Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

Kitabul Saum


Baab: 1 RAMZAN KE ROZE KI FARZIYAT

Irshad baari ta'ala hai : "Aye eemaan walon! Tum par Roze farz kiye gaye hai jis trah tum se pahle logon per the take tum me Taqwa paida ho"

Hazrat Talha bin Obaidullah r.a. se riwayat hai k ek dehati Rasool ﷺ k paas baye halath hazir hua ke Baal pra gandah the. Us ne araz kiya :Allah k Rasool !Mujhe aagah kare ke Allah ta'ala ne mujh pe kitni namazain farz ki hai? Aap ne farmaya" panch namazain magar tum apni kushi Se nawafil ada karo toh alag baat hai". Us ne arz kiya, bataiye ke Allah Ta'ala ne mujh pe kitne Roze farz kiye hai? Aap ne farmaya, maahe Ramzan ke Roze, Haan ye aur baat hai ke tum khushi se nawafil Roze rakho, Us ne fir arz kiya aap bataiye Allah ta'ala ne mujh par zakat kis tarah Farz kiye hai? Rawi kahte hai Rasool ﷺ ne ise Islam ke ahkam se aagah farmaya- us ne kaha: Us zaat ki qasam jis ne apko izzat bakshi hai! Allah ta'ala ne mujh par Jo farz kiya hai Mai us par kisi chiz ka izafa nahi karunga aur na usse kisi kami ka murtakab honga. Rasool ﷺ ne farmaya:"Agar ye sach kahta hai to apni murad Pa lega ya jannat me jayega-"

Sahih al Bukhari 1891

Vol.2 Book 30,Hadith 1891

 

Hazrat Umar r.a. se riwayat hai, unhone kaha k Nabi ﷺ Ne A’ashura ka roza rakha aur logon ko bhi ye roza rakhne ka hukm diya -Jab Ramzan k roze farz hue to A’ashura ka roza tark kar diya gya -Hazrat Abdullah bin Umar r.a. ye roza nhi rakhte the, albatta agar unke Roze ke Muafiq ho jata to rakh lete the -

Sahih al Bukhari 1892

Vol.2 Book ,30 Hadith 1892

 

Hazrat Ayesha r.a. se riwayat hai, unhone farmaya k quraish zamana jahiliyat me A'ashura ka roza rakhte the, phr Rasool ﷺ ne bhi us Din roza rakhne ka hukm diya - jab ramzan k roze farz hue to aap ne farmaya: "Jo chahe A’ashura ka roza rakhte aur Jo chahe Na rakhe -"

Sahih al Bukhari 1893

Vol.2 Book ,30 Hadith 1893

 

Baab : 2 ROZE KI FAZILAT

 

Hazrat Abu Huraira r.a. se riwayat hai k Rasool Allah ﷺ ne farmaya:" Roza aik dhal hai lehaza Roze daar ko chahiye k woh naa to fahash kalami Kare aur Na hi jahilo jaisa koi kaam kare - Haan, agar koi shakhs is se ladne ya ise gali de to ise do martaba kah de k mai Roze se hu - is zaat ki qasam jis k hath me meri jaan hai,  Rozedar ki munh ki badbou Allah k nazdik kasturi ki khushbu se zyada behtr hai - ( Allah ta'ala ka irshad hai k) Rozedaar apna khana, pina aur apni khwahishat mere liye chodta hai, lehaza Roza mere hi liye hai aur mai hi iska badla dunga aur har naiki ka sawab das guna hai-"

 

Sahih al Bukhari 1894

Vol.2 Book 30,Hadith 1894

 

Baab : 3 ROZA GUNAHON KA KUFFARAH HAI

 

Hazrat Huzaifa r.a. se riwayat hai, unhone kaha: Hazrat Umar r.a. ne farmaya k fitne k muttaliq Nabi ﷺ ki Hadith kis ko yaad hai? Hazrat Huzaifa r.a. ne kaha Maine aap ﷺ ko ye farmate hue suna: " Insan k liye iske Baal bachche, iska maal aur iske padosi ba'as aazmaish hain jis ka kuffarah Namaz pdhna, Roze rakhna aur sadqah dena ban jata hai-" Hazrat Umar r.a. ne farmaya: mai is fitne k muttaliq nahi puch rha hun balke mujhe is fitne k bare me daryafat krna hai Jo samundar ki trah moujazan hoga - Hazrat Huzaifa r.a. ne araz kiya k is fitne se pahle aik band darwaza hai - Hazrat Umar r.a. ne pucha : us darwaze ko khola jayega ya toda jayega? Araz kiya : ise toda jayega - Hazrat Umar faruq r.a. ne farmaya phr to ye darwaza is layaq hai k qayamat k din tak band na ho - hum ne rawi Hadith masruq se daryafat kiya kya: tum in se pucho ke aaya Hazrat Umar jante the k woh darwaza kon hai? Hazrat Huzaifa r.a. ne jawab diya ke haan, unhe bakhubi ilm tha jaise woh ye jante the k kal se pahle raat ka aana yaqini hai -

 

Sahih al Bukhari Hadith 1895

Vol.2 Book 30, Hadith 1895

 

Baab: 4 RAYYAN ROZA DAARON KE LIYE HAI

 

Hazrat suhail r.a. se riwayat hai, Nabi ﷺ se bayan karte hai ke aap ne farmaya: JANNAT ka aik darwaza hai jise "RAYYAN" kaha jata hai - Qayamat k din is se Roza daar hi guzrenge - in k alawa aur koi dusra is me dakhil nahi hoga - jab woh dakhil ho jayenge to ise band kar diya jayega, koi aur isme dakhil Na hoga-"

 

Sahih al Bukhari 1896

Vol.2 Book 30, Hadith 1896

Hazrat Abu Huraira r.a. se riwayat hai k Rasool ﷺ ne farmaya: Jo shakhs Allah ki Raah me aik joda kharch kraiga to usse jannat k darwazon se bulaya jayega, usse kaha jayega: Allah k bande! Ye Darwaza behter hai - phr Namazion ko Namaz k darwaze se bulaya jayega aur mujahidin ko jihad k darwaze se awaaz do jayegi aur Roze daron ko baab RAYYAN se pukara jayega aur sadqah karne walon ko sadqe ke darwaze se andar aane ki dawat di jayegi-" Hazrat Abu Huraira r.a. ne araz kiya : Allah k Rasool ! mere maa baap aap per Qurbaan hon , jo shakhs in sab darwaze se pukara jayega ise toh koi zaroorat na hogi to kya koi aisa aadmi hoga jise in sab darwazon se pukara jaye ga ?aap ne farmaya : " haan , mujhe umeed hai keh tum in logon mein se hoge "-

Sahih al Bukhari 1897

Vol. 2 Book 30 , Hadith 1897

 

Baab : 5 RAMZAAN KAHA JAYE YA MAAH RAMZAN AUR JIS NE DONO KO JAIZ KHAYAL KIYA

Nabi ﷺ  ne farmaya : "jis ne Ramadan ke roze rakhe "- nez farmaya :'' Ramadan se pehley istaqbaali roze na rakho -

Hazrat Abu Huraira r.a. se rawayat hai , unhon ne kaha keh Rasool Allah ﷺ  ne farmaya :'' jab Ramadan aata hai toh Aasmaan k darwaze khol diye jate hein  -"

Sahih Bukhari 1898

VOL.  2 Book 30 , Hadith 1898

 

Hazrat Abu Huraira r.a. hi se rawayat hai , unhon ne kaha keh Rasool Allah ﷺ  ne farmaya :"jab Ramadan aata hai toh Aasmaan k darwaze khol diye jate hein aur dozakh k darwaze band ker diye jate hein , nez shayaateen jakar diye jate hein "-

 

Sahih al Bukhari 1899

Vol. 2 Book 30 ,  Hadith 1899

 

Hazrat ibn Umar r.s se riwayat hai , unhon ne kaha keh mein ne Rasool Allah ﷺ  ko farmate hue suna : " jab tum (ramzan ka )chand dekho toh roza rakho aur jab tum (shawwal ka) chand dekho toh roza mouqoof kro - agar mtalaa abr aalood ho toh iss ke liye andaza krlo -"

Aquil aur yunus ki rawayat mein " Halal Ramadan '' k Alfaz hein -

 

Sahih al Bukhari 1900

Vol. 2 Book 30 ,  Hadith 1900

 

Baab : 6 - JIS NE EMAAN K SAATH SAWAB KI GHARAZ SE NIYAT KER K RAMZAAN K ROZE RAKHE

HAZRAT AISHA R.A NE NABI ﷺ  SE RAWAYAT KARTE HUE FARMAYA : "LOG APNI NIYATON K MUTABIQ QABRON SE UTHAYE JAYENGE "-

Hazrat Abu Huraira r.s hai ,woh Nabi ﷺ  se bayan krte hein keh aap  ne farmaya :" jis shakhs ne shabe Qadar mein emaan aur yaqueen k saath aur hasool sawab k niyat se rakha iss k bhi pahle gunah maaf ker  diye jayenge -"

 

Sahih al Bukhari 1901

Vol. 2 Book 30 , hadith 1901

 

Baab : 7 - NABI  ﷺ  RAMZAAN ME BOHOT SAKHI HOTE THE

Hazrat Ibn Abbas r.a. Se Riwayat Hai Ke Nabi Kareem ﷺ Sakhawat Aur Khair Ke Muamla Mein Sab Se Zyada Sakhi (generous) The Aur Aap ﷺ Ki Sakhawat Us Waqt Aur Zyada Badh Jati Thi Jab Jibreel Alaihi Salam Aap ﷺ Se Ramadaan Mein Mlitay, Jibreel Alaihi Salam Ap ﷺ Se Ramadan Ki Har Raat Mulaqat Karte The Yahan Tak Ke Ramadaan Guzar Jata. Nabi Kareem ﷺ Jibreel Alaihi Salam Se Quran Ka Daura Karte The, Jab Hazrat Jibraiel Alaihi Salam Ki Aap ﷺ Se Mulaqat Hoti To Aap ﷺ Tez Hawa Se Bhi Ziyada Bhalai Pohanchane Mein Sakhi Ho Jaya Karte The.

Sahih al Bukhari  1902

Vol. 2 Book 30  ,  hadith 1902

 

Baab : 8 - JIS SHAKHS NE BHALAT ROZA JHOOT BOLNA AUR FAREB KRNA TURK NA KIYA

 

Hazrat Abu Huraira r.a. se rawayat hai , unhon ne kaha keh Nabi ﷺ  ne farmaya : jo shakhas jhoot aur farebkari turk na kare toh Allah tala ko iss  ki zaroorat nahi keh woh (roze k naam se ) apna khana pina chorde -"

 

Sahih al bukhari 1903

Vol. 2 Book 30 ,  hadith 1903

 

Baab : 9 - JAB KISI ROZEDAR KO GALI DI JAYE TOH KIYA JAIZ HAI KEH WOH KEH DE : " MEIN ROZEDAAR HOON "

Hazarat Abu Huraira r.a. se rawayat hai , unhon ne kaha keh Rasool Allah ﷺ  ne farmaya : " Allah tala ka irshaad garami hai : ibn aadam k tamam amal iss k liye hein magar roza , woh khas mere liye hai aur mein khud hi iss ka badlah dunga  - rozah ek dhaal hai - jab tum mein se kisi ka roze  ka din ho toh woh buri baatein aur shor wa ghogha nah kare - agar iss koi gali de ya iss se jhagra kare toh woh ise yeh kah de keh mein roze se hoon - iss zaat ki qasam , jis k haath me meri jaan hai ! rozedaar k muanh ki buh Allah k haan kasturi ki khushaboo se zayada behtar hai  - rozdaar k liye do musarratein hein jin se woh khush hota hai : ek toh roza kholne k waqat khush hota hai , dusare jab woh apne malik se mile ga toh roze ka sawab dekh kr khush hoga -"

Sahih al Bukhari  1904

Vol. 2 Book 30 ,  hadith 1904

Baab : 10 - JIS SHAKHS KO ( ADAM NIKAH KI WAJAH SE ) ZINA MEIN PERNE KA ANDESHA HO WOH ROZA RAKHE

Hazrat  abdullah bin masood  r.a. se rawayat hai , unhon ne kaha keh ham Nabi  ﷺ  k hamrah the keh aap ne farmaya : "jo shakhs nikah ki aur badkari se bachati hai Qudrat nahi rakhta  ho woh zaroor shaadi karle kyunki ye nigah ko neecha  krti hai aur jo shakhs iss kimqudrat na rakhta ho to woh roze rakhye kyun k roza shahoot ko toorne wala hai -"

Sahih al Bukhari 1905

Vol. 2 Book 30 ,  hadith 1905

 

Baab : 11 - FARMAN NABWI : "(RAMZAAN KA )CHAND DEKHO TOH ROZA RAKHO AUR (SHWWAL KA ) CHAND DEKHO TOH ROZA MOUQOOF KR DO " KI WA KARTE HEIN KEH JIS NE WAZAHAT

JANAB SLAH AMMAR R.A SE BAYAN KARTE HEIN KEH JIS NE SHAK K DIN ROZA RAKHA ISS NE ABU AL QASIM  ﷺ   KI NA FARMANI KI -

Hazrat Abdullah bin Umar r.a.  se rawayat hai keh Rasool Allah ﷺ   ne ramzan al mubarak ka zikar kiya aur farmaya : " roza nah rakho hatta k chand dekh lo aur aur iss waqt tak roze rakhna  band nah kro hatta k chand dekh lo - phir agar tum per badal cha jaye toh andaza (kar k mahina poora ) kro -"

Sahih al Bukhari 1906

Vol.2 Book 30 ,  hadith 1906

 

Hazarat Abdullah bin Umar r.a. hi  se rawayat hai  keh Rasool Allah ﷺ  ne farmaya :"mahina untees (29) raat ka bhi hota hai lehaza tum chand dekh lo toh roza rakho  aur agar mutala aber alood ho to tees din ki ginti poori kro -"

Sahih al bukhari 1907

Vol.2 Book 30 , hadith 1907

 

Hazarat Abdullah bin Umar r.a. hi se rawayat hai keh Nabi ﷺ   ne farmaya :" mahina iss tarah aur iss tarah hota hai , tisari martaba aap ne angootha daba liya , yani untees din ka bhi hota hai -"

Sahih al Bukhari 1908

Vol.2 Book 30,  hadith 1908

 

Hazart Abu Huraira r.a. se rawayat hai , unhon ne kaha keh Nabi ﷺ  ........ya kaha keh  Abu Qasim  ﷺ  .......ne fermaya :"(Ramadan ka ) chand dekh k roza rakho aur (shawwal ka ) chand dekh kr eid ul fitar kro aur agar badal chaya ho to shabaan ki ginti tees din poori kro -"

 

Sahih al Bukhari 1909

Vol. 2 Book 30 , hadith 1909

 

Hazrat umme salamah r.a. se rawayat hai keh Nabi ﷺ  ne ek mah k liye apni biwiyon se turk taluq ki qasam uthaye - jab untees din guzar gaye toh subha sawere ya dopahar ko aap in k pass tashreef le gaye - arz kiya gaya keh aap ne toh ak mah tak in k pass na aane ki qasam uthayi thi - aap ne farmaya :"mahinah  untees din ka bhi hota hai -"

Sahih al Bukhari 1910

vol. 2  Book 30,hadith 1910

 

Hazrat Anas r.a. se rawayat hai , unhon ne farmaya keh Rasool Allah ﷺ  ne ak mah tak k liye apni biwiyon se turk talluq ki qasam uthayi jab keh aapke paaon ko moach aagai thi - aap apne balakhane me untees din tak  iqamat  guze rahe - phir aap neeche utar aaye toh logon ne arz kiya : Allah k Rasool aapne toh mahine bhar ki qasam uthai thi - aapne farmaya :" mahinah untees din ka bhi hota hai -"

Sahih al Bukhari 1911

Vol. 2 Book 30 , hadith 1911

 

Baab : 12 - EID K DONO MAHINE KAM NAHI HOTE

ABU ABDULLAH (EMAAM BUKHARI R.A) KEHTE HEIN KEH  HAZRAT  ISHAQ BIN  RAHUYAH NE FARMAYA : AGAR YE DONO MAHINE KAM BHI HON TOH BHI TEES DIN KA AGAR MILTA HAI - MUHAMMAD BIN ISMAIL NE KAHA KEH DONO MAHINE AK SAAL MEIN NAQAS NAHI HO SAKTE -

Hazrat Abu Bakr r.a. se rawayat hai , wo Nabi ﷺ  se bayan krte hein keh aap ne farmaya :" eid k dono mahine yani Ramadan aur zilhijjah kam nahi hote -"

Sahih al Bukhari 1912

Vol. 2 Book 30 ,hadith 1912

 

Baab : 13 - IRSHAD NABWI " HUM LIKHNA NAHI JANTE AUR NA HI ILAM HISAAB SE HAMEIN WAQFEYAT HAI " KI WAZAHAT

Hazrat ibn Umar se rawayat hai , wo Nabi ﷺ  se bayan  krte hein aap ne farmaya :"hum ummi log hein hisab kitab nahi jante  - mahina kabhi iss tarah aur kabhi iss tarah hota hai yani kabhi untees din ka aur kabhi tees din ka hota hai - "

 

Sahih al Bukhari 1913

Vol. 2 Book 30  , hadith 1913

 

Baab :14 - KOI SHAKHS RAMZAN EK YA DO DIN PAHLEY (ISTAQBALI) ROZA NA RAKHE

Hazrat Abu Huraira r.a.  se rawayat hai ,wo Nabi ﷺ  se bayan krte hein keh aap ne farmaya : "tum me se koi shakhs ramzan se ek ya do din pahley roza nah rakhe lakin agar koi shakhs apne maamool k roze rakhta ho to wo iss din roza rakh le -"

sahih al Bukhari 1914

Vol.2  Book 30, hadith 1914

 

Baab :15 -IRSHAD BARI TALA : TUMHARE LIYE ROZON KI RAAT APNI BIWIYON K PASS JANA HALAL KR DIYA GAYA HAI - WO TUMHARE LIYE LIBAAS HEIN AUR TUM INKE LIYE LIBAAS HO - ALLAH NE JAAN LIYA HAI KEH BESHAK TUM APNE AAP SE KHAYANAT KRTE THE , CHUNANCHAH ISS NE TUM PER TOWAJJAH FARMAYI AUR TUMHE MAAF KR DIYA , ISS LIYE AB TUM  INSE HAMBISTARI KAR SAKTE HO - AUR aLLAH TALA NE JO TUMHARE LIYE LIKHA HAI USSE TALAASH KRO " KA BAYAN

 

Hazrat baraye bin aazib r.s  se rawayat  hai , unhon ne farmaya : hazrat muhammad ﷺ  k sahaba akram ka yeh dastoor tha keh jab  koi roze se hota aur iftar k waqt wo iftar krne se  pahle  so jata toh phirr baqi raat me kuch na kha sakta aur na dusare din , yahan tak ki shaam ho jaati - ek din qais bin suramah ansari r.s roze se the , iftar ka waqt aaya toh apni ahliyah k pass aaye aur inse poucha k tumhare pass kuch khana hai ? unhon ne kaha : nahin lakin mein kahin jati hun  aur tumhare liye khane ka bandobast krti hun - wo sara din mehnat mazdoori krte the , inper neend ghalib aa gai aur so gaye - phirr jab inki ahliyah aayi toh inhen soya hua dekh ker kahne lagin : haay tumhari mahroomi ! wo dusare din dopahar k waqt bhook k maare behosh ho gaye - yeh waqyah Nabi ﷺ  se zikr kiya gaya iss waqt yeh nazil hui : " tumhare liye rozon ki raat apni biwiyon  k pass jana halal kr diya gaya  -" iss per sahaba akram r.a. bohot khush hue - yeh bhi aayat nazil hui :" khao piyo taankeh shab ki sayah dhari se sapheda subha ki dhaari numayan nazar aa jaye -"

Sahih al Bukhari 1915

Vol.2 Book 30 , hadith 1915

 

Baab : 16 - IRSHAD BARI TALA :" KHAO AUR PIYO YAHAN TAK KEH TUMHEIN SHAB KI SAYAH DHARI SE SAPHEDA SAHAR KI DHARI NUMAYA NAZAR AANE LAGE , PHIR ROZE KO RAAT TAK POORA KRO " KI WAZAHAT -''

ISS K MUTALIQ HAZARAT BARAYE BIN AAZIB R.A NE NABI ﷺ  SE EK RAWAYAT BAYAN KI HAI -

Hazrat addi bin hatim r.a. se rawayat hai , unhon ne farmaya keh jab yeh aayat nazil hui : " (khao aur piyo ) yahan tak keh tumhare liye safed dhage se numaya ho jaye -" toh maine ek sayah aur safed rassi li , phirr indono ko apne takiye k neeche rakh liya aur raat ko uth kr inko dekhta raha - lakin  mujhe kuch maloom na ho saka ,chunanchah mein subha k waqt Rasool Allah ﷺ   ke pass gaya aur aap se iska zikr kiya toh aapne farmaya : sayah dhagah shaab ki sayahi aur safed dhaga subah ki safedi hai -"

Sahih al Bukhari 1916

Vol.2  Book 30, hadith 1916

Hazrat suhail bin saad r.a. se rawayat hai , unhon ne farmaya keh yeh aayat karimah nazil hui " kho aur piyo yahan tak keh safed dhaga , sayah dhage se numaya ho jaye -" lakin iss k baad k alfaaz  nazil nahi hue the , isliye jab kuch log roza rakhne ka iradah krte to apne paon se safed aur dhage bandh lete phir khate rahte hatta keh inka rang ek dusare se mumtaz ho jata haijab Allah tala ne ""menal fajar '' ke alfaz nazil famaye toh inhe pata chala keh iss se muraad din aur raat hai -

sahih al bukhari 1917

Vol. 2 Book 30, hadith 1917

 

Baab : 17 - IRSHAD NABWI :"BILAL KI AZAAN TUMHE SEHRI KHANE SE NA ROKE" KA BAYAN

 

Hazrat ibn Umar aur Hazrat aayesha r.a.  se rawayat hai keh hazrat bilal r.a. raat ko azaan diya krte the tohh Rasool Allah ﷺ   ne farmaya : " tum khate pite raha kro tankeh Ibn maktoom azaan den kyun keh woh azan nahi dete hatta k fajar tullu ho jaye - "

hazrat qasim bin muhammad ne kaha keh in dono ki azaan me sirf itna ferq hota tha keh ek azaan dene k liye upper chadhta tha aur dusara  Azan  de kar  utar raha  hota tha -

 

sahih al bukhari 1918, 1919

Vol.2 Book 30 ,hadith 1918,1919                                     

Baab : 18 - SEHARI KHANE MEIN  JALDI KRNA

 

Hazrat suhail bin saad r.a. se rawayat hai unhon ne farmaya keh mein apne ghar me sehari khata , phirr jaldi karta takeh mein Rasool Allah ﷺ    k hamrah namaz fajar pa sakun -

Sahih al Bukhari 1920

Vol.2 Book 30 , hadith 1920

 

Baab : 19 - SEHARI AUR NAMAZ FAJAR K DARMAYAN KITNA WAQFA HONA CHAHIYE ?

Hazrat zaid bin sabit r.a. se rawayat hai ,unhon ne farmaya ki keh hum ne Nabi ﷺ   k hamrah sehri khai ,phirr aap subha ki namaz k liye khare hue - Hazrat Anas r.a. ne daryaft kiya keh Azaan fajar aur sehri k darmayan kitna waqt tha ? Hazrat zaid bin saabit r.a. ne farmaya : pachaas aayat ki talawat karne k braber waqfa tha -

Sahih al Bukhari 1921

Vol. 2 Book  30 , hadith 1921

 

Baab : 20 - SEHARI KHANA BAA'S BARKAT HAI WAJEEB NAHI

Kyunki Nabi ﷺ   aur aap k sahaba e karam r.a. ne wisaal kiya aur iss mein sehari ka zikr nahi hai -

Hazrat Abdulllah bin Umar r.a. se rawayat hai k Nabi ﷺ    ne ek dafa musalsal roze rakhkhe  toh sahaba akram ne bhi aap k hamrah "soum wa soual " ka ahtamam kiya - jab inhen sakht takleef hui toh aap ne inhe mana farma diya unhon ne arz kiya :aap bhi toh pe dar pe roze rakhte heain - aapne farmaya : "mein tumhari tarah nahi hun -mujhe toh baraber khilaya aur pelaya jata hai-"

sahih al Bukhari 1922

Vol.2 Book 30 ,hadith 1922

Hazrat Anas r.a.  se rawayat hai , unhon ne kaha keh Nabi ﷺ   ne farmaya : sehari khaya kro kyunke sehari me barkat hoti hai -"

sahih al Bukhari 1923

Vol.2 Book 30 ,hadith 1923

 

Baab : 21 - AGAR KOI SHAKHS DIN KO ROZE KI NIYAT KARE

HAZRAT UMME DARDA KEHTI HEIN KEH HAZRAT ABU DARDA R.A FARMATE HEIN :KYA TUMHARE PASS KHANA HAI ?AGAR HUM JAWAB DETE K NAHI,TO FARMATE : TAB AAJ MERA ROZA HAI - HAZRAT ABU TALHA , ABU HURAIRAH ,IBN ABBAS AUR HAZRAT HUZAIFA R.A SE BHI AISA KARNA MARWI HAI -

Hazrat salmah bin ekwaa r.a. se rawayat hai keh Nabi ﷺ   ne ek shakhs ko aashura k din yeh munadi karne k liye bheja :'' aaj jis shakhs ne kuch kha liya hai wo shaam tak mazeed na khaye ,yaani wo roza mukammal kare , ya farmaya : wo roza rakhe aur jis ne nahi khaya wo( shaam tak kuch) nah khaye -"

Sahih al Bukhari 1924

Vol.2 Book 30 ,hadith 1924

 

Baab : 22 - ROZADAR JAB JANABAT KI HALAT MEIN SUBHA KARE

Hazrat Abu Bakr bin abdulrahman se rawayat hai , unhon ne kaha ke mein aur mere walid hazrat Aisha aur hazrat umme salmah r.a. ki khidmat me hazir hue - dusari sanad k saath yeh hai keh Abul rahman ne marwan bin hakim ko hazrat Aisha aur umme salmah  r.a. k hawale se bataya keh Rasool Allah ﷺ   baaz auqat biwiyon ki maqarbat ki wajah se subha tak bahalat janabat rahte phirr gusul karte aur roza rakh lete - marwan abdul rahman bin haris se kaha keh mein tujhe Allah ki kasam deta hun , yeh hadees hazrat Abu Huraira r.a. ko wazah tor per suna do - marwan iss waqt madina taiyyabah ka governer tha - rawi hadees Abu Bakr r.a.  kahte hein ki hazrat abdul rahman ne iss baat ko pasand na kiya , phirr hum itafaq se zulhilfa mein ekattha hue - hazrat abu Huraira ki wahan zameen thi - iss waqat abdul rahman bin hariss ne hazrat abu Huraira r.a.  se  kaha :mein aap se ek baat zikar krta hun , agar iss k mutaliq marwan ne mujhe kasam na di hoti to mein tumse iss ka zikr na krta , chunancha unhon ne ummul momineen hazrat Aisha r.a.  aur ummu momineen hazrat umme salmah r.a. ka quol zikar kiya to hazrat Abu Huraira r.a. ne farmaya : mujhe fazal bin Abbas r.a. ne iss  tarah khaber di - aur wo zayada jante hein - hazrat Abu Huraira r.a. se ek rawayat hai keh Nabi ﷺ   aise halat mein roza iftar kar dene ka hukam dete the - Imam bukhari r.a. farmate hein : iss silsile ki pehli rawayat zayada mustanad hai -

sahih al bukhai 1925,1926

Vol.2 Book 30,hadith 1925,1926

 

Baab: 23 - ROZADAR KA APNI BIWI K JISM SE JISM LAGANA

HAZRAT AISHA R.A FARMATI HEIN KEH ROZADAR PER BIWI KI SHARAMGAH HARAM HAI -

hazrat Aisha r.a. se rawayat hai , unhon ne farmaya keh Nabi ﷺ   roze ki halat me kabhi bosa dete aur kabhi apna badan mere badan se laga dete magar wo apni khawahish per tum se zayada qabu yafta the -

Hazrat ibn Abbas r.a. farmate hein keh ma'rab se muraaad hajat hai , nez hazrat taous kehte hein keh woh log jinhe auraton ki khowahish nahi hoti - jabir bin zaid kehte hein keh agar woh aurat ko dekhe aur iss anzaal ho jaye toh wo roza poora kare ga -

sahih al bukhari 1927

Vol. 2 Book 30 , hadith 1927

 

Baab : 24 - ROZADAR KA BOSA DENA

Hazrat Aisha r.a. se rawayat hai , unhon ne farmaya keh Rasool Allah ﷺ    roze ki halat mein apni kisi biwi ko bosa dete the - phirr wo khud hi hans parin -

sahih al Bukhari 1928

Vol. 2 Book 30, hadith 1928

 

Hazrat umme salmah r.a. se rawayat hai , unhon ne farmaya keh mein Rasool ﷺ   k hamrah ek munkash chadar mein thi ki mujhe haiz aane lage - mein jaldi se nikal gayi aur haiz k kapre pahan liye toh Rasool Allah ﷺ   ne farmaya :"tumhe kya ho gaya hai ? kya tumhe haiz aane laga hai ? " mein ne arz kiya : ji haan , phirr mein aap k saath chadar me dakhil ho gayi , nez wo aur Rasool Allah ﷺ   ek hi bartan me ghusul kr lete -aur aap inko bosa dete, halankeh aap roze se hote -

sahih al bukhari 1929

Vol.2 Book 30 ,hadith 1929

Baad : 25 - ROZADAR KA GHUSUL KRNA

Hazrat abdullah bin Umar r.a. ne apna kapra utara aur isse roze ki halat me khud pr daal liya - Imaam shaabi bahalt roza hamam me dakhil hue - hazrat ibn Abbas r.a. ne farmaya : handiya ya koi cheez chakhne me koi harz nahi - hasan basari ne kaha : rozadar k liye kulli karna aur thandak lena jaiz hai - Hazrat abdullah bin masood r.a. ne farmaya : jab tum me se koi bahalat roza ho to tel laga sakta hai aur kanghi bhi kar sakta hai - hazrat anas r.a. ne farmaya : mera ek houz hai , iss me bahalat roza ghotazan hota hun - Nabi ﷺ   se zikr kiya jata hai keh aapne roze ki halat me miswaak ki - hazrat ibn Umar r.a. ne farmaya : din k pehley aur akhiri hisse me miswak kr sakta hai lakin apne thook ko nah nigle - hazrat atta ne kaha : agar kisi ne thook nigla toh mein nahi kehta ki roza e iftar kr diya - hazrat ibn sareen ne kaha : tazah miswak karne me koi harj nahi- inse arz kiya gaya : miswak ka zayeqah hota hai - unhon ne farmaya : pani ka bhi zayeqah hota hai , halankeh tum isse kulli karte ho - hazrat anas r.a. hazrat hasan basri aur hazrat ibrahim nakhayi rozadar k liye surmah lagane me koi harj mahsoos nhi karte the -

hazrat Aisha r.a. se rawayat hai , unhon ne farmaya keh Nabi ﷺ   ko Ramadan al mubarak mein ahtalam k baghair subha k waqt ghusul karne ki zarurat hoti toh aap ghusul farmate aur roza rakhte -

sahih al Bukhari 1930

Vol. 2 Book 30 ,hadith 1930

 

Hazrat Abu Bakar bin Abdul Rahman se rawayat hai , unhon ne kaha keh mein aur mere walid garami hazrat abdul rahman hazrat Aisha r.a. k pass hazir hue to unhon ne farmaya : main gawahi deti hun keh Rasool Allah ﷺ   ahtallam k baghair, jama'a se bahalat janabat subha karte phirr roza rakhte -

sahih al bukhari 1931

Vol. 2 Book 30 , hadith 1931

 

phirr hum hazrat umme salmah r.a.  k pass gaye toh unhon ne bhi isi tarah farmaya -

sahih al dukhari  1932

Vol. 2 Book 30 , hadith 1932

 

Baab : 26 -ROZEDAR AGER BHUL K KHA PEE LE

HAZRAT ATTA NE KAHA : AGAR NAAK MEIN PANI DALA AUR HALAQ ME UTTAR GAYA , AGAR WO ISSE WAPIS KRNE PE QADIR NAHI TO ISS ME KOI HARJ NAHI - HASAN BASRI NE KAHA : AGAR ROZEDAR K HALAQ ME MAKKHI CHALI GAYI TOH ISME KOI HARJ NAHI - HASAN BASRI AUR IMAAM MUJAHID NE KAHA : AGAR BHUL KR BIWI SE JAMA'A KR LIYA TOH BHI KOI HARJ NAHI -

Hazrat Abu Huraira r.a. se rawayat hai wo Nabi ﷺ   se bayan karte hein keh aap ne farmaya :" agar koi shakhs bhool kr kha pee le toh woh apne roze ko poora kare kyunki yeh Allah tala ne issko khilaya pilaya hai - "

sahih al bukhari 1933

Vol. 2 Book 30 ,hadith 1933

 

Baab : 27 - ROZADAR K LIYE TAZA AUR KHUSHK MISWAK ISTAMAL KRNA

HAZRAT AMIR BIN RABIYAH R.A SE MANQUOOL HAI , UNHON NE FARMAYA KEH MAINE BESHUMAR DAFA NABI ﷺ    KO ROZE KI HALAT ME MISWAK KRTE DEKHA HAI -

HAZRAT ABU HURAIRAH NABI ﷺ    SE BAYAN KARTE HEIN KEH AAP NE FARMAYA :"AGAR MEIN APNI UMMAT K LIYE GARAAN KHAYAL NAH KRTA TOH INHEN HER WAZU K WAQT MISWAK KA HUKAM DETA -"ISSI TARAH KI RAWAYAT HAZRAT JABIR AUR HAZRAAT ZAID BIN KHALID R.A BHI NABI ﷺ    SE BAYAN KRTE HEIN - ISS MEIN ROZEDAR ISS ME ROZEDAR AUR GHAIR ROZEDAR KI KOI TAKHSIS NAHI HAI

HAZRAT AISHA R.A NABI ﷺ   SE BAYAN KRTI HEIN K AAPNE FARMAYA :" MISWAK MUNH KO SAAF RAKHNE KA BAAS AUR RAB KO KHUSH RAKHNE KA ZARIYAH HAI ."

HAZRAT ATTA AUR QATADAH NE KAHA KEH ROZADAR  APNA THOOK NIGAL SAKTA HAI -

 

Hazrat hamran se rawayat hai , unhon ne kaha : mein ne hazrat usmaan r.a. ko dekha  keh unhon ne wazu kiya aur apne dono haathon per teen teen bar pani bahaya , phirr kulli ki aur naak me paani dala - iske baad teen baad chehra dhoya - phir dayan haath kohni tak teen baar  dhoya - iss k baad sar ka masah kiya - phir dayan paon teen baar iss k baad bayan paon teen baar dhoya , phirr fermaya :" maine Rasool Allah ﷺ    ko  dekha keh aap ne mere iss wazu ki tarah wazu kiya aur farmaya : jisne mere wazu jaisa wazu kiya , phirr do raqatein padhin aur dil me koi khayal na laya toh iss k peechley sab gunaah bakhsh diye jayenge -"

sahih al bukhari 1934

Vol. 2 Book 30 , hadith 1934

 

Baab: 28 - IRSHAD NABWI :'' JAB WAZU KARE TOH NAAK MEIN PAANI DALE '' KI WAZAHAT , NEZ ISS MEIN ROZADAR AUR GHAIR ROZADAR  KI KOI TAKHSIS NAHI

HASAN BASARI NE KAHA : ROZADAR K LIYE NAAK MEIN DAWAI DALNE MEIN KOI HARJ NAHI JAB KEH WO ISS K HALAQ MEIN NAH PAHUNCHE , NEZ WOH SURMAH BHI LAGA SAKTA HAI - HAZRAT ATTA NE KAHA : AGAR KULLI KI PHIR MUNH MEIN JO KUCH PANI THA ISE BAHAR PHENK DIYA TO THOOK AUR BAQI MANDAH PANI KO NIGALNE MEIN KOI HARJ NAHI - ROZADAR MUSTAGHI NAH CHABAYE , AGAR MUSTAGHI (GONDH ) KA THOOK NIGHAL JAYE  TO MEIN NAHI KAHUNGA KEH ISS KA ROZA TOOT GAYA LAKIN  ISS SE ISE MANA KIYA JAYE - AGAR NAAK MEIN PANI DALE AUR WOH HALAQ MEIN CHALA JAYE TOH ISS MEIN KOI HARJ NAHI -KYUNKI WO ISE WAPAS LANE PER QADIR NAHI THA -

 

BAAB: 29 - JAB RAMZAAN ME BIWI SE JAMA'A KARE (TO ISS KA KYA HUQAM HAI ?)

HAZRAT ABU HURAIRAH R.A SE MARFOOA RAWAYAT HAI :" JIS NE RAMZAN MEIN KISI UZER AUR BIMARI K BAGHAIR ROZA CHOR DIYA AGAR WO SARI ZINDAGHI ROZE RAKHTA RAHE  PHIR BHI ISS KI FAZILAT KO NAHI PA SAKTA -" HAZRAT IBN MASOOD R.A NE BHI YAHI KAHA HAI -HAZRAT SAEED BIN MOSAIB ,IMAM SHABI , SAEED BIN JABIR ,IBRAHIM NAKHEI , QATADAH AUR HAMMAD R.A NE KAHA HAI KEH IS K BAJAYE EK DIN EK ROZA BATOUR QAZA RAKHE -

Hazrat Aisha r.a. se rawayat hai ,unhon ne farmaya keh ek admi Nabi ﷺ   k pass aaya aur arz kiya keh wo jal gaya - aap ne farmaya : " tujhe kya hua hai ?"iss ne arz kiya k mein ne ramzan mein (din k waqt) biwi se sohbat kr li hai - Nabi ﷺ    k pass khajoor ka ek thaila aaya jise arq kaha jata tha , aapne farmaya :" jalne wala kahan hai ?"iss ne kaha k mein idher hoon - aapne kaha isse sadqah kar do -"

sahih al Bukhari 1935

vol.2 Book 30 ,hadith 1935

 

Baab : 30 -JAB KOI  RAMZAN MEIN JAMA'A KARE AUR ISS K PASS (KUFFAR K LIYE)KUCH NA HO , ISE SADQAH MILE TOH ISS SE KUFFARAH DE

hazrat Abu Huraira r.a. se rawayat hai unhon ne farmaya ki ek dafa hum Nabi ﷺ   k pass baithe the keh itne mein ek shakhs ne aaker arz kiya : Allah k Rasool ! mein barbaad ho gaya hoon  - aap ne poucha : " kya hua ? " isne arz kiya : maine bahalat roza apni biwi se sohbat kr li - aapne farmaya :''kya tujhe koi ghulam moussar hai k toh ise azaad kar de ?'' isne arz kiya : nahi aapne farmaya : " kya tu musalsal do mah k roze rakh sakta hai ?"isne arz kiya nahi - aapne farmaya :"kya tu 60 miskino ko khana kila sakta hai ?"iss ne arz kiya :nahi -hazrat Abu Huraira r.a. kehte hein keh phirr wo Nabi ﷺ   k pass thehra raha , hum sab bhi iss tarah baithe the keh Nabi ﷺ   k pass khajoor se bhara hua arq laya gaya ......arq bare tokare ko kahte hein ....... aapne farmaya : "sayel kahan hai ?" iss ne arz kiya: main hazir hun - aap ne farmaya :'' yeh lo aur ise khayrat kr do -" is ne arz kiya :Allah k rasoo! khairat toh uss pe karoon jo mujhse zayada mohtaj ho ,Allah ki kasam ! madine k do taraf pathriley kinaron me koi ghar mere ghar se zayadah mohtaj nahi - yeh sun kar Nabi ﷺ   itna hanse ki aapke daant mubarak zahir ho gaye , phirr aapne farmaya :''acha ise apne ghar walon hi ko khila do -"

sahih al bukhari 1936

Vol. 2 Book 30 , hadith 1936

 

Baab :31 - KYA RAMZAN MEIN APNI BIWI SE HAMBISTARI KARNE WALA KUFFARA APNE AHLE KHANAH KO KHILA SAKTA HAI JAB KEH WO ZAYADAH MOHTAJ HO

Hazrat Abu Huraira r.a. se rawayat hai  unhon ne kaha keh ek shakhs Nabi ﷺ   ki khidmat mein hazir hua aur kehne laga : iss badnaseeb ne Ramadan me apni biwi se sohbat kr li hai - aapne farmaya :'' kya tum ghulam aazad karne ki taqat rakhte ho ?'' isne arz kiya : nahi - aap ne farmaya ; kya tu pe dar pe do mah k roze rakh sakta hai ? " isne arz kiya : nahi - aapne farmaya :"kya tere pass itna khana hai jo tu (60) saath miskino ko khila sake ?" iss ne kaha : nahi - rawi kehta hai k Nabi ﷺ   k pass arq laya gaya  jisme khajooren thi.......arq , zanmbil (tokare) ko ke kahte hein ......aap ne farmaya : " yeh apni taraf se kisi ko khila do - " isne arz kiya k humse jo zyadah mohtaj ho - aapne farmaya : "jao apne ghar walon hi ko khilado -"

sahih al bukhari 1937

Vol.2 Book 30,hadith 1937

 

BAAB : 32 - ROZA DAR K LIYE SINGHI LAGANA YA ISE QAYE AANA

HAZRAT  ABU HURAIRAH R.A  NE FARMAYA K JAB KOI QAYE KARE TO IS KA ROZA NAHI TOOTTA KYUNKEH WOH BAHAR NIKALTA HAI KUCH DAKIL NAHI KRTA - HAZRAT ABU HURAIRA HI SE MANQUL HAI KEH ISS KA ROZA JATA RAHTA HAI - LAKIN PAHLI BAAT HI SAHI HAI - HAZRAT IBN ABBAS R.A AUR HAZRAT AKRAMA R.A KEHTE HEIN KEH ROZA ISS  CHEEZ SE TOOTTA HAI  JO DAKHIL HO AUR ISS SE NAHI JATA JO KHARIJ HO - HAZRAT ABDULLAH BIN UMAR R.A ROZE KI HALAT ME SANGHI LAGWATE THE, PHIRR UNHON NE ISS KO TURK KR DIYA AUR RAAT K WAQAT SINGHI LAGWANA SHURU KR DI -HAZRAT ABU MUSA NE BHI RAAT K WAQT PACHANE LAGWAYE -HAZRAT SAAD , HAZRAT ZAID BIN ARKAM AUR HAZRAT SALMAH R.A  SE MARWI HAI KEH UNHON NE BAHALAT ROZA PACHANE LAGWAYE - UMME ALQAMAH KAHTIN HEIN KEH HAZRAT AYESHA R.A KI MOJOODGI ME PACHANE LAGWATE THE LEKIN WO HAMEIN MANA NAHI FARMATI THI - HASAN BASARI NE KAI EK HAZRAT SE MARFOO RAWAYAT BAYAN KI HAI :"SINGHI LAGANE AUR LAGWANE WALE DONO KA ROZA JATA RAHTA HAI - " AIYASH NE BAYAN KIYA , INHE ABDULALI NE KHABAR DI , UNHON NE KAHA : HAMEIN YUNUS NE HASAN  BASARI SE ISS JAISI KHABAR DI HAI , INSE KAHA GAYA KI YEH NABI ﷺ   SE MARWI HAI ? TO UNHON NE FARMAYA : JI HAAN , PHIR KAHA : ALLAH HI ZAYADA JANTA HAI -

Hazrat ibn Abbas r.a. se rawayat hai keh Nabi ﷺ   ne halat ahram aur halat roza me pachane lagwaye -

sahih al bukhari 1938

Vol. 2 Book 30 , hadith 1938

 

hazrat ibn Abbas r.a. hi se rawayat hai  , unhon ne farmaya keh Nabi ﷺ   ne bahalat roza sanghi lagwai -

sahih al Bukhari 1939

Vol.2 Book 30,hadith 1939

 

sabit banani se rawayat hai , unhon ne kaha keh hazart anas bin malik r.a. se sawal kiya gaya: aaya aap roze dar k liye pachane lagwane ko makrooh khayal krte the ? unhon ne kaha :nahi , lekin kamzori k baas ise makrooh jante hein -( rawi hadees) shababah ne hazrat shaibah k hawale se yeh ezafa bayan kiya hai keh Nabi ﷺ   k ahad mubarak mein (tum isse makruh jante the? )

Sahih al Bukhari 1940

Vol. 2 Book 30 , hadith 1940

 

BAAB: 33 - SAFAR MEIN ROZA  RAKHNA YA CHORNA

Hazrat Abdullah bin abi offi r.a. se rawayat hai , unhon ne farmayah keh hum ek safar mein Rasool Allah ﷺ   k hamre farmaya :"ah the - (sham k waqt ) aap ne ek shakhs se farmaya : " utar kr mere liye satu tayyar kr - " is ne arz kiya : Allah k Rasool! abhi toh aftab ki roshani hai - aap ne farmaya : " utar kar mere liye  satu ghol - " iss ne arz kiya :Allah k Rasool ! abhi tak sooraj ki roshani baqi hai - aap ne farmaya :"utar k mere liye satu tayyar kr -" chunanchah wo utra aur aap k liye satu tayyar kiye - aap ne inhe noash kiya ,phirr apne haath se mashreeq ki janib isharah kar k farmaya :" jab idhar se raat ka andhera shuru ho jaye toh rozedar ko roza iftar krna chahiye - "

jareer aur Abu Bakr bin aiyash ne abu ishaq se rawayat krne mein sufyan ki mutabaat ki hai -wo ibn abi offi r.a. se bayan karte hein keh unhon ne farmaya : mein Nabi ﷺ   k hamrah ek safar mein tha -

sahih al Bukhari 1941

Vol.2 Book 30,hadith 1941

 

Hazrat Aisha r.a. se rawayat hai keh hazrat hamzah bin Umar wa salmi r.a. ne arz kiya : Allah k Rasool ! mein pe dar pe roze rakhta hun -

sahih al bukhari 1942

Vol . 2 Book  30 , hadith 1942

 

Hazrat Aisha r.a. hi se rawayat hai keh Hazrat hamzah bin  Umar wa salmi r.a. ne Nabi ﷺ   se arz kiya keh main safar mein roza rakh lun ? aur wo bohot roze rakha karte the - aap ne farmaya : " (tumhari marzi hai ) chaho to rakh lo chaho se chor do "-

sahih al Bukhari 1943

Vol.2 Book 30 , hadith 1943

 

Baab : 34 - JAB RAMZAN MEIN AYYAM ROZE RAKHE,  PHIR SAFAR KARE

 

Hazrat Abdullah bin Abbas r.a. se rawayat hai keh Rasool Allah ﷺ   Ramzaan al Mubarak mein makkah mokarramah  ki taraf rawana hue - iss waqt aap roze se the - jab maqam kadir pahunche to aapne wahan roza chor diya - tab logon ne bhi roza  iftar kr diya -

Abu Abdullah (imam Bukhari ) R.a ne farmaya : kadir , Asfaan aur Qadeem  k darmayaan ek chashamein ka naam hai -

 

Sahih Al Bukhari 1944

Vol. 2 Book  30 , Hadith 1944

 

BAAB : 35 - BILA UNWAN

Hazrat abu darda r.a. se rawayat hai , unhon ne farmaya keh hum kisi safar mein Rasool Allah ﷺ   k hamrah nikle - garmi iss qadar sakht thi keh iss ki shiddat se admi apne sar per haath rakh leta tha - iss wajah se hum mein se koi shakhs bhi roze se nah tha - sirf Rasool Allah ﷺ   aur hazrat Abdullah bin rawaha R.a rozedar the -

Sahih Al Bukhari 1945

Vol. 2 Book 30 , Hadith 1945

BAAB : 36 - NABI ﷺ   KA ISS SHAKHS K MUTALLIQ  IRSHAD GRAMI JIS PER SAKHT GARMI KI WAJAH SE SAYA KIYA GAYA THA: " DOURAN SAFAR MEIN ROZA RAKHNA NEKI NAHI "-

Hazrat jabir bin Abdullah r.a. se rawayt hai, unhon ne kaha keh Rasool Allah ﷺ   ne douran safar ek hajoom dekha , iss me ek adami nazar aaya jis pe saya kiya gaya tha - aap ne farmaya :'' yeh kya hai ?" logon ne arz kiya : ye  shakhs rozedaar hai - aap ne farmaya : " ( aise halat me )douran safar me roza rakhna koi neki nahi -

sahih al bukhari 1946

Vol. 2 Book 30 , Hadith 1946

 

BAAB : 37 - SAHABA KARAM R.A MEIN SE KOI DOURAN SAFAR MEIN KISI PER ROZA RAKHNE YA NA RAKHNE KI WAJAH SE AAYEB NAHI LAGATA THA

Hazrat Anas bin malik r.a. se rawayt hai ,unhon ne kaha keh hum Nabi ﷺ   k hamrah safar kiya krte the ,roza rakhne wala , turk karne wale per aur chorne wala rozedar per aayeb nahi lagata tha -

Sahih Al Bukhari 1947

Vol. 2 Book 30,hadith 1947

 

BAAB:38 - JIS NE DOURAN SAFAR MEIN ROZA IFTAR KIYA TA KEH LOG ISE DEKHEN

Hazrat bin Abbas r.a. se rawayt hai , unhon ne farmaya keh Rasool Allah ﷺ   madinah taiyyabah se mukarramah rawana hue , aapne roza rakha hatta keh jab maqam usfaan pahunche to pani mangwaya , ise apne haathon ki taraf uthaya ta keh logon ko dikhayen , phirr aap ne roza iftar kar diya , ta keh aap makkah mukarramah tashreef laye -yeh safar douran ramzan ka tha -Hazrat ibn Abbas r.a. kehte hein keh Rasool Allah ﷺ   ne safar me roza rakha aur iftar bhi kiya , Ab jo chahe ( douran safar mein ) roza rakhe aur jo chahe iftar kare -

Sahih Al Bukhari 1948

Vol.2 Book 30, hadith 1948

 

BAAB : 39 - ( IRSHAD BARI TALA ): "AUR IN LOGON PER JO ISS KI TAQAT RAKHTE HEIN FADIYAH HAI JO EK MISKEEN KO KHANA KHILANA HAI "KA BAYAN

IBN ABI LAILAH KEHTE HEIN KEH HAZRAT MUHAMMAD ﷺ    K SAHABA IKRAM R.A NE HUM SE BAYAN KIYA KEH JAB RAMZAAN K ROZE RAKHNE KA HUKAM NAZIL HUA TO LOGON PER BOHOT SHAAQ (GARAAN) GUZRE - IN MEIN JO SAHABE HAISEYAT  HOTA WO HER ROZ KISI MISKEEN KO KHANA KHILA KER ROZA TURK KAR DIYA -ISS KI INHE RUKHSAT THI - PHIR ISE AAYAT : ""ROZA RAKHNA TUMHARE LIYE BEHTAR HAI "" SE MANSOOKH KR DIYA GAYA AUR INHEN ROZA RAKHNE KA HUKAM DIYA GAYA -

Hazrat ibn Umar r.a. se rawayt hai unhon ne ""fidyatun taaamun masakeena " parha aur farmaya keh yeh aayat mansookh hai -

 

Sahih Al Bukhari 1949

Vol.2 Book 30, hadith 1949

 

BAAB : 40 - RAMZAAN K QAZA SHUDA ROZE KUB RAKHE JAYEN ?

Hazrat Ibn Abbas r.a. bayan karte hein keh Qazashudah rozon ko mutfariq tor per rakhne mein koi harj nahi kyun keh  Irshaad bari tala hai :"dusare dino se ginti poori karlo -"hazrat sayeed bin musaib ne zulhijjah k 10 rozon k mutaliq farmaya keh ramzan k fout shudah rozon ki qaza se pahley inhen rakhna acha nahi - Ibrahim nakhaai ne kaha : agar fout shudah rozaon k muttaliq iss qadar kotahi ki keh dusara ramzan aagaya toh wo qaza aur ada k dono roze rakhe , iske zimme fadiyah waghaira nahi - hazrat Abu Huraira r.a. se marsal aur hazrat ibn Abbas r.a. se ek hadees manqool hai keh wo fadiyah bhi de - lakin quraan majid mein fout shudah rozon k muttaliq fadiyah ka ziker nahi hai - iss  mein toh sirf yeh hai keh wo dusare dino se ginti poori kare -

Hazrat Aisha r.a. se rawayat hai , unhon ne farmaya keh mujh pe Ramadan k fout shuddah roze hote aur mein shaaban k mahine k alawa inhen Qaza nah kar sakti thi -

sahih Al Bukhari 1950

Vol . 2 Book 30 , hadith 1950

 

(rawi hadees) yahiya ne kaha keh Nabi ﷺ   ki khidmat mein mashghool hone ki wajah se inhen qaza karne ka waqt nahi milta tha -

 

BAAB : 41 - HAIZAH ROZE AUR NAMAZ CHOR DE

HAZRAT ABU ZANAD FARMATA HEIN KEH AKSAR AHKAM SHARIYAH AUR AMOR HAQ KHILAAF AQAL HEIN, MUSALMANO KO IN KI ITBAH  ZAROORI HAI - IN ME SE EK YE HAI K HAIZAH , FOUT SHUDAH ROZE TOH RAKHE LAKIN IN AYYAM MEIN TURK KARDAH NAMAZEN NAH PARHE -

Hazrat Abu Huraira se rawayat hai , unhon ne kaha keh Nabi ﷺ    ne farmaya :"kya yeh haqiqat nahi hai keh aurat ko jab haiz aata hai toh wo namazen nahi parhati aur nah roze hi rakhti hai , yahi iss k deen ka nuqsaan hai -"

sahih Al Bukhari 1951

Vol. 2 Book 30,hadith 1951

 

BAAB : 42 - AGAR KOI MAR JAYE AUR ISS K ZIMME ROZE HON?

HASAN BASARI R.A NE KAHA KEH AGAR MAIYYAT KI TARF SE TES ADAMI EK HI DIN ROZA RAKH LEN TOH JAIZ HAI -

Hazrat Aisha r.a. se rawayat hai keh RasoolAllah ﷺ    ne farmaya :"jo shakhs mar jaye aur iske zimme roze ho toh iska waris iski taraf se roze rakhe - "

Sahih Al Bukhari 1952

Vol.2 Book 30 , hadith 1952

Hazrat Ibn Abbas r.a. se rawayt hai, unhon ne kaha keh ek shakhs Nabi ﷺ   ki khidmat mein hazir hua , iss ne arz kiya : Allah k Rasool ! meri maa fout ho gai hai aur iss k zimme ek maah k roze the , kya mein iss ki taraf se roze rakh sakta hun ? aap ne farmaya : " haan , kyun keh Allah ka Qarz Adaygi ka zayadah haq rakhta hai - " ibn Abbas r.a. hi k ek tareeq mein hai : ek auorat ne Nabi ﷺ   se kaha : meri bahan fout hogai hai - ek dusare tareeq mein hai : keh ek aurat ne Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυphirr αℓαyнє ωαѕαℓℓαм   se kaha : meri maa fout ho gai hai - ek tareeq k alfaaz mein hai keh meri maa fout ho gai hai aur iss k zimme nazar k roze the - ek tareeq mein hai meri maa fout ho gai hai aur iss k zimme pandarah (15) dinno k roze the -

sahih Al Bukhari 1953

Vol. Book 30 , hadith 1953

 

BAAB : 43 -ROZA DAR KO APNA ROZA KIS WAQT IFTAR KRNA CHAHIYE ?

HAZRAT ABU SAEED KHUDRI  R.A NE ROZA ISS WAQAT IFTAR KIYA JAB SOORAJ  KI TIKAYAH GHUROOB HO GAYI -

Hazrat ibn khatab r.a. se rawayt hai , unhon ne kaha keh Rasool Allah ﷺ    ne farmaya :" jab udher se raat aajaye aur idher se din chala jaye , nez sooraj gharoob ho jaye to roza dar apna roza iftar kr de -''

 

sahih Al Bukhari 1954

vol.2 Book 30, hadith 1954

Hazrat  abdullah bin abi offi  r.a. se rawayt hai , unhon ne kaha keh hum ek safar mein Nabi ﷺ k hamrah they - aap ne roza rakha hua tha - jab sooraj ghareeb hua toh aap ne ek shakhs se farmaya : Allah k Rasool ! shaam hone dete - aap ne farmaya :'' utar k hamare liye satu ghol -" iss ne arz kiya : Allah k Rasool ! shaam hone dijiye - aapne farmaya :" utar aur hamare liye satu bana - '' iss ne phirr arz kiya : abhi toh din baqi hai - aap ne farmaya :" utar kr hamare liye satu tayyar kr '' chunanchah wo shakhs utara aur is ne satu tayyar kiye toh Rasool AllAh ﷺ   ne inhen noash jaa farmayaa - phirr irshaad hua : " jab tum dekho keh raat iss taraf se aagai hai to rozadar ko chahiye k wo roza iftar kr de -"

sahih al Bukhari 1955

Vol.2 Book 30, hadith 1955

 

BAAB : 44 - ROZA DAR KO PANI WAGHAIRAH JO BHI DASTYAAB HO ISS SE ROZA IFTAR KARE

Hazrat Abdullah bin abi offi r.a. se rawayt hai , unhon ne kaha keh hum ne Rasool Allah ﷺ    k hamrah ek safar kiya - aap ne roza rakha hua tha - jab sooraj gharoob ho gaya to aap ne (kisi se) farmaya :"utar kr hamare liye satu taiyyar kr - " isne arz kiya : Allah k Rasool ! shaam toh hone dijiye - aap ne farmaya :" utar k hamare liye satu taiyyar kr - " isne phirr arz kiya :Allah k Rasool ! Abhi din baqi hai - aap ne farmaya :"utar aur hamarey liye satu bana -" wo utra aur aap k liye satu taiyyar kiye , phirr aap ne farmaya :"jab tum raat ko dekho keh wo idher se aagai hai to roze dar apna roza iftar kr de - " aap ne apni angasht mubarak se mashrique ki tarf ishara farmaya -"

 

Sahih al Bukhari 1956

Vol. 2 Book 30, hadith 1956

 

BAAB : 45 - ROZA KHOLNE ME JALDI KARNA

Hazrat suhail bin Saad r.a. se rawayt hai keh Rasool Allah ﷺ   ne farmaya : " log hamesha khair o barkat aur neki per rahenge jab tak wo roza jaldi ifftar karte rahenge -"

sahih Al bukhari 1957

Vol. 2 Book 30,hadith 1957

 

Hazrat ibn abi offi r.a. se rawayt hai , unhon ne kaha keh mein ek safar mein Nabi ﷺ   k hamrah tha - aap ne roza rakha - jab shaam hui toh ek shakhs se farmaya: " utar kar mere liye satu taiyyar kr -" isne arz kiya : ager aap shaam tak intezar krte to behter hota - aap ne farmaya :"utar k mere liye satu taiyyar kr - jab tu dekhe keh raat idher se aagai hai toh rozedar ko iftar kar dena chahiye - "

sahih Al Bukhari 1958

Vol. 2 Book 30, hadith 1958

 

BAAB : 46 - JAB RAMZAAN ME ROZA IFTAR KRNE K BAAD SOORAJ NIKAL AAYE

Hazrat Aasma bint abi bakar r.a. se rawayt hai , unhon ne farmaya keh Nabi ﷺ   k ahad mubarak mein ek din matlaa aber aalud tha - hum ne roza iftar kr liya - phirr iske baad sooraj nikal aaya - hashaam se daryafat  kiya gaya : phirr logon ko qaza ka hukam diya gaya hoga ? unhon ne kaha : iske baghair aur kiya charah tha? hazrat moummar kahte hein keh mein ne hashshaam ko yeh kahte hue suna : mujhe maloom nahi keh logon ne roza Qaza kiya ya nahi -

Sahih al Bukhari 1959

Vol. 2 Book 2 , hadith 1959

 

BAAB : 47 - BACHCHON K ROZE KA BAYAN

SAYYIADNA  UMAR R.A NE EK NASHA BAAZ SE RAMZAAN MEIN FARMAYA : BADBAKHT ! HAMARE BACHCHE BHI ROZE SE HEIN LAKIN TU NE SHARAB PI HAI - PHIRR AAP NE ISS PER HADD JARI FARMAYI -

 

Hazrat rabiyah bint moaaz r.a. se rawayt hai , unhon ne farmaya keh Nabi ﷺ  ne Aashuraa k din subha ko ansar ki bastiyon mein yeh paigham bheja :"jis ne aaj roza nah rakha ho wo bhi baqi din kuch nah khaye aur jis ne roza rakha ho wo roze se rahe - "hazrat rabiyah r.a. farmati hein keh is hukam k baad hum aashura ka roza rakhtin aur apne bachchon ko bhi rakhwati , nez inhen bahlane k liye hum royi k khilone bna detin - jab koi inme se khane k liye rota to hum isse wo khilona de deti yahan tak keh ifftar ka waqt aa jata -

Sahih Al Bukhari 1960

Vol. 2 Book 2 , hadith 1960

 

BAAB : 48 - SOUM WISAL KA BAYAN

JISNE KAHA : RAAT KO ROZA NAHI HOTA KYUN KEH irshaad bari tala hai : "phirr raat tak roza poora kro -" aur Nabi ﷺ   ne logon ko maherbani aur shafquat krte hue iss se mana farmaya , nez ibadat mein shiddat akhtyar krna makruh hai -

 

Hazrat Anas r.a. se rawayt hai , wo Nabi ﷺ se bayan krte hein keh aap ne farmaya :"pe dar pe roze na rakho "- logon ne arz kiya :aap bhi to motwatter roze  rakhte hein ! aap ne fermaya : " mein tumhari tarah nahi hun , mujhe khilaya aur pilaya jata hai ya ( farmaya keh ) mujhe raat k waqt khilaya pilaya jata - "

Sahih Al Bukhari 1961

Vol. 2 Book 2, hadith 1961

Hazrat Abdullah bin Umar r.a. se rawayt hai , unhon ne kaha keh Rasool Allah ﷺ   ne motawttar roze rakhne se mana farmaya , logon ne arz kiya : aap toh  wisal k roze rakhte hein ? aap ne farmaya : " main tumhari misal nahi hun , mujhe khilaya pilaya jata hai -"

Sahih Al Bukhari 1962

Vol. 2 Book 2, Hadith 1962

Hazrat abu saeed khudri r.a. se rawayt hai ,unhon ne Nabi ﷺ   ko yeh farmate suna :"logo ! tum wisal k roze na rakho - jab tum me se koi wisal ka roza rakhna chahe toh subha tak kare , is se zayada na kare - logon ne arz kiya : Allah k Rasool ! aap toh motawttar roze rakhte hein ? aapne farmaya : " mein tumhare jaisa nahi hun , mein raat guzarta hun toh mujhe khilane wala khilata hai aur pilane wala pilata hai - "

Sahih Al Bukhari 1963

Vol. 2 Book , Hadith 1963

 

Hazrat Aisha R.a se rawayat hai , unhon ne kaha keh Rasool Allah ﷺ    ne maharbani krte hue mutawattar roze rakhne se mana farmaya - logon ne arz kiya keh aap toh pe dar pe rakhte hein ? aap ne fermaya : " mein tumhari misal nahi hun ? mujhe mera rab khilata pilata hai - "

Sahih Al Bukhari 1964

Vol. 2 Book 30, Hadith 1964

BAAB : 49 - BAKASRAT WISAAL KA ROZA RAKHNE WALON K LIYE SAZA KA BAYAN

ISE HAZRAT ANAS R.A NE NABI ﷺ SE BAYAN KIYA HAI -

Hazrat Abu Huraira r.a. se rawayt hai , unhon ne kaha keh Rasool Allah ﷺ    ne rozon me wisal krne se mana farmaya to musalmano mein se kisi shakhs ne arz kiya : Allah k Rasool ! aap to wisal krte hein ? aap ne fermaya : " tum me se kon shakhs meri tarah hai ! mein raat ko sota hun to mera Allah mujhe khila pila deta hai - " lakin jab wo log wisal se baaz nah aaye toh aap ne in k hamraah ek din kuch na khaya , dusre din bhi kuch na khaya , phirr eid ka chand tullu ho gaya - aap ne farmaya :" agar chand zahir nah hota toh mein tum se aur zayadah wisal k roze  rakhwata  "- goya aap ne inhen saza dene k liye farmaya jab wo wisal k liye rozon se baaz na aaye -

Sahih Al Bukhari 1965

Vol. 2 Book 30 , Hadith 1965

Hazrat Abu Huraira r.a. se rawayat hai , wo Nabi ﷺ   se bayan krte hein keh aap ne fermaya :" wisal ka roza rakhne se ijtanab kro - " aap  ne do martaba aisa farmaya - aap se arz kiya gaya : aap toh wisal k roze rakhte hein ? aap ne farmaya : " jab mein raat guzarta hun toh mera rab mujhe khilata aur pilata hai lakin tum itna hi kaam apne zimme lo jitni tum me taaqat hai -

Sahih Al Bukhari 1966

Vol.2 Book 30 , hadith 1966

 

BAAB : 50 - SUBHA TAK WISAL KA ROZA RAKHNA

Hazrat Abu saeed khudri r.a. se rawayt hai keh unhon ne Rasool Allah ﷺ    ko farmate hue suna : "pe dar pe roze na rakho - tum me se jo koi wisal k roze rakhna chahe wo subha tak wisal ka roza rakhe - " sahaba karam ne Arz kiya : Allah k Rasool ! aap toh wisaal ka roza rakhte hein ? aap ne farmaya : " jab mein raat guzarta hun toh khilanewala mujhe khilata hai aur pilane wala mujhe pilata hai -"

sahih Al Bukhari 1967

Vol . 2 Book 30, hadith 1967

 

BAAB : 51 - AGAR KOI APNE BHAI KO NAFIL ROZE TORNE KI KASAM DE , AGAR WO ISS KI MAWAFAQAT KARE TOH IS  K ZIMME KOI QAZA NAHI

Hazrat Abu juhaifah r.a. se rawayt hai, unhon ne farmaya keh Nabi ﷺ   ne hazrat salman farsi aur Hazrat abu darda r.a. k mabin bhai charah kra diya tha , chunanchah ek din hazrat salman r.a. Hazrat abu darda se milna gaye to unhon ne Hazrat umme darda r.a. ko intehai pur a gandah halat mein dekha - unhon ne in se daryaft kiya : tumhara kya haal hai ? wo bolein keh tumhare bhai hazrat Abu darda r.a. ko duniya ki zaroort hi nahi hai - itne me Hazrat abu darda r.a. bhi aagaye , unhon ne hazrat salman r.a. k liye khana taiyyar kiya , phirr Hazrat Salman r.a. se goya hue : tum khao mein toh roze se hun - Hazrat salman r.a. ne kaha : jab tak tum nahi khao ge mein bhi nahi khaunga. bil-akhir Hazrat abu darda r.a. ne khana tnaweel kiya - jab raat hui toh Hazrat Abu darda r.a. namaz k liye uthey toh Hazrat salman r.a. ne inhen kaha : so jao , chunanchah wo so gaye - thori der baad phirr uthane lage toh hazrat salman r.a. ne kaha : abhi soye raho - jab akhir shab hui toh hazrat salman r.a. ne kaha : ab utho , chunanchah dono ne namaz padhi , phir Hazrat salman r.a. ne Hazrat abudarda r.a. se kaha : be shak tum per tumhare rab ka bhi haq hai , nez tumhari jaan aur tumhari ahliyah ka bhi tum per haq hai lehaza tumhein sab k haqooq ada krne chahiye - phir Hazrat Abu darda r.a. Nabi ﷺ    k pass aaye aur aap se yeh sab mamlah bayan kiya toh aap ne farmaya : " salman ne sach kaha hai - "

 

Sahih Al Bukhari 1968

Vol. 2 Book 30, Hadith 1968

 

BAAB : 52 - MAH SHAABAN MEIN ROZE RAKHNA

Hazrat Aisha r.a. se rawayt hai, unhon ne fermaya keh Rasool Allah ﷺ   nafli roze iss qadar rakhte keh hum kahtin : ab aap kabhi roza turk nahi karenge aur jab chor dete toh hamein khayal hota keh ab aap kabhi roza nahi rakhen ge - aur mein Rasool Allah ﷺ    ko Ramadan k alawa kisi aur mahine k poore roze rakhte hue nahi dekha - aur mein ne aap ko shaaban se zayadah kisi aur mahine me nafil roze rakhte hue nahi dekha -

Sahih Al Bukhari 1969

Vol. 2 Book 30, Hadith 1969

 

Hazrat Aisha r.a. hi se rawayt hai, unhon ne fermaya keh Nabi ﷺ   shabaan k mahine se zayadah kisi aur mahine mein  nafli roze nahi rakhte the balkeh aap sara shaaban roze rakhte the aur farmaya krte the :"aye logo !itni hi ibadat kro jo qabil bardasht ho kyunkeh Allah tala sawab dene se nhi thakta yahan tak k tum khud ibadat krne se ukta jao ge -"Nabi ﷺ   ko wahi namaz pasand thi , jo agar chah thori ho magar pabandi se ada ho , chunanchah aap ﷺ    jab koi namaz padhte toh iss pe hameshgi krte -

Sahih Al Bukhari 1970

vol. 2 Book 30 , Hadith 1970

 

BAAB : 53 - NABI ﷺ K ROZE RAKHNE AUR NA RAKHNE KA BAYAN

Hazrat Ibn Abbas r.a. se rawayt hai , unhon ne kaha keh Nabi ﷺ    ne Ramadan k siwa kabhi poora  ek mahina roze nahi rakhe - aap roze rakhte aap roze rakhte hatta k kahne wala kehta : walah ! aap kabhi iftar nahi karenge aur aur iftar krte hatta keh kahne wala kahta : Allah ki qasam ! aap kabhi roze nahi rakhen ge -

Sahih Al Bukhari 1971

Vol. 2 Book 30, Hadith 1971

 

Hazrat Anas se rawayat hai , unhon ne fermaya keh Rasool Allah ﷺ   kisi mahine mein iftar krte jate tankeh hum khayal karte keh aap is mah mein roza nahi rakhen ge aur roze rakhte jate hatta keh waham guman karte keh aap kisi din iftar nahi karenge - aur raat mein agar to kisi waqt aap ko namaz padhte dekhna chahta toh dekh sakta tha aur agar mahu istarahat dekhna chahta to dekh sakta  tha.

Sahih Al Bukhari 1972

Vol.2 Book 30, Hadith 1972

 

Hazrat Hameed se rawayt hai, unhon ne kaha keh mein ne hazrat Anas r.a. se Nabi ﷺ   k roze k muttalique daryaft kiya toh unhon ne fermaya : jab main chahta k kisi mahine mein aap ko bahalat roza dekho to aap ko isi halat mein dekh leta , jab chahata keh aap ko iftar ki halat  mein dekhun toh iss halat mein dekh leta, isi tarah raat ko jab chahata keh aap ko iftar ki halat mein dekh leta - isi tarah raat ko jab chahta aap ko namaz mein khare hue aur jab chahta aap ko soye hue dekh leta - aur mein ne koi resham aur mukhmil Rasool Allah ﷺ   ki hatheli se zayadah narm nahi dekha aur nah mein ne koi mushak aur Amber Rasool Allah ﷺ    k paseene ki khushboo se zayadah khushboodar sungha -

Sahih Al Bukhari 1973

Vol. 2 Book 30, Hadith 1973

 

BAAB : 54 - ROZE MEIN MAHMAN KA HAQ

Hazrat Abdullah bin Umaru bin Aas r.a. se rawayt hai ,unhon ne kaha : mere pass Rasool Allah ﷺ  tashreef laye - aap ne poori hadees zikr ki , yani Rasool Allah ﷺ  ne farmaya : " tere mahman ka tujh per haq hai aur teri biwi ka tujh per haq hai -" mein ne arz kiya keh Hazrat dauad a.s ka roza kya tha ? aap ne farmaya : " neesaf daher tha-"yani ek din roza rakhte aur ek din iftar karte the -

Sahih Al Bukhari 1974

Vol. 2 Book 30, Hadith 1974

 

BAAB : 55 - ROZE MEIN JISM KA HAQ

Hazrat Abdullah bin umaru bin aas r.a. se rawayt hai , unhon ne kaha keh mujhe Rasool Allah ﷺ   ne farmaya : "Abdullah !kya mujhe ye khabar nahi pohnchi keh aaap din mein roze se hote hein aur raat bhar namaz padhte rahte hein ? " mein ne Arz kiya : kyun nahi Allah k Rasool ! aisa hi hai - aap ne farmaya : " aisa mat kiya kro , roza rakho iftar bhi kro ,namaz padho aur aram bhi kro kyun keh tum per tumhare jism ka Haq hai - tum per tumhari biwi ka haq hai aur tum per tumhare mahman ka bhi haq hai - tujhe yahi kafi hai k har mahine mein teen roze rakhe kyun keh tere liye her nek amal ka das guna ajar wa sawab hai , iss tarah ye poorey saal k roze hein -" lakin mein ne jism per sakhti ki toh mujh pe sakhti ki gayi , mein ne arz kiya : Allah k Rasool! mein apne andar iss se zayada ki taqat pata hun !aap ne fermaya :"agar aisa hai toh Allah k Nabi Hazrat daud a.s k roze kaise the ? fermaya : " neesaf zindaghi - "yani ek din roza aur ek din iftar - baad azaa hazrat Abdullah bin umaru  r.a. jab budhe ho gaye toh kaha krte the : kaash ! mein ne  Nabi ﷺ   ki rukhsat ko Qabool kiya hota(toh aaj ye haal na hota ) -

 

Sahih Al Bukhari 1975

Vol. 2 Book 30, Hadith 1975

 

BAAB : 56 - ZINDAGHI BHAR K ROZE

Hazrat Abdullah Bin Umaru bin Aas r.a. se rawayt hai , unhon ne kaha keh Rasool Allah ﷺ   ko meri iss baat ki etala di gayi keh mein ne Qasam kha rakhi hai keh mein jab tak zindah rahunga din ko roza rakhun ga aur raat bhar namaz padhta rahunga - meine aap se araz kiya :mere waliden aap per fida hon ! mein ne ye baat kahi hai - aap ne farmaya : tum iss ki taqat nahi rakhte , iss liye roza rakho aur iftar bhi kro , namaz padho aur aaram bhi kro , nez her mahine mein teen roze rakho kyun ki her neki ka das guna sawab milta hai aur aisa krna Umar bhar k rozon k baraber hai - " mein ne Arz kiya : mein iss se zayadah ki taqat pata hun - aap ne fermaya : " ek din roza rakho aur do din iftar kro -" mein ne Araz kiya : mein isse zayada ki taqat pata hun - aap ne fermaya : ek din roza rakho aur ek din iftar kro , yeh hazrat daud a.s k roze hein aur ye afzal roze hein - " meine araz kiya : mein is se behter ki taqat rakhta hun - Nabi ﷺ   ne farmaya : " iss se Afzal koi roza nahi - "

Sahih Al Bukhari 1976

Vol. 2 Book 30, Hadith 1976

 

BAAB : 57 - ( NAFLI ) ROZA RAKHNE MEIN AHLE AYAL K HAQOOQ KA KHAYAL RAKHNA

ISS BAAT KO HAZRAT ABU JAHEEFA R.A NE NABI ﷺ SE BAYAN KIYA HAI -

hazrat Abdullah bin umaru bin aas r.a. se rawayt hai unhon ne farmaya keh Nabi ﷺ ko mere muttaliq ye khabar pahunchi keh mein motawatter roze rakhta hun aur raat bhar namaz padhta rahta hun - aap ne mujhe paigham bheja ya mein khud aap se mila to aap ne fermaya : " mujhe tere mutalique ye ittala mili hai hai keh tum musalsal roze rakhte ho aur iftar nahi krte aur namaz padhte rahte ho ? roze bhi rakho ,iftar bhi kro , namaz bhi padho aur aaram bhi kro kyun ki tumhari ankhon ka tum per haq hai , tumhari biwi aur tumhare bachchon ka tum per haq hai " - " Hazrat Abdullah bin umaru r.a. ne araz kiya : " Hazrat daud a.s jaise roze rakho -" araz kiya : wo kaise the ? aap ne fermaya : "wo ek din roza rakhte the aur ek din iftar krte the , jab dushman ka muqabala krte toh raah farar nahi akhtayar karte the - " Hazrat Abdullah bin Umaru r.a. ne araz kiya : Allah k Nabi ! meri taraf se iss (daud a.s wali kafiyat) ki zimmah  dari kon leta hai ? (rawi hadees ) Hazrat atta ne kaha : mujhe maloom na ho saka keh aap ne hamesha roze rakhne ka zikr kis tarah kiya ? Nabi ﷺne farmaya :"jis ne hamesha roze rakhe , iss ne goya roze nahi rakhe - " ye aap ne do dafa farmaya -

 

Sahih Al Bukhari 1977

Vol. 2 Book 30, Hadith 1977

 

BAAB : 58 - EK DIN ROZA RAKHNA AUR EK DIN IFTAR KRNA

Hazrat abdullah bin umaru bin aas r.a. se rawayt hai , wo Nabi ﷺ se bayan krte hein keh aap ne inhein farmaya :" mahine mein teen roze rakha kro -" hazrat Abdullah bin umaru r.a. ne araz kiya keh mein iss se zayada ki taqat rakhta hun - iss tarah silsalah kalam jari raha , akhirkar aap ne farmaya :"ek din roza rakho aur ek din iftar kro -" nez aap ne farmaya " har mahine me quraan khatam kiya kro - ''Hazrat Abdullah bin Umaru r.a. ne araz kiya : mein iss se zayada ki taqat rakhta hun - iss tarah guftagu chalti rahi hatta k aap ne fermaya : " teen din mein khatam kar liya kro - "

Sahih Al bukhari 1978

Vol. 2 Book 30 , Hadith 1978

 

BAAB : 59 - HAZRAT DAUD A.S K ROZE

Hazrat Abdullah bin umaru bin aas r.a. se rawayt hai , unhon ne kaha keh mujhe Nabi ﷺ ne fermaya : '' tum sara sal roza rakhte ho aur raat bhar namaz padhate rahte ho ? mein ne araz kiya : ji haan - aap ne fermaya : " aisa krne se aankhon mein garhe per jayenge aur jaan kamzor ho jaye gi - jis ne hamesha k roze rakhe iss ne goya roze nahi rakhe - har mahine me teen din roza rakh lena iss se zamane bhar k roze rakhne ka sawab milta hai - " meine araz kiya : mujh mein is se zayadah ki taqat  hai - aap ne farmaya :'' Hazrat daud a.s k rozon jaise roze rakho -  wo ek din roza rakhte aur ek din iftar karte the ,iss k bawajood jab dushman se muqabla hota toh raah farar nahi akhtayar karte the  -"

Sahih al Bukhari 1979

Vol. 2 Book 30, Hadith 1979

 

Hazrat abu qalaba se rawayt hai , unhon ne kaha : mujhe abu maleeh ne bataya keh mein tere baap k hamraah Hazrat Abdullah bin umru r.a. k pass gaya - unhon ne ham se bayan kiya k Rasool Allah ﷺ k haan mere rozon ka tazkira hua toh aap mere han tashreef laye -mein ne aap k liye khajoor ki chhal se bhara hua chamre ka takiyah bichha diya - aap zameen per baith gaye , iss bina pe takiyah mere aur aap k darmiyyan raha - aap ne fermaya : " kya tumhe har mahine mein teen roze kafi nahi ? " mein ne Aaraz kiya : Allah k Rasool ! ....... Aap ne fermaya : " panch (5) roze ? " mein  ne araz kiya : Allah k Rasool ! .......aap ne ne fermaya : " saat (7) roze ? " meine araz kiya : Allah k Rasool ! .....aap ne fermaya : " naw (9) roze ? " meine araz kiya : aye Allah k Rasool ! ....aap ne fermaya :"gayarah roze ? "meine araz kiya : Allah k Rasool ! phirr Rasool Allah ﷺ ne fermaya  " Hazrat daud a.s k rozon se koi roza afzal nahi jo neesaf saal k roze rakhte the - tum ek din ka roza rakho aur ek din iftar kro -"

sahih Al Bukhari  1980

Vol. 2 Book 30,hadith 1980

 

BAAB : 60 - IYYAM E  BAIZ , YANI HAR MAHINE KI TERAH (13) , (14) CHODAH , AUR PANDARAH (15) KA ROZA -

 

Hazrat Abu Huraira r.a. se rawayt hai, unhon ne kaha keh mujhe mere khalil ﷺ ne teen baaton ki waseehat fermayi : har mahine mein teen din k roze rakhna , ishraaq padhna aur neend se pehley witer  padhna -

Sahih Al Bukhari 1981

Vol. 2  Book 30, hadith 1981

 

BAAB : 61 - JO KOI (BAHALAT ROZA ) KISI SE MILNE GAYA AUR WAHAN ROZA NA TORA

 

Hazrat Anas r.a. se rawayt hai , unhon ne fermaya  keh Nabi ﷺ hazrat umme saleem r.a. k pass tashreef le gaye to unhon ne aap ko khajooren aur ghee pesh kiya - aap ne fermaya : " apna ghee mashkeeze mein aur khajooren bartan mein wapas daal do kyun k mein roze se hoon -"phirr aap ne ghar k ek goshe me khare hoker ferz namaz k ilawa koi namaz ada ki - phirr aapne umme salim r.a. aur digar ahle khana k liye dua fermayi - Hazrat umme saleem r.a. ne araz kiya : Allah k Rasool ! mera ek khaas aziz hai (iss k liye bhi) - aap ne fermaya : " wo kon hai ? " unhon Araz kiya : aap ka khadim anas - phirr aap ne duniya wa akharat ki koi bhalai nahi chhori jis ki mere liye koi dua nah ki ho - aap ne fermaya : " Aye Allah ! ise maal wa aulaad atta ferma aur ise khair o barkat se humkinar kr -" (Hazrat Anas r.a.  kehte hein keh dekh lo ) mein tamam ansar se zayadah maldar hun aur mujh se meri beti aaminah ne bayan kiya keh hajaj k basrah aane k waqt tak ek sao bees (120) se kuch zayada mere haqeeqi bachche dafan ho chuke hein -

 

Sahih Al Bukhari 1982

Vol. 2 Book 30,Hadith 1982

 

BAAB  :62 - MAHINE K AKHIR ME ROZA RAKHNA

Hazrat umran bin haseen r.a. se rawayt hai , wo Nabi ﷺ se bayan krte hein keh aap ne in se sawal kiya.......ya kisi aur shakhs se aap ne darayaft kiya jab keh Hazrat umraan r.a. sun rahe the ........aap ne fermaya :  " aye abu falan ! kya tune iss mahine k aakhir me roze nahi rakhe ? ........abu  noman ne kaha keh mere gumaan k mutabique aap ne mah ramzan k muttalique daryaft kiya .....iss shakhs ne arz  kiya Allah k Rasool  ! nahi - aap ne fermaya : " jab tum Ramadan k rozon se farigh ho jao toh do din roze rakh lena - " (rawi hadees) salet ne Ramadan k Alfaz bayan nahi kiye - imam bukhari kahte hein keh sabit  ne mutraf se , unhon ne hazrat umran bin haseen  r,a se aur wobayan k  Nabi ﷺ  se bayan krte hein keh aap ne fermaya : " kya tune shabaan k akheer mein roze nahi rakhe - ''

Sahih Al Bukhari 1983

Vol. 2 Book 30, Hadith 1983

 

BAAB : 63 - JUMMAH KA ROZA RAKHNA , NEZ JAB JUMMAH K DIN SUBHA ROZE SE HO TO ZAROORI HAI KEH IFTAR KAR DE

Hazrat muhammad bin Abaad  se rawayt hai , unhon ne kaha : mein ne Hazrat Jabir r.a. se rawayt kiya : aaya Nabi ﷺ ne jummah k din roza rakhne se mana fermaya hai? unhon ne kaha : haan - ( rawi hadees ) Hazrat Abu Aasim k alawa dusare rawi ne yeh izafa bayan kiya hai keh iss waqt mana hai jab sirf ek din ka roza rakhe -

Sahih al Bukhari  1984

Vol. 2 Book 30, Hadith 1984

 

Hazrat Abu Huraira r.a. se rawayt hai, unhon ne kaha : mein Nabi ﷺ  ko ye fermate hue suna :" tum me se koi jummah k din roza nah rakhe magar ek din jumah se pahley ya ek din iss k baad saath milaye  - "

 

Sahih Al Bukhari 1985

Vol. 2 Book 30, Hadith 1985

 

Hazrat jaweriya bint haris r.a. se raye jab keh wo rawayt hai keh Nabi jummah k din in k ghar tashreef le gaye jab k woh roze se thi , aap ne fermaya :'' kya kal roze rakhne ka irada hai ? " araz kiya : nahi - aap ne fermaya roza iftar kr do  " -

Sahih Al Bukhari 1986

Vol.2 Book 30, Hadith 1986

 

ek rawayt mein hai Rasool Allah ﷺ ne hazrat jaweriya r.a. ko roze iftar krne ka hukam diya toh unhon ne roza iftar kiya -

 

BAAB : 64 - KYA NAFLI ROZE K LIYE KOI DIN MUQARAR KIYA JA SAKTA HAI ?

Hazrat Alqamah se rawayt hai , unhon ne Hazrat Aisha r.a. se daryaft kiya : aaya Rasool Allah ﷺ  ibadat k liye kuch dino ki takhsees fermate the ?unhon ne fermaya : nahi aap ki ibadat dayami hua krti thi - aur tum me se kon hai jo Rasool Allah ﷺ  k baraber taqat rakhta ho ?

sahih Al Bukhari 1987

Vol. 2 Book 30, Hadith 1987

 

BAAB : 65 - ARFA K DIN ROZA RAKHNA

 

Hazrat umme Afzal bint haris r.a. se rawayt hai keh logon ne in k pass arfa k din Nabi ﷺ  k pass roze  mein ikhtalaf kiya - baaz ne kaha : aap roze se hein aur baaz ne kaha : aap roze se nahi hein - hazrat umme fazal r.a. ne aap k pass dudh ka payala bheja jab keh aap oont pe sawar the  toh aap ne ise noash jaan fermaya -

 

Sahih Al Bukhari 1988

Vol.2  Book 30, Hadith 1988

 

Hazrat Maimuna r.a. se rawayt hai keh logon ne arfa k din Nabi ﷺ k roze mein shak kiya toh unhon ne aap k pass dudh bheja jab k aaap arfa mein thehre hue the - aap ne iss mein se kuch dudh noash fermaya jab keh log aap ko dekh rahe the -

Sahih Al Bukhari 1989

Vol. 2 Book 30, Hadith 1989

 

BAAB : 66 - EID UL FITAR K DIN ROZA RAKHNA

 

Hazrat abu obaid moli ibn izher se rawayt hai , unhon ne kaha keh mein eid k din Hazrat Umar r.a. k pass tha , unhon ne fermaya Allah k Rasool ﷺ  ne do dino mein roza rakhne se mana fermaya : ek tumhara rozon ko iftar krne ka din ( (eid ul fiter ka ) aur dusare din wo hai jis me tum apni qurbani ka gosht khate ho - abu abdullah (imam bukhari ) r.a. ne abu obaid k mutalliq fermaya k moli ibn Azher aur moli Abdul rahman bin auff dono tarah kahna sahih hai -

sahih Al Bukhari 1990

Vol. Book 30,Hadith 1990

 

Hazrat abu saeed khudri r.a. se rawayt hai , unhon ne kaha ki Rasool Allah ﷺ  ne eid aur eid ul zoha  k din roza rakhne se mana fermaya , isi tarah " boli bilkul " aur ek kapre mein goth marne se bhi roka hai -

Sahih Al Bukhari 1991

Vol.2 Book 30, Hadith 1991

 

Iss Hadees mein hai ki Rasool Allah ﷺ  ne namaz fajar aur namaz Aaser k baad nafeel padhne se mana fermaya -

Sahih Al Bukhari 1992

Vol. Book 30 , Hadith 1992

 

BAAB : 67 - QURBAANI K DIN ROZA RAKHNA

Hazrat Abu Huraira r.a. se rawayt hai , unhon ne fermaya : do din k rozon aur do qiasam ki kharido farokht se mana kiya gaya hai : Eid ul fitar aur qurbaani k din roza rakhna , nez biya mulamah aur biya mnabazah se mana kiya gya -

Sahih Al Bukhari 1993

Vol. 2 Book 30 , Hadith 1993

 

Hazrat zayad bin jabir se rawayt hai , unhon ne kaha keh ek shakhs Abdulllah bin Umar r.a. k pass aaya aur kahne laga : ek shakhs ne nazar mani keh wo ek roza rakhe ga mera guman hai ki wo somwar ka din hai aur ittefaq se iss din eid thi - hazrat Abdullah r.a. ne fermaya Allah tala ne nazar ko poora krne ka hukam diya hai aur Nabi ﷺ  ne iss din  roza rakhne se mana fermaya -

Sahih Al Bukhari 1994

Vol.2 Book 30,Hadith 1994

 

Hazrat abu sayeed khudri r.a. se rawayt hai, unhon ne Nabi ﷺ  k hamrah barah (12) jungen lari hein ,unhon ne fermaya keh meine Nabi ﷺ  se chaar baatein suni hein jinhon ne mujhe bohot khush kiya - aap ne fermaya :" koi aurot apne shoher ya mehram k baghair do din ka safar na kare , nez eid ul fitar aur eid ul azha k din ka roza nahi hai - isi tarah namaz fajar k baad koi (nafeel )namaz nahi ta keh sooraj tulluh ho jaye aur namaz aser k baad koi (nafeel) namaz nahi hata keh gharoob aaftab ho jaye aur teen masajid k ilawa kisi masjid ki taraf rukhsat safar bandhna jaiz nahi aur wo yeh hein : masjid haram , masjid aqsa aur meri yeh masjid , yani masjid nabwi -"

Sahih Al Bukhari 1995

Vol. 2 Book 30, Hadith 1995

 

BAAB : 68 - AYYAM TASHREEQ K ROZE RAKHNA

Hazrat urwa bin zubair r.a. se rawayt hai , unhon ne kaha keh Hazrat Aisha ayyam mani (ayyam tashreeq) mein roze rakha krti thi aur hasham k baap hazrat urwa bhi in ayyam me roze rakhte the -

Sahih Al Bukhari 1996

Vol.2 Book 30, Hadith 1996

 

Hazrat Aisha aur hazrat bin Umar r.a. se rawayt hai , unhon ne fermaya keh ayyam tashreeq mein roza rakhne ki ijazat nahi di gai magar iss  shakhs ko jise (ayyam hajj mein )qurbaani ka janwar na mil sake -

Sahih Al Bukhari 1997 , 1998 

Vol. 2 Book 30 , Hadith 1997,1998

 

hazrat ibn Umar r.a. se rawayt hai , unhon ne fermaya : jo shakhs hajj aur umrah k darmayan tamtaa kare ise arfa k din tak roze rakhne ki ijazat hai lakin ager qurbaani nah pa sake aur isne roze bhi nahi rakhe toh wo ayyam mani me roze rakh le -

Sahih Al Bukhari 1999

Vol.2 Book 30,Hadith 1999

 

BAAB : 69 - A'SHURA K DIN ROZE RAKHNA

Hazrat ibn Umar r.a. se rawayat hai , unhon ne kaha keh ﷺ  ne fermaya :"agar koi chahe toh aasura ka roza rakh le -"

Sahih Al Bukhari 2000

Vol.2 Book 30 , Hadith 2000

 

Hazrat Aisha r.a. se rawayt hai , unhon ne kaha keh Rasool allah ﷺ   ne Aashura k din roza rakhne ka hukam diya lakin jab ramzan k roze farz hue toh aashura ka roza jo  chahta rakhta aur jo chahta na rakhta -

Sahih Al Bukhari 2001

Vol. 2 Book 30 ,Hadith 2001

 

Hazrat Aisha hi se rawayt hai , unhon ne fermaya k jahiliyat mein quraish ashur ka roza rakhte the - aur Rasool Allah ﷺ  bhi nabuwat se pehley iss din ka roza rakhte the jab aap madina tashreef laye toh khud bhi roza rakha aur dusare ko bhi roza rakhne ka hukam diya lakin jab ramzan k roze farz hue toh aashura ka roza chor diya gaya - ab jo chahe roza rakhe jo chahe na rakhe -

Sahih Al Bukhari 2002

Vol.2 Book 30,Hadith 2002

 

Hazrat hameed bin Abdul rahman  se rawayt hai , unhon ne hazrat ameer mawiyah r.a. ko ashura k din , jis saal unhon ne hajj kiya , menber per khutba dete hue suna , aap ne fermaya : aye ahle madina ! tumhare ulmah kahan gaye ?maine Rasool Allah ﷺ  se suna, yeh ashura ka din hai - Allah tala ne tum per iss din ka roza farz nahi kiya - albattah mein roze se hun , iss liye jo chahe roza rakhe aur jo chahe , ise chor de - "

 

Sahih Al Bukhari 2003

Vol.2 Book 30,Hadith 2003

 

Hazrat Ibn Abbas r.a. se rawayt hai ,unhon ne fermaya : jab Nabi ﷺ  madinah taiyabah tashreeef laye to aap ne yahoodiyon ko ashura ka roza rakhte dekha - aap ne in se daryaft kiya " iss roze ki hasiyat kya hai ?  " unhon ne jawab diya : ye ek acha din hai , iss din Allah ne bani israil ko dushman se najat di thi toh musa a.s ne roza rakha tha - Rasool Allah ﷺ  ne fermaya :"main tum se zayada musa a.s  se talluq rakhta hai - " chunanchah aap ne iss din ka roza rakha aur logon ko bhi roza rakhne ka hukam diya -

Sahih Al Bukhari 2004

Vol.2 Book 30, Hadith 2004

 

Hazrat abu musa ashari r.a. se rawayt hai , unhon ne fermaya keh yahoodi ashura k din ko bator jashan manate the - Nabi ﷺ ne fermaya : tum iss din roza rakho " -

 

Sahih Al Bukhari 2005

VOl.2 Book 30, Hadith 2005

 

Hazrat ibn Abbas r.a. se rawayt hai , unhon ne fermaya keh meine Nabi ﷺ   ko nahi dekha kah aasura k din aur ramzan k mahine k alawa kisi din ko afzal samajh kr aap ne iss ka roza rakha ho -

Sahih Al BUkhari 2006

Vol.2 Book 30, Hadith 2006

 

Hazrat salmah bin akwa r.a. se rawayt hai, unhon ne kaha keh Nabi ﷺ  ne qabilah aslam k ek shakhs ko hukam diya keh wo logon mein elaan kare : " jis ne kuch kha liya hai wo baqi din ka roza rakhe aur jis ne nahi khaya wo poore din ka roza rakhe , iss liye keh aaj ka din aasura ka din hai - "

 

Sahih Al Bukhari 2007

Vol.2 Book , Hadith 2007

 

 

Post a Comment