka intezaar karta hai, bashart ye ke ise hads lahaq na ho." Ek ajmi shaks ne sawaal kiya: abu Huraira! Hads kya hai? Farmaya: hads awaaz, yaani goz ku kehte hain.

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith-176

۩ Hazrat Imad bin Tameem apne chacha se riwayat karte hain, Nabi ﷺ ne farmaya: " Jab tak namaz padhne wala (hads ki awaaz na sune, ya badboo mahsoos na kare, is waqt tak apni namaz na chode."

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith-177

۩ Hazrat Mohammed bin Hanifa r.a. se riwayat hai, unhone kaha, Hazrat Ali r.a. ne farmaya Meri mazi bakasrat kharij hoti thi, lekin Rasoolullah ﷺ se iske mutaliq daryaft karne me mujhe sharam aati thi, isliye mai ne Hazrat miqdaad bin aswad r.a. se kaha: tum masla daryaft karo. Unhone poocha to Aap ﷺ ne farmaya: " is me sirf wuzu hai". Aur is hadees ku sheeba ne bhi aameesh se bayan kiya.

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith-178

۩ Hazrat zaid bin Khalid r.a. se riwayat hai, unhone farmaya: mai ne Hazrat Usman r.a. se poocha: agar koi shaks (apni biwi se) jamaa kare lekin ise inzaal No ho to ( is par ghusl hai ya nahi)? Unhone jawab diya: wo namaz ke wuzu ki tarah wuzu kare aur apne azu e mustawar ku dhodaley.phir Hazrat Usman r.a. ne farmaya: mai ne ye maslaa nabi e Akram ﷺ se suna hai. (Hazrat Zaid Ra kehte hain) chunanche mai ye maslaa Hazrat Ali, Hazrat Zubair, Hazrat talha aur Hazrat Abi bin Kaab r.a. se riwayat hai to unhone bhi mujhe yahi jawab diya.

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith-179

۩ Hazrat Abu Saeed khudri r.a. se riwayat hai, Rasoolullah ﷺ ne wk ansari aadmi ku bulaya , wo is halat me hazir hua ke iske sir se pani tapak raha tha. Aap ne farmaya: "shayad hum ne tujhe jaldi me daal diya hai". Isne kaha : ji haan. Rasoolullah ﷺ ne farmaya: "Jab tujhe jaldi me mubtila kardiya jaye ya inzaal ku rok diya jaye to tujh par sirf wuzu Karlena zaroori hai".

Sahih al-Bukhari, kitab al wuzu﴾4﴿, Hadith-180.

۩ Usama bin zaid r.a. se naqal karte hain ke Rasoolullah ﷺ Jab Arafah se laute, to (pahad ki) ghati ki jaanib mud gaye, aur tafaye haajat ki. usama r.a. kahte hain ke phir Aap ﷺ ne wazu kiya aur mai Aap ﷺ par paani daalne laga aur Aap ﷺ wazu farmaate rahe. Mai ne kaha, Ya Rasoolullah ﷺ! Aap ab namaz padhengey? Aap ﷺ ne farmaya namaz ka muqaam tumhare saamne muzdalifah me hai. Waha namaz padhi jayegi.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 181.

۩ Mughaira bin Sheeba r.a. se naqal karte hain ke wo ek safar me Rasoolullah ﷺ ke sath the. Wahan aap rafaye hajat ke liye tashreef le gaye (Jab aap wapas aaye, Aap ﷺ ne wazu shuru kiya) to Mughaira bin Sheeba aap ke (aaza ye wazu) par paani daalne lage. Aap ﷺ wazu kar rahe the, aap ne apne muh aur haathon ku dhoya, sir ka masah kiya aur mauzon par masah kiya.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 182

۩ Kareeb ibn Abbas r.a. ke aazaad kardah Ghulam se naqal karte hain ke Abdullah ibn Abbas r.a. ne inhe khabar di ke unhone ek raat Rasoolullah ﷺ ki jawza e mutahhara aur apni khala hazrath maimoona r.a. ke ghar me guzaari. (Wo farmaate hain ke) mai takiye ke arz (yaani gosha) ki taraf laet gaya aur Rasool e kareem ﷺ aur aap ki ahliya ne (mamool ke mutabiq) takiye ki lambayi par (sir rakh kar) araam farmaya. Rasoolullah ﷺ sote rahe aur Jab aadhi raat hogayi ya is se kuch pahle ya iske kuch baad bedaar huwe aur apne haathon se apni neend ku door karne ke liye aankhen malne lage. Phir aap ne surah Al Imran ki aakhri dus aayatein padhein, phir ek mashkeeza ke paas jo(chat me) latka hua tha aap khade hogaye aur is se wazu kiya, khoob achi tarah, phir khade hokar namaz padhne lage. ibn Abbas r.a. kahte hain mai ne bhi khade hokar isi tarah kiya, jis tarah Aap ﷺ nw wazu kiya tha. Phir jaakar mai bhi aap ke pehluye mubarak me khada hogaya. Aap ne apna dahna hath mere sir par rakha aur mera dayan kaan pakad kar ise madodne lage. Phir aap ne do rakatein padhein. Phir do rakatein padhein. Phir do rakatein, phir do rakatein, phir do rakatein padh kar iske baad aap ne witr padhi aur let gaye, phir Jab muazzin Aap ﷺ ke paas aaya, to aap ne uth kar do rakat mamooli (taur par) padhein. Phir bahar tashreef laakar subah ki namaz padhi.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 183

۩ Asma binte Abi bakr se riwayat hai, wo kehti hai mai ne Rasoolullah ﷺ ki jawza muhtarma aayesha r.a. ke pass aise waqt aayi Jab ke sooraj ku grahan lag raha tha aur log khade hokar namaz padh rahe the, kya dekhti hu ke wo bhi khade ho kar namaaz padh rahi hain. Mai ne kaha ke logon ku kya hogaya hai? To unhone apne hath se Aasmaan ki taraf ishara karke kaha, Subhan Allah! Mai ne kaha : (kya ye) koi (khas) nishani hai? To unhone ishare se kaha ke haan. To mai bhi aap ke sath namaaz ke liye khadi hogayi. (Aap ne itna farmaya ke) mujhe par ghashi taari hone lagi aur mai apne sir par paani daalne lagi. Jab Rasoolullah ﷺ namaaz se farigh huwe to Aap me Allah ki hamd o sana bata ki aur farmaya:., aaj koi cheez aisi nahi rahi jiski mai ne apni isi jagah na dekh liya ho, hatta ke jannat aur dozaq ky bhi dekh liya. Aur mujhe par ye wahi ki gayi hai ke tum logon ku qabron me aazmaya jayega. Dajjal jaisi aazmaish ya is ke qareeb qareeb. (Raavi ka bayaan ye hai ke) mai nahi jaanti ke asma ne kaunsa lafz kaha. Tum me se har ek ke paas Allah ke farishte bheje jayein ge. Aur is se kaha jayega ke tumhara is shaks (yaani Mohammad ﷺ) ke baare me kya khayal hai? Phir asma ne lafz eemandaar kaha ya yaqeen rakhne wala kaha. Mujhe yaad nahi. (Beherhaal wo shaks) kahe ga ke Mohammad ﷺ Allah ke sache rasool hain. Wo hamare paas nishaniyaan aur hidayath ki roshni le kar aaye. Hum ne ise qubool kiya. Eemaan laye, aur (aap ka) itteba kiya. Phir (is se) keh diya jaye ga tu soja halanke Tu mard e saleh hai aur hum jaante the ke tu momin hai. Aur beherhaal munafiq ya shakki aadmi, asma ne kaun sa lafz kaha mujhe yaad nahi. (Jab is se poocha jaye ga) kahega mai kuch nahi jaanta, mai ne logon ku jo kahte suna, wahi mai ne bhi keh diya.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 184

Chapter: To pass wet hands over the whole head during ablution

۩ Umru bin yahya almazni se khabar di, wo apne baap se naqal karte hain ke ek aadmi ne Abdullaah bin Zaid r.a. jo umru bin yahya ke dada hain, se poocha ke kya aap mujhe dikha sakte hai ke Rasoolullah ﷺ ne kis tarah wazu kiya hai? Abdullaah bin zaid r.a. ne kaha ke haan! Phir unhone pani ka bartan mangwaya, pahle pani apne haathon par daala aur do martaba haath dhoye. Phir teen martaba kulli ki, teen martaba naak saaf ki, phir teen dafa apna chehra dhoya. Phir kohniyon tak apne dono hath do do martaba dhoye. Phir apne dono hathon se apne sir ka masah kiya. Is taur par apne haath (pahle) aagey laaye phir peeche le gaye. (Masah) sir ke ibtedayi hisse se shuru kiya. Phir dono haath guddi tak le jakar wahi wapas laye jahan se (masah) shuru kiya tha, phir apne pair dhoye.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 185

39)Chapter: The washing of feet unto the ankles

۩ Umru r.a. se riwayat hai, unhone apne baap (yahya) se khabar di, unhone kaha ke meri me umru bin Abdullaah bin zaid r.a. se Rasoolullah ﷺ ke wazu ke baare me poocha to unhone pani ka tasht mangvayamangvaya aur in (poochne walon) ke liye Rasoolullah ﷺ ka sa wazu kiya. (Pehle tasht se) apne hatho par pani giraya. Phir teen baar hath dhoye, phir apna hath tasht me daala (aur pani liya) , phir kulli ki, naak me paani daala, naak saaf ki, teen chulluon se, phir apna hath tasht me daala aur teen martaba muh dhoya. Phir apne dono hath kuhniyon tak do baar dhoye. Phir apna hath tasht me daala aur sir ka masah kiya. (Pehle) aagey laaye phir peeche le gaye, ek baar. Phir tukhno tak apne dono paaon dhoye.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 186

Chapter: The using of the remaining water after ablution

۩ Abu Juhaifa r.a. se riwayat hai, wo kahte hai ke ek din Rasoolullah ﷺ hamaare paas dopaher ke waqt tashreef laaye to aap ﷺ ke liye wazu ka paani haazir kiya gaya jis se aap ﷺ ne wazu farmaya. Log aap ﷺ ke wazu ka bacha hua paani lekar ise (apne badan par) pherne lage. aap ﷺ ne zuhr ki do raakatein ada ki aur asar ki bhi do rakatein aur aap ﷺ ke saamne (aad ke liye) ek neza tha.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 187.

۩ Aur ek doosri hadees me Abu moosa ashari r.a. kahte hain ke nabi akram ﷺ ne ek pyala mangvaya. Jis me paani tha. Is se aap ﷺ ne apne dono hath dhoye aur isi pyale me muh dhoya aur is me kulli farmayi, phir farmaya, to tum log is ku pi lo aur apne chehron aur seeno par daal lo.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 188

۩ Ibn Shahab se riwayat hai, unhone kaha ke mahmood wahi hain ke Jab wo chote the to Rasoolullah ﷺ ne in hi ke kuwein (ke paani) se in ke muh me kulli daali thi, aur urwa ne is hadees ku masoor waghaira se bhi riwayat kiya hai aur har ek (raawi) in dono me se ek doosre ki tasdeeq karte hain ke Jab Rasoolullah ﷺ wazu farmate to aap ﷺ ke bache huwe wazu ke paani par sahaba r.a. jhagadne ke qareeb hojate the.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 189

۩ Abdur rahman bin yunus r.a. se riwayat hai, wo kahte the ke meri khala Mujhe Nabi kareem ﷺ kisi khidmat me le gayein aur arz kiya ke ya Rasoolullah! Mera ye bhanja beemar hai, Aap ﷺ ne mere sir par apna haath phera aur mere liye barkat ki dua farmayi, phir aap ﷺ ne wazu kiya aur mai ne aap ﷺ ke wazu ka bacha hua paani piya. Phir mai Aap ﷺ ki kamar ke peeche khada hogaya aur mai ne mahar e nabuwwat dekhi jo aap ﷺ ki mundhon ke darmiyaan aisi thi jaise chappar khat ki Ghandi. (Ya kabutar ka anda)

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 190

(41)Chapter: Rinsing one's mouth and putting water in one's nose and cleaning it by blowing the water out with a single handful of water

۩ Abdullaah bin zaid r.a. se naqal karte hain ke (wazu karte waqt) unhone bartan se (pahle) apne dono hatho par paani daala. Phir inhe dhoya. Phir dhoya. ( ya yun kaha ke) kulli ki aur naak me ek challu se paani daala. aur teen martaba isi tarah kiya. Phir teen martaba apna chehra dhoya phir kuhniyon tak apne dono hath do do baar dhoye. Phir sir ka masah kiya. Agli jaanib aur pichli jaanib ka aur tukhno tak apne dono paaon dhoye. Phir kaha Rasoolullah ﷺ ka wazu isi tarah hua karta tha.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 191.

(42)Chapter: The passing of wet hands over the head once only (while performing ablution)

۩ Umru bin Yahya r.a. ne apne baap (yahya) ke waaste se bayan kiya, wo kahte hain ke meri maujoodgi me umru bin hasan r.a. ne Abdullaah bin zaid r.a. se rasool e akram ﷺ ke wazu ke baare me poocha. To abdulla bin zaid r.a. ne paani ka ek tasht mangvaya, phir in (logon) ku dikhane ke liye wazu (shuru) kiya. (Pehle) tasht se apne dono hatho par paani giraya. Phir inge teen martaba dhoya. Phir apne hath bartan ke andar daala, phir kulli ki aur naak me paani daal kar naak saaf ki, teen chulluon se teen dafa. Phir apna haath bartan ke andar daala aur apne muh ku teen baar dhoya. Phir apna haath bartan ke andar daala aur dono haath kohniyon tak do do baar dhoye (phir) sir par masah kiya, is tarah ke (pahle) aagey ki taraf apna haath laaye phir peeche ki taraf le gaye. Phir bartan me apna haath daala aur apne dono paaon dhoye (doosri riwayat me) hum se moosa ne, in se waheeb ne bayan kiya ke aap ne sir ka masah ek dafah kiya.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 192

(43)Chapter: The performance of ablution by a man along with his wife. The utilization of water remaining after a woman has performed ablution. Umar performed ablution with warm water and with water brought from the house of a Christian woman

۩ Abdullah bin umar r.a. se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ke zamane me aurat aur mard sub ek saath(ek hi bartan se) wazu kiya karte the. (Yaani wo mard aur aurtein jo ek doosre ke muharrim hote).

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 193.

(44)Chapter: The sprinkling of remaining water after performing ablution on an unconscious person by the prophet ﷺ

۩ Hazrat Jabir r.a. se riwayat hai, wo kahte the ke Rasoolullah ﷺ meri mizaj pursi ke liye tashreef laaye. Main beemar tha aisa ke mujhe hosh tak nahi tha. Aap ﷺ ne wazu kiya aur apne wazu ka paani mujh par chidka, to mujhe hosh aagaya. Mai ne arz kiya, ya Rasoolullah! Mera waaris kaun hoga? Mera to sirf ek kalala waaris hai. Is par aayat e meeraas naazil huwi.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 194.

(45)Chapter: To take a bath or perform ablution from a Mikhdab (utensil), a tumbler, or a wooden or stone pot

۩ Anas r.a. se riwayat hai, wo kahte hain ke (ek martaba ) namaz ka waqt aagaya, to jis shaks ka makaan qareeb hi tha wo wazu karne apne ghar chala gaya aur kuch log (jin ke makaan door the) reh gaye. To rasool kareem ﷺ ke paas pathar ka ek lagan laya gaya . Jis me kuch paani tha aur wo itna chota tha ke aap is me apni hatheli nahi phailaai sakte the . (Magar) sub ne is bartan ke paani se wazu kar liya, hum ne hazrath Anas r.a. se poocha ke tum kitne nafar the? Kaha assi (80) se kuch zyada hi the.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 195

۩ Abu Moosa r.a. se riwayat hai ke Rasoolullah ne ek pyala mangaya jisme paani tha. Phir isme aap salallahualihiwasullum ne apne dono hatho aur chehre ku dhoya aur isi me kulli ki.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 196.

۩ Abdullaah bin zaid r.a. se riwayat hai, wo kahte hain ke rasool e kareem salallahualihiwasullum (hamaare ghar) tashreef laaye, hum ne aap salallahualihiwasullum ke liye taambe ke bartan me paani nikaala. (Is se) aap salallahualihiwasullum ne wazu kiya. Teen baar chehra dhoya, do do baar haath dhoye aur sir ka masah kiya. (Is tarah ke) pahle aagey ki taraf (hath) laaye. Phir peeche ki jaanib le gaye aur pair dhoye.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 197.

۩ Hazrat ayesha r.a. ne farmaya ke Jab Rasoolullah salallahualaihiwasallum beemaar hue aur aap ﷺ ki beemari zyada ho gayi to aap ﷺ ne apni (doosri) biwiyon se is baat ki ijazat le li ke aap ki teemadaari mere hi ghar ki jaaye. Unhone aap ku ijazat de di. (Ek roz) rasool kareem salallahualaihiwasallam do aadmiyon ke darmiyaan (sahara lekar) ghar se nikle. Aap ke paon (kamzori ki wajah se) zameen par ghaseete jaate the, hazrath Abbas r.a. aur ek aadmi ke darmiyaan (aap baher) nikle the. Ubaidullah (raviye hadees) kahte hain ke mai ne ye hadees abdullah bin abbas r.a. ku sunayi, to wo bole, tum jaante ho wo doosra aadmi kaun tha, mai ne arz kiya ke nahi kehne lage wo Ali r.a. the. Phir hazrath ayesha r.a. bayan farmati thi ke Jab nabi salallahualaihiwasallum apne ghar me daakhil huwe aur aap ﷺ ka marz aur badh gaya.. To aap ﷺ ne farmaya mere upar aisi sath mishkon ka paani daalo Jinke sarband na khole gaye ho. Taake mai (sukoon ke baad) logon ku kuch wasiyyat karu. (Chunanche) aap ku hazrath hafsa r.a. Rasoolullah ﷺ ki (doosri) biwi ke lagan me ( jo taambe ka tha) bitha diya gaya aur hum ne aap par mushkon se paani bahana shuru kiya. Jab aap hum ku ishara farmaane lage ke bus ab tum ne apna kaam poora kardiya to iske baad aap logon ke paas baher tashareef le gaye.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 198

(46)Chapter: To perform ablution from an earthen-ware pot

Hazrat Umru bin Yahya r.a. ne apne baap (yahya) ke waaste se bayan kiya, wo kahte hain ke mere chacha bahoot zyada wazu kiya karte the (ya ye ke wazu me bahut paani bahate the) ek din unhone Abdullaah bin Zaid r.a. se kaha ke mujhe batlaiye Rasoolullah ﷺ kis tarah wazu kiya karte the. Unhone paani ka ek tasht mangvaya. Iski (pahle) apne hathon par jhukaya. Phir dono haath teen baar dhoye. Phir apna haath tasht me daal kar (paani liya aur) ek challu se kulli ki aur teen martaba naak saaf ki. Phir apne hathon se ek challu (paani) liya aur teen baar apna chehra dhoya. Phir kohniyon tak apne dono haath do do baar dhoye. Phir haath me paani l kar apne sir ka masah kiya. To (pahle apne haath) peeche le gaye, phir aage ki taraf le aaye. Phir apne dono paon dhoye. Aur farmaya ke mai ne rasool kareem ﷺ ku isi tarah wazu karte dekha hai.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 199

Hazrat Anas r.a. se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne paani ka ek bartan talab farmaaya. To aap ﷺ ke liye ek chaude muh ka pyala laya gaya jos me kuch thoda paani tha, aap ﷺ ne apni ungliyaan isme daal di. Anas r.a. kahte hain ke mai paani ki taraf dekhne laga. Paani aap ﷺ ki ungliyon ke darmiyaan se photo raha tha. Anas r.a. kahte hain ke is (ek pyala) paani se jin logon ne wazu kiya, wo sattar (70) se assi (80) tak the.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 200

(47) Chapter: To perform ablution with one Mudd of water. (Mudd is practically 2/3 of the kilogram)

Hazrat Anas r.a. ko ye farmaate huwe suna ke rasool kareem ﷺ Jab dhote ya (ye kaha ke) Jab nahate to ek saa' se lekar paanch madd tak (paani istemaal farmaate the) aur Jab wazu farmaate to ek madd (paani) se.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 201

(48) Chapter: To pass wet hands over Khuffain [two leather socks covering the

Saad bin Waqas r.a. se riwayat hai ke rasool kareem ﷺ ne mozon par masah kiya. Abdullaah bin umar r.a. ne apne walid majid umar r.a. se is ke baare me poocha to unhone kaha (sach hai aur yaad rakho) Jab tum se saad r.a. Rasoolullah ﷺ ki koi hadees bayan farmayein to iske mutaliq inke siwa (kisi) doosre aadmi se mat poocho. Moosa bin uqba r.a. kahte hain ke mujhe abu annazar ne bataaya, inhein abu salma ne khabar di ke saad bin abi waqas ne in se (Rasoolullah ﷺ ki ye) hadees bayan ki. Phir umar r.a. ne (apne bete( abdullaah se aisa kaha.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 202

Urwah ibn al Mughaira apne baap se riwayat karte hain ke ek dafa aap ﷺ rafa e haajat ke liye baaher gaye to mughira paani ka ek bartan lekar aap ﷺ ke peeche gaye, Jab aap ﷺ rafa e haajat se faarigh hogaye to mughaira ne (aap ﷺ ku wazu karate huwe) aap ﷺ (ke aazaadi e mubarakah) par paani daala. Aap ﷺ ne wazu kiya aur mozon par masah farmaya.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 203

Hazrat jaafar bin umru bin umaaiyya alzamri r.a. se naqal kiya, inhe inke baap ne qabar di ke unhone rasool kareem ﷺ ku mozon par masah karte huwe dekha. Is hadees ki mutabiat me harb aur aban ne yahya se hadees ki naqal ki hai.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 204

Hazrat jaafar bin umru r.a. apne baap se riwayat karte hai, ke mai ne rasool kareem ﷺ ku apne amama aaur mozon par masah karte dekha. Isku riwayat kiya muammar ne yahya se, wo abu salma se, unhone umru se mutabiat ki aur kaha ke mai ne Rasoolullah ﷺ ku dekha (aap waaqi aisa hi kiya karte the)

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 205

(49) Chapter: If one puts on (Khuff) just after performing ablution (ther is no need to wash one's feet again in ablution) (24 hours for non-travellers and three days for travelers)

Umru bin mughaira apne baap se riwayat karte hai ke mai ek safar me rasool kareem ﷺ ke saath tha. To mai ne chaha (ke wazu karte waqt) aap ﷺ ke moze utar dalu. Aap ﷺ ne farmaya ke inhe rehne do. Chunke Jab mai ne inhe pehna tha to mere paon paak the. (Yaani mai wazu se tha) pas aap ﷺ ne in par masah kiya.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 206

50) Chapter: Not repeating ablution after eating mutton and As-Sawiq

Abdullah bin abbas r.a. se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne bakri ka shaana khaya. Phir namaz padhi aur wazu Nahi kiya.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 207

Hazrat jaafar bin unmaiya ne apne baap umru se khabar di ke unhone Rasoolullah ﷺ ku dekha ke aap ﷺ bakri ka shaana kaat kaat kar kha rahe the, phir aap ﷺ namaz ke liye bulaye gaye to aap ﷺ ne churi daal di aur namaz padhi, naya wazu nahi kiya.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 208

(51) Chapter: Rinsing one's mouth (with water) after eating As-Sawiq without repaying ablution

Suaid bin nemaan r.a. ne inhe khabar di ke fatah kheenar wale saal wo rasool kareem ﷺ ke sath sahba ki taraf, jo kheenar ke kareeb ek jagah hai pahunche. Aap ﷺ ne asr ki namaz padhi, phir nashta mangvaya gaya to siwaye sattu ke air kuch nahi laya gaya. Phir aap ﷺ ne hukm diya to wo bhigo diye gaye. Phir rasool kareem ﷺ ne khaya aur hum ne (bhi) khaya. Phir mughrib (ki namaz) ke liye khade hogaye. Aap ﷺ ne kulli ki aur hum ne (bhi) . Phir aap ﷺ ne namaz padhi aur naya wazu nahi kiya.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 209

Hazrat maimoona r.a. zaujaye rasool kareem ﷺ se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne bataya ke aap ﷺ ne in ke yahan (bakri ka) shaana khaya phir namaz padhi aur naya wazu nahi farmaya.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 210

(52)Chapter: Whether to rinse the mouth after drinking milk

Abdullaah bin abbas r.a. se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne doodh pita, phir kulli ki aur farmaya is me chiknaayi hoti. Is hadees me aqeel ki yunus aur saleh bin keesan se zahri ne mutabiyat ki hai.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 211

(53)Chapter: Ablution after sleep. And whoever considers it unnecessary to repeat ablution after dozing once or twice or after nodding once in slumber

Ayesha r.a. se riwayat hai, unhone naqal kiya ke rasool e kareem ﷺ ne farmaya ke Jab namaz padhte waqt tum me se kisi ku oongh aajaye, to chahiye ke wo so rahe yaha tak ke neend (ka asar) isse khatam hojaye. Isliye ke Jab tum me se koi shaks namaz padhne lage aur wo oongh raha ho to wo kuch nahi jaanega ke wo (khuda se) maghfirat talab kar raha hai ya apne nafs ku bad dua de raha hai.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 212

Hazrat Anas r.a. se riwayat hai, wo Rasoolullah ﷺ ne farmaya ke jun tum namaz me oonghne lago to so jana chahiye. Phir is waqt namaz padhe Jab jaan le ke kya padh raha hai.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 213

54) Chapter: To perform ablution even on having no Hadath

Hazrat Anas r.a. se riwayat hai, unhone farmaya ke rasool kareem ﷺ har namaz ke liye naya wazu farmaaya karte the.mai ne kaha tum log kis tarah karte the, kehne lage hum me se har ek kuis ka wazu is waqt tak kaafi hota, Jab tak koi wazu todne wali cheez pesh na aa jati. (Yaani peshab, pakhana, ya neend waghaira)

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 214

Suaid bin nemaan r.a. ne bataya, unhone kaha ke hum keebar wale saal rasool kareem ﷺ ke humraah Jab sahbah me pahunche to rasool kareem ﷺ ne hume asr ki namaz padhayi. Jab namaz padh chuke to aap ﷺ ne khane mangvaye. Magar (khane me) sirf sattu hi laaya gaya. So hum ne (isi ku) khaya aur piya. Phir rasool kareem ﷺ mughrib ki namaz ke liye khade hogaye. To aap ﷺ ne kulli ki, phir hume mughrib ki namaz padhayi aur (naya) wazu nahi kiya.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 215

(55)Chapter: One of the major sins is not to protect oneself (one's clothes and body) from one's urine (i.e., from being soiled with it)

Ibn abbas r.a. se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ek dafah madeena ya makke ke ek baagh me tashareef le gaye. (Wahan) aap ﷺ ne do shakson ki awaaz suni jinhe unki khabron me azaab diya ja raha tha. Aap ﷺ ne farmaya ke in par azaab ho raha hai aur kisi bade gunah ki wajah se nahi phir aap ﷺ ne farmaya baat ye hai ke ek shaks in me se peshab ke cheenton se bachne ka ihtemaam nahi karta tha aur doosra shaks chughul khauri kiya karta tha. Phir aap ﷺ ne (khajoor ki) ek daali mangvayi aut is ku tod kardo tukde kiya aur in me se (ek ek tukda) har ek ki khabar par rakh diya. Logon ne aap ﷺ se poocha ke ya Rasoolullah! Ye aap ﷺ ne kyun kiya. Aap ﷺ ne farmaya isliye ke Jab tak ye daaliyaan khusi hon shayad us waqt tak in par azaab kum hojaye.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 216.

56)Chapter: What is said regarding washing out urine

Hazrat Anas bin maalik r.a. se riwayat hai ke rasool kareem ﷺ Jab rafa e haajat ke liye baher tashreef le jaate to mai aap ﷺ ke paas paani laata. Aap ﷺ is se istenja farmaate.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 217

Hazrat abdullaah bin abbas r.a. se riwayat hai ke (ek martaba) Rasoolullah ﷺ do qabron par guzre to aap ﷺ ne farmaya ke in dono qabr walon ku azaab diya ja raha hai aur kisi bade gunaah par nahi. Ek to in me se peshab me ihteyaat nahi karta tha aur doosra chughul khauri kiya karta tha. Phir aap ﷺ ne ek hari tehni lekar beech se iske do tukde kiye aur har qabr par ek tukda gaad diya. Logon ne poocha ke ya Rasoolullah! Aap ﷺ ne (aisa) kyun kiya? Aap ﷺ ne farmaya, shayad Jab tak ye tehniyan khushq na ho in par azaab me kuch takhfeef rahe.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 218

(57)Chapter: The Prophet (saw) and the people left the bedouin undisturbed till he finished urinating in the mosque

Hazrat Anas bin malik r.a. se riwayat hai ke nabi kareem ﷺ ne ek dehaati ku masjid me peshab karte huwe dekha to logon se aap ﷺ ne farmaya ise chod do jun wo faarig hogaya to pani mangaakar aap ne (is jagah) baha diya.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 219

58)Chapter: The pouring of water over the urine in the mosque

Hazrat Abu Huraira r.a. se farmaya ke ek aeraabi khada hokar masjid me peshab karne laga, to log us par jhapatne lage,. (Ye dekh kar) rasool kareem ﷺ ne logon se farmaya ke ise chod do aur iske peshab par paani ka bhara huwa doal ya kuch kum bhara hua dol baha do. Kyunke tum narmi ke liye bheje gaye ho, sakhti ke liye nahi.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 220

Hazrat Anas bin maalik r.a., rasool kareem ﷺ se riwayat hai ke ek dehaati shaks aaya aur isne masjid ke ek kone me peshab kardiya. Logon ne isku mana kiya to rasool kareem ﷺ ne inhe rok diya. Jab wo peshab karke faarigh hua to aap ﷺ ne is (ke peshab) par ek dol paani bahane ka hukm diya. Chunanche baha diya gaya.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 221

59) Chapter: The urine of children

Ummul momineen hazrath ayesha r.a. se riwayat hai ke rasool kareem ﷺ ke paas ek bacha laya gaya. Is ne aap ﷺ ke kapde par peshab kardiya to aap ﷺ ne paani mangaya aur is par daal diya.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 222

Hazrat Ubaidullah bin Abdullaah r.a. se riwayat hai, wo umme qais binte muhsin naami ek khatoon se ke wo rasool kareem ﷺ ki khidmat e aqdas me apna chota bacha lekar aayi, jo khana nahi khata tha. (Yaani sheerkhuar tha) rasool kareem ﷺ ne use apni god me bithaliya. Is bache ne aap ﷺ ke kapde par peshab kardiya. Aap ﷺ ne paani mangakar kapde par chidak diya aur ise nahi dhoya.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 223

(60)Chapter: To pass urine while standing and sitting

Hazrat huzaifa r.a. se riwayat hai ke nabi kareem ﷺ kisi qaum ki kaudi par tashreef laaye(pus) aap ﷺ ne waha khade hokar peshab kiya. Phir paani mangaya. Mai aap ﷺ ke paas paani lekar aaya to aap ﷺ ne wazu farmaya.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 224

61)Chapter: To urinate beside one's companion while screened by a wall

Hazrat huzaifa r.a. se riwayat hai, wo kahte hain ke (ek martaba) mai aur rasool kareem ﷺ ja rahe the ke ek qaum ki kaudi par (jo) ek deewaar ke peeche (thi) pahunche. To aap ﷺ is tarah khade hogaye jis tarah hum tum me se koi (shaks) khada hota hai. Phir aap ﷺ ne peshab kiya aur mai ek taraf hat gaya tub aap ﷺ ne mujhe ishara kiya to mai aap ﷺ ke paas (parde ki garz se) aap ﷺ ki ediyon ke qaree khada ho gaya. Yahan tak ke aap ﷺ peshab se faarigh hogaye. (Bawaqt e zaroorat aisa bhi kiya ja sakta hai).

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 225

(62)Chapter: To urinate near the dumps of some people

Abi moosa ashari peshab ke baare me sakhti se kaam lete the aur kahte the ke bani israel me Jab kisi ke kapde ku peshab lag jaata, to ise kaat daalte. Abi huzaifa r.a. kahte hain ke kaash! Wo apne is tashaddud se ruk jaate ( kyunke( Rasoolullah ﷺ kisi qaum ki kodi par tashreef laaye aur aap ﷺ ne waha khade hokar peshab kiya.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 226

63)Chapter: The washing out of blood

Hazrat Fathima r.a. ne asma ke waste se, wo kehti hai ke ek aurat ne rasool kareem ﷺ ki khidmat me haazir hokar arz ki ke huzur farmaiye hum me se kisi aurat ku kapde mehaiz aajaye (to) wo kya kare, aap ﷺ ne farmaya (le pahle) ise khurche, phir paani se ragde aur paani se dho daale aur isi kapde me namaz padhle.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 227

Hazrat Ayesha r.a. se naqal hai, wo farmati hain ke Abu habeesh ki beti Fathima Rasoolullah ﷺ ki khidmat me haazir hui aur isne kaha ke mai ek aisi aurat hoon jise istehaza ki beemari hai. Isliye mai paak nahi rehti to kya mai namaz chod du? Aap ﷺ ne farmaya nahi, ye ek rag (ka khoon) hai haiz nahi hai. To jun tujhe haiz aaye to namaz chod de aur Jab ye din guzar jayein to apne (bafan aur kapde) se khoon ku dho daal phir namaz padh. Hisham kahte hain ke mere baap urwa ne kaha ke huzur ﷺ ne ye (bhi) farmaya ke phir har namz ke liye wazu kar yaha tak ke wahi (haiz ka) waqt phir aajaye.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 228

(64)Chapter: The washing out of semen with water and rubbing it off (when it is dry) and the washing out of what comes out of women (i.e., discharge)

Hazrat Ayesha r.a. se riwayat hai, aap farmati hain ke mai rasool kareem ﷺ ke kapde se janabat ku dhoti thi. Phir (isku pehen kar) aap ﷺ namaz ke liye tashreef le jaate aur paani ke dhabbe aap ﷺ ke kapde me hote the.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 229

Hazrat Umru bin sulaimann r.a. se riwayat hai, unhone kaha ke mai ne hazrath ayesha r.a. se suna (doosri sanad ye hai) sulaimann bin yasar ke waste se naqal kiya, wo kahte hain ke mai ne hazrath ayesha r.a. se is maani ke baare me poocha jo kapde ku lag jaye. To unhone farmaya ke mai maani ku rasool kareem ﷺ ke kapde se dho daalti thi phir aap namaz ke liye baaher tashreef le jaate aur dhone ka nishaan (yaani) paani ke dhabbe aap ﷺ ke kapde me baaqi hote.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 230

(65) Chapter: If the (traces of) Janaba (semen) or other spots are not removed completely on washing

Hazrat Umru bin maimoon r.a. se riwayat hai ke wo kahte hain ke mai ne is kapde ke mutaliq jisme janabat (napaki) ka asar aagaya ho, sulaimaan bin yasar se suna wo kahte the ke hazrath ayesha r.a. ne farmaya ke mai rasool kareem ﷺ ke kapde se mani ku dho daalti thi phir aap ﷺ namaz ke liye baher nikalte aur shone ka nishaan yaani paani ke dhabbe kapde me hote.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 231

Hazrat Sulaimaan bin yasar , hazrath ayesha r.a. se riwayat karte hain ke wo rasool kareem ﷺ ke kapde se mani ku dho daalti thi (wo farmaati hain ke) phir (kabhi) mai ek dhabbe ya kayi dhabbe dekhti thi.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 232

(66)Chapter: (What is said) about the urine of camels, sheep and other animals and about their folds

Hazrat Anas r.a. se riwayat karte hain ke kuch log akal ya areena (qabeelon) ke madine me aaye aur beemaar hogaye. Rasoolullah ﷺ ne inhe liqaah me jaane ka hukm diya aur farmaya ke wahan unton ka doodh aur peshab piyen. Chunanche wo liqah chale gaye aur Jab ache hogaye to rasool kareem ﷺ ke charwahe ku qatal karke wo jaanwaron ku haank kar legaye. Ali as subah rasool kareem ﷺ ke paas (is waqiye ki) khabar aayi. To aap ne inke peeche aadmi daudaye. Din chade wo huzoor ﷺ ki khidmat me pakad kar laaye gaye. Aap ke hukm ke mutabiq inke haath paon kaat diye gaye aur aankhon me garam salakhein pher di gayi aur (madine ki ) phathreeli zameen me daal diye gaye. (Pyaas ki shiddat se) wo paani maangte magar inhe paani nahi diya jaata tha. Abu qalaba ne (inke jurm ki sangeeni zaher karte huwe) kaha ke in logon me chori ki aur charwahon ku qatal kiya aur (aakhir) imaan se phir gaye aur Allah aur iske rasool se jung ki.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 233.

Hazrat Anas r.a. se khabar di, wo kahte hain ke Rasoolullah ﷺ masjid ki taameer se pahle namaz bakriyon ke baade me padh liya karte the. (Maloom hua ke bakriyon waghaira ke baade me bawaqt e zaroorat namaz padhi ja sakti hai).

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 234.

(67)Chapter: An-Najasat (impure and filthy things) which fall in cooking butter (ghee - which is obtained by evaporating moisture from butter) and water

Ummul momineen hazrath maimoona r.a. se riwayat hai ke rasool kareem ﷺ se chuhe ke baare me poocha gaya jo ghee me gir gaya tha. Farmaya isku nikaal do aur iske aas paas (ke ghee) ku nikaal phenko aur apna (baqi) ghee istemaal karo

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 235

Hazrat maimoona r.a. se riwayat hai ke rasool kareem ﷺ se chuhe ke baare me daryaft kiya gaya jo ghee me gir gaya tha. Aap ﷺ ne Farmaya ke is chuhe ku nikaal do aur iske aas paas (ke ghee) ku nikaal phenk do. Mueen kahte hain ke maalik ne itni baar kaha ke mai ginn nahi sakta. (Ye hadees) ibn abbas r.a. se aur unhone hazrath maimoona r.a. se riwayat ki hai.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 236

Hazrat Abu huraira r.a. se riwayat hai k Rasoolullah ﷺ ne farmaya har zakhm jo Allah ki raah me musalmaan ku lage wo qayamat ke din isi haalat me hoga jis tarah wo laga tha. Is me se khoo behta hoga. Jis ka rang (to) khoon ka sa hoga aur khushboo mashk ki si hogi.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 237

68)Chapter: Urinating in stagnant water

Hazrat Abu huraira r.a. se riwayat hai, unhone Rasoolullah ﷺ se suna ke aap farmate the ke hum (log) duniya me pichle zamane me aaye hain (magar aakhirat me) sub se aagey hai.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 238

Aur Isi sanad se (ye bhi) farmaya ke tum me se koi tehre huwe paani me jo jaari na ho peshab na kare. Phir isi me ghusl karne lage?

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 239

(69)Chapter: If a dead body or a polluted thing is put on the back of a person offering Salat (prayer), his Salat will not be annulled (rejected by Allah)

Hazarat abdullah se riwayat hai, wo kahte hain ke ek dafah rasool kareem ﷺ kaaba shareef me sajdah me the. (Ek doosri sanad se) abdullaah ibn masood r.a. ne in se ye hadees bayan ki ke ek dafah rasool kareem ﷺ kaabe ke nazdeek namaz padh rahe the aur Abu jahl aur iske saathi (bhi wahi) baithe huwe the. To in me se ek ne doosre se kaha tum me se koi shaks hai jo qabile ki (jo) oontni zabah huwi hai (iski) oojhdi utha laaye aur (la kar) Jab mohammad ﷺ sajde me jayein to inki peeth par rakh de. Ye sun kar in me se ek subject se zyada bad bakht (aadmi) utha aur wo Oojhdi lekar aaya aur dekhta raha Jab aap ne sajdah kiya to isne is oojhdi ku aap ke dono kandhon ke darmiyaan rakh diya(abdullaah ibn masood r.a. kahte hai) mai ye (sub kuch) dekh raha tha magar kuch na kar sakta tha. Kash! (Us waqt) mujhe rokne ki taqat hoti. Abdullaah r.a. kahte hain ke wo hansne lage aur (hansi ke maare) lot pot hone lage aur Rasoolullah ﷺ sajde me the (bojh ki wajah se) apna sir utha nahi sakte the. Yahan tak ke hazrath fatima r.a. aayein aur wo bojh aapki peeth se utaar phenka, tub aap ﷺ ne air uthaya phir teen martaba farmaaya. Ya Allah! Tu quraish ku pakadley, ye (baat) in kaafiron per bahut bhari hui ke aap ﷺ ne unhe bad dua di. Abdullaah r.a. kahte hain ke wo samajhte the ke is shaher (makke) me jo dua ki jaayewo zarur qubool hoti hai. Phir aap ne (in me se) har ek ka (juda juda) naam liya ke aye Allah! In zalimon ku zaroor hilak kardey. Abi jahal, utbah bin rabee, sheeba bin rabee, waleed bin utbah, ummaiyya bin khalf aur uqbah bin abi mueet. Ku. Satven aadmi ka naam bhi kiya magar mujhe yaad nahi raha. Is zaat ki qasam jiske qabse me meri jaan hai ke jin logon ke (bad dua karte waqt) aap ﷺ ne naam liye the, mai ne inki (laashon) ku bade ke kunve me pada hua dekha

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 240

(70)Chapter: Spitting or blowing out the nose or doing similar action in one's own garment

Hazrat Anas r.a. se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne (ek martaba) apne kapde me thuka. Abi abdullaah imam bukhari r.a. ne farmaya ke sayeed bin abi maryam ne is hadees ku tawalat ke sath bayan kiya unhone kaha hum ku khabar di yahya bin ayyub ne, kaha mujh se hameed ne bayan kiya, kaha mai ne Anas se suna, wo aanhazrath ﷺ se riwayat karte hain.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 241

(71)Chapter: It is unlawful to perform ablution with Nabidh (water in which dates or grapes etc, are soaked and is not yet fermented) or with any other intoxicant

Hazrat ayesha r.a. se riwayat hai wo kehti hain ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya ke peene ki har wo cheez jo nasah laane wali ho haraam hai.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 242

(72)Chapter: Washing blood by a women off her father's face

Hazrat sahal bin sad saadi r.a. se suna ke logon ne in se poocha, aur (mai is waqt sahal ke itne qareeb tha ke) mere aur inke darmiyaan koi doosra hayel natha ke Rasoolullah ﷺ ke (uhud ke) zakhm ka ilaaj kis dawa se kiya gaya tha. Unhone kaha ke is baat ka janne wala (ab) mujh se zyada koi nahi raha. Ali r.a. apni dhaal me paani laate aur hazrath fatima r.a. aap ﷺ ke muh se khoon dhotein phir ek boriya ka tukda jalaya gaya aur aap ﷺ ke zakhm me bhar diya gaya.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 243

(73)Chapter: Siwak (to clean the teeth with Siwak which is a tooth-brush in the form of a pencil from the roots of the Arak tree

Hazrat abi barda r.a. apne baap se naqal karte hain ke mai (ek martaba) rasool kareem ﷺ ki khidmat me haazir hua to mai ne aap ku apne haath se miswak karte huwe paaya aur aap ﷺ ke muh se aa' aa' ki awaaz nikal rahi thi aur miswak aap ﷺ ke muh me thi jis tarah aap ﷺ qai kar rahe ho.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 244.

Hazrat huzaifa r.a. se riwayat karte hain ke rasool kareem ﷺ Jab raat ku uthte to apne muh ku miswak se saaf karte.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 245

(74)Chapter: To give Siwak to the oldest person of the group

Ibn umar r.a. se riwayat hai ke rasool kareem ﷺ ne farmaya ke mai ne dekha ke (khwaab me) miswak kar raha hu to mere pass do aadmi aaye. Ek in me se doosre se bada tha, to mai ne chote ku miswak de di phir mujh se kaha gaya ke bade ku do. Tub mai ne in me se bade ku di.

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 246

(75)Chapter: The superiority of a person who sleeps with ablution.

Hazrat Baraa' bin aazin r.a. se riwayat hai, wo kahte hain ke rasool kareem ﷺ ne farmaya ke Jab tum apne bistar par letne aao to is tarah wazu karo jos tarah namaz ke liye karte ho. Phir daahni karwat par let kar yun kaho

«اللهم أسلمت وجهي إليك ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ وفوضت أمري إليك ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ وألجأت ظهري إليك ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ رغبة ورهبة إليك ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ لا ملجأ ولا منجا منك إلا إليك ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ اللهم آمنت بكتابك الذي أنزلت ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ وبنبيك الذي أرسلت‏»

Aye Allah! Mai ne apna che

hra teri taraf jhuka diya. Apna maamla tere hi supard kardiya. Mai ne tere sawaab ki tawaqqo aur tere azaab ke darr se tujhe hi pusht panah bana liya. Tere siwa kahi panah aur nijaat nahi. Aye Allah! Jo kitab Tu ne naazil ki mai is par imaan kaaya. Jo nabi Tu ne bheja mai is par iman laya. To agar is haalat me isi raat mar gaya to fitrat par marega aur is dua ku sub baton ke aakhir me padhe. Hazrat Barra' bin aazib r.a. kahte hain ke mai ne Rasoolullah ﷺ ke saamne is dua ku dobara padha. Jab mai

” «اللهم آمنت بكتابك الذي أنزلت

Par pahuncha to mai ne «ورسولك‏» Ka lafz keh diya. Aap ﷺ ne farmaya, nahin (yun kaho) «ونبيك الذي أرسلت» ۔

Sahih al Bukhari Book 4, Hadees 47, No. 247.

•٠•●●•٠•

Post a Comment