Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

KITAAB-AL-HAWAALA- 38


38. KITAAB-AL-HAWAALA


(1) BAAB : KISI DUSRE KI TARAF APNA QARZ MUNTAQIL KARNA, NEZ KYA HAWALE MEIN  RUJOO KAR SAKTA HAI ?


Imaan Hasan Basri aur Hazrat Qatada ne kaha hai ke jisne hawala kiya agar mahaal alaih us din maaldaar tha to hawala jayez hai. Hazrat Ibn-e-Abbas r.a. ne farmaya : do (2) shareek ya wirasat paane wale is tarah taqseem kar sakte hain ke ek naqad sarmaya le aur dusra qarz qubool kar le. Is surat mein agar kisi ek ka maal zayaa ho gaya to wo apne saathi ki taraf rujoo nahi kar sakta.


۞ Hazrat Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya : "Maaldar ka (Apna qarz ada karne mein) taal matol karna zulm hai aur jab tum mein se kisi ko maaldaar ke hawale kiya jaaye to hawala qubool kar le."


Sahih al-Bukhari, 2287
Vol. 2, Book 38, Hadith 2287


(2) BAAB : AGAR MAIYYAT KE QARZ KA HAWALA KISI ZINDA SHAKHS PAR KIYA JAAYE TO JAYEZ HAI, NEZ JAB KOI APNA QARZ KISI MAALDAAR KE HAWALE KARTA TO USE MUSTARD NAHI KARNA CHAHIYE


۞ Hazrat Abu Hurairah r.a. se riwayat hai, wo Nabi ﷺ se bayaan karte hain ke Aap ne farmaya : "Maaldaar ka (qarz ko ada karne mein) takheer karna zulm hai, phir agar tum mein se kisi ko maaldaar par hawala diya jaaye to chahiye ke qubool kare."


Sahih al-Bukhari, 2288
Vol. 2, Book 38, Hadith 2288


(3) BAAB : MAIYYAT PAR JO QARZ HAI ISKA HAWALA KISI (ZINDA) SHAKHS PAR KARNA JAYEZ HAI


۞ Hazrat Salma Bin Akwaah r.a. se riwayat hai, unhone kaha : Hum Nabi ﷺ ke pass baithe huye the ke ek janaza laaya gaya. Logon ne arz kiya : Aap is par namaz-e-janaza padhen. Aap ne farmaya : "Kya is par koi karz hai ?" Logon ne kaha: koi nahi. Aap ne farmaya: "Isne kuch maal chhora hai ?" logon ne arz kiya: Nahi, to Aap ne is par namaz-e-janaza padhi. Phir ek aur janaza laaya gaya to logon ne arz kiya : Allah ke Rasool ! Is par namaz-e-janaza padhen. Aap ne farmaya: "Aaya iske zimme qarz hai ?" Bataya gaya : Haan, (yeh qarzdaar hai) Aapne pucha: "Isne kuch maal chhora hai ?" Logon ne kaha : haan, teen (3) dinaar. Aap ne is par bhi namaz-e-janaza padhi. Phir teesra janaza laaya gaya. Logon ne arz kiya : Aap is par namaz-e-janaza padhen. Aap ne farmaya : "Kya isne koi cheez chhori hai?" Unhone kaha : Nahi. Aap ne farmaya : "Kya is par qarz hai ?" Unhone kaha : teen (3) dinaar. Aap ne farmaya : "Tumlog apne saathi ki namaz-e-janaza khud padh lo." Hazrat Abu Qatada r.a. ne arz kiya : Allah ke Rasool ! Is par namaz-e-janaza padhen. Mai iska qarz apne zimme leta hun. Tab Aapne iski namaz-e-janaza padhi.


Sahih al-Bukhari, 2289
Vol. 2, Book 38, Hadith 2289



Post a Comment