Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

Kitab ul Ghusl


SAHIH AL BUKHARI, KITAB UL GHUSL, KITAB NO-  5 .

1. BAAB: GHUSL SE PEHLE WUZU KARNA.

۞ Hazrat Ayesha, zauja'e Nabi se riwayat hai ke Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм jab ghusl janabat farmate to pahle dono hath dhotee. Fir namaz ke wazu ki tarah wazu karte. Baad az'a apni ungliya paani me daal kar baalon ki jadon ka qilaal karte, Fir dono hathon se (3) teen chullu le kar apne sar par daalte, iske baad apne tamaam jism par paani bahate.

Sahih al-Bukhari, 248
Vol. 1, Book 5, Hadith 248.

۞ Hazrat Maimoona, zauja e Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм se riwayat hai, inhone farmaya : RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм (ghusk ke waqt) is tarah wazu farmaya jis tarah namaz ke liye kiya jata hai lekin pa'aon nahi dhoye, albatta apni sharm gaah ko aur jism par lagy hui aalaish ko dhoya. Fir Apne upar pani bahaya, iske baad jagah e ghusl se alag hokar apne dono paa'on dhoye. Ye Aap ka Ghusl e Janabat tha.

Sahih al-Bukhari 249
Vol. 1, Book 5, Hadith 249.




 

(2) BAAB: QHAWIND KA APNI BIWI KE SATH GHUSL KARNA.

۞ Hazrat Ayesha se riwayat hai, inhone farmaya:mai aur nabi ek hy bartan se ghusl karte the. Wo bartan ek bada pyala tha jise farq kaha jata hai.

Sahih al-Bukhari 250
Vol. 1, Book 5, Hadith 250.




 

(3) BAAB: EK SA' YA IS KE QAREEB QAREEB PANI KI MIQDAAR SE GHUSL KARNA | (One Sa' = 3 kilograms approx.)

۞ Hazrat Abu Salma se riwayat hai, farmate hai: Mai aur Hazrat Ayesha ke bhai Hazrat Ayesha ki khidmat me hazir hue inke bhai ne Nabi ke ghusl ke mutalliq daryaft kiya to inhone sa'a jaisa ek bartan mangwaya. Fir ghusk kiya aur ise apne sar par bahaya, Us waqt hamare aur apke darmiyan parda ha'il tha. 

Sahih al-Bukhari 251
Vol. 1, Book 5, Hadith 251.

Abu Jafar ne bayan kiya ke wo aur un ke waalid  (Janab Zain ul Abideen r.z.) Jabir bin Abdullah r.z. radiAllahu anha ke paas the aur kuch aur log bhi baithe hue the unlogon ne Aap se ghusl ke bare mein pucha to Aap ne farmaya ke ek "saa" kaafi hai. Ispar ek shakhs bola ye mujhe to kafi na hoga . Hazrat Jabir radiallahu anha ne farmaya ke ye un ke liye kafi hota tha jin ke baal tumse zyada the aur jo tumse behtar the (yani  RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ).  Fir Hazrat Jabir r.a. ne ek kapda me hamari Imamat karai .

Sahih al-Bukhari 252
Vol. 1, Book 5, Hadith 252.

۞ Hazrat ibn e Abbas r.z. se riwayat hai ke Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм aur Hazrat Maimoona r.z. ek hi bartan se ghusl farmaya karte the.

Sahih al-Bukhari, 253
Vol. 1, Book 5, Hadith 253.




 

(4) BAAB: JIS NE APNE SAR PAR TEEN MARTABA PANI BAHAYA. 

۞ Hazrat Jubair bin Mut'im r.z. se riwayat hai, inhone kaha: Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya: "Mai to apne sar par teen baar pani bahata hoon." aur (ye kah kar) aapne apne dono hathon se ishara farmaya.

Sahih al-Bukhari, 254
Vol. 1, Book 5, Hadith 254.

۞ Hazrat Jabir bin Abdullah r.z. se riwayat hai, Aap ne Farmaya: RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм apne sar par teen baar pani bahaya karte the.

Sahih al-Bukhari, 255
Vol. 1, Book 5, Hadith 255.

۞ Hazrat Abu Jaafar r.z. ka bayan hai ke humse Hazrat Jabir bin Abdullah r.z. ne farmaya: Mere paas tumhare chachazaad aaye the, inka ishara Hasan bin Mohammed ibn e Hanfiya ki taraf tha, inhone pucha: Ghusl Janabat ka kya tareeqa hai?
Maine kaha Nabi teen chullu lete aur inhe apne sar par bahate the, fir apne tamam badan par pani daalte the. Hasan ne kaha: Mai to bohut balon wala shaqs hoon, mai ne jawab diya: Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ke baal tum se zyada the.

Sahih al-Bukhari, 256
Vol. 1, Book 5, Hadith 256. 




 

(5) BAAB: GHUSL ME EK MARTABA PAANI DAALNA

۞ Hazrat ibn e Abbas r.z. se riwayat hai, inhone kaha: Hazrat Maimoona r.z. ne farmaya: Maine ek martaba Nabi ke ghusl ke liye pani rakha, Aap ne apna hath do ya teen martaba dhoya, fir Aapne apne baaye (left) hath par pani daal kar apni sharmgaah ko dhoya, fir aapne apna hath zameen par ragda, iske baad kully ki aur naak me pani chadhaya, fir chehra mubarak aur dono hathon ko dhoya, iske baad Aapne apne jism par pani bahaya, phir apni jagah se hath kar dono paaon(legs) dhoye.

Sahih al-Bukhari, 257
Vol. 1, Book 5, Hadith 257. 




 
 (6) BAAB: JIS SHAKS NE GHUSL KE WAQT HILAAB YA KHUSHBU SE IBTIDAA KI

۞ Hazrat Ayesha r.z. se riwayat hai, inhone farmaya: Nabi jab ghusl janabat karne ka irada farmate to Hilaab jaisy koi chiz mangwate aur ise apne hath me lekar pahle Sar ke daye hisse se ibtida karte, fir baye janib lagate, iske baad apne dono hathon se taalu (middle of head) par malish karte.

Sahih al-Bukhari, 258
Vol. 1, Book 5, Hadith 258. 




 

 (7) BAAB: GHUSL JANABAT ME KULLI KARNA AUR NAAK ME PAANI CHADHANA

۞ Hazrat Maimoona r.z. se riwayat hai, inhone farmaya: Maine Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ke liye ghusl ka pani rakha to Aapne apne dayen haath se baye hath par pani daala aur dono hathon ko dhoya, phir aapne apni sharmgaah ko dhoya, iske baad Aapne apne hath zameen par rakha aur ise mitty se ragda aur dhoya, iske baad Aapne kully ki aur naak me pani chadhaya, Fir chehra mubarak ko dhoya aur apne sar par pani bahaya, iske baad Aap is jagah se alag hue aur apne pa'on dhoye, Fir aapko ek romaal pesh kiya gaya lekin Aapne isse apna badan saaf nahi farmaya.

Sahih al-Bukhari, 259
Vol. 1, Book 5, Hadith 259.





 

(8) BAAB: HATH KO MITTY SE RAGADNA TAAKE WO SAAF HOJAYE

۞ Hazrat ibn e Abbas r.z. se riwayat hai, wo Hazrat Maimoona r.z. se riwayat karte hai ke Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne ghusl janabat kiya to pahle apni sharmgaah ko apne hath se dhoya, fir hath ko diwaar par ragad
kar dhoya, fir namaz ki tarah wuzu kiya, aur jab Aap apne ghusl se farig ho gaye to dono pa'on dhoye.

Sahih al-Bukhari, 260
Vol. 1, Book 5, Hadith 260.





 

(9) BAAB: KYA JUNUBI APNE HATH DHONE SE PAHLE INHE BARTAN ME DAAL SAKTA HAI JABKE JANABAT KE ALAWA ISKE HATH PAR KOI GANDAGI NA HO?

Hazrat ibn e Umar r.z. aur Hazrat Bara'a bin Aazib r.z. ne apne hath dhone se pahle inhe ghusl ke pani me daala tha, fir isse wuzu kiya tha, Hazrat Abdullah bin Umar r.z. aur Hazrat ibn e Abbas r.z. in cheenton me koi muza'eqa Khayal nahi karte the, jo ghusl janabat se udty thy.

۞ Hazrat Ayesha r.z. se riwayat hai, inhone farmaya: Mai aur Nabi ek hi bartan se ghusl karte the, jisme hamare hath ek dusre se aage piche padte the.

Sahih al-Bukhari, 261
Vol. 1, Book 5, Hadith 261.

۞ Hazrat Ayesha r.z. se riwayat hai ke Rasoolallah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм jab ghusl janabat farmate to (pahle) apna hath dhote the.

Sahih al-Bukhari, 262
Vol. 1, Book 5, Hadith 262.

۞ Hazrat Ayesha r.z. se riwaya hai, wo farmati hai: Mai aur Nabi ek hi bartan me gusl janabat karte the.

Sahih al-Bukhari, 263
Vol. 1, Book 5, Hadith 263.

۞ Hazrat Anas r.z. se riwayat hai, inhone farmaya: Nabi aur Aap ki biwiyo me se koi biwi ek hi bartan se ghusl karte the.
(Is riwayat me Muslim bin ibraheem aur wah'b bin Jurair ne ba'wasta e shu'ba ye izafa bayan kiya hai ke wo ghusl janabat ka hota tha).

Sahih al-Bukhari, 264
Vol. 1, Book 5, Hadith 264.




 

(10) BAAB: GHUSL AUR WAZU KE DARMIYAN FAASLA KARNA

Hazrat ibn e Umar r.z. se manqool hai ke inhone apne qadmo ko wazu ka pani khushk hojane ke baad dhoya.

۞ Hazrat ibn e Abbas r.z. kahte hai ke Hazrat Maimoona r.z. se riwayat hai. Inhone farmaya: Maine RasoolAllah ke liye ghusl ka pani rakha to apne apne dono hathon par pani daala, aur inhe do ya teen martaba dhoya, fir apne apne dayen hath se bayen hath par pani dala aur apni sharmgah ko dhoya, iske baad Aapne apne hath zameen par ragda, fir kulli ki aur naak me pani chadhaya, phir Aapne apna chehra aur hathon ko dhoya, fir apne sar ko teen martaba dhoya aur badan par
pani bahaya, fir Aap apni jagah se hat gaye aur dono pa'on dhoye.

Sahih al-Bukhari, 265
Vol. 1, Book 5, Hadith 265.




 

(11) BAAB:JIS SHAQS NE GHUSL KE WAQT APNE DAYEN HATH SE BAYEN HATH PAR PANI DALA

۞ Hazrat Maimuna bint e Haris r.z. se riwayat hai, inhone kaha: Maine RasoolAllah ke liye ghusl ka pani rakha aur parda kar diya, Aapne apne (dayen hath se bayen) hath par pani dala, phir ise ek ya do martaba dhoya. [Ek raawi (sub-narrator) kahte hai: Mujhe yaad nahi salim ne teesry martaba ka zikr kiya ya nahi]. Phir Aapne apne dayen hath se bayen hath par pani dala aur apni sharmgaah ko dhoya, fir zameen ya diwar se apna hath ragda, phir Aapne kulli ki aur naak me pani chadhaya, aur apne chehra e mubarak aur hatho ko dhoyaaur sar ko dhoya, phir badan par pani bahaya, iske baad
ek taraf hat kar apne dono pa'on dhoye, iske baad maine ek kapda diya lekin apne apne hath se is tarah ishara farmayaaur iske lene ka irada nahi farmaya.

Sahih al-Bukhari, 266
Vol. 1, Book 5, Hadith 266.




 

(12) BAAB: EK DAFA JAMA'A KE BAAD DOBARAH HUM-BISTAR HONA AUR EK HI GHUSL
SE TAMAAM BIWIYO KE PAAS JANA

۞ Hazrat Ibraheem bin Mohammed bin Muntashir se riwayat hai, wo apne walid Muhammed bin Muntashir se bayan karye hai, inhone kaha: Maine Hazrat Ayesha r.z. ke samne is (ghusl e ehraam me istemal e khushbu) ka zikr kiya to inhone farmaya: Allah ta'ala Abdur Rahman (ibn e umar)
par raham farmaye (inhe galat fehmi hui), Maine RasoolAllah ko khushbu lagayi, phir Aap apni tamam azwaj e mutahhara ke paas gaye aur subah ko ehraam is halat me bandha ke kushbu se apka jism mehek raha tha.

Sahih al-Bukhari, 267
Vol. 1, Book 5, Hadith 267.

۞ Hazrat Anas r.z. se riwayat hai, inhone farmaya: Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм din aur raat
ke ek hi waqt me apni tamam azwaaj e mutahharat ke paas gaye aur ye gyara(11) thi.
Raawi ne kaha: Maine pucha: Kya RasoolAllah iski taqat rakhte the?
Hazrat Anas r.z. ne farmaya: Hum apas me kaha karte the ke aap
ko tees(30) Mardon ki taqat di gayi hai.

Sahih al-Bukhari, 268
Vol. 1, Book 5, Hadith 268.




 

(13) BAAB: MAZI KA DHONA AUR ISKE QHUROOJ SE WAZU KA WAJIB HONA

۞ Hazrat Ali r.z. se riwayat hai, inhone farmaya: Mujhe mazi ba'kasrat aati thi, chunke mai Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ka damad tha, is liye maine ek shaks se kaha ke wo Aapse is mutalliq sawal kare, unhone pucha to Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya: Wuzu karlo aur apne a'azu e maqsoos ko dholo."

Sahih al-Bukhari, 269
Vol. 1, Book 5, Hadith 269.




 

(14) BAAB: JISNE KUSHBU LAGAYI FIR GHUSL KIYA LEKIN KHUSBU KA ASAR BAQI RAHA

۞ Hazrat Ibraheem bin Mohammed bin Muntashir se riwayat hai, wo apne walid Mohammed bin Muntashir se riwayat karte hai, inhone kaha: Maine Hazrat Ayesha se pucha aur inse Hazrat ibn e umar r.z. ke is qaul ka bhi zikr kiya ke mai ye baat gawarah nahi karta ke ehraam bandhu aur khushbu mere jism se mahek rahi ho, is par Hazrat Ayesha r.z. ne farmaya: Maine khud RasollAllah ko khushbu lagayi, fir Aap apni tamaam azwaaj ke paas gaye aur iske baad ehraam bandha"

Sahih al-Bukhari, 270
Vol. 1, Book 5, Hadith 270.

۞ Hazrat Ayesha r.z. se riwayat hai, Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya: Goya mai
Nabi ki maang me khushbu ki chamak dekh rahy hoon aur Aap ehraam bandhe hue hai.

Sahih al-Bukhari, 271
Vol. 1, Book 5, Hadith 271.




 

(15) BAAB: BALON KA QILAAL KARNA AUR JAB YAKEEN HOGAYA KE KHAAL TAR HOGAYI TO ISPAR PANI BAHA DENA

۞ Hazrat Ayesha r.z. se riwayat hai, inhone farmaya: RasoolAllah jab ghusl janabat karte to pahle
apne hathon ko dhote aur namaz ke wazu ki tarah wazu karte fir ghusl ka aagaaz karte, fir apne hath se balon ka qilaal karte aur jab yakeen hojata ke khaal tar hogayi hai to teen daf'a is par pani bahate, fir tamaam badan ka ghusl karte.

Sahih al-Bukhari, 272
Vol. 1, Book 5, Hadith 272.

۞ Hazrat Ayesha r.z. ne farmaya: Mai aur Nabi ek bartan me ghusl karte the, hum dono isse chullu bhar bhar kar pani lete the.

Sahih al-Bukhari, 273
Vol. 1, Book 5, Hadith 273.




 

(16) BAAB: JISNE BA'HALAT E JANABAT WAZU KIYA, PHIR SARA BADAN DHOYA
AUR A'ZAYE WAZU DOBARAH NAHI DHOYE

۞ Hazrat Maimoona r.z. se riwayat hai, inhone farmaya: Rasoolallah ne ghusl e janabat ke liye pani rakha, phir Aap ne apne dayen hath se bayen hath par do ya teen martaba pani dala, iske baad apni sharmgah ko dhoya, phir apne hath ko zameen ya diwaar par do'teen martaba ragad kar dhoya, phir kulli ki aur naak me pani dala aur apne chehre aur bazuo'on ko dhoya fir Aap ne apne sar mubarak par pani bahay, fir tamam jism ko dhoya, fir apni jagah se hat kar apne dono pa'on dhoye, Hazrat Maimoona r.z. farmaty hai: Mai apke paas ek kapda lekar aayi to apne ise nahi liyaa aur hathon hi se
pani jhadne lage.

Sahih al-Bukhari, 274
Vol. 1, Book 5, Hadith 274.




 

(17) BAAB: JAB KISI KO MASJID ME YAAD AAYE KI WO JUMBI HAI TO ISI HALAT ME BAHAR AJAYE, ISE TAYAMMUM KARNE KI ZAROORAT NAHI

۞ Hazrat Abu Hurairah r.z. se riwayat hai, inhone kaha: Ek dafa namaz ke liye Iqamat keahdy gayi aur khade hokar safe bhi sidhi karli gayi to RasoolAllah hamare paas tashreef laye, jab Aap musalle par khade ho chuke to yaad aaya ke Aap janabat ki halat me hai, is waqt apne humse famaya: "Apni jagah thehre raho, "Fir Aap wapis chale gaye, ghusl farmaya aur dobarah masjid me tashreef laye to Aap ke sar mubarak se pani tapak raha tha, chunanche Aapne namaz ke liye takbeer kahi aur hum ne Aap ke sath namaz ada ki.

Sahih al-Bukhari, 275
Vol. 1, Book 5, Hadith 275.




 

(18) BAAB: GHUSL JANABAT KE BAAD HATHON SE PANI JHAADNA

۞ Hazrat ibn e Abbas r.z. se riwayat hai, inhone kaha: Hazrat Maimoona r.z. ne faramay: Maine Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ke liye ghusl ka pani rakha aur ek kapde se parda bhi kar diya, pahle Aapne apne dono hathon par pani dala aur inhe dhoya, fir dayen hath se bayen hath par pani dala aur apni sharmgaah ko dhoya, fir apne hath ko zameen par khoob ragda aur ise dhoya, iske baad kulli ki aur naak me pani dala, fir chehra aur bazu dhoye, fir apne sar par pani bahaya aur sare jism ko dhoya, iske baad ek taraf hat kar apne dono pa'on dhoye, iske baad maine apko ek kapda dena chaha lekin Aapne ise nahi liya aur Aap apne dono hathon se pani jhaadte hue chale gaye.

Sahih al-Bukhari, 276
Vol. 1, Book 5, Hadith 276.




 

(19) BAAB: SAR KE DAYEN HISSE SE GHUSL JANABAT KA AGHAAZ KARNA

۞ Hazrat Ayesha r.z. se riwayat hai, inhone farmaya: Hum me se agar kisi ko janabat la'hiq hoti to wo apne hathon me pani lekar sar par teen martaba dalty, fir apne hath me pani lekar apne dayen hisse par daalti, iske baad pani lekar bayen hisse ka ghusl karti.

Sahih al-Bukhari, 277
Vol. 1, Book 5, Hadith 277.




 

 

(20) BAAB: JIS NE QULOOT ME NANGE HOKAR GHUSL KIYA AUR JIS NE KAPDA BANDH LIYA 

۞ Hazrat Abu Huraira r.z. se riwayat hai ki Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya: Bani Isra'el ek dusre ke samne bar'hana(nange) hokar ghusl karte aur ek dusre ko
dekhte the jabke Musa tanha nahate. Bani Isra'el ne kaha: Allah ki qasam! Musa hamare sath isliye ghusl nahi karte ke wo marz e fataq me mubtala hai, ittefaq se ek din Musa ne nahate waqt apne kapde ek patthar par rakh diye, hua yunh ke wo pathar apke kapde lekar bhaag nikla. Hazrat iske
ta'aqqub me ye kahte hue daude: Aye pathar! Mere kapde de de, aye Patthar! Mere kapde de de,
yaha tak ke bani isra'el ne Musa a.s. ko dekh liya aur kahne lage: Wallah! Musa ko koi bimary nahi, Hazrat Musa a.s. ne apne kapde liye aur pathar ko marne lage.'
Hazrat Abu Huraira r.z. ne farmaya: Allah ki qasam! Musa a.s. ki maar ke 6-ya-7 nishan is pathar par ab bhi maujood hai.

Sahih al-Bukhari, 278
Vol. 1, Book 5, Hadith 278.

۞ Hazrat Abu Huraira r.z. se riwayat hai, wo Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм se bayan karte hai,
Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya: Ek martaba Hazrat Ayyub a.s. nange naha rahe the ke
in par sone ki Tiddiya (golden locusts) girne lagi. Hazrat Ayyub a.s. inhe apne kapde
me sametne lage, Is mauqe par Allah ta'ala ne inhe awaaz di: Aye Ayyub! Jo tum dekh rahe ho, kya mai ne tumhe inse be'niyaz nai kiya?
Hazrat Ayyub ne arz kiya: Mujhe teri izzat ki qasam! Kyun nahi, magar mai tere karam se be'niyaz nahi ho sakta.

Sahih al-Bukhari, 279
Vol. 1, Book 5, Hadith 279.




 

(21) BAAB: LOGON KE SAMNE NAHATE WAQT PARDAH KARNA

۞ Hazrat Umm e Hani bint e Abi Talib r.z. se riwayat hai, inhone kaha: Mai Fateh Makkah ke din Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ki khidmat me hazir hui to maine dekha ke Aap ghusl kar rahe hai aur Hazrat Fathima r.z. ne Aapko pardah kar rakha hai. RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne pucha: Ye koun (qatoon) hai? Maine arz kiya: Mai Umme Hani hoon.

Sahih al-Bukhari, 280
Vol. 1, Book 5, Hadith 280.

۞ Hazrat Maimoonah se riwayat hai, inhone farmaya: Maine Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ka pardah kiya tha jab ke Aap ghusl janabat kar rahe the, chunanche Aapne pahle apne dono hath dhoye, phir Aapne apne dayen hath se bayen hath par pani dala, phir Aap ne apni sharmgaah aur us alaaesh ko dhoya jo lagy hui thy, iske baad Aapne apna hath diwar ya zameen par ragda, fir Aapne namaz ke wuzu jaisa wuzu kiya albattah pa'ao nahi dhoye, fir apne pure jism par pani bahaya iske baad waha se hat kar apne pa'on dhoye."

Sahih al-Bukhari, 281
Vol. 1, Book 5, Hadith 281.




 

(22) BAAB: JAB AURAT KO EHTELAAM (NOCTURNAL SEXUAL DISCHARGE) HOJAYE

۞ Ummul Momineen, Umme Salma r.z. se riwayat hai, inhone farmaya: Abu Talha ki biwi Hazrat Umme Sulaim Rasoolallah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ki khidmat me hazir hui aur arz kiya: Ya Rasoolallah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Allah ta'ala haq baat bayan karne se haya nahi karta, jab aurat ko ehtelam hojaye to kya is par ghusl wajib hota hai? RasoolAllah ne farmaya: "HAAN" jab pani dekhe.

Sahih al-Bukhari, 282
Vol. 1, Book 5, Hadith 282.




 

(23) BAAB: JUMBI KA PASINA AUR YE KE MUSALMAN NAJIS NAHI HOTA

۞ Hazrat Abu Huraira r.a. se riwayat hai, Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм inhe madine ke raste me mile jabke wo (Abu Huraira) is waqt ba'halat e janabat the, chunanche (wo khete hai): Mai Aap ke paas se khisak gaya aur duur jakar ghusl kiya, Fir hazir khidmat hua to RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya: Aye Abu Huraira! Tum kaha the? Maine arz kiya: Mai junbi tha,
lehaza mujhe ye baat pasand na thi ke Aap ke paas napaak halat me baithon, Aapne farmaya: SUBHAN ALLAH! Musalman najis nahi hota."

Sahih al-Bukhari, 283
Vol. 1, Book 5, Hadith 283.




 

(24) BAAB: JUMBI KA GHAR SE BAHAR NIKALNA, BAZAAR ME CHALNA WAGERA JAYEZ HAI

۞ Hazrat Anas r.a. se riwayat hai, inhone farmaya: Nabi ba'az auqaat ek raat me apni tamaam azwaj e muttaharaat ke paas ho aate the aur is waqt inki ta'adaat 9 thi."

Sahih al-Bukhari, 284
Vol. 1, Book 5, Hadith 284.

۞ Hazrat Abu Huraira se riwayat hai, inhone farmaya: RasoolAllah se meri mulaqat ba'halat e janabat hui, Aapne mera hath pakad liya aur mai apke sath chalne laga, yahan tak ke Aap baith gaye to mai chupke se utha aur apne thikane par pohcha, wahan maine Ghusl kiya fir Hazir khidmat hua, Aap wahi tashreef farma the, Aap ne farmaya: Abu Huraira! Tum kaha the? Maine Aap se arz kar diya, Aapne farmaya: Abu huraira! SUBHAN ALLAH! Bila shuba Momin napaak nahi hota."

Sahih al-Bukhari, 285
Vol. 1, Book 5, Hadith 285.




 

(25) BAAB: GHUSL SE PAHLE JUNBI KA GHAR ME THEHERNA JAB KE WO WAZU KARLE

۞ Hazrat Abu Salma r.a. se riwayat hai, inhone kaha: Maine Hazrat Ayesha r.a. se daryaft kiya: Kya Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм bahalat e janabat ghar me so jaya karte the? inhone farmaya: Haan, lekin wazu kar lete the

Sahih al-Bukhari, 286
Vol. 1, Book 5, Hadith 286.




 

(26) BAAB: JUNBI KA SOONA

۞ Hazrat ibn e Umar r.a. se riwayat hai, Hazrat Umar bin khattab ne RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм se pucha: Kya humme se koi janabat ki halat me soo sakta hai? Aapne farmaya: 'Haan' wuzu karke ba'halat e janabat soo sakta hai.

Sahih al-Bukhari, 287
Vol. 1, Book 5, Hadith 287.




 

(27) BAAB: JUMBI WAZU KARE FIR SOYE

۞ Hazrat Ayesha r.a. se riwayat hai, inhone farmaya: Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм jab ba'halat e janabat sona chahte toh pahle apni sharmgaah ko dhote, fir wuzu karte jo namaz ke liye kiya jata

Sahih al-Bukhari, 288
Vol. 1, Book 5, Hadith 288.

۞ Hazrat Abdullah bin Umar se riwayat hai, inhone kaha: Hazrat Umar r.a. ne Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм se masla daryaft kiya: Kya Hum me se koi halat e janab me soo sakta hai? Aapne farmaya: 'Haan' jab wuzu karle.

Sahih al-Bukhari, 289
Vol. 1, Book 5, Hadith 289.

۞ Hazrat Abdullah bin Umar se riwayat hai, Hazrat Umar ne RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм
se zikr kiya ke ise (ibn e Umar ko) raat ke kisi hisse me janabat lahiq ho jati hai? Toh RasoolAllah ne in se farmaya:"Wuzu karlo aur apna a'azu dholo fir sojao.

Sahih al-Bukhari, 290
Vol. 1, Book 5, Hadith 290.




 

(28) BAAB:JAB (MIYA BIWI) DONO (KE) QITAAN EK DUSRE SE MILJAYE

۞ Hazrat Abu Huraira r.a. se riwayat hai, wo Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм se bayan karte hai, Aapne farmaya: "Jab mard, aurat ke charon a'azaa ke darmiyan baith jaye, fir koshish shuru karde to ghusl wajib hojayega,

Sahih al-Bukhari, 291
Vol. 1, Book 5, Hadith 291.




 

(29) BAAB: AURAT KI SHARMGAAH SE JO RATUBAT LAG JAYE, ISKA DHONA

۞ Hazrat Zaid bin Khalid Al-Juhani r.z. :se riwayat hai, inhone Hazrat Usman r.z. se daryaft kiya: Agar koi shaqs apni biwi se humbistari kare magar inzaal na ho to is ke mutalliq aapki kya raye hai?
Hazrat Usman ne farmaya: Wo wuzu kare jaisa ke namaz ke liye wuzu karta hai, aur apne a'aza e maqsoos ko dhole. Hazrat Usman ne ye bhi kaha ke Maine RasoolAllah se aisa hi suna hai. Hazrat Zaid kahte hai: Maine fir iske mutalliq Hazrat Ali bin Abi Talib, Az- Zubair bin Al-`Awwam, Talha bin 'Ubaidullah aur Ubai bin Ka`b  se daryaft kiya to inhone bhi yahi faisla diya.

Sahih al-Bukhari, 292
Vol. 1, Book 5, Hadith 292.

۞ Hazrat Abu Ayyub r.z. se riwayat hai, inhone kaha: Mujhe abi bin k'ab ne bataya, inhone arz kiya ya Rasoolallah! Jab koi mard apni biwi se hambistar ho, aur use inzaal na ho to? Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya:"Us muqaam ko dhole jisse aurat ko mass kiya tha, fir wuzu kare aur namaz padhle, Abu Abdullah (Imam Bukhari) kahte hai ke ghusl karne me hi ehtiyaat hai, ye akhry riwayat humne sahaba e karam ke iqtelaf ki wajah se bayan ki hai.

Sahih al-Bukhari, 293
Vol. 1, Book 5, Hadith 293.

Post a Comment