اقرأ باسم ربك الذي خلق
KITABUL JANAIZ
Janaze se mutalique ahkam Wa masayl
BAAB : 1. Jis ka aakhari kalam " La Illaha illalla Muhammadur Rasul Allah ho
Hazrat Wahab Bin Munbah se pucha gya :la illaha illalla jannat ki chabhi nahi ? unhone ne farmaya : kyun nahi , lekin har chabhi ke dandane hote h. Agar tu aisi chabhi laye jiske dandane hai toh taala khul jayega basurat digar nahi khulega.
Hazrat Abu zar r.a. se riyawat hai, ke unhone kaha: Rasul ﷺ ne farmaya: "mere Rabb ki taraf se mere pass aane wala aaya aur mujhe kushkhabri di ke meri ummat me se Jo shakhs baye halat faut ho ki woh Allah k sath kisi ko sharik na karta ho to wo Jannat me dakhil hoga." Maine araz kiya : agarcha is ne zina kiya ho aur Chori ki ho? Aap ne farmaya:" haan agarcha usne zina kiya ho aur chori ki ho"-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book no. 23, Hadith 1237
Hazrat Abdullah Bin Masood r.a. se riwayat hai , unhone kaha: Rasul Allah ﷺ ne farmaya : " Jo shakhs is haal me faut ho ki wo Allah ke sath shirk krta ho, wo dozakh me dakhil hoga." Mai kehta hun : Jo shakhs is haal me faut ho ki Allah kisi ko sharik na karta ho , wo Jannat me dakhil hoga.
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book no. 23 Hadith 1238
BAAB : 2. JANAZE MEIN SHARIK HONE ka HUKM
Hazrat Bara Bin Aazib r.a. se riwayat hai, unhone farmaya ﷺ ne hamein saat baaton ka hukm dia or saat baaton se mana farmaya . Jin baaton ka hukm dia wo : Janaze ke hamrah jana , Mariz ki aayadat Karna , Dawat qubool Karna, Mazloom ki madat Karna, salam ka jawan dena or chikane walo ke liye dua Karna hai. Or Jin chizo ke liye mana farmaya wo: Chandi ke bartano ka istemal Karna or sone ki anghoti, resham , Daiba , qazr or istabrak ( pehanna) hai.
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book no.23 Hadith 1239
Hazrat Abu Hurairah r.a. se riwayat hai , uhnone ne kaha : mai ne Rasul Allah ﷺ ko farmate hue suna “Musalman ke musalman per panch haq hein : salam ka jawab dena , mareez ki ayadat krna , janaze me shareeq hona , Dawat ka qubool karna ,aur cheenk ne wale ko dua krna’’_
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book no.23 Hadith 1240
BAAB : 3. WAFAT KE BAAD JAB MAYYAT KAFAN MEIN LAPAIT DI JAYE TOH US KE PASS JANA
Hazrat A’isha r.a. se riwayat hai keh Hazrat Abu Bakr r.a. apne muqam sanah wale ghar se ghore par sawar ho kar aaein or sawari se utar kar masjid mein dakhil huye , logon se koi baat na ki hatta keh Hazrat A’isha r.a. ke pass gaye or Nabi ﷺ ka Kasad kia . Aap ko dharidar yamani chadar mein lapaita gaya tha . unho ne chadar chadar hatakar chehra khola or jhuk kar Aap k bosah diya , phir ro parey or farmaya: Allah ke Nabi! Mere Maa Baap Aap par Qurbaan ! Allah Ta’ala Aap par do mautein Jama nahi karega . Baharhaal ek dafa jo maut Aap ke muqadar mein thi wo aa chuki h.
Sahih Bukhari
Vol 2, Book no. 23 ,Hadith no 1241
Rawi Abu Salama kahte hai : Mujhe Hazrat Ibn Abbas r.a. ne bataya keh jab Hazrat Abu Bakr r.a. bahir aaye toh Hazrat Umar r.a. logon se baatein kar rahe the – Inse farmaya beith jao – unhon ne (beithne se) inkar kr diya –aaapne inhe dubarah baithne ko kaha lakin wo na baithe – toh hazrat Abu Bakar r.a. ne khutbah dena shuru ker diya ,chunanchah log Hazrat Umar r.a. ko chor kr Aap ki taraf motawajjah hogaye – Hazrat Abu Bakar ne amabad ke baad farmaya :tum me se jo koi Hazrat Muhammad ﷺ ki aibadat krta tha to Hazrat ab wafat pa chuke hein aur jo shakhs aur jo shakhs Allah Azwajal ki abadat krta tha to woh zindah jawaid hai – ise mout nhi aayegi – aur Mohammad ﷺ ek Rasul hi toh hein –inse pehle bhi bohot se rasul guzar chuke hein – agar who wafat pa jayen ya Shaheed ho jayen toh kya tum ultey paon phir jao ge ? aur koi ultay paon phir jaye ga toh Allah ka kuch nhi bigar sakta aur shukar guzaron ko jald hi acha badlah dega – Allah ki qasam ! goya log pahle jantey hi na the keh Allah ta’ala ne yeh aayat nazil fermaye hai hatta ke Abu Bakar r.a. ne isse padha aur un longon ne yeh aayat sikhi – phir her shakhs ki zuban per iss aayat ka wird tha –
Sahih Al Bukhari
Vol 2, Book no.23 ,Hadith no 1242
Hazrat Umme a’laa r.a. se riwayat hai keh :jab muhajreen bzariyah qurah andazi taqseem huye toh hamare hisse mein Hazrat Usmaan Bin Mazun r.a. aaye jinhe hum apne ghar le aaein or wo achanak marz wafaat mein mubtala ho gaye – Jab wo faut huye toh unhe ghusl diya gaya or unhi ke kapron me kafnaya gaya- Dare Asna Rasul Allah ﷺ tashreef laye toh main ne kaha: Aye Abu Sayab ! Tum par Allah ki rehmat ho- Tumhare liye meri shahadat yeh hai keh Allah Ta’ala ne tumhe Sarfaraz kar diya- Rasul Allah ﷺ ne farmaya:”tumhe kya malum keh Allah Ta’ala ne unhe unhe izzat di hai”? Main ne arz kiya : Allah ke Rasul : Mere Maa Baap Aap par qurbaan hon! Toh phir Allah kaise Sarfaraz karega ? Aaap, ﷺ ne farmaya :”
“Bilashuba unhe acchi halat me mautein aai hain.- Wallah! Main bhi un ke liye bhalai ki umeed rakhta hun- Lekin Allah ki Qasam! Main Allah ka Rasul ho kar bhi apne mutalliq nahi janta ki mere bare me kya muamlah kiya jayega?’’ Hazrat Imam A’ala r.a. kahti hai: Allah ki qasam! Uske baad maine isi ke paakbaaz hone ki khabar nahi di- Saeed Bin Afeer ne bhi lace se isi tarah bayaan kiya hai-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1243
Hazrat Jabir Bin Abdullah r.a. se riwayat hai, unhone farmaya: Mere Walid jab (GAZWA AHAD MEIN) Shaheed huye toh main bar bar unke chehre se hatata tha or rota tha- Log mujhe us se mana karte the lekin Nabi ﷺ mujhe mana nahi farmate the- Phir meri phupi Hazarat Fatimah r.a. bhi rone lagi toh Nabi ﷺ ne farmaya: “Toh roya na ro farishte toh un par apne paron ka saaya kiye rahe hatta keh tum ne unhe utha liya_”
Ibn Jarij ne shuabah ki mutabiyat ki hai- unho ne kaha: Mujhe Muhammad Bin Munkadar ne Khabar di ki unhone Hazrat Jabir r.a. se suna.
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1244
BAAB : 4 – JO SHAKHS MAYYAT KE AZEEZO KO USKE MARNE KI KHUD KHABAR DE
Hazrat Abu Hurairah r.a. se riwayat hai keh RAsul Allah ﷺ ne Hazrat Nezashi ke faut hone ki khabar sunai jis din wo faut huye the – Phir Aap Eidgaah tashreef le gaye , Safayein durust karn ke baad chaar takbeerein kahin or uski namaz janazah adaa ki –
Sahih Al Bukhari
Vol 2, Book no.23,hadith 1245
Hazrat Anas bin malik r.a. se rawaiyat hai , unhon ne kaha: Nabi ﷺ ne farmaya : (jungh motah mein) pahle Hazrat Zaid r.a. ne jhanda uthaya aur who Shaheed ho gaye – phirr Hazrat jaafer r.a. ne jhanda uthaya aur who bhi Shaheed ho gaye……akhir me Hazrat Abdullah bin rawaha r.a. ne jhanda uthaya toh who bhi Shaheed ho gaye…… iss waqt Rasoollah ﷺ ki aankhen ashkbar thin…….phir Hazrat khalid bin waleed ﷺ ne salari ke baghair hi jhanda uthaya toh unke haathon fatah hui’’ –
Sahih Al Bukhari
Vol 2, Book no. 23, Hadith 1246
BAAB : 5 – JANAZE KI ITTALA DENA
HAZRAT ABU RAFAYE SAYADNA ABU HURAYRAH R.A. SE RAWAYAT KARTE HEIN , UNHON NE KAHA :
NABI ﷺ NE FARMAYA “TUM LOGON NE MUJHE (NAMAZE JANAZAH KI) ITTALAH KYUN NAH DEE.
Hazrat Ibn Abbas r.a. se riwayet hai, unhon ne kaha :Rasoollah ﷺ ek shakhs ki ayadat kiya krte the –wo raat ki waqat fout ho gaya toh logon ne isse raat hi ko dafan kr diya – jab subha hui toh unhon ne iss ke mutalique Rasool ﷺ ko ittalah dee – Aap ne fermaya mujhe (raat ke waqt hi) khabar dene se tumhe kis cheez ne baaz rakha ?” unhon ne araz ki : raat ka waqat tha aur sakht andhera tha , isliye hamne aapko takleef dena munaseeb nah samjha – chunanchah aa piss ki qabar per tashreef le gaye aur namaz janazeh padhi –
Sahih Al Bukhari
Vol 2, Book no. 23,hadith 1247
BAAB : 6 – ISS SHAKHS KI FHAZILAT JIS ka KOI BACHCHA MAR JAYE TOH WHO SAWAB KI UMEED SE SABAR KARE
IRSHAAD BARI TAALA HAI : “ AAP SABAR KARNE WALON KO KHUSHKHABREE SUNA DEIN”-
Hazrat Anas r.a. se riwayat hai , unhone kaha : Nabi ﷺ ne farmaya : “Jis Musalman ke teen nabaligh bacche mar jaye to Allah T’ala baccho par anayat zyada hone ke baayes usey Jannat me dakhil farmayega”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No. 23 Hadith 1249
Hazrat Abu Saeed Khudri r.a. se riwayat hai keh aurton ne Nabi ﷺ se arz kiya : Hamare liye koi din muqarar fama diye , chunancha Aap ne unhe wa’az kiya or farmaya : “ Jis aurat ke teen bacche mar jaye wo dozakh ki aag se is ke liye rukawat ban jayenge”- Ek aurat ne kaha: do bhi? Aap ne farmaya : “ do bho ( Hijab baneyenge)”-
Hazrat Sharik ki Sindh se hai ki Hazrat Abu Saeed Khudri or Hazrat Abu Hurairah r.a. Nabi ﷺ se bayan farmate hai- Hazrat Abu Hurairah r.a. ki riwayat mein hai: “ wo bacche jo baloogh ko na pahunche hon”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1250
Hazrat Abu Hurairah r.a. se riwayat hai , wo Nabi ﷺ se bayan karte hain keh Aap ne farmaya : “ Jab kisi Musalman ke teen bacche faut ho jaye wo dozakh mein dakhil nahi hoga – Sirf qasam ko pura karne ke liye dozakh pew arid hoga”-
Abu Abdullah ( Imam Bukhari ) ne Farmaya : Is se murad hai , Allah ka farman : “ Or tum mein se har shaksh us ( Jahannam) par warid hone wala hai “-
BAAB : 7 – QABAR KE PASS MARD ka AURAT KO SABR KI TALQEEN KARNA
Hazrat Anas Bin Malik r.a. se riwayat hai , unho ne farmaya : Nabi
ﷺ ek aurat ke pass se guzarey jo qabar ke pass ro rahi thi , Aap ne us se farmaya : “ Allah se dar or sabr se kaam le”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1252
BAAB :8 – MAYYAT Kor namaz parhai lekim eO PANI OR BAIRI KE PATTON SE GHUSL DENA OR USEY WAZOO KRANA
Hazrat Abdullah Bin Umar r.a. ne Saeed Bin Zaid ke bete ko Khushbu lagai , usey uthaya or namaz parhai lekin wazoo nahi kiya – Hazrat Abdullah Bin Abbas r.a. ne farmaya : Agar ( saeed Bin Zaid ki) laash Nazees hoti hai toh main usey na chuta – Nabi ﷺ ne farmaya : Momine Naapak Nahi hota “-
Hazrat Imam Atiya Ansariyah r.a. se riwayat hai , unhone kaha : Jab Aap ki Shahabzadii faut hui toh Aap hamare pass tashreef laye or farmaya : “usey teen ya paanch martaba ghusl do – Agar munasib khayal karo toh use zyada bar bhi de sakti ho – Ghusl ke paani mein bairi kepatte mila lo or aakhir me kuch kafoor bhi istamal karo , Phir jab ghusl se farigh ho jao toh mujhe etala kar dena” chunancha jab hum usey ghusl dekar farigh huye toh aapko etala di – Aapne humein apna tehband dia or farmaya : “ us mein pura badan lapait do”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book N0. 23 Hadith 1253
BAAB : 9- MAYYAT KO TAAQ MARTABA GHUSL DENA PASANDEEDAH HAI
Hazrat Umm Atiya r.a. se riwayat hai , unhone farmaya : Rasul Allah ﷺ hamare pass tashreef laye jab keh hum Aap ki shahabzadi ko ghusl de hi rahe thein- Aap ne farmaya : “usey teen ya paanch ya usse zyadah bar pani or bairi ke patton se ghusl do or aakhri martaba kafoor shamil karlo – Jab ghusl se farigh ho jao toh mujhe etalah kar dena”- Chunancha hum ne farigh ho kar Aap ko etalah di toh Aap ne humein apna tohband dia or farmaya : “Usey is me lapait do”-
Ayub Rawi kahte hain keh mujhe Hafsah Bint Seerin ne Muhammad Bin Seerin ki tarah hades bayan ki – Hafsa”h ki hades mein : “usey taaq adad mein ghusl do”- Or Is mein yeh bhi hai : “usey teen , paanch ya saat martaba ghusl do”- Or isme yeh bhi hai keh Aap ne farmaya : “Uske daayein Aaza or wuzu ki jagahon se ghusl dena shuru karo”- Is Hadees mein yeh tha keh Hazat Atiya r.a. ne farmaya : Hum ne uske baalon mein kanghiyan karke teen chotiyan bana diye-
BAAB :1O- (GHUSL) MAYYAT KE DAAYEIN ITRAF SE SHURU KIA JAYE
Hazrat Atiya r.a. se riwayat hai, unhone kaha : Rasul Allah ﷺ ne apni sahabzadi ko ghusl dene ke mutalliq farmaya :”Un ki daayein itraaf or wuzu ke muqamat se ghusl ka aagaz karein”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No. 23 Hadith 1255
BAAB : 11- MAYYAT KE AAZAEIN WUZU
Hazrat Umm Atiya r.a. se riwayat hai , Unhone kaha : Jab hum Rasul Allah ﷺ ki lakhte jigar ko ghusl dene lagaein toh farmaya : “Us ke daayein itraf or wuzu ke muqamat se ghusl shuru karo”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No. 23 Hadith 1256
BAAB :12- KYA AURAT KO MARD KE TOHBAND MEIN KAFNAYA JAA SAKTA HAI?
Hazrat Imam Atiya r.a. se riwayat hai , unhone farmaya : Nabi ﷺ ki lakhte jigar faut ho gayein toh Aap ne humse farmaya : “Usey teen, paanch ya usse agar zarurat ho toh usse zyadah bar Ghusl do or jab farigh ho jao toh mujhe Khabar do”- Chunancha jab hum farigh ho gayein toh humne aapko etalah di-Aap ne apni kamar se tohband khola or farmaya : “Usey isme lapait do”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No. 23 Hadith 1257
BAAB :13- AAKHRI BAR PANI MEIN KAFUR MILAYA JAYE
Hazrat Umm Atiya r.a. se riwayat hai , Unhone farmaya : Nabi ﷺ ki sahabzadiyon mein se ek sahabzadi faut hogyein toh Aap bahir tashreef laye or farmaya : “ usey teen , paanch bar or agar munasib ho toh usse zyadah bar pani or bairi ke patton se ghusl do- aor aakhri bar pani mei kafur mila do – Jab farigh ho jao toh mujhe etalah kar do-“Hazrat Umm Atiya r.a. kahti hain : Jab hum farigh ho gayein toh humne aapko mutala kia , Aap ne hamari taraf apna tohband phenka or farmaya : “Usey isme lapait do”- Hazrat Ayub Rawi ne Hazrat Hafsah se , Inhone Hazrat Umm Atiya r.a. se bhi isi tarah ki riwayat ki-
Hazrat Umm Atiya r.a. ne kaha keh Rasul Allah ﷺne farmaya : “Usey teen bar ya paanch bar ya saat bar or agar munasib khayal karo toh usse bhi zyadah bar ghusl do”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1259
BAAB : 14 – MAYYAT AURAT KE BAAL KHOLNA
Imam Ibn Seerin r.h Bayan karte hain keh ( Khatoon) mayyat ke baal kholne mein koi harj nahi-
Hazrat Umm Atiya r.a. se riwayat hai , Unhone farmaya : Auraton ne Rasul Allah ﷺki sahabzadi ke baalon ki teen mendhiya banaye , is tarah keh inhone baal khole , unhe dhoya phir unki teen chotiyan banaein-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 hadith 1260
BAAB : 15 – MAYYAT PAR KAPRA KAISE LAPAITA JAYE
Hazrat Hasan Basari r.h bayan karte hain , Keh paachwe kapre ke sath kameez ke neeche dono raan or sarin lapaite jayein-
Muhammad Bin Seerin r.h farmate hain , keh Hazrat Umm Atiya r.a. …… wo ansar ki un aurato mein se hain jinhone Rasul Allah ﷺ ki Baeet bhi ki thi …apne bete se mulaqat ke liye Basara aayi lekin usey wahan na paya – Unhone ne bayan kia
keh nabi ﷺ hamare pass tashreef laye jab keh humaap Aap ki sahabzadi ko ghusl de hi rahi thi- Aap ne farmaya : “usey teen bar ya paanch bar ya zarurat ho toh usse zyadah bar pani or bairi ke patton se ghusl do or aakhri bar us mein kafur milao – Or jab farigh ho jao toh mujhe etalah karo”- Hzarat Umm Atiya r.a. ne kaha : Jab hum farigh ho gayein toh Aap ne hamari taraf apna tohband phenka or farmaya : “ Usey isme lapait do”-Or isse zyadah kuch na kaha – Ibn Seerin kahte hain mujhe maloom nahi wo aapki kaunsi
sahabzadi thi-
Rawi ne kaha : Ashaar yeh hai keh usey chadar mein lapait do – Isi tarah Ibn Seerin aurat ke mutalliq hukm dete the keh usey kapre mein lapait diya jaye or usey tohband na bandha jaye-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No. 23 Hadith 1261
BAAB : 16 – AURAT KE BAALON KIB TEEN MENDHIYAN BANA DI A JAYE
Hazrat Umm Atiya r.a. se riwayat hai , unhone farmaya : “Hum ne nabi ﷺ ki sahabzadi ke bal gondh kar unki teen mendhiyan bana di thi-
Hazrat wakine apne sheikh Hazrat sufiyan se riwayat uski tafseel bayan ki hai keh ek pehshani ki taraf ke balon ki choti or baqi do taraf ki chotiyan se murad hai-
Sahih Al Bukhari
Vol. 2 Book No.23 Hadith 1262
BAAB : 17 – FAUT SHUDAH AURAT KE BAAL (TEEN CHOTIYAN BANA KAR) USKE PEECHE DAAL DIYE JAYE
Hazrat Umm Atiya r.a. se riwayat hai , Unhone faramaya : nabi ﷺ ki sahabzadiyon mein se ek sahabzadi ka inteqal ho gaya toh Nabi ﷺ hamare pass tashreef laye or farmaya : “ (pani mein) bairike patte daal kar usey teen bar ya paanch bar (pani mein ) kuch kafur ki Aamezeesh kar do – Or jab farigh ho jao toh mujhe etalah di – “Aap ne hamari taraf apna tohband phenka , hum ne un ke baal gondh kar teen chotiyan banayi or unhe peeth ke peeche daal diya –
BAAB : 18- KAFAN KE LIYE SAFAYED KAPRON ka HONA
Hazrat A’isha r.a. se riwayat hai keh Rasul Allah ﷺ ko teen safayed kapron mein kafan diya gaya jo jo yamani sahuli royi se bane huye the , un mein nah toh kameez thi or ns a’amama –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No. 23 Hadith 1264
BAAB : 19 – DO KAPRON MEIN KAFAN DENA
Hazrat Ibn Abbas r.a. se riwayat hai , Unhone farmaya : Ek shaksh maqam aarfa mein thehra hua tha keh achahnak apni sawari se gira , jis se uski garden toot gayi – Nabi ﷺne farmaya : “ Usey pani or bairi ke patton se ghusl dekar do kapron mein kafan do magar hanoot ( ek khushbu) na lagana or na iska sar dhanpana kyunki yeh Qayamat ke din labbaik kehta hua uthaya jayega”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No. 23 Hadith 1265
BAAB: 20 – MAYYAT KO KHUSHU LAGANA
Hazrat Ibn Abbas r.a. se riwayat hai , unhone farmaya : Ek shaksh Rasul Allah ﷺ ke humrah muqam aarfa mein thehra hua tha keh achanak apni sawari se gir para jis se uski gardan toot gayi – Rasul Allah ﷺ ne farmaya : “Usey pani or bairi ke patton se ghusl dekar do kapron me kafan do – usey khushbu nah lagao or nah uske sar hi ko dhanpo kyunki usey Allah Ta’ala Qayamat ke din us haal mein uthayega keh yeh talbeah keh raha hoga”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1266
BAAB : 21 – MAHRAM KO KIS TARAH KAFAN DIA JAYE
Hazrat Ibn Abbas se riwayat hai , unhone farmaya ek shaksh ke Oonth (camel) ne uski gardan tor di jab keh hum sab nabi ﷺ ke saath the – Or wo shaksh Mahram tha – Nabi ﷺ ne farmaya : “usey pani or bairi ke patto se ghusl do or kafan ke liye do kapre pehnao , naiz usey kushbu na lagao or na us ka sar hi dhanpo kyunki Allah Ta’ala usey qayamat ke din us halat me uthayega ki yeh talbeeya kah raha hoga”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No. 23 Hadith 1267
Hazrat Ibn Abbas r.a. hi se riwayat hai , unhone farmaya : Ek shaksh Nabi ﷺke hamrah muqam aarfa me tehra hua tha – wo apni sawari se gir gaya – Ayub Rawi ne kaha : Fauqastah Or Umaro ne kaha Faqsatah , Yani sawri ne uski gardan yor di or wo mar gaya –Rasul Allah ﷺ ne farmaya : “usey pani or bairi ke patton se ghusl do or do kapro mein kafnao – Usey khushbu nah lagao or nah us ka sar hi dhanpo kyunki yeh qayamat ke din utheyega toh talbeeyah pukar raha hoga –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1268
BAAB : 22 – SEELI OR UN SEELI KAMEEZ ME KAFAN DENA
Hazrat Abdullah Bin Umar r.a. se riwayat hai keh jab Abdullah Bin Abi ( Munafiq) mar gaya toh us ka beta Nabi ﷺ ki khidmat mein hazir hua or arz kiya : Mujhe apni kameez a’nayat farmaye taki mein apne baap ko us me kafan dun , naiz Aap uski namaz janazah parhaye or uske liye maghfirat ki dua kare – Nabi ﷺ ne usey kameez di or farmaya : “Jab Janazah tayyar ho jaye toh mujhe etalah karna mein uska janazah parhunga”- Chunancha usne janazah tayyar hone ki aapko etalah di – jab aapne us par namaz janazah parhane ka iradah kiya toh hazrat Umar r.a. ne aapka daman thaam kar arz kiya : Allah Ta’ala ne aapko munafiqin ka janazah parhane se mana nahi farmaya ?Aap ne jawab dia mujhe do baton ka akhteyar dia gaya hai – Irshad Baari Ta’ala hai : “Aap unke liye maghfirat ke liye duaa karey ya na karey , agar Aap sattar martaba bhi bakhshish ki dua kareyenge toh Allah unhe hargiz muaff nahi farmayega “-
Chunancha aapne uski namaz janazah parh di toh yeh aayat nazil hui : “Un munafiqin mein se koi agar mar jaye toh uski namaz na parhana ( or na uski qabar hi pe jana)”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No. 23 Hadith 1270
Hazrat Jabir r.a. se riwayat hai , unhone kaha : Nabi ﷺ Abdullah Bin Abi Munafiq ke dafan hone ke bad tashreef laye or usey qabar se bahar nikala
Or uske muh mein apna luaab daala or usey apni kameez pahanai-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1270
BAAB : 23 – KAMEEZ KE BAGAIR KAFAN DENA
Hazrat A’isha r.a. se riwayat hai , unhone farmaya : Nabi ﷺ ko saholiah basti ke tayyar shudah teen suti kapron mein kafan diya gaya jin mein kameez or paghari nahi thi –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1271
Hazrat A’isha r. a se riwayat hai , keh Rasul Allah ﷺ Ko teen kapron mein kafan diya gaya hai – Un mein na toh kameez thin a Amamah –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1272
BAAB : 24 – AMAMAH KE BAGAIR KAFAN DENA
Hazrat A’isha r.a. se riwayat hai Keh Rasul Allah ﷺ ko teen kapron mein kafan diya gaya jin mein na toh kameez thi or na amamah hi tha –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1273
BAAB : 25 – KAFAN KE AKHRAJAT MAYYAT KE TAAM MAAL SE HO
Hazrat A’ta Imam Zohari , janab Umaro Bin Deenar or Hazrat Qutadah r.h ne yahi kaha hai – Umaro Bin Deenar ne kaha hai keh khushbu wagairah bhi jamia maal se li jayegi – Hazrat Ibrahim Nakhiyi r.h ne kaha hai : mayyat ke maal se pehle kafan dafan ke akhrajat manha kiye jaye , phir qarz utara jaye , phir wasiyat wagairah ko jari kiya jaye – Sufyan Suri ne kaha hai : Qabr or ghusl ki ajarat bhi kafan mein shamil hai –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1273
Ibrahim Bin Abdul Rahman r.h se riwayat hai keh Hazrat Abdul Rahman Bin A’auf r.a. ke pass ek din khana laya gaya toh farmane lagaye keh Musa’ab Bin Umair r.a. ko Shaheed kar diya gaya ,or wo mujh se behtar the – Unke tar ke s ek chadar ke siwa kafan na mil saka – Isi tarah Hazrat Hamzah r.a. ya koi or shaksh jo mujhse behtar tha , Shaheed kiya gaya toh un ke liye bhi ek chadar ke elawa kafan muassar aa saka – Mujhe Andesha hai keh mubada hamari aakhirat ki pakeezah cheezeyein is duniyawi zindagi hi me humein de di jaye – Is ke baad unhone rona shuru kar diya –
Sahih Al Bukhair
Vol.2 Book No.23 Hadith 1274
BAAB : 26 – AGAR MAYYAT KE YAHAN EK HI CHADAR MILE TO KYA KIYA JAYE ?
Hazrat Ibrahim r.h marwi hai keh Abdul Rahman Bin A’auf rUnhone .a ke pass khana laya gaya jab keh wo roze ki halat mein the .Unhone farmaya : Hazrat Musa’ab Bin Umair r.a. Shaheed kiye gaye , halankeh wo mujhse behtar the – Unhe sirf ek hi chadar me kafan diya gaya – Agar un ka sar dhanpa jata toh paon khul jate or agar unke paon chupaye jate toh sir khul jata – Rawi kahte hai : Mere khayal ke mutabiq unhone yeh bhi kaha : Hazrat Hamzah r.a. Shaheed kiye gaye , Halan keh wo bhi mujhse behtar the , phir hum par duniya ke darwaze khol diye gaye – Humein Khatarah hai keh kahin hamari naikiyun ka badlah humein duniya hi mein na diya gaya ho – Phir Unhone ne rona shuru kar diya hatta keh choe diya –
Sahih Al Bukhari
Vol .2 Book No.23 Hadith 1275
BAAB : 27 – JAB KAFAN KE LIYE UTNA KAPRA MUASSAR HO KEH USSE SAR OR PAON DONO EKKAHTE NA DHANPAYE JA SAKEIN TOH SAR KO DHANP DIYA JAYE –
Hazrat Khabab Bin Arat r.a. se riwayat hai , unhone farmaya : Hum ne Nabi ﷺ ke humrah hijrat ki – Hamara Maqsad sirf Allah ki raza joi tha – Ab Hamara Ajar Allah Ta’ala ke zimmaye tha – Unhone duniya mein apne ajar ka kuch hissa bhi nahi khaya – Harat Musa’ab Bin Umair r.a. bhi aise logon mein se the – Or kuch aise bhi hain , Jin ka phal pak chukka hai , or wo chun chunk e kha rahe hain – Hazrat Musa’ab Bin Umair r.a. Jung Ahad mein Shaheed huye toh humein ( un ke tar ke mein) Kafan ke liye ek chhoti si chadar ke elawa kuch na mila – Jab hum unka sar chupate toh paon khul jate the – or jab paon dhanpate toh zahir sar ho jata , chunancha Rasul Allah ﷺ ne humein hukm diya keh hum un ka sar dhanp dein or un ke qadmo par azkharnami ghass daal dein –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1276
BAAB :28 – ZAMANA NUBUWAT MEIN JISNE APNA KAFAN TAYYAR KIYA OR US PAR KOI AITRAAZ NAHI HUA
Hazrat Sohail r.a. se riwayat hai , unhone farmaya : Ek aurat Nabi ﷺ ke liye tayyar shudah Hashiah dar chadar laeye, Tumhein maloom hai, keh “Bardah” kya chiz hai? Logon ne kaha : Chadar ko kahte hain – Unhone ne kaha haan – Algarz aurat ne kaha main ne is chadar ko apne haath se tayyar kia hai , or aapko pahnane ke liye tayyar kiya hai , or aapko pahnane ke liye layi hun – Nabi ﷺ ko us waqt zaroorat bhi tho , us liye usey qubool farma liya – Phir Aap bahir tashreef laye toh wo chadar aapki azaar thi – Ek shaksh ne uski tareef ki or kahne laga : Kya hi umdah chadar hai yeh mujhe anayat kar digiye – Logon ne usse kaha : Tu ne accha nahi kiya kyunki Nabi ﷺ ko intehayi zaroorat ke pesh nazar usey zeb tan kiya tha magar tu ne usey mang liya hai or tujhe ilm hai ki Aap ﷺ kisi ka sawal rad nahi karte – Us shaksh ne kaha : Allah ki qasam ! mene usey pahanne ke liye nahi manga balkeh isliye ki wo mera kafan ho –
Hazrat sohail r.a. farmate hai , keh phir wohi chadar uska kafan banaeye –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1277
BAAB : 29 – KHAWATEEN KE JANAZE KE HAMRAH JANA
Hazrat Umm A’tia r.a. se riwayat hai , Unhone farmaya : Humein Janaze ke sath chalne se mana kiya gaya , lekin is silsile me humpe sakhti nahi ki jati thi –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No. 23 Hadith 1278
BAAB : 30 – AURAT ka SHOHAR KE ALAWA KISI DUSRE SHAKSH PAR SHOG KARNA
Muhammad Bin Seerin r.h se riwayat hai keh Hazrat Umm A’tia r.a. ka beta faut ho gaya , jab teesra din hua toh unhone zard rang ke khushbu mangwai or usey badan par lagaya or farmaya keh humein khawind ke alawa kisi dusre par teen din se zyadah shaug manane se mana kia gaya hai –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book no.23 Hadith 1279
Hazrat Zainab Bint Abi Salama r.a. se riwayat hai , unhone kaha : Jab A’laqa shaam se Hazrat Abu Sufiyan r.a. ke faut hone ki etalah aaeye toh Hazrat Umm Habiba r.a. ne teesre roz zard rang ki
khushbu mangwai or usey apne haathon or rukhsaron per lagaya or farmaya : Agar cha mujhe is ki Qata’an zaroorat na thi lekin main ne Nabi ﷺ ko yeh farmate huye ssuna hai : “Jo aurat Allah par emaan rakhti ho or Yaum Aakhirat uske liye yeh halal nahi keh wo kisi mayyat par teen din se zyadah sogh kare lekin usey apne khawind par chaar maah dus din tak sogh karna chahiye”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1280
Hazrat Zainab Bint Abi Salama r.a. se riwayat hai , unhone kaha : Main Nabi ﷺ ki zauhjah mohtarama Umm Habiba r.a. ke pass gayi toh unhone kaha : Main ne Nabi ﷺ ko yeh farmate huye suna hai : “Jo aurat Allah or Yaum Aakhirat pe yaqeen rakhti wa emaan rakhtti hai uske liye jayez nahi ki wo Shauhar ke siwa kisi dusri mayyat par teen din se zyadah saugh kare , albattah usey aurat ke marne par chaar maah dus din tak saugh karna chye’’-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No. 23 Hadith 1281
(Hazrat Zainab Bint Abi Salamah r.a. ne kaha) Phir main (Ummul Momineen) Hazrat Zainab Bint Hazish r.a. ke pass gayi jab keh un ka bhai faut ho gaya that oh unhone khushbu mangwa kar apne badan par lagaeye , Phir farmaya : Mujhe kushbu lagane ki zaroorat na thi magar Rasul Allah ﷺ member par yeh kahte huye suna hai : “kisi bhi aurat ke liye , jo Allah pe emaan or Yaum aakhirat par yaqeen rakhti ho jayez nahi keh kisi bhi mayyt par teen din se zyadah sough kare lekin usey apne khawind par char maah dus din tak sough karna chahiye’’-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1282
BAAB : 31 – QABRON KI ZIYARAT KARNA
Hazrat Anas Bin Malik r.a. se riwayat hai , Unhone farmaya : Ek dafa Nabi ﷺ ka ek aurat ke pass se guzra hua jo qabar ke pass baithi ro rahi thi – Aap ne usse farmaya : “ Allah se dar or sabr kar”- Wo Aap ko na pehchan saki or kehne lagi : Mujh se dur raho kyunki tumhe mujh jaisi musibat nahi pahunchi – Jab usey bataya gaya keh yeh toh Nabi ﷺ the toh wo ( Mazrat ke liye)Nabi ﷺ ke Dar – E – Daulat par hazir huyi – Us ne Aap ke darwaze par koi darbaan na dekha , hazir ho kar arz karne lagi : main ne aapko pehchana nahi tha ( mujhe muaff kar digiye) –Aapne farmaya : “ Sabr toh sadmey ke aagaz mein hota hai”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1283
BAAB : 32 – IRSHAD NABWI : “MAYYAT KO USKE RISHTEDARO KE USPAR RONE KI WAJAH SE AAZAB HOTA HAI” YEH US WAQT HOTA JAB RONA PITNA MARNE WALE ka WATAIRAH HO
Irshad Baari Ta’ala hai : “Apne Aap ko or apne ghar walo ko aag se bachao”- Naiz Irshad Nabwi hai : “Tum mein se har Nigahban hai or us se apni ra’ayat ke mutalliq sawal hoga” – Or jab nauha karna us ki aadat na ho toh wo Hazrat A’isha r.a. ke farman ke mutabiq hai : “koi bojh uthane wala kisi dusre ka bojh nahi uthaega”- Naiz wo farman elahi ke mutabiq hai keh : “Agar koi bojh uthane wali jan kisi dusre ko bojh uthane ke liye bolaye toh usse koi cheez na uthai jayegi”- Or nauha ke bagair rone ki ijazat di gayi hai – Nabi ﷺ ka irshad garami hai : “koi jaan bhi nahak qatal hoti hai toh Hazrat Adam A.S ke bete (Qabil ) par us khoon nahaq ka bojh hoga kyunki usne qatal na haq ka tarika rayej kiya tha”-
Hazrat Osama Bin Zaid r.a. se riwayat hai , Unhone farmaya : Nabi ﷺ ki Ek Sahabzadi ne aapko paigam bhja ki mera beta faut ho raha hai , Aap hamare yahan tashreef laye – Aap ne salam kahte huye wapas paigam bheja or farmaya : (“Allah Ta’ala hi ka saara maal hai-) Jo Allah ne le liya wo us kka tha or jo us ne ata kiya who bhi usi ka hai – Us ke yahan har zheez ka waqt muqarar hai , isliye usey chahiye keh sabr kare or sawab ki talab gar rahe”- Sahabzadi ne phir paigam bheja or aapko qasam di ki zaroor tashreef laye , Chunancha Aap khare huye or aapke sath Hazrat Saad Bin Ubadah , Muaz Bin Jabal , Abi Bin Ka’ab , Zaid Bin Sabit or mazid chand log the – Bacche ko Rasul Allah ﷺ ke pass laya gaya jab keh uska saans khara hua tha – Rawi ne kaha : Mera guman hai keh us ne kaha : Goya wo mashkizah hai – Rasul Allah ﷺ kid ono aankhein ( yeh manzar dekh kar ) Bahane lagye toh Hazrat Saad r.a. ne arz kiya : Allah ke Rasul ! yeh rona kaisa hai ? Aap ne farmaya : “ yeh rahmat hai jisey Allah Ta’ala ne apne baando ke dilon mein rakha hai – Or Allah Ta’ala Raham karne wale baando hi par raham karta hai”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book no.23 Hadith 128
Hazrat Anas Bin Malik r.a. se riwayat hai , Unhone farmaya : Hum Nabi ﷺ ki sahabzadi ke janaze mein hazir the , jabkeh Rasul Allah ﷺ qabr ke pass baithe huye the – Maine dekha keh aapki aankhon se aansu rawa the , phir aapne farmaya : “Kya tum mein se koi aisa shaksh hai jis ne aaj raat hum bistari na ki ho? Hazrat Abu Talha r.a. ne arz kiya : main hoon – Toh Rasul Allah ﷺ ne farmaya : “tum Qabr mein utaro” – Chunancha woh unki qabr mein utarey –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1285
Hazrat Abdullah Bin Obaidullah Bin Abi Malikah se riwayat hai , Unhone kaha : Hazrat Usman r.a. ki ek sahabzadi Makkah Mukarmah mein faut ho gayi toh hum unke janaze mein sharik huye – Hazrat Abdullah Bin Umar Or Hazrat Abdullah Bin Abbas r.a. bhi wahan maujood the or main unke darmiyaan baitha hua tha , ya kaha : Main un mein se kisi ek ke pass baitha tha , phir dusre sahab tashreef laye or wo mere pahalu mein baith gaye – Hazrat Abdullah Bin Umar r.a. ne Hazrat Umaru Bin Usman r.a. se kaha : ( Un aurato ko ) rone se mana kyun nahi karte ho? Kyunki Rasul Allah ﷺ ka farmaan hai : “Mayyat ko uske ahal khana ke us par roneki wajah se azaab diya jata hai “-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1286
Hazrat Ibn Abbas r.a. ne farmaya : Hazrat Umar r.a. bhi aisa hi farmaya karte the – Phir unhone ne khabar di keh main saiyyadana Umar r.a. ke hamrah Makkah Maukaramah se aaraha tha – jab hum muqam baida pahunche toh achanak ek qafila kaikar ke saye tale tha – Unhone farmaya : jao dekho yeh kaun log hain? Main ne dekha toh wo Hazrat Sohaib r.a. the –Main ne unhe khabar di toh unhone farmaya : Unhe mere pass bula lao – Main Hazrat sohaib r.a. ke pass gaya or unse kaha : chaliye or amir ul momineen se mulaqat kariye – Jab hazrat Umar r.a. jakhmi kiye gaye toh Sohaib r.a. aaye or rote huye yeh kahne lage : Haye mere bhai! Haye mere sathi ! Hazrat Umar r.a. ne farmaya : Aye Sohaib ! Kya mujh par ro rahe ho , halan keh Rasul Allah ﷺ ka irshad garami hai : “Mayyat ko uske ghar walo ke rone ke wajah se azaab hota hai” –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1287
Hazrat Ibn Abbas r.a. ne farmaya keh jab Sayyadna Umar r.a. Shaheed ho gaye toh mene Ummul Momineen Hazrat A’isha r.a. se yeh zikr kiya – unhone farmaya : Allah Ta’ala Hazrat Umar r.a. par raham kare – Allah ki qasam! Rasul Allah ﷺ ne yeh nahi farmaya tha keh momin ko us ke ghar walo ke us par rone ki wajah se azaab hota hai – Rasul Allah ﷺ ne farmaya toh yeh farmaya tha : “Allah Ta’ala kafir ko us ke ghar walo ke uspar rone ki wajah se mazid azaab karta hai’’- Or farmaya keh Quran Kareem ki aayat karimah tumhare liye kafi hai : “Or koi bojh uthane wala kisi dusre ka bojh nahi uthayega”- Hazrat Ibn Abbas r.a. ne us waqt kaha : Allah Ta’ala hi hansata or rulata hai – Hazrat Ibn Abi Malikah ne kaha : Allah ki qasam ! Hazrat Ibn Umar r.a. ne us waqt kuch na kaha –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No. 23 Hadith 1289
Hazrat Umrah Bint Abdul Rahman se riwayat hai , Unhone kaha : Main ne Nabi ﷺ ki Zaujah Mohtaramah Syeda A’isha r.a. ko yeh farmate huye suna keh Rasul Allah ﷺ ek yahudia aurat ke pass se guzare jab keh uske ghar wale us par ro rahe the , Aapne farmaya : “Yeh toh uspar ro rahe hai halankeh usey qabar mein azaab diya jaa raha hai”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1289
Hazrat Abu Musa Asha’ri r.a. se riwayat hai keh jab Hazrat Umar r.a. zakhmi kiye gaye toh Hazrat Sohaib r.a. rote huye kahne lage : Haye Mere bhai! Hazrat Umar r.a. ne farmaya : Kya tumhein malum nahi keh Nabi ﷺ ne farmaya : “Mayyat Ko zinda ke rone ki wajah se azaab diya hai –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1290
BAAB : 33 – MAYYAT PAR NAUHA KARNA MAKRUH HAI
Hazrat Umar r.a. bayan karte hain keh un aurato ko chor do wo Hazrat Abu Sulaiman ( Khalid Bin Walid ) r.a. par royein jab tak nafa’a or Naqaqa’a na ho – Nafa’a se murad sar par mitti dalna or naqa’qa maani aawaaz nikalna hain –
Hazrat Mughairah r.a. se riwayat hai , unhone kaha : mene Nabi ﷺ ko yeh farmate huye suna : “Meri taraf jhut mansub karna dusre logon ki taraf mansub karne ki tarah nahi – Jis ne dasta meri taraf jhut mansub kiya wo apna thikana dozakh mein bana le” – Or maine Nabi ﷺ se yeh bhi suna
Hai keh Aap ne farmaya : “Jis Shaksh par nauha kiya jata hai usey us nauhe ki wajah se azaab dia jata hai”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1291
Hazrat Ibn Umar r.a. se riwayat hai , wo apne walid mohtaram Hazrat Umar r.a. se bayan karte hai keh Nabi ﷺ ne farmaya : “Mayyat ko apni Qabar mein uspar nauha kiye jaane ke sabab azaab hota hai’-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1292
A’abdaan ke Abdaala Aala ne Mutaba’at ki or adam ne shuaba sae riwayat karte huye yeh alfaaz bayan kiye : “Mayyat ko zindon Ke pass usper rone ki wajah se azaab diya jata hai –
BAAB : 34 – BILA UNWAAN
Hazrat Jabir Bin Abdullah r.a. se riwayat hai , Unhone farmaya : Mere Walid garami ko wahid ke din us halat mein laya gaya keh unka masla kiya gaya tha – Unhein Rasul Allah ﷺ ke samne rakh kar kapre se dhanp diya gaya – Main us irase se unke qarib gaya keh unke chehre se kapra hataun lekin meri qaum ne mujhe mana’a kar diya – Main dobara unke pass gaya taki kapra uthaun mujhe phir logon ne mana’a kar diya – Itne mein Rasul Allah ﷺ ne un ki mayyat uthane ka hukm diya toh aapne cheekh marne wali aurat ki awaaz suni – aapne farmaya : “ yeh kyun rooti hai?” Ya farmaya : “yeh na roye , Farishte apne paron se un par saaya kiye huye the taankeh unhein utha liya gaya”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1293
BAAB : 35 – JO GIRAYBAAN PHARE WO HUM SE NAHI
Hazrat Abdullah Bin Masud r.a. se riwayat hai , Unhone kaha :Nabi ﷺ ne farmaya : “ Jo shaksh apne rukhsar pitey or giraybaan phare , naiz ahad jahiliyat ki tarah chikh pukar kare wo hum se nahi”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1294
BAAB : 36 – HAZRAT SAAD BIN KHAULA PAR NABI ﷺ ka IZHAR RANJ WA MALAL KARNA
Hazrat Saad Bin Abi Waqas se riwayat hai , unhone farmaya : Rasul Allah ﷺ HUJJA TUL VIDA ke saal jab keh main ek sangeen marz mein mubtala tha , meri aayadat ke liye tashreef late the – Main ne arz kiya : Meri bimari ki intehai shiddat ko toh Aap dekh hi rahe hain , main ek maal daar aadmi hun magar meri ek beti ke siwa mera or koi waris nahi – kya main apne maal se do tehai khairat kar sakta hun ? Aapne farmaya : “Nahi”- Main ne arz kiya : Kya apna aadha maal ? AAp ne farmaya : “Nahi”- Main ne phir arz kiya : kya ek tehai kahairat kar dun? Aap ne farmaya : “Ek tehai karne ka koi muzayeka nahi agarcha ek tehai bhi zyadah hai- Apne warsa ko maal daar chor kar jana tumhare liye us se behtar hai keh unhe faqir or tang dust chor jao or wo logon ke samne haath phailaye phirey – Tum Allah ki raza joi ke liye jo kuch kharch karoge uska ajar tumhe zarur milega hatta keh jo luqma tum apne biwi ke muh me doge us ka bhi sawab milega”- Main ne arz kiya : Allah ke Rasul ! Kya main bimari ki wajah se apne saathiyun se piche rah jaunga ? Aapne farmaya : “Tum hargiz piche na rahoge , Jo anik A’maal karogeun se tumhare darjaat mein ezaafa hota chala jayega or tumhara martaba unse buland hota rahega or shayed baad tak zinda rahoge yahan tak keh baaz logon ko tumse nafa pahunchega or kuch logon ko tumhari wajah se nuksaan hoga – Aye Allah ! Mere ashaab ki hijrat ko kamil kar de or unhein airiyun ke bal na lauta , yani unhe makka me maut na aaye , Lekin behare Saad Bin Khaula!” Rasul Allah ﷺ unke liye Izhar ranj wa gam karte the ki wo Makka me inteqaal kar gaye –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1296
BAAB : 37 – MUSIBAT KE WAQT SAR MURWANA MANA HAI
Hazrat Abu Hurairah Bin Abu Musa Isha’ri r.a. se riwayat hai keh ek dafa Abu Musa r.a. sakht bimar huye or un par ghasi taari ho gayi – Un ka sar un ke ghar ki ek aurat ki gaud mei tha – (wo rone lagi) – Hazrat Abu Musa Isha’ri r.a. mein itni taqat na thi ki usey mana karte – Hosh aaya toh kahne lage : Main us shaksh se bari hun jisse Hazrat Muhammad ﷺ ne izhar baraat farmaya – Yaqeenan Rasul Allah ﷺ ne musibat ke waqt chilla kar rone wali , sarmurwane wali or girreybaan pharne wali aurat se izhar baarat farmaya hai –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1296
BAAB : 38 – JO KOI RUKHSAR PITTE WO HUMSE NAHI
Hazrat Abdullah Bin Masa’ud r.a. se riwayat hai , wo Nabi ﷺ se bayaan karte hain Keh Aap ne farmaya : “Wo shaksh Hum mein se nahi jo apne rukhsar pitte , kapre phare , or jahiliyyat ka sa bakwaas kare”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1297
BAAB : 39 – MUSIBAT KE WAQT WA AULIA KARNE OR DUR JAHILLIYAT KE ALFAAZ PUKARNE KI MUMANAT
Hazrat Abdullah Bin Masa’ud r.a. se riwayat hai , unhone kaha : Rasul Allah ﷺ ne farmaya : “ Jis shaksh ne (musibat ke waqt) apne rukhsar pitte , gireybaan phara or daur jahilliyat ke najayez kalimat kahe wo humse nahi”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1298
BAAB : 40 – MUSIBAT KE WAQT GHAMGHIN BAITHNA
Hazrat A’isha se riwayat hai , unhone farmaya : Jab Nabi ﷺ ke pass Hazrat Zaid Bin Harsa , Hazrat Ja’afar or Hazrat Ibn Rawah r.a. ke Shaheed hone ki khabar aai toh Aap ghamghin ho kar baith gaye – Main darwaze ki Darar se dekh rahi thi keh ek shaksh Aap ke pass aaya Jis ne Hazrat Ja’afar r.a. ki auraton ke rone dhone ka zikr kiya Aap ne usey hukm diya keh unhe garyehwazari se mana karo, chunancha wo gaya or wapas aakar garz kiya keh wo nahi mante – Aap ne phir yahi farmaya : “Unhe mana karo”- Wo teesri martaba wapas aakar kahne laga : Allah ki qasam wo hum par ghalib aagaye or nahi mante – Hazrat A’isha r.a. ne kaha : Aakhir kaar Rasul Allah ﷺ ne farmaya : “Jaa! Un ke muhh mein khaak jhaunk de”- Main ne kaha : Allah teri naak khaak aalud karey! Jis kaam ka tujhe Rasul Allah ﷺ ne hukm diya wo bhi nahi karta or (bar bar aakar) Rasul Allah ﷺ ko taklif dene se baaz nahi aata”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1299
Hazrat Anas r.a. se riwayat hai, unhone farmaya : Jab Qaraa Shaheed huye toh Rasul Allah ﷺ ne ek maah tak qunoot farmaye- Main ne Rasul Allah ﷺ ko kabhi is se zyadah ghamnak nahi dekha-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1300
BAAB : 41 – JO SHAKSH MUSIBAT KE WAQT APNE RANJ WA ALAM KO ZAHIR NA HONE DE
Muhammad Bin Ka’ab Qarzi bayan karte hain , keh “Jaza” bari baat or bure gumaan dono ko kaha kaha jata hai – Hazrat Yaqoob A.S ne farmaya : ( Jaisa keh Irshad baari Ta’ala hai ) “Mai apne ranj wa gham ka shikwa sirf Allah se karta hun”-
Hazrat Anas Bin Malik r.a. se riwayat hai , unhone farmaya : hazrat Abu Talha r.a. ka ek beta bimar tha – wo faut ho gaya jabkeh Hazrat Abu Talha us waqt par ghar me maujood nahi the – Unki biwi ne bacche ko ghusl wa kafan de kar usey ghar k eek ghaushe mein rakh diya – Jab Hazrat Abu Talha r.a. ghar tashreef laye toh pucha : Larke ka kya haal hai ? Unki biwi ne jawab diya : Usey aaram hai or mujhe umeed hai keh usey sukoon muassar hua hai – Hazrat Abu talha ne samjha keh wo sahi keh rahi hai ( Baccha ab thik hai) – Phir wo raat bhar apni biwi ke pass or subah ko ghusl karke bahar jane lage to unki biwi ne unhe bataya keh larka faut ho chukka hai – Hazrat Abu Talha r.a. ne Nabi ﷺ ke humrah subah ki namaz ada ki or phir raat ke majrey ki Nabi αℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ko khabar di jis par Rasul Allah ﷺ ne farmaya : “Allah Ta’ala tum dono miya biwi ko tumhari is raat me barkat dega” –
Ek Ansari shaksh ka bayan hai keh main ne Hazrat Talha r.a. ( ki nasal) se naw larke dekhe jo sare Hafiz E Quran the –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1301
BAAB : 42 – SABR WOHI HAI JO AAGAZ SADMAH ME HO
Saiyadina Umar r.a. bayan karte hain keh “DO EDAL” kis qadar acche hai or “ELAWAH” kitna behtar hai? Keh “Jin logon ko jab koi musibat aati hai toh kahte hain keh hum Allah hi ke hain or usi ki taraf laut kar jana hai – Aisehi logon par un ke Rab ki taraf se anayat or rahmatein barasti hain or yahi log hidayat yaftah hain”-
Irshad Baari Ta’ala hai : “Sabr or Namaz se madad hasil karo – Yaqeenan Namaz bhari hai magar unlogon par jo Allah se darte hain , Yaani un par Namaz bhari nahi hoti”-
Hazrat Anas r.a. se riwayat hai , wo Nabi ﷺ se bayan karte hai keh Aap ne farmaya : “Sabr wohi hai jo ibtadai sadmah me ho”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith1302
BAAB : 43 – IRSHAD NABWI KEH “(IBRAHIM!) HUM TERI JUDAAI SE RANJEEDAH HAIN”
Hazrat Ibn Umar r.a. ne Nabi ﷺ se bayan kiya keh Aap ne farmaya : “Aankh ashqbaar or dil gumzadah hai”-
Hazrat anas r.a. sre riwayat hai , unhone farmaya : hum Rasul Allah ﷺ ke sath Abu Saif Lohar ke yahan jo Hazrat Ibrahim r.a. ka razai baap tha - rasul Allah ﷺ ne Hazrat Ibrahim r.a. ko lekar bosa diya or uske upar apna muhh rakha – Is ke baad hum dobara Abu Saif ke yahan gaye toh Hazrat Ibrahim Naza’a mein the – Rasul Allah ﷺ ki aankhein ashqbaar hui – Hazrat Abdul Rahman Bin A’auf r.a. ne arz kiya : Aye Allah ke Rasul! Aap bhi rote hain? Aap ne farmaya : Aye Ibn A’auf! Yeh to ek rahmat hai”- Phir Aap ﷺ ne rote huye farmaya : “Aankh ashqbaar or dil gamzadah hai< lekin humko zabaan se wohi kehna hai jis se humara malik raazi ho – Aye Ibrahim! Hum teri judaai se yaqeenan gamgeen hain”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1303
BAAB : 44 – MARIZ KE PASS RONA
Hazrat Abdullah Bin Umar r.a. se riwayat hai , Unhone farmaya : Hazrat Saad Bin Ubadah r.a. bimar huye toh Nabi ﷺ,Hazrat Abdul Rahman Bin A”auf , Saad Bin Abi Waqas or Abdullah Bin Masa’aud r.a. ki mayyat mein unki aayadat ke liye tashreef le gaye – Jab Aap ne daryaft farmaya : “Aaya inteqaal ho gya ?” Logon ne arz kiya : Allah ke Rasul! Nahi – Phir Nabi ﷺ ro pare , Chunancha Rasul Allah ﷺ ko rota dekh kar dusre log bhi rone lage – Phir uske baad Aap ne farmaya : “Kya tum sunte nahi ho? Allah Ta’ala aankh ke rone or dil ke gamzadah hone se aazaab nahi deta balkeh …. Aap ne apni zabaan ki taraf ishara karke farmya ….. Iski wajah se aazaab ya raham karta hai – Beshak mayyat ko uske azeezon ke chilla kar yeh wazari karne se aazaab diya jata hai”-
Hazrat Umar r.a. Nauha karne walon ko lathi or pattharon se mara karte the or unke muhh mein khaak dalte the –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1304
BAAB : 45 – NAUHA OR GARYEH WA ZAARI SE MUMANAAT OR US PAR DAANTANA
Hazrat A’isha r.a. se riwayat hai , unhone farmaya : Jab Zaid Bin Harsa , Ja’afar Tayyar Or Abdullah Bin Rawaha r.a. ke shaheed hone ki khabar pahunchi toh Nabi ﷺ or aapki Zaat E Garami se hazan wa ranj zahir ho raha tha – Main is manzar ko darwaze ke surakh se dekh rahi thi – Ek shaksh aapke pass aaya or arz karne laga : Allah ke Rasul! Ja’far r.a. ki auratein ro rahi hain – Aap ne usey hukm diya keh unhe rone se mana kare – wo shaksh gaya or wapas aakar kahne laga : Main ne unhe mana kiya lekin wo baaz nahi aate – Aap ne usey dobara farmaya keh wo unhe mana kare – Wo dobara gaya or wapas aakar kahne laga : Allah ki qasam! Wo mujh par ghalib aagayein …. Ya hum par ghalib aagayein – Muhammad Bin Abdullah Bin Hushab ne alfaaz ke mutalliq shak ka izhaar kiya hai… Hazrat A’isha r.a. ne kaha : Nabi ﷺ ne farmaya : “ Jao un ke muhh mein khaak jhonk do”- Main ne kaha : Allah teri naak khaak aalud kare! Jis kaam ka tujhe Rasul Allah ﷺ ne hukm diya wo bhi nahi karta or bar bar aakar Rasul Allah ﷺ ko takleef dene se bhi baaz nahi aata –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1305
Hazrat Umm A’tia r.a. se riwayat hai , unhone farmaya: Nabi ﷺ ne hum se baitlete waqt yeh ahad liya tha keh hum Nauha nahi kareyengi magar us ahad ko sirf paanch auraton ne pura kiya , yaani Umm Salim , Umm A’ala , Abu Sabrah ki beti , jo Maaz ki biwi thi or mazeed do auratein ya yun kaha keh abu Sabrah dakhtar , Maaz ki zaujah or ek koi dusri aurat –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1306
BAAB : 46 – JANAZAH DEKH KAR KHARE HONA
Hazrat A’amir Bin Rabia’ah r.a. se riwayat hai , wo Nabi ﷺ se bayan karte hain keh Aap ne farmaya : “Jab tum janazah dekho toh khare ho jao hatta keh wo tumhe piche chor jaye”-
Hazrat Hamidi ki riwayat mein yeh azafah hai : Hatta keh wo tumhe piche chor jaye ya usey zameen par rakh diya jaye”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1307
BAAB : 47 – JANAZE KE LIYE KHARA HO TO KAB BAITHE
Hazrat A’amir Bin Rabia’ah r.a. se riwayat hai , wo Nabi ﷺ se bayan karte hain keh aapne farmaya : “ Jab tum mein se koi janazah dekhe toh khaua uske piche saath na jaye magar khara zarur ho jaye hatta ki wo janaze ko piche chor de ya janaza usey piche chor jaye ya piche chorne se qibll janazah zameen par rakh diya jaye “-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1308
Hazrat Kesan r.h se riwayat hai keh hum ek janaze ke sath the , Hazrat Abu Hurairah r.a. ne marwaan ka hath pakra or janazah rakhe jane se qibl hi dono baith gaye – Itne mein Hazrat Abu Saeed Khudri r.a. wahan aagayein toh unhone marwaan ka hath pakar kar kaha : Khare ho jao – Allah ki qasam! Un ( Abu Hurairah r.a.) ko malum hai keh Nabi ﷺ ne humein isse mana farmaya hai – Us par Hazrat Abu Hurairah r.a. ne farmaya keh unhone such kaha hai –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1309
BAAB : 48 – JO SHAKSH JANAZE KE SATH HO USEY CHAHIYE KEH KANDO SE NICHE RAKHE JANE SE PEHLE NA BAITHE , AGAR BAITH JAYE TOH USEY KHARA HONE KE LIYE KAHA JAYE
Hazrat Abu saeed Khudrii r.a. se riwayat hai , wo Nabi ﷺ se bayan karte hai keh Aap ne farmaya : “Jab tum janazah dekho toh khare ho jao or jo shaksh us ke humrah jaa raha ho wo na baithe ta keh usey zameen par rakh diya jaye” –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1310
BAAB : 49 – YAHUDI KE JANAZAH KE LIYE KHARA HONA
Hazrat Jabir Bin Abdullah r.a. se riwayat hai , unhone farmaya : hamare saamne se ek janazah guzara toh apni ﷺ us ke liye khare ho gaye , hum bhi khare ho gaye or arz kiya : Allah ke Rasul! Yeh toh ek yahudi ka janazah tha – Aap ne farmaya : “ Jab tum janazah dekho toh khare ho jaya karo”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1311
Hazrat Abdul Rahman Bin Abi Laila se riwayat hai keh Hazrat Sohail Bin Hanif Or Hazrat Qais Bin Saad r.a. dono qadsia mein baithe huye the keh unke pass se log janazah lekar guzare toh dono khare ho gaye , unse arz kiya gaya yeh janazah toh Ahal arz , yaani zaami yahudi ka hai – Unhone farmaya keh Nabi ﷺ ke pass se ek janazah guzra tha toh wo bhi khare ho gaye the – Aapse arz kiya ki yeh yahudi ka janazah hai toh Aap ne farmaya : “Kya yeh Nafs nahi hai?”
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1312
Hazrat Ibn Abi Laila hi se riwayat hai , unhone kaha : Main Hazrat Qais Or Hazrat Sohail r.a. ke sath tha , Un dono ne farmaya keh hum Nabi ﷺ ke humrah the – Ibn Abi Laila se ek or riwayat mein hai keh Hazrat Abu Masa’ud Or Hazrat qais r.a. dono janaze ke liye khare ho jate the –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1313
BAAB : 50 – AURATON KE BAJAYE SIRF MARDON KO JANAZAH UTHANA CHAHIYE
Hazrat Abu Saeed khudri r.a. se riwayat hai keh Rasul Allah ﷺ ne farmaya : “Jab janazah ( Tayyar karke ) rakh diya jata hai or log usey apne kandho par utha lete hai phir agar wo naik hota hai toh kehta hai : mujhe jaldi le chalo , or agar naik nahi hota to kehta hai : haye afsos! Mujhe kaha le ja rahe ho ? Uski awaaz insaan ke alawa har chiz sunti hai , agar insaan sun le toh ( marey dahshat ke) behosh ho jaye”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1314
BAAB : 51 – JANAZE KO JALDI LE JANA
Hazrat Anas r.a. ne farmaya : Tum Janazah aagey le jane wale ho , khwa us ke liye aagye ya peeche , daaye ya baaye chalo – Hazrat Anas ke alawa dusron ne kaha : Us ke qareeb qareeb chalo –
Hazrat Abu Hurairah r.a. se riwayat hai , wo Nabi ﷺ se bayaan karte hain keh Aap ne farmaya : “Janaze ko jaldi le kar chalo kyunki agar wo naik hai toh tum usey khair ki taraf le ja rahe ho or agar bara hai toh bari cheez ko apni gardano se utar kar sakbadosh ho jaoge”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1315
BAAB : 52 – CHAARPAI PAR RAKHA HUA JANAZAH KEHTA HAI KEH MUJHE JALDI LE CHALO
Hazrat Abu Saeed Khudri r. se riwayat hai , unhone kaha : Nabi ﷺ ne farmaya : “Jab janazah tayyar kar ke rakh diya jata hai or log usey apne kandho par utha lete hai hain toh agar wo naik ho to kehta hai : mujhe jaldi aage
le chalo or agar wo naik na ho toh wo apne ghar walo se kehta hai : Afsos! Tum mujhe kaha le ja rahe ho? Insaano ke alawa s us ki aawaaz ko har cheez sunti hai – agar insaan sun lein toh ( Maare dahshat ke ) behosh ho jaye”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1316
BAAB : 53 – JANAZE KE LIYE IMAM KE PEECHE DO YA TEEN SAFYEN BANANA
Hazrat Jabir Bin Abdullah r.a. se riwayat hai keh Rasul Allah ﷺ ne Nazashi ki namaz , janazah parhi or main dusri ya teesri saf mein tha –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1317
BAAB : 54 – JANAZE KE LIYE MUTA’AD SAFEYEIN BANANA
Hazrat Abu Hurairah se riwayat hai , Unhone kaha : Nabi ﷺ ne spne sahaba karaam r.a. ko Hazrat Nazashi ke faut hone ki khabar di , phir Aap aagey bhare toh sahaba karaam r.a. ne aapne Aap ke peeche safeyen bandhen oor aapne chaar takbeerein kahin –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1318
Hazrat Sha’aye se riwayat hai , unhone kaha : Mujhe us shaksh ne khabar di jo Nabi ﷺ ke pass maujud tha keh Aap alag qabar par tashreef laye or sahaba karaam r.a. ki saf bandi farmaeye – aapne chaar takbeerein kahin –
Shayabani kahte hain , Main ne daryaft kiya : aye Abu Umar wa Sha’abi tum se kisne bayan kiya? Toh inhone kaha : Hazrat Ibn Abbas r.a. ne ( Hadees bayan ki thi) –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith !319
Hazrat Jabir Bin Abdullah r.a. se riwayat hai , Unhone kaha : Nabi ﷺ ne farmaya : “ aaj Malik Habsah ka ek saleh shaksh faut ho gaya hai , aao , uski namaz e janazah parho”-
Hazrat Jabir r.a. ne kaha : Hum ne safeyein durust kiye or Nabi ﷺ ne us par namaz e janazah parhi jab keh hum aapke peeche saf basta the –
Abu Zubair Hazrat Jabir r.a. se bayan karte hain , unhone frmaya : Main dusri saf mein tha-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1320
BAAB : 55 – NAMAZ E JANAZAH MEIN MARDON KE SATH BACCHON ka SAF BANDI KARNA
Hazat Ibn Abbas r.a. se riwayat hai keh Rasul Allah ﷺ ek aisi qabar ke pass se guzare jis mein raat ke waqt mayyat ko dafan kiya gaya tha – Aap ﷺ ne daryaft farmaya : “Usey kab dafan kiya gaya tha?” logon ne arz kiya : gazishta raat – Aap ne farmaya : “tum ne mujhe itala’a kyun na di ?” logon ne arsz kiya : Humne usey Andheri raat mein dafan kiya tha or aapko us waqt bedaar karna munasib khayal na kiya < chunancha Aap khare huye or humne aapke peeche saf bandi ki – hazrat Ibn Abbas ne farmaya : Main bhi unlogon mein shamil tha , phir aapne us par namaz e janazah parhi –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1321
BAAB : 56 – NAMAZ E JANAZAH ka SHARA’AYE TAREEQAH
Nabi ﷺ ne farmaya : “ Jo koi Namaz E Janazah parhe…’’ Aap ﷺ ne farmaya : “Apne saathi ki namaz parho “ – Aap ﷺ ne farmaya : “Nazashi par namaz janazah parho”- Un tamam rawayat mein Rasul ALLAh ﷺ ne janazah ko namaz ke naam se ta’abir kiya hai , halankeh us mein ruku or sajdah nahi hota , is mein guftagu karna bhi mana hai , naiz usme bhi takbeer tahreema or salam hota hai –
Hazrat Ibn Umar r.a. wuzu ke bagair namaz janazah nahi parhte the or na tuluaaftab or ghurub aaftab hi ke waqt usey ada karte the , naiz wo (takbeerat mein ) Rafa’adan bhi karte the –
Hazrat Hasan Basari r.h ne farmaya : Main ne logon ko paaya hai keh wo Namaz E Janazah ki imamat ka zayadah haqdaar usko jaante jisko wo namaz e farz mein imam banana pasand karte the – Jab koi Namaz E Eid ya Namaz E Janazah mein bewuzu ho jaye toh wo pani taalash kare or taymum na kare – jab koi doraan janazah mein aaye toh takbeer kah kar unke sath shamil ho jaye –
Hazrat Ibn Musayyab r.h kahte hain keh raat ho ya din , safar ho ya Hazar Namaz E Janazah mein chaar takbeerein kahen –
Hazrat Anas r.a. bayan karte hai keh pehli takbeer Namaz e Janazah shuru karne ki hai – Irshaad baari Ta’ala hai : agar munafeeqeen mein se koi mar jaye toh uski Namaz E Janazah na parhein”- Uski Namaz mein safein or imam hota hai –
Hazrat Sha’aye se riwayat hai , unhone farmaya : Mujhe is shaksh ne khabar di jis ka Nabi ﷺ ke humrah ek aisi qavbar se guzar hua jo dusri qabaron se alag thalag ek taraf thi – (unhone kaha keh) Aap ﷺ ne humari imamat karai or humne aapke peeche saf bandi ki ( Or aapke humrah Namaz e Janazah ada Ki) – Hum ne kaha : Aye Abu Umaro! Tum se kis shaksh ne yeh hades bayan kit hi?Unhone jawab diya : Hazrat Ibn Abbas ne –
BAAB : 57 – JANAZE KE SAATH JAANE KI FAZILAT
Hazrat Zaid Bin Sabit r.a. bayan karte hain keh tu ne Namaz E Janazah parh li toh jo mayyat ka haq ada tha usey tu ne ada kar diya –
Hamid Bin Halaal ne kaha : Hum Namaz janazah parhne ke baad wapas hone ke liye ijazat lene se mayus nahi , lekin jo koi Namaz E Janazah parh kar wapas chala aaye usey ek qiraat sawab milega –
Hazrat Ibn Umar r.a. se riwayat hai , Un se kaha gaya keh Hazrat Abu Hurairah r.a. bayan karte hain : Jo shaksh janaze ke sath jayega usey ek qiraat sawab milega – us par Hazrat Ibn Umar r.a. ne farmaya : Abu Hurairah r.a. bahut zayadah ahadees bayan karte hain –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1323
Hazrat A’isha r.a. ne Hazrat Abu Hurairah r.a. ki tasdeeq farmayi or kaha maine Rasul Allah ﷺ ko aisehi farmate suna hai – Us par Hazrat Ibn Umar r.a. ne farmaya : Hum ne bohot se qiraat ka nuqsaan kar liya hai – Quran Kareem mein Farrattu ke maani hai : Main ne Allah ka hukm zayaa kiya hai –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1324
BAAB : 58 – JISNE MAYYAT KE DAFAN HONE TAK INTEZAAR KIYA
Hazrat Abu Hurairah r.a. se riwayat hai , unhone kaha : Rasul Allah ﷺ ne farmaya : “Jo shaksh janazae mein sharik hua yahan tak keh Namaz E Janazah parha toh uske ek qiraat ka sawab hai – Or jo koi Janaze mein uske dafan hone tak raha usey do qiraat ka sawab milta hai”- “Kaha gaya : Yeh do qiraat kya hain ? Aapne farmaya : “Do qiraat bare bare paharon ki manind hain”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1325
BAAB : 59 – BACCHON ka LOGON KE HUMRAH NAMAZ E JANAZAH PARHNA
Hazrat Ibn Abbas r.a. se riwayat , unhone farmaya : Rasul Allah ﷺ ek qabar ke pass tashreef laye toh logon ne arz kiya : usey gazistah raat dafan kiya gaya hai –
Hazrat Ibn Abbas r.a. ne farmaya keh hum ne aapke peeche saf bandi ki , phir Aap ne us par Namaz E Janazah ada ki –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1326
BAAB : 60 – EIDGAAH OR MASJID ME NAMAZ E JANAZAH ADA KARNA
Hazrat Abu Hurairah r.a. se riwayat hai , unhone farmaya ; Rasul Allah ﷺ ne humein Habsha ke farma narwa Nazashi ke faut hone ki khabar usi di sunai jis din wo faut hua tha – Aap ne farmaya : “Apne bhai ke liye Astagfar karo”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1327
Hazrat Abu Hurairah r.a. se hi riwayat hai , unhone farmaya : Nabi ﷺ ne eidgaah mein logon ki saf bandi ki or (Nazashi ) par chaar takbeerein kahein –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1328
Hazrat Ibn Umar r.a. se riwayat hai keh yahudi , Nabi ﷺ ke pass ek mard or aurat ko lekar aaye jinhone badkari ka irtakaab kiya tha – Aap ne unhein rajam karne ka hukm diya ‘ chunancha masjid ke pass janaze parhane ki jagah ke qareeb unhein sangsar kiya gaya –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1329
BAAB : 61 – QABARON PAR MASAJID BANANA HARAM HAI
Jab Hazrat Ali r.a. ke potey Hazrat Hasan Bin Hasan faut huye toh unki biwi ne ek saal tak unki qabar par khema lagaye rakha – jab usey utha liya gaya toh logon ne Hatif gaib se ye awaaz suni : Kya unhone apni gum shudah chiz ko pa liya ? Ek dusri awaaz aayi : Nahi balkeh mayoos hokar wapas chalegye –
Hazrat A’isha r.a. se riwayat hai , wo Nabi ﷺ se bayan karti hain keh aapne apni marz wafat mein farmaya : “Allah Ta’ala yahud wa nasara par lanat karekeh unhone apne paigambaron ki qabron ko sajdah gaah bana liya’’-Hazrat A’isha r.a. farmati hain , agar yeh dar na hota toh aapki qabar Mubarak ko bilkul zahir kar diya jata magar mujhe andesha hai keh mubada usey bhi sajdah gaah bana liya jaye –
BAAB : 62 – ZACHGI KE DAURAN MEIN MARNE WALI AURAT KI NAMAZ E JANAZAH PARHNA
Hazrat Sumrah Bin Jandab r.a. se riwayat hai , unhone farmaya : Main ne Nabi ﷺ ke peeche ek aisi aurat ki Namaz E Janazah parhi jo dauran zachgi mein faut ho gayi thi toh Aap uske darmayan mein khare huye the –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1331
BAAB : 63 – AURAT OR MARD KI NAMAZ E JANAZAH PARHATE WAQT IMAM KAHA KHARA HO ?
Hazrat Sumrah Bin Jandab r.a. hi se riwayat hai , Unhone farmaya : Main ne Nabi ﷺ ke peeche ek aurat ki Namaz E Janazah parhi jo bahalat nifas faut ho gayi thi – Aap uske wast mein khare huye the –
Aap uske wast mein khare huye the –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1332
BAAB : 64 – NAMAZ E JANAZAH MEIN CHAAR TAKBEEREIN KEHNA
Hameed ne kaha : Humein Hazrat Anas Bin Malik r.a. ne Namaz E Janazah parhai toh teen takbeerein kahin or salam pher diya – Un se uske mutalliq kaha gaya toh qibla ro huye or chauthi takbeer kahi phir salam phera –
Hazrat Abu Hurairah r.a. se riwayat hai keh jis din Habsha ke badshah Nazashi ki wafat hui toh usi roz Rasul Allah ﷺ ne humein uske faut hone ki khabar sunai – Sahaba karaam r.a. ne ke humrah Aap eidgaah tashreef le gaye , unki saf bandi ki or uski Namaz E Janazah mein aapne chaar takbeerein kahein –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1333
Hazrat Jabir r.a. se riwayat hai keh Nabi ﷺ ne Asmah Nazashi ki Namaz E Janazah parhi toh chaar takbeerein kahin – Yazeed Bin Haroon or Abdul Samad ne bhi salim Bin Hayaan se Asmah bayan kiya hai –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1334
BAAB : 65 – NAMAZ E JANAZAH MEIN SURAH FATIHA PARHNA
Hazrat Hasan Basri r.h bayan karte hain keh bacche ke janaze par Imam Surah Fatiha parhe or phir yeh dua kare : “Aye Allah! Usey humare liye mir karwaan , zakjeeerah aakhiraat or baaa ajar wa sawab banadein”-
Hazrat Talha se riwayat hai , unhone kaha : Main ne Hazrat Ibn Abbas r.a. ke peeche Namaz E Janazah parhi – Us mein Aap ne Surah Fatiha ki qirat farmaye – Faraghat ke baad farmaya ( Keh main ne us liye parhi hai ) taaki tumhein uske sunnat hone ka Ilm ho jaye –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1335
BAAB : 66 – DAFAN KE LIYE JANE KE BAAD QABAR PAR NAMAZ JANAZAH PARHNA
Hazrat Sha’ayi r.h se riwayat hai , Unhone kaha : Mujhe us shaksh ne Hadees bayan ki jo Nabi ﷺ ke humrah ek alag thalag qabar ke pass se guzra – Rasul Allah ﷺ ne wahan logon ki imamat ki or logon ne aapke peeche Namaz (Janazah) parhai – Shaybani kahte hain : Main ne Abu Umar wa Sha’abi se daryaft kiya : aapko yeh hades kisne bayan ki thi ? Unhone farmaya : Mujhe Hazrat Ibn Abbas r.a. ne uske mutalliq bataya tha –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1336
Hazrat Abu Hurairah r.a. se riwayat hai keh ek shya faam ( Mard ya aurat ) Masjid mein rehta or jhar wa diya karta tha – Us ka inteqaal ho gaya or Nabi ﷺ ko uski maut k ho gayi a ilm na ho saka – Ek din Rasul Allah ﷺ ne uska zikr farmaya or daryaft kiya : “wo shaksh kahan hai?” sahaba karaam r.a. ne arz kiya : Allah ke Rasul Allah! Uski wafaat ho gayi – Aap ne farmaya : “Tum logon ne mujhe mutalah kyun na kiya ?” unhone arz kiya : Hazrat uska qissa toh us tarah hai , goya unhone uska mamla itna hum na samjha – Aap ne farmaya : “Mujhe uski qabar se aagaah karo”- Chunancha Aap uski qabar par tashreef laye or Namaz E Janazah parhi –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1337
BAAB : 67 – MURDAH JUTOON KI AWAAZ (SUNTA) HAI
Hazrat Anas Bin Malik r.a. se riwayat hai , wo Nabi ﷺ se bayan karte hain keh Aap ne farmaya : “jab bande ko uski qabar mein rakh diya jata hai , or uske saathi dafan se farigh ho kar wapas hote hain toh wo unke jutoon ki awaaz sunta hai – Us waqt uske pass do farishte aate hai or usey baitha kar puchte hain : Toh us shaksh Muhammad ﷺ ke mutalliq kiya a’ataqaad rakhta tha ? Agar wo jawab de : main gawahi deta tha keh wo Allah ke bande or iske Rasul hain toh usey kaha jata hai : Toh apne dozakhi maqam ko dekh , uske aauz Allah Ta’ala ne tujhe Jannat mein thikana diya hai’’- Nabi ﷺ ne farmaya : “ wo dono maqamat ko dekhta hai – lekin Kafir ya munafiq kay eh jawab hota hai : Main kuch nahi janta , jo dusre log kahte the wohi main kah deta tha , phir usse kaha jata hai : Tu ne aqal se lkaam liya na ambiya ki pairwi ki , phir uske dono kaano ke darmayaan lohe ke hatore se ek zarab lagai jati hai keh woh chikh utha hai – uski chikh pukar jin wa ins ke alawa us kea as pass ki tamam cheezein sunti hain” –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1338
BAAB : 68 – ARZ MUQADDAS YA KISI MUTABBARAK MEIN ARZOO KARNA
Hazrat Abu Hurairah r.a. se riwayat hai , unhone farmaya : Malik Ul Maut ko Hazrat Moosa A.s ke pass bheja gaya – Jab wo unke pass aaye toh unhone ek tamancha rasid kiya ( Jisseuski ek aankh phut gayi ) – Farishte ne apne Rabb ke pass jaakar arz kiya : Tu ne mujhe ek aise bande ke pass bheja hai jo marna nahi chahta - Allah Ta’ala ne uski aankh durust kar di or farmaya keh un (Moosa A.S) ke pass dobara jaakar kaho keh wo apna haath ek bail ki peeth par rakhein , Jitne bhi baal unke saath ke niche aayenge toh har baal ke badle unhein ek saal ki zindagi di jayengi – us par Hazrat Moosa A.s ne kaha : Aye Parwardigaar!
Phir kya hoga ? Allah Ta’ala ne farmaya : Phir marna hoga – Moosa A.S ne kaha : Toh fir abhi aajaye – Unhone Allah se dua ki keh uhne ek patthar phenkne ki muqdaar ke barabar arz e muqaddas se qareeb kar de – Rawi Hadees ( Hazrat Abu Hurairah r.a. ) ne kaha keh Rasul Allah ﷺ ne farmaya : “agar main wahan hota toh Moosa A.s ki qabar surkh teeley ke pass raaste ke kinare par tumhe dikha deta”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1339
BAAB : 69 – MAYYAT KO RAAT KE WAQT DAFAN KARNA
Saiyyadna Abu bakr r.a. raat ke waqt dafan kiye gaye the –
Hazrat Ibn Abbas r.a. se riwayat hai , unhone farmaya : Nabi ﷺ ne ek shaksh ki Namaz E Janazah parhi jo raat ke waqt dafan kiya gaya tha- Aap or Aap ke sahaba karaam uthe or Aap ne shaksh ke mutalliq daryaft kiya or farmaya : “ yeh kaun hai?’’logon ne arz kiya : yeh fala’a shaksh hai jisey guzishta raat dafan kiya gaya tha , chunancha Aap ne or aapke sahaba karaam r.a. ne uspar namaz janazah parhi –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1340
BAAB : 70 – QABAR PAR MASJID TA’MIR KARNA
Hazrat A’isha r.a. se riwayat hai , unhone farmaya : Jb Nabi ﷺ bimar huye toh Aap ki ba’az biwiyun ne ek girje ka tazkara kiya jisey unhone Habsah ke sar zameen mein dekha tha or usey Mariya kaha jata tha – Hazrat Umm Salama or Hazrat Umm Habiba r.a. Habsha gayi thein – Unhone girje ki khubsurti or usme rakhi hui tasaweer ka bhi Aap se zikr kiya – Toh aapne Sar Mubarak Uthaya or farmaya : “ yeh wo log hain jab inme se koi naik shaksh mar jata hai toh uski qabar par masjid bana lete , phir us mein yeh tasaweer bana kar laga dete – Allah Ta’ala ke nazdeek yeh log tamam makhluq se badtareen hain”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1341
BAAB : 71 – AURAT KI QABAR MEIN KAUN UTAR SAKTA HAI
Hazrat Anas r.a. se riwayat hai , unhone farmaya : Hum Rasul Allah ﷺ ki Lakht E Jigar ke Janaze mein sharik huye – Rasul Allah ﷺ qabar ke pass tashreef farmaye the – Mene dekha Aap ki aankhen ashqbaar thein – Aap ne farmaya : “Tum mein se koi shaksh aisa hai jo aaj raat apni biwi se hum bistar nahi hua ho ?” Hazrat Abu talha r.a. ne arz kiya : Main hun- Aap ne farmaya : “Tum qabar mein utaro’’ – Chunancha wo sahabzadi ke qabar mein utare or unhe kahad mein rakha –
Abdullah Bin Mubarak apne Sheikh Fulaba’a ke hawale se bayan karte hain keh lam yuqareefe ke maani “Jisne gunah na kiya ho” hain – Imam Bukhari r.h farmate hian keh leyuqarefu ke maani hain : Taa keh wo gunah ka kasab karey”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 hadith 1342
BAAB : 72 – SHAHEED KI NAMAZ E JANAZAH
Hazrat Jabir Bin Abdullah r.a. se riwayat hai , Unhone kaha : Nabi ﷺ Shuhadaye Ahad mein se do do ko eke k chadar mein rakh kar farmate the : “In mein se Quran ka Ilm kisko zayadah tha ?” Toh Jab unme se kisi ki taraf Ishara kiya jata that toh lahad mein Aap usey aagey rakhte the or farmate : “Qayamat ke din main inke mutalliq gawahi dunga” – Phir aapne unhein usi tarah khoon lage huye ghusl diye bagair dafan karne ka hukm diya or un par Namaz E Janazah bhi na parhi gayi –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1343
Hazrat Uqbaah Bin A’amir r.a. se riwayat hai keh Nabi ﷺ ek din bahir tashreef laye or Shuhadaye Ahad par Namaz parhi jis tarah amwat par Namaz E Janazah parhi jati hai , phir member ki taraf laute or farmaya : “Main tumhara mir karwaan or tum par gawah hoon – Allah! Kasam Main apne hauz ko dekh raha hun or mujhe zameen ya zameen ke khazano ki kunjiyaan aata ki gayi hain – Allah Ta’ala Ki qasam! Main apne baad tumhare mutalliq shirk mein mubtala hone ka andesha rakhta lekin mujhe khatrah hai keh tum duniya mein roghbat rakhte huye ek dusre se aagey baharne ki koshish kroge”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1344
BAAB : 73 – DO YA TEEN AADMIYUN KO EK HI QABAR MEIN DAFAN KARNA
Hazrat Jabir Bin Abdullah r.a. se riwayat hai , keh Nabi ﷺ Shuhadaye ahad ke do -do aadmiyun ko jama karte the –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1345
BAAB : 74 – JISKE NAZDIK SHAHEED KO GHUSL DENA JAYEZ NAHI
Hazrat Jabir r.a. se riwayat hai , unhone kaha : Nabi ﷺ ne ahad ke din farmaya : “Un Shuhadaya ko khoon samait dafan kardo – “ Or aapne unhe ghusl bhi na diya –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1346
BAAB : 75 – LAHAD MEIN AAGEY KISKO RAKHA JATA HAI
Lahad ko isliye yeh naam diya jata hai keh wo ek kinare mein hoti hai – Har zalim mulahad hai – Quran main MULTAHAD ka maani “Jaye Panah” hain – Agar kinare ke bajaye sidhi ho toh usey zareeh kahte hain –
Hazrat Jabir Bin Abdullah r.a. se riwayat hai keh Rasul Allah ﷺ shuhadaye Ahad mein se do – do aadmiyun ko ek kapre mein jama karte the , Phir farmate : “Un mein se kis ko Quran zayadah yaad hai?”Jab un dono mein se ek ki
Taraf ishara kiya jata toh usey lahad mein aagaye karte or farmate : “Main un par gawah hun” – Naiz Unhein khoon samait dafan karne ka hukm diya or unpar Namaz E Janazazh parhi or na unhein ghusl hi diya –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1347
Hazrat Jabir Bin Abdullah r.a. hi se riwayat hai keh Rasul Allah ﷺ shuhadaye Ahad ke mutalliq farmate the : “Un mein se kisko Quran zayadah yaad hai?’’ Jab kisi aadmi ki taraf ishara kiya jata toh usey lahad mein iske sathi se pehle rakhte the – Hazrat Jabir r.a. ne farmaya : Mere walid garami or chacha mohtaram ko ek hi safaid wa sahayah dahari daar mote chadar or kafan diya gaya tha –
Sulaiman Bin Kaseer Bayan karte hai keh mujhe zuhari ne khabar di , unhone kaha : Mujhe usne bataya jisne Hazrat Jabir se suna tha –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1348
BAAB : 76 – QABAR MEIN AZKHAR OR KHUSH GHAAS BICHANA
Hazrat Ibn Abbas r.a. se riwayat hai , wo Nabi ﷺ se bayan karte hain keh aapne farmaya : Allah Ta’ala ne Makkah Mukaramah ko Haraam qaraar diya hai – Mujhse pehle bhi kisi ke liye halaal nahi hua or na mere baad hi kisi ke liye halaal hoga – Mere liye bhi din ke kuch hisse mein halaal kiya gaya tha , us bina par na toh uski takazah ghass ko akhara jaye or na iske darakht kaate jaaye or na uski giri pari cheez hi ko uthaya jaye , haan! Uske mutalliq alaan karne wala utha sakta hai” – Uspar Hazrat Abbas r.a. ne arz kiya keh azkhar ghass toh hamare zargiron or hamari qabaron ke liye istamaal hoti hai – Aap ne farmaya : “haan!azkhar ghass (Is se Matashna hai) –
Hazrat Abu Hurairah r.a. ne Nabi ﷺ se bayan karte huye farmya :”Khushk ghass hamari qabaron or hamare ghar ke liye hai” –
Hazrat Safiyah Bint shiba r.a. farmati hain : Main ne Nabi ﷺ se isi tarah suna hai – Hazrat Ibn Abbas se bariwayat mujahid yeh alfaaz manqool hain keh khush ghass unke loharon or gharon ke liye hai –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1349
BAAB : 77 – KYA KISI ZARURAT KE PESH NAZAR MAYYAT KO QABAR OR LAHAD SE NIKALA JA SAKTA HAI?
Hazrat Jabir Bin Abdullah r.a. se riwayat hai , unhone farmaya : Rasul Allah ﷺ Rayees Ul Munafeeqeen Abdullah Bin Abi ke pass aaye jabkeh usey qabar mein dakhil kar diya gaya tha – Aapne usey nikalne ka hukm diya , chunancha usey bahir nikala gaya – Aapne usey apne ghutno par rakh liya or uske muhh mein apna Luaab Mubarak daala , Naiz usey apni qameez pahnai – Waise toh uski wajah Allah hi behtar janta hai , Albattah usne Hazrat Abbas r.a. ko apni qameez pahnai thi – Abu Harun ka bayan hai keh Rasul Allah ﷺ ke badan par do qameez thein or Abdullah Bin Abdulllah Bin Abi r.a. ne arz kiya : Allah kee Rasul! Mere baap ko neeche wali qameez pahnaiye jo aapke badan se alag chuki hai – Sufiyan ne kaha : Logon ke khayaal ke mutabiq Nabi ﷺ ne Rayees Ul Munafeeqeen Abdullah ko Qameez badla chukane ke liye pahnai thi kyunki usne hazrat Abbas r.a. ko pahnai thi -
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1351
Hazrat Jabir r.a. se riwayat hai , unhone farmaya : Jab Ahad ka waqiah pesh aaya toh mere walid garami Hazrat Abdullah r.a. ne mujhe us raat bulaya or farmaya keh mere gumaan ke mutabiq Nabi ﷺ ke sahaba karaam r.a. mein jo Shaheed honge un mein pehla manqul mein khud hoga or main Rasul Allah ﷺ ki zaat karima ke siwa apne baad kisiko tujhse zayadah azeez nahi chor raha hun –Mujh par karz hai usey ada kar dena or apni behano se accha bartav karna – Subah hoti toh sabse pahle Shaheed hone wale hi the , chunancha unke saath qabar mein ek dusre Shaheed ko bhi dafan kar diya gaya lekin mere dil ko ye baat acchi na lagi keh main apne walid garami ko dusre shaksh ke saath chor dun , is liye main ne che (6) maah baad unhe qabar se nikal liya – wo usi tarah the jis tarah main ne unhe dafan kiya tha , Sirf kaan ka thora sa hissa mutasi hua tha –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1352
BAAB : 78 – BAGHLI YA SANDOOKI QABAR BANANA
Hazrat Jabir Bin Abdullah r.a. se riwayat hai , unhone kaha : Nabi ﷺ shuhadaye ahad se do- do aadmiyon ko jama karte , phir farmate : Un mein se kisko quran zayada yaad hai?” Jab un mein se kisi ek ki taraf ishara kiya jata toh usey lahad mein aagey rakhte or farmate : “Main QAYAMAT ke din in logon ke mutalliq gawahi dunga” – Phir unhein khoon samait dafan karne ka hukm farmaya or unhein ghusl bhi na diya –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1353
BAAB:79 – JAB KOI BACCHA MUSALMAN HO JAYE TOH KYA USKI NAMAZ E JANAZAH PARHNI CHAHIYE ? NAIZ KYA BACCHE PAR ISLAM PESH KIYA JAYE ?
Hasan Basri , Qazi Shariah , Ibrahim Nakhayi or Hazrat Qatadah r.h ne kaha : Jab walaidan mein se koi ek shaksh musalman ho jaye toh baccha musalman ke sath hoga – Hazrat Ibn Abbas apni waldah ke humrah mein se the or apne walid ke humrah apni qaum ke deen par nahi the , Naiz farmaya ISLAM ghalib rehta hai Maghloob nahi hota –
Hazrat Abdullah Bin Umar r.a. se riwayat hai keh Hazrat Umar r.a. Nabi ﷺ ke sath dighar chand logon ki mayyatmein Ibn Sayad ke pass gaye , yahan tak unhone usey Banu Maghalah ki garhiyun ke qareeb kuch larkon ke sath khelta hua paya – Ibn Sayad us waqt qareeb albalugh tha – Usey Nabi ﷺ ki aamad ka ilm nah au hatta keh Aap ne DAST MUBARAK se usey mara , phir Ibn sayad se farmaya : Kya tu is baat ki gawahi deta hai keh Main Allah ka Rasul Hoon ?’’ Usne aapko dekha toh kahne laga : Main gawahi deta hoon keh Aap unparh logon ke Rasul hai – Phir Ibn Sayad ne Nabi ﷺ se kaha : Aap is baat ki gawahi dete keh main Allah ka farstadah hun ? Aap ye baat sun kar usse alag ho gaye or farmaya : Main Allah or Uske Rasulon par emaan lata hun” – Phir aapne usse pucha keh toh kya dekhta hai ? Ibn sayad Bola : Mere pass sacchi Jhuti dono khabrein aati hai – Us par Nabi ﷺ ne farmaya : Tujh par muamla mushtabah kar diya gaya hai” – Phor Nabi ﷺ ne usse farmaya : Mene tere liye apne dil me ek baat sochi hai ( Bata wo kya hai) ?” Ibn sayad bola “Dakh” hai – Aapne farmaya : Tu dafa ho ja , apni basat se kabhi aagye nahi barh sakega’’ – Hazrat Umar r.a. ne arz kiya : Allah ke Rasul! Mujhe ijazat dey , main iski gardan ura dun – Nabi ﷺ ne farmaya : “Agar ye wohi (Dajjal) hai toh tu ispar qaabu nahi pa sakta or agar wo nahi toh phir iske qatal se koi faidahh nahi”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1354
Hazrat Abdullah Bin Umar r.a. se riwayat hai , unhone farmaya : Uske baad fir ek dafa Rasul Allah ﷺ or Hazrat Abi Bin Ka’ab r.a. khajooron ke us baagh mein gaye jahan Ibn Sayad tha – Aap chahte the keh usse kuch baatein suneinqibl uske keh wo aapko dekhe , chunancha Nabi ﷺ ne usey baayein halat mein dekha keh wo ek chadar orhey kuch gunguna raha tha – Aap khoojur ke darakhto ki aar mein chal rahe the keh Ibn Sayad ki maa ne Aap ﷺ ko dekh liya or usey awaaz di : Aye saaf! …. Yeh Ibn Sayad ka naam hai … yeh Muhammad ﷺ aagye hain – yeh sun kar Ibn Sayad uth baitha – Nabi ﷺ ne farmaya : “ Agar wo aurat usey ( Uske haal par ) chor deti toh wo apna mamla kuch wazaih kar deta”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1355
Hazrat Anas r.a. se riwayat hai , Unhone farmaya : Ek yahudi larka Nabi ﷺ ki khidmat kiya karta tha – Wo bimar ho gaya toh Nabi ﷺ uski ayaadat ke liye tashreef le gaye or uske sirhane baith kar usse farmaya : “ Toh musalman hoja” – Usne apne maa baap ki taraf dekha jo uske pass baitha hua tha – Usne kaha : Abul Qasim ﷺ ki baat maan lo , chunancha wo musalman ho gaya – Phir Nabi ﷺ yeh farmate huye bahir tashreef le aaye : Allah ka shukr hai jisne is larke ko aag se bacha liya”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1356
Hazrat Ibn Abbas r.a. se riwayat hai , unhone farmaya : Main or meri waldah naatwa logon mein se – Mein bacchon mein se or meri waldah auraton mein kamzor thein –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1357
Hazrat Shoaib se riwayat hai keh Imam Ibn Shahab zohari bayaan karte hain keh har faut hone wale bacche ki Namaz E Janazah parhi jayegi agarcha wo zina ki paidawar hi kyun na ho kyunki uski padaish Fitrat E Islam par hui hai basharte keh uske waldain dono ya sirf baap musalman ho – uski maa khwa ghair muslim ho – Or yeh bhi shart hai keh wo baccha paidaish ke waqt chikh nahi maari toh wo natamam baccha hai , us liye uski Namaz E Janazah nahi ada ki jayegi kyunki Hazrat Abu Hurairah r.a. bayan karte hain keh nabi ﷺ ne farmaya : Har baccha Fitrat E Islam par hota hai – Uske maa baap usey Yahudi , Nasrani ya Majusi bana lete hai – jaisa ki jaanwar shahi wa saalim wala baccha janta hai , kya tum in mein koi kaan kata hua dekhte ho ?” Phir Hazrat Abu Hurairah r.a. ne ye aayat e karima ki tilawat ki : “ (Yeh) Allah ki Fitrat hai jis par usne logon ko paida kiya hai”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1358
Hazrat Abu Hurairah r.a. se riwayat hai , unhone kaha : Rasul Allah ﷺ ne farmaya : “Har baccha fitrat E Islam hi par paida hota hai , phir uske waldain usey yahudi , Nasrani , ya majusi bana lete hain , jis tarah koi janwar baccha janwar janam deta hai , kya tum usmein koi kaan kata hua paate ho ?” Phir Hazrat Abu Hurairah r.a. yeh aayat karima parhte : “Yeh Allah ki fitrat hai jis par us ne logon ko paida kiya hai – Allah ke paida karne mein koi tabdeeli nahi hai – Yahi Allah ka siddha deen hai” –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1359
BAAB : 80 – AGAR KOI MUSHRIK MARTE WAQT KALIMAH TAUHEED PARH LE
Hazrat Musayyab Bin Hazan r.a. se riwayat hai , Unhone farmaya : Jab Abu Talib marne laga toh Rasul Allah ﷺ uske pass tashreef laye – Waha us waqt Abu Jahal Bin Hasham or Abdullah Bin Abu Aamiyah Bin Maghairah bhi the – Rasul Allah ﷺ ne Abu Talib se farmaya : “Aye Chcha Kalimah Tauhid LA ILLAHA ILLALLA H keh de toh main Allah ke yahan teri gawahi dunga”- Abu Jahal or Abdullah Bin Abu Aamiyah bole : Abu Talib! Kya tum ( apne baap ) Abdul Mutallib ke tariqe se phirte ho ? Rasul Allah ﷺ toh bar bar usey Kalimah Tauhid ki talqeen karte rahe or wo dono apni baat dohrate rahe hatta ki Abu Mutallib ke tariqe par hai or LA ILLAHA ILLALLAH kahne se inkar kar diya jis par Rasul Allah ﷺ ne farmaya : “Ab main us waqt tak tere liye dua e maghfirat karta rahunga jab tak mujhe is se mana na kar diya jaye” – Us par Allah Ta’ala ne yeh aayat nazil farmaeye : “ Nabi ke liye jayez nahi ( keh wo Mushrekeen ke liye dua e Maghfirat kare agarcha wo qareebi rishtedar hi ho)”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1360
BAAB : 81 – QABAR PAR KHUJUR KI SHAAKH RAKHNA
Hazrat Buraidah Aslami r.a. ne wasiyat kit hi keh unki qabar mein khujur ki do shakhein rakhi jaye – Hazrat Abdullah Bin Umar r.a. ne Hazrat Abdul Rahman ki qabar par khema dekha toh farmaya : Aye Ghulam! Isey ukhar do , iska amal is par saya kar raha hai – Hazrat Kharja Bin Zaid ne kaha : Jab Hum Hazrat Usman r.a. ke dor khilafat mein naujawan the toh maine apne Aap ko is halat mein dekha keh hum sab se bari chalang lagane wala wo hota jo Hazrat Usman Bin Maza’aun r.a. ki qabar ko chalang laga kar a’abur kar jata tha – Usman Bin Hakim ne kaha keh kharja ne mera hath pakara or mujhe ek qabar par baitha diya , phir unhone apne chcha! Yazeed Bin Sabit ke hawale se bataya keh qabar par baithna us shaksh ke liye makruh hai jo uspar bol wa baraz kare – Hazrat Nafiah ne kaha : Hazrat Abdullah Bin Umar r.a. qabaron par baith jaya karte the –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1361
Hazrat Ibn Abbas r.a. se riwayat hai , unhone farmaya keh Nabi ﷺ ek dafa do qabaron ke pass se guzre jin ( mein madfun mardon) ko azaab diya ja raha tha – Aap ne farmaya : “ In dono ko azaab diya ja raha hai – Lekin yeh azaab kisi mushkil baat ki wajah se nahi – In mein se ek peshaab se parhaiz nahi karta tha or dusra chugli khata tha” – Uske baad aapne khujur ki taaza shaakh li or usey chir kar do hisse kar diye , phir hare k qabar par eke k gaar di – sahaba karaam r.a. ne arz kiya : Allah ke Rasu;! Aap ne aisa kyun kiya hai? Aapne farmaya : “Umeed hai keh jab tak yeh dono tukre khushk na honge inke azaab mein takhfeef hogi –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1362
BAAB : 82 – MUHADDAS ka QABAR KE PASS WAAZ KARNA OR SHAHGIRDON ka USKE IRD GIRD BAITHNA
Irshad Baari Ta’ala hai : “ Jis din wo purani qabaron se niklenge” – Ajdaas se muraad qabarein hai –“ (Jab qabarein) ukhair di jayengi” – Busairat ke maani ukhairn hain jaisa keh kaha jata hai : Busairat hauzi : Main ne hauz ka nichla hissa upar kar diya – Efaad ke maani hain : Tez daurna – Imam A’amash ne irshad baari : “Wo aastano ki taraf tez daur rahe honge” ke maani yeh hai kiye hain keh wo ek dusre se sabqat kar rahe honge – Nasb wahid hai or Nasb musaddar hai –
(Yaum Al Khuruj) se murad qabaron se nikalne ka din hai – (Yanselun) ke maani hain : wo apni qabaron se nikalenge –
Hazrat Ali r.a. se riwayat hai , Unhone farmaya : Hum ek janaze ke saath baqui garqaad mein th keh Nabi ﷺ humare qareeb tashreef la kar baith gaye or humlog bhi Aap ke gird baith gaye – Aap ke haath mein ek chari thi – Aap ne apna sar jhuka liya or chari se zameen kuredne lage , phir aapne farmaya : “ Tum mein se koi aisa jaandar nahi ji jis ki jagah Jannat ya DOZAKH na likhi gayi ho or har shaksh ka naik bukht ya badnaseeb hona bhi likha gaya hai” – Us par ek shaksh ne arz kiya : Allah ke Rasul! Phir hum is navishte ( likhe huye ) par aetamaad karke amal chor na de kyunki hum mein se jo shaksh khush naseeb hoga wo ahal sadat kea mal ki taraf rajoo karega or jo shaksh bad bukht hoga wo ahal shaqawat kea mal ki taraf rajoo karega – Aapne farmaya : “Saeed ko amal e saadat ki taufeeq di jati hai hai or shaqi ke liye amal shaqawat aasan kar diya jata hai – “ Iske baad aapne yeh aayat tilawat farmaeye : “Phir jo shaksh sadqah dega or parhezgaari ekhtyar karega , Naiz ummdah baat ki tasdeeq karega ( To Hum usey zaroor wa aasani (amal e saadat ) ki taufeeq denge)” –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1362
BAAB : 83 – KHUD KHUSHI KARNE WALE KE MUTALLIQ WAEID ka BAYAAN
Hazrat Sabit Bin Zohak r.a. se riwayat hai , Wo Nabi Nabi ﷺ se bayaan karte hain keh aapne farmaya : “Jo shaksh Islam ke alawa kisi dusre mazhab ki dansta jhuti qasam uthaye toh wo waisa hi hoga jaisa usne kaha – Or jo shaksh tez hattiyar se khud ko maar dale usko usi hatiyar se Jahannam mein azaab diya jayega” –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1363
Hazrat Hasan Basri r.h se riwayat hai , unhone kaha : Humein Hazrat Jandab r.a. ne us masjid mein Hadees bayaan ki jisey hum bhule nahi or na humein yeh andesha hi hai keh unhone Nabi ﷺ par jhut bola hoga – Unhone Rasul Allah Nabi ﷺ se bayaan kiya keh Aap ne farmaya : “ Ek shaksh ko zakham lag gaya tha . usne khud ko qatal kar dala toh Allah Ta’ala ne farmaya : Chunkeh mere bande ne mujhse sabqat chahi , lehaza main ne us par Jannat haram kar diya hai” –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1364
Hazrat Abu Hurairah r.a. se riwayat hai , Unhone kaha : Nabi Nabi ﷺ ne farmaya : “Jo khud apna gala ghont le wo dozakh mein apna gala ghotta rahega or jo shaksh naizah mar kar khud khushi kare wo dozakh mein bhi khud ko naizah marta hi rahega” –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1365
BAAB : 84 – MUNAFEEQEEN OR MUSHRIKEEN KE LIYE DUA E MAGHFIRAT MAKRUH HAI
Iske mutalliq Hazrat Ibn Umar r.a. ne Nabi Akram Nabi ﷺ se riwayat ki hai –
Hazrat Umar Ibn Khattab r.a. se riwayat hai , unhone farmaya : Jab Abdullah Bin Abi Ibn Salul mara toh Rasul Allah Nabi ﷺ ko uski Namaz E Janazah parhne ke liy dawat di gayi – Jab Rasul Allah Nabi ﷺ Namaz ke liye khare huye toh main aapki taraf tezi se kud para or arz kiya : Aye Allah ke Rasul Allah! Kya Aap Abdullah Bin Abi ki Namaz parhenge , halankeh usne fala fala roz aisa aisa bakwas kiya tha ? Main uski baatein shumar karne laga – Rasul Allah Nabi ﷺ ne muskura katr farmaya : “Umar! Tum yahan se ek taraf hat jao” – Jab main zayada israar karne laga toh Aap ne farmaya : “Mujhe akhteyar diya gaya hai , lehaza main ne Astagfar karna akhteyar kiya hai – Agar mujhe ilm ho keh mere sattar se zayada martaba astagfar karne se Allah usey muaff kar dega toh mein sattar se zayaa martaba uske liye astagfar kar lunga” –
Rawi kehta hai keh Rasul Allah Nabi ﷺ ne uski Namaz E Janazah parhi or wapas tashreef le aaye – abhi chand lamhaat hi tharne paaye honge keh surah taubah ki yeh do aayat nazil huiye : “Aye Habib! Jab koi un Munafeeqeen mein se mar jaye , Us par kabhi Namaz E Janazah na parheye ……” Is waqaiah ko bayaan karne ke baad Umar r.a. ne farmaya : Mujhe baad mein tajjub hua keh kis tarah us din Rasul Allah Nabi ﷺ ke huzoor main ne aisi juraat kit hi , halankeh Allah or uske Rasul ( Har maslehat ko ) Khub jante hai –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1366
BAAB : 85 – LOGON ka MAYYAT KI TAREEF KARNA
Hazrat Anas r.a. se riwayat hai , , unhone farmaya : Log ek janazah lekar guzare toh sahaba karaam r.a. ne uski tareef ki – Uspar Nabi Nabi ﷺ ne farmaya : “ Uske liye wajib hogaye” – Uske baad log dusra janazah le kar guzare sahaba karaam r.a. ne uski buraye ki – Aap Nabi ﷺ ne farmaya : “Us keliye lazim ho gayi” – Hazrat Umar r.a. ne arz kiya : Kya wajib ho gaye – Rasul Allah Nabi ﷺ ne farmaya : “ Pehla shaksh jiski tumne tareef ki , uski Jannat wajib ho gayi or dusra shaksh jiski tumne buraye ki , uske liye Jahannam lazim ho gayi – tum log zameen mein Allah ki taraf se gawahi dene wale ho’’-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1367
Hazrat Abu lasud se riwayat hai , unhone Farmaya : Main ek dafa Madina Taiba aaya jab keh wahan waba phaili hui thi – Main Saiyyadna Umar r.a. ke pass baith gaya – Unke pass se ek janazah guzra toh us mayyat ki acchi tareef ki gayi – Us par Hazrat Umar r.a. ne farmaya : wajib ho gaye – Phir dusra janazah guzra toh uski bhi tareef ki gayi , toh Hazrat Umar r.a. ne farmaya wajib ho gayi – Phir teesra janazah guzra toh uski burai bayaan ki gayi – Uspar aapne farmaya : wajib ho gayi – Abu Lasud kahte hain : Main ne kaha : Ameer ul momineen! Kya wajib ho gayi? Unhone farmaya : Main ne wahi kaha hai jo Nabi Nabi ﷺ ne farmaya : “Jis Musalman ke liye chaar aadmi acchi gawahi dein toh Allah Ta’ala usey Jannat mein dakhil karega” – Humne arz kiya : Agar teen aadmi gawahi dein toh? Aapne farmaya : “Teen bhi” – “Phir humne arz kiya : do aadmi bhi? Aapne farmaya : do aadmi bhi”- Phir humne ek shaksh ki gawahi ke mutalliq sawal anhi kiya –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1368
BAAB : 86 – AZAAB QABAR ka BAYAAN
Irshaad Baari Ta’ala hai : “Or agar Aap dekhein jabkeh zulm pasha log maut ki sakhtiyun main honge or farishte apne haath phaila kar unse kahenge : Nikalo apni jaanein – aaj tumhein zilaat ke azaab se do chaar kiya jayega” –
Abu Abdullah (Imam Bukhari ) r.h farmate hain : Hoon ke maaani hawaan yaani ruswai ke hain or haun narmi ko kahte hai- Allah jal shanah ka irshaad hai : “Jaldi hi hum unhein do martaba saza denge , phir wo bare azaab ki taraf laut jayenge”- Naiz Irshad Baari taala hai : “ Or aal firaun ko bure azaab ne ghair liya , jo aag hai , wo subah wa shaam us par pesh kiye jate hain or jis din qayamat qayam hogi ( toh hukm hoga keh) aal firaun ko sakht tareen azaab mein dakhil kar do”-
Hazrat Baraa Bin aazib r.a. se riwayat hai , Wo Nabi Nabi ﷺ se bayaan karte hain keh Aap ne farmaya : “Jab monin ko iski qabar main baitha diya jata hai toh uske pass aate hain , phir wo gawahi deta hai , keh Allah ke siwa koi Maabood bar haq nahi or Muhammad(Nabi ﷺ) Allah ke Rasul hain – Yahi Irshad Baari Ta’ala hai : “Jo log emaan laye Allah Ta’ala unhein qaul sabit ( Kalimah taiyyaba ) Ke zariye se duniya ki zindagi mein bhi sabit qadam rakhta hai or aakhirat mein bhi rakhega” –
Muhammad Bin bashar ki riwayat mein yeh azafa hai keh yeh aayat Yusabitullah…. Azaab qabar ke mutalliq nazil hui –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1369
Hazrat Ibn Umar r.a. se riwayat hai keh Nabi Nabi ﷺ ne ( Badar ke ) Kunwe mein pare huye mushrikeen ki laashon ko dekha or farmaya : “ Aaya tumne is chiz ko thik thik paa liya jiska tumhare rab ne tumse waada kiya tha ?” Aapse arz kiya gaya : Aap ne farmaya : “Tum unse zayada nahi sunte lekin wo jawab nahi de sakte” –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1370
Hazrat A’isha r.a. se riwayat hai keh Nabi Nabi ﷺ ne qalib badar walon ke mutalliq farmaya tha : “ Ab unhein ilm hogya hai keh main jo kaha karta tha wo haq tha” – Irshad Baari Ta’ala hai : “Aap mardon ko nahi suna sakte” –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1371
Hazrat A’isha r.a. se riwayat hai keh ek yahudi aurat unke pass aayi or usne azaab e qabar ka zikr kiya toh kaha Allah Ta’ala aapko azaab qabar se mahfuz rakhein – Ummul Momineen Hazrat A’isha r.a. ne Rasul Allah Nabi ﷺ se azab e qabar ke mutalliq daryaft kiya toh aapne farmaya : “ Haan azaab e qabar ( Bar haq) hai” – Hazrat A’isha r.a. ne farmaya keh uske baad main ne Rasul Allah Nabi ﷺ ko dekha keh hara namaz ke baad azaab e qabar se panah manga karte the –
Ghand ki riwayat mein yeh izaafa hai keh Rasul Allah Nabi ﷺ ne farmaya : “Aazab Qabar bar haq hai” –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1372
Hazrat Asma Bint Abi Bakr r.a. se riwayat hai , Unhone kaha : Ek dafa Rasul Allah Nabi ﷺ khutbe ke liye khare huye toh azaab e qabar ke fitne ka zikr kiya jis mein aadmi mubtala hota hai – Jab aapne yeh zikr kiya toh musalman chinkhein mar kar rone lagye –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith1373
Hazrat Anas Bin Malik r.a. se riwayat hai , unhone kaha : Rasul Allah ﷺ ne farmaya : “ Aadmi ko jab qabar mein dafan kar diya jata hai or dafan karne wale wapas laut te hain , wo bhi unke jutton ke chaap sun raha hota hai keh uske pass do farishte aajate hain jo usey baitha kar puchte hai keh toh us aadmi , yaani Muhammad ﷺ ke bare mein kya ataqaad rakhta tha? Momin jawab mein kehta hai : Main gawahi deta hunk eh wo Allah ke bande or uske Rasul hain – Phir usse kaha jata hai : Tu Jahannam mein apna thikana dekh le , Allah ne uske badle tujhe Jannat mein thikana diya hai – wo dono thikane ko baik waqt tak dekhta hai” – Hazrat Qatadah ne kaha : Hadees mein yeh bhi zikr hua hai keh iski qabar ko kushadah kar diya jata hai – Phir usne Hadees Ana ski taraf rajoo kiya , farmaya : “Jab kafir or munafeeq se sawal kiya jata hai keh toh us shaksh ke bare mein kya ataqaad rakhta tha? Toh wo kehta hai : Main kuch nahi janta – Jo kuch log kahte hai main bhi wohi kuch keh deta tha – Phir usse kaha jata hai keh tu khud samjha na kisi ko samajhane wale ki raye par chala – Phir usey lohe ke hath kariyun se itni maar parti hai keh wo chilla uthta hai – Jeen wa Ins ke alawa wo sab uske aas paas wale uski cheekh pukar sunte hain”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1374
BAAB : 87 – AZAAB QABAR SE PANAH MANGNA
Hazrat Abu Ayyub Ansari r.a. se riwayat hai , unhone farmaya : Ek din ghurub aaftab ke baad Nabi ﷺ bahir tashreef laye toh aapne ek holnaak awaaz suni – Us waqt aapne farmaya :“ Yahud ko unki qabaron mein azaab diya jaa raha hai”-
Hazrat Nasar ke tariq se bhi yeh riwayat marwi hai –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1375
Hazrat Umm Khalid Bint Khalid r.a. se riwayat hai , unhone Nabi ﷺ se suna keh Aap Azaab E qabar se panah manga karte the –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1376
Hazrat Abu Hurairah r.a. se riwayat hai , unhone farmaya : Rasul Allah ﷺ aksar yeh dua parha karte the : Aye Allah! Main azaab e qabar se or azaab e Jahannam se , zindagi or maut ke fitne se or masih Dajjal ke fitne se teri panah chahta hun” –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1377
BAAB : 88 – GHEEBAT OR PESHAB SE NA BACHNE KE BAAS AZAAB QABAR HONA
Hazrat Ibn Abbas r.a. se riwayat hai keh Nabi ﷺka guzar do qabaron se hua toh Aap ne farmaya : “ In dono ko azaab ho raha hai or kisi bare gunah ki paadash mein inhein saza nahi di ja rhi hai – “ Phir farmaya : “ Kyun nahi ! ek in mein se chugli khata phirta tha or dusra apne peshab( ke chiton ) se parhez nahi karta tha” – Hazrat Ibn Abbas r.a. ne farmaya : Phir aapne ( Khujur ki) ek taazah shaakh li or uske do tukre kiye , phir hare k ke qabar par gira farmaya : “Jab tak yeh khush na honge ummeed hai keh unke azaab mein takhfeef hoti rahegi “-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1378
BAAB : 89 – MAYYAT KO SUBAH OR SHAAM DONO WAQT US ka THIKANA DIKHAYA JATA HAI
Hazrat Abdullah Bin Umar r.a. se riwayat hai keh Rasul Allah ﷺ ne farmaya : “ jab tum mein se koi mar jata hai tu har subah or shaam usey uska thikana dikhaya jata hai – Agar wo jannati hai toh Jannat mein or dozakhi hai toh Jahannam mein – Phir usey kaha jata hai keh yahi tera muqam hai keh yahan tak keh qayamat ke din Allah tujhe uthaye” –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1379
BAAB : 90 – CHAAR PAI PAR MAIYYAT ka KALAM KARNA
Hazrat Abu Saeed Khudri r.a. se riwayat hai , unhone kaha : Rasul Allah ﷺ ne farmaya : “Jab mayyat ko chaar paai par rakha jata hai , phir log usey apne kandhon par utha lete hain toh agar wo naik aadmi hota hai toh kehta hai : Mujhe aagey le chalo – Mujhe aagey le chalo – Or agar wo badkar hota hai toh kehta hai : afsos tum mujhe kahan le ja rhe ho ? Mayyat ki us awaaz ko insaan ke alawa har chiz sunti hai – agar insan sun le toh behosh ho jaye” –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1380
BAAB : 91 – MUSALMANO KI ( NABALIGH ) AULAD KE MUTALLIQ JO KAHA JATA HAI
Hazrat Abu Hurairah r.a. ne Nabi ﷺ se riwayat karte huye farmaya : “Jis shaksh ke teen nabaligh bacche faut ho jaye toh wo iske liye dozakh ki aag se hijab ban jayenge ya farmaya keh wo zarur Jannat mein dakhil hoga”-
Hazrat Anas Bin Malik r.a. se riwayat hai , unhone kaha : Rasul Allah ﷺ ne farmaya : “Logon mein se jis kisi musalman ke teen bacche mar jaye jo balughat ko na pahuchein ho toh Allah Ta’ala usey Jannat mein dakhil farmayega or aisa mahez uski khass rahmat ki bina par hoga jo wo un par karega” -
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1381
Hazrat Baraa Bin Aazib r.a. se riwayat hai , Unhone farmaya : Jab (Jigar gaushah Rasul ) Hazrat Ibrahim A.s ki wafat hui toh Rasul Allah ﷺ ne farmaya : “ Jannat mein is ke liye ek doodh pilane wali ko tayenat kar diya gaya hai” –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1382
BAAB : 92 – MUSHRIKEEN KI ( NABALIGH ) AULAD KE MUTALLIQ KYA KAHA KAHA GAYA HAI ?
Hazrat Ibn Abbas se riwayat hai , unhone farmaya : Rasul Allah ﷺ se or aulad e Mushriqeen ke mutalliq daryaft kiya gaya toh Aap ne farmaya : “Jab Allah Ta’ala ne unhein paida kiya that oh wo khub janta tha wo kaise amal karenge” –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1383
Hazrat Abu Hurairah r.a. se riwayat hai , wo kahte hain keh Rasul Allah ﷺ ne farmaya : “Allah hi behtar janne wala hai jo amal wo karne wale hain” –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1384
Hazrat Abu Hurairah r.a. se riwayat hai , unhone kaha : Rasul Allah ﷺ ne farmaya : “ Har bacche ki paidaish fitrat par hoti hai , phir uske maa baap usey yahudi , nasrani ya majusi bana dete hain , jaisa keh haiwanat ke bacche sahi wa salamat paida hote hain , kya tumne (paidaish taur par ) unke jism ka koi hissa kata hua dekha hai?
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1385
BAAB : 93 – BILA UNWAN
Hazrat Sumrah Bin Jandab r.a. se riwayat hai, unhone farmaya : Nabi ﷺ jab namaz (Fajr) se farigh hote toh hamari taraf muhh karke farmate : “Tum mein se kisi ne aaj raat khawab dekha ?” Agar kisi ne koi khawab dekha hota toh wo bayaan kar deta , phir jo kuch Allah chahta Aap uski taabeer bayaan karte , chunancha isi tarah ek din aapne farmaya hum se pucha : “ Kya tum mein se kisi ne koi khawab dekha hai keh?” Hum ne arz kiya : Nahi – Aap ne farmaya : “ Magar main ne aaj raat do aadmiyun ko khawab mein dekha hai keh wo mere pass aaye hai or mera haath pakar kar mujhe ek muqaddas zameen par gaye – wahan mein kya dekhta hun keh ek aadmi baitha aur dusra khara hai – jiske haath mein lohe ka ankra hai jise who baithey hue aadmi ke jabrey mein dakhil krta hai jo is taraf ko chirta hua , iski gaddi tak pohunch jata hai , phirr iske dusre jabray mein bhi aisa hi krta hai – iss arse mein pehla Jabra theek ho jata hai- phirr ye dubara aisa hi kr deta hai – meine poucha : ye kya hai ? Inn dono ne mujhe kaha : aage chaliye – hum chalet oh ek aise shakhs k pass pohnche jo bilkul cheet leta hua hai aur ek admiiss ke sirhane ek pather liye khara hai – who iss pather se iska sar phorrha hai –
Jab pather marta haitoh wo ludhakker dur chala jata hai, phirr wo isse jaker utha lata hai aur jab iss lete hue shakhs k pass lout kr aata hai toh iss waqt tak iska sar jur kr acha ho jata hai aur jaisa pehley tha isi tarah ho jata hai – phirr ise dubarah marta hai – Meine poucha : ye kon hai ? Inn donno ne kaha : aage chaliye , chunanchah hum ek garahe ki taraf chale jo tanwar ki tarah tha – iska munh tang aur pendah chora tha – isme aag jal rahi thi aur isme barhana mard auratein thi jab aag bharakti toh wo (barhana log) sholon k saath uchal parte aur nikalne k qareeb ho jate , phirr jab aag dheemi ho jati toh who bhi dharam se neeche gir
Parte – meine kaha : ye kon hein ? inn dono ne kaha : aage chaliye , chunanchah hum chaley aur ek khooni nahar pe pohunche – isme ek shakhs khara tha aur iske kinare per dussara admit ha jis k samne bohot se pathar pare the , nahar k andar wala admi jab bahar aana chahta toh kinare wala admi iske munh per iss zor se pathar marta keh wo phirr apni jagah per lout jata , phir aisa hi krta raha – jab bhi who nikalna chahta toh dusara iss zor se iss ke munh per pathar marta k ise apni jagah per louta deta – maine poucha : ye kya hai ? inn dono ne kaha : aage chaliye – hum chal diye – chalet chalet hum ek sar sabz bagh mein pohunche jis mein ek barasa darakht tha – iss ki jar k qareeb ek burha aadmi aur kuch bachche baithe the – ab achanak mein kya dekhta hun k iss darakht k pass ek aur admi hai jis k samne aag hai aur wo isse sulga rha hai – phirr wo dono mujhe iss darakht per charha le gaye aur wahan unhon ne mujhe ek aise makan mein dakhil kiya jis se behtar makan meine kabhi nahi dekha – iss me kuch burhe , kuch jawan , kuch auratein , kuch bachche thay. Phir who dono mujh ko wahan se nikal laye aur darakht par chadhaya – wahan bhi ek makan tha jis mein mujhe dakhil kiya – ye makan pahley se bhi umdah aur shaandar tha – Isme bhi kuch burhe aur jawan admi maujud they – tab meine inn dono se kaha : “tum ne mujhe raat bhar phiraya hai , ab meine jo kuch dekha hai iski haqeeqat batao? Unhon ne jawab diya : acha – who shakhs jise aapne dekha keh iska Jabra cheera ja raha tha , wo bohot jhoota admit ha aur jhooti baatein kiya krta tha jo iss se naqal hokr tamam itraf aalam me pohunch jati thein , iss liye qayamat tak iske saath aisa hi ma’mla hota rahega – aur wo shakhas jise aapne dekha keh iska sar kuchala ja raha hai , ye who shakhas hai jise Allah TALA ne Quraan ka ilam diya tha magar wo Quraan ko chor kr raat bhar sota rahta aur din me bhi ispe amal nhi krta tha – roze Qayamat tak iske sar iske sar par yahi amal hota rahega – aur wo log jinhe aapne garhe me dekha , wo zanni hein – aur jisse aapne nahar mein dekha wo sood khor hein , who burha insaan jo darakht ki jar k qareeb baitha hua tha , who Hazrat Ibrahim (A.S) the aur chotey bachche jo inke garad baithe hue the , who logon k who bachche the jo (bloogh se pahley) mar gaye – aur jo admi aag tez kr raha tha wo malik , Jahannam ka darogha tha – aur wo pahla makan jis mein Aap tashreef le gaye the aam musalamaan ka ghar hai aur yeh dussara shaheedon k liye hai – mein JABRAIL hun aur yeh MIKAEIL hein – ab Aap apna sar uthayen – mein ne sar uthaya to yaka yak dekhta hunk eh mere upper aber ki tarah koi cheez hai – unhon ne bataya keh yeh Aap ki eqamat ghah hai – mein ne kaha : abhi aapki kuch umar baqi hai , agar Aap isse poor kar chuke hote toh apni rehayesh ghah mein ja sakte the “ -
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1386
BAAB : 94 – DOSHAMBA (PEER) KE ROZ WAFAAT
Hazrat A’isha r.a. se riwayat hai , unhone farmaya : Main Hazrat Abu Bakr r.a. ke pass hazir hui toh unhone farmaya : Tum ne Nabi ﷺ ko kitne kapron mein kafan diya tha ? Main ne jawab diya : teen Sahuli chaadaron mein , jin mein na kameez thi or na amamah hi tha – Phir unhone farmaya : Nabi ﷺ ne kis roz wafaat payi thi ? Hazrat A’isha r.a. ne kaha : Peer Ke din – Abu Bakr r.a. ne farmaya aaj kaunsa din hai – Unhone jawab diya : Aaj peer ka din hai – Hazrat Abu Bakr r.a. ne farmaya : Main Ummeed karta hun keh is waqt se lekar raat tak wafaat pa jaunga – Phir unhone kapre ki taraf dekha jis mein wo bimar huye the or us mein ek jaafraan ka nishaan tha , aapne farmaya keh mere isi kapre ko dho dalo , is par do chadaron ka izafa kar do or un mein mujhe kafan dena , main ne kaha : yeh kapra toh purana hai – Unhone farmaya : Zinda aadmi naye kapron ka murde se zayadah haq daar hai kyunki aakhir kar kafan toh peep ken azar hone wala hai – Phir mangal ki raat unhone wafaat payi or subah se pehle pehle dafan kar diye gaye –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1387
BAAB : 95 – MAUT ka AACHANAK AANA
Hazrat A’isha r.a. se riwayat hai keh ek shaksh ne Nabi ﷺ se arz kiya : Meri waldah ka aachanak inteqaal ho gaya hai or muujhe yaqeen hai keh agar wo bol sakti toh zarur sadqah wa khairat karte – Kya main unki taraf se sadqah dun toh unhein kuch sawab milega ? Aapne farmaya : “Haan “ –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1388
BAAB : 96 – NABI ﷺ , HAZRAT ABU BAKR OR HAZRAT UMAR R.A. KI QABARON ka BAYAN
Irshaad Baari Ta’ala hai : “Usne usey qabar mein rakha” – Arabi mein AQBARTUR RAJULA ke maani hain : Main ne aadmi ki qabar tayyar ki – Or QABARTUHU ke maani hain : Main ne usey dafan kiya – ( Irshaad Baari Ta’ala hai : Kya humne zameen ko ) “Samait kar rakhne wali” ( Nahi Banaya?) Is ka matlab hai keh is zameen mein log zindagi basar karenge or marne ke baad is mein dafan kiye jayenge –
Hazrat A’isha r.a. se riwayat hai , unhone farmaya keh Rasul Allah ﷺ marz wa wafata mein bar bar izhaar khayal farmate : “ Main aaj kaha hun ? Kal kaha hunga?” Aisa A’isha ki bari ko bahot dur khayal karne ki Wajah se karte the – Balaakhir jab mera din aaya toh Allah Ta’ala ne aapko mere pahlu or seen eke darmiyaan qabz kiya or Aap mere ghar mein hi dafan huye –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1389
Hazrat A’isha r.a. se hi riwayat hai , unhone kaha : Rasul Allah ﷺ ne apni is marz mein jiss se Aap sehat yaab na huye the , farmaya : “ Allah Ta’ala yahud wa nasara par lanat kare , unhone apne ambiya ki qabaron ko masjid bana liya” – Agar aapki qabaron ko masjid bana lene ka andesha na hota toh usey zarur zahir kar diya jata – Rawi hades Hazrat Bilal ne kaha keh Hazrat Urwa Bin Zubair ne meri kanait rakhi , halankeh meri koi aulad nahi –
Hazrat Sufiyan Tamar se riwayat hai , unhone bataya : Main ne Nabi ﷺ ki Qabar Mubarak ko kohan E Shattar ( Unth ke Kohan ) Ki tarah ubhari huyi dekha hai –
Hazrat Urwa bayaan karte hain keh jab Walid Bin Abdul Malik ke zamane mein Hijrah Mubarak ki fdiwar gir gayi or log usey tamer karne mein masroof huye toh unhein ekpaun dikhayi diya – Wo ghabra gaye or khayal karne lage ki shayad yeh Nabi ﷺ ka paun Mubarak hai , Chunancha iske mutalliq unhein sahih mamulaat dene wala koi na mil saka hatta keh Hazrat Urwa Bin zubair ne unse kaha: Allah ki qasam! Yeh Nabi ﷺ ka qadam Mubarak nahi balkeh yeh paun Hazrat Umar r.a. ka hai –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1390
Hazrat A’isha r.a. se riwayat hai , unhone Hazrat Abdullah Bin Zubair r.a. ko wasiyat ki keh mujhe Rasul Allah ﷺ or aapke saathiyun ke sath dafan na karna balkeh mujhe meri dusre sukoono ke humrah Baaqe ( Garqaad) mein dafan karna – Main nahi chahti keh un Hazrat ki wajah se meri bhi tareef hua kare –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1391
Hazrat Umaro Bin Maimun Aaudi r.h farmate hain : Main ne Hazrat Umar Bin Khattab r.a. ko dekh , unhone Hazrat Abdullah Bin Umar r.a. se farmaya : Aye Abdullah! Tum Ummul Momineen Hazrat A’isha ke pass jao , unse kaho ke Umar Bin Khattab aapko salam kahte hain or unse daryaft karo keh main apne dono saathiyun ke sath dafan hona chahta hun – Ummul Momineen r.a. ne jawab diya : Main apni zaat ke liye us jagah ka irada rakhti thi lekin aaj main unko apni zaat par tarjeeh deti hun – Jab Hazrat Abdullah Bin Umar r.a. wapas aaye toh unhone pucha : Kya jawab laye ho? Unhone arz kiya : AmeerulMomineen! Ummul Momineen r.a. ne aapko ijazat de di hai , Hazrat Farooque r.a. ne farmaya : mujhe sab se zayada fikar isi khawab gaah kit hi –jab main faut ho jaun toh mujhe utha kar waha le jana, salam karna phir kehna keh Umar Bin Khattab ijazat mangte hain – Agar wo ijazat de dein toh mujhe swahan dafan kar dena , Basurat degar mujhe musalmano ke qabaristaan mein wapas le jana – Main Khilafat ka mustahik unlogon se zayada kisi ko khayal nahi karta jin se Rasul Allah ﷺ ko khush ho kar faut huye hain – yeh log mere baad jaise bhi khalifa bana le wahi khalifa hoga – uski baat sunna or iteyat karna , phir Aap ne Hazrat Usman , Hazrat Ali , Hazrat Talha , Hazrat Zubair , Hazrat Abdul Rahman Bin A’auf Or Hazrat Saad Bin Abi waqas r.a. ke naam zikr kiye – Daryein Asna Ansar ka ek naujawan aapke pass aaya or kahne laga : Ameerul Momineen! Aapko Allah Ta’ala ki basharat se khush hona chahiye kyunki aapko Islam mein qadamat ka sharaf hasil hai jo Aap bhi acchi tarah jante hain , alawa azein Aap khalifa nateejab huye or adal wa insaaf se kaam liya , phir un sab ke baad aapne shahdat payi – Hazrat Umar Farooq ne farmaya : Aye mere bhateeje! Kaash keh main unki wajah se barabar barabar chhut jaun – na mujhe koi azaab ho or na koi sawab mile – Main apne baad aane wale khalifa muhajreen auleen se acche saluki ki wasiyat karta hun – wo unke haqooq ko pahchane or unki izzat kare wa hurmat ki nighdasht kare – Or ansar ke mutalliq bhi khair khawahi ki wasiyat karta hun – jinhone Madina ko apna ghar banaya or ( Muhajeereen Ke Madine se pehle) Emaan le aaye keh un mein Mohsin ka ahsan qubool kiya jaye or un mein se jo bura kaam karne wale ho unse dar guzar kiya jaye – Main hone wale kgalifa ko wasiyyat karta hunk eh wo is zimmadari ko pura kare jo Allah or uske Rasul ﷺ ki zimmadari hai , yani unke ahad wa paiyman ko pura kiya jaye or unke aagey dushman se lara jaye or taqat se zayada un par koi bojh na dala jaye –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1392
BAAB : 97 – MURDON KO BURA BHALA KEHNE KI MUMANAT ka BAYAAN
Hazrat A’isha r.a. se riwayat hai , unhone kaha : Nabi ﷺ ne farmaya : “ Murdon ko bura bhala na kaho wo , jo kuch kar chuke hain us se hum aaghosh ho chuke hain” –
Is riwayat ko Abdullah Bin Abdul Qudus Or Muhammad Bin Anas bhi aamash se bayaan kiya hai- Shabah se riwayat karne mein Ali Bin Jaad , Muhammad Bin Ararah Or Ibn Abi A’adi ne aadam ki mutabiaat ki –
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1393
BAAB : 98 – MURDON KI BURAI ZIKR KARNA
Hazrat Ibn Abbas r.a. se riwayat hai , unhone farmaya : Lameen Abu Lahab ne ek dafa Nabi ﷺ se kaha tha : saara din apke liye barbaadi ho – Us par ye aayat nazil hui : “ Toot gaye haath Abu Lahab ke or wo khud bhi halak ho gaya”-
Sahih Al Bukhari
Vol.2 Book No.23 Hadith 1394
Subscribe to:
Posts (Atom)
Post a Comment