Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

Kitab al Makatib


Kitab al Makatib

۞ Baab 1 : Gulam par Tohmat lagaane ka gunah

۩ Hazrat Ayesha r.a. se riwayat hai,unhone farmaya ki Hazrat Barirah unki khidmat me hazir hui aur wo un se mukatibat ke mamle me taawun talab kerti thin.un ke zimme panch auqiye chandi thi jo onhone makatibat ke silsile me ada kerni thi. Hazrat Ayesha r.a.. ko hazrat Barirah r.a.. ko aazad karane me dilchspi paida hu gai tu onhone us se farmaya agar main tumhari eqtas yak musht adad karon tu kya tumahre aaqa tumhe mere hath bech denge,phir main tujhe aazad kar dongi aur teri wala bhi mere lie hogi? Hazrat Barirah apne aaqaon ke paas gain aur ye maamla pesh kiya tu ohone kaha; nahi ,albatta is sorat me qubool kar sakte hain ki wala humare pas rahe.Hazrat Ayesha r.a.. ne farmaya ki main rasool allah s.a.w. ki khidmat me hazir hui aur Aap s.a.w. se ye waqia arz kiya tu Aap ne farmaya:"use khareed kar aazad kar do,wala usi ke lie huti hai jo aazad kare."phir rasool allah s.a.w. ne khade hu kar logon se khitab farmaya:"logon ka kya hal hai,wo aisi shretn lagate hain jo allah ki kitab me nahi hain?jo shakhs aisi sharten lagae jo (jis ki asal )allah ki kitab me na hu tu wo shart batil hogi.allah ta'ala ki aaed karda shart hi zyada sahih aur zyada mazboot hai."

Sahih al Bukhari vol:3, hadees no:2560.

۞ Baab 2. Makatab se kaun si sharaet jaez hain?aur jis ne koi aisi shart lagai jo (jis ki asal) Allah ki kitab me nahi (tu uska hukm?)

۩ Hazrat Ayesha r.a. se riwayat hi ki Hazrat Barirah r.a..unke paas apne maamla e makatbat me taawn lene hazir huin.abhi tak onhone apne badl e ktabat se kuch bhi ada nahi kiya tha.Hazrat Ayesha r.a.. ne un se farmaya"tum aone malikan ke paas jao ,agar wo pasand karen ki badl e katabat ki tamam (baqi manda) raqam mai yak musht ada kar don aur tumhari wala mere sath qayam ho tu main aisa kar sakti hon.Hazrat barirah r.a.. ne jab ye soorat apne malikan ke samne rkhi tu onhone use manne se inkar kar diya aur kaha:agar wo tumhare sath swab ki niyat se aisa karna chahti hain tu bila shubha karen lekin teri wala humare lie ho gi.Hazrat Ayesha r.a.. ne is ki zikr rasool allah s.a.w. se kiya tu Aap s.a.w. ne farmaya:"tu khareed kar use aazad kar de,wala usi ka haq hai jo use aazad kerta hai."rawi kabayan hai ki phir rasool allah s.a.w. ne logon se khitab kiya aur farmaya:"logon ka ajeeb haal hai. wo aisi sharten lagaten jin ki koi asal kitab allah me nahi hai?jis ne aisi shart lagai jo (yaani jis ki asal(kitab allah me na hu wo us se kuch faeda nahi utha sakta agar che aisi hi sau sharten kyon na laga le.Allah ta'ala kishart hi mabnie bar haq aur zyada mazboot hai."

Sahih al Bukhari vol.3, hadees no:2561.

۩ Hazrat Abdullah Bin Umar r.a. se riwayat hai,unhone farmaya ki ummul momineen Hazrat Ayesha r.a.. ne ek laundi kharedd kar use aazad karna chaha tu us ke malikan ne kaha:wo is shart per use khareed sakti hain ki uski wala ke hum khud malik honge.rasool allah s.a.w. ne farmaya :"ye shart tumhe khareedne se nahi rok sakti kyon ki wala ka malik wohi hai jo aazad kare."

Sahih al Bukhari vol.3, hadees no: 2562.

۞ Baab :3 makatab ka madad mangna aur logon se sawal karna

۩ Hazrat Ayesha r.a.. se riwayat hai ki Hazrat Barirah r.a.. aain aur kahne lagin:main ne apne aaqaon se naw(9)auqiye chandi per makatibat ka maamla kiya hai.mujhe her saal ek auqiya ada karna hoga, lehaza aap meri madad karen.Hazrat Ayesha r.a.. ne farmaya:agar tere malik pasand karen tu unhen ye raqam yak musht ada kar ke tujhe aazad kar don(tu )main aisa kar sakti hon lekin teri wala mee lie hu gi.chunanche Hazrat barirah r.a.. apne aaqaon ke paas gai toh onhone is sorat se saaf inkar kar diya magar y ki wala un ke lie hu.rasool allah s.a.w. ne suna tu mujh se daryaft kiya ,chunanche main ne aap ko mutela kiya tu aap s.a.w. ne farmaya :"tum use le kar aazad kar do aur un ke lie wala ki shart kar lo .wala tu usi ki huti hai jo aazad kerta hai."Hazratt Ayesha r.a.. farmati hain ki us ke bad rasool allah s.a.w. ne logon se khitab kiya ,allah ki hmad o sana ki phir farmaya:"amma baad! tum se kuch logon ka ajeeb hal hai ki wo aisi sharten lagate hain jin ki koi asal allah ki kitab me nahi hai?jis shart ki asal allah ki ktab me na hu wo batil hai agar che aisi sau sharten hi kyon na hon. tum me se kuch logon ka ajeeb hal hai ,wo kahte hain:ae falan ! tu aazad kar lekin wala mere lie hugi .wala ka malik wohi hai jo aazad kare ."

Sahih al Bukhari vol:3, hadees no: 2563.

۞ Baab:4- Maktab agar razi hu tu use farokht karna

Hazrat Ayesha r.a.. farmati hain makatab ghulam hi rahe ga jab tak us ke zimme koi shae baqi hai.

Hazrat zaid r.a.. farmate hain: jab tak us per ek dirham bhi baqi hai wo ghulam hai.

Hazrat ibne umar r.a.. ka irshad hai :wo ghulam hi rahe ga agar zinda rahe ya mar jae ya koi jurm kare jab tak us ke zimme koi cheez baqi hai.

۩ Hazrat Amra bint Abdur-Rahman se riwayat hai ki Hazrat Barirah ummul momineen Hazrat Ayesha r.a. se madad lene ke lie hazir huin tu onhon ne farmaya agr tere malik ye pasand karen ki tera badal e kitabat onhen yak musht ada kar don aur tujhe aazad kerdon tu main aisa kar sakti hu. Hazrat barirah ne is ka zikr apne aaqaon se kiya tu onhone kaha ki hum wala se kisi sorat bhi dastbardar nahi honge .

Imam malik ne yahya se bayan kiya ki umra ne kaha:ki Hazrat Ayesha ne is ka zikr rasool allah s.a.w. se kiya tu aap s.a.w. ne farmaya :"wala tu usi ki hogi jisne aazad kiya.

Sahih al Bukhari vol.3, hadees no. 2564.

۞ Baab:5 Jab makatab kisi se kahe:to mujhe khareed kar aazad kar de aur wo use aazad kar ke khareed le (tu jaez hai)

۩ Hazrat Aiman Habshi se riwayat hai unhone kaha: main Hazrat Ayesha r.a.. ke paas gaya aur unse kaha : main utba bin abu lahab ka ghulam tha ,wo mar gaya aur us ke bete mere waris bane hain. unhone mujhe abu amar(makhzomi )ke bete ke hath farokht kar diya hai aur abu amr ke bete ne mujhe aazad kar diy hai.ab utba ke bete meri wala ki shart lagate hain Hazrat Ayesha r.a.. ne( ye muqadma sun kar) farmaya:Harat barirah r.a.. mere paas aain jab ki wo makatba thin aur mujh se kahne lagin :mujhe khareed kar aazad kar den. us(Ayesha) ne kaha: theek hai main ye kerti hon.Hazrat barirah r.a.. ne arz kiya :wo meri wala ki shart ke baghai mujhe farokht nahi karenge .Hazrat aaishar.a.. ne farmaya mujhe uski koi zaroorat nahi.nabi s.a.w. ne ye waqia az khud suna ,Aap ko khabar pahonchi tu Aap s.a.w. ne Hazrat Ayesha r.a.. se daryaft kiya.Hazrat Ayesha r.a.. se Hazrat barirah r.a.. ne jo kuch kaha tha onhone (Aap s.a.w. se) bayan kar diya.Aap s.a.w. ne farmaya:"use khareed kar aazad kar do aur wo jo bhi shart lagate hain us ki parwah na karo ."chunanche Hazrat Ayesha ne use (Hazrat Brirah r.a.. ko)khareed kar aazad kar diya .jab us ke aaqaon ne wala ki shart lagai tu nabi s.a.w. ne farmaya :"walal tu us ke lie hai jo aazad kare agar che wo sau sharten lagaen."

Sahih al Bukhari vol:3, hadees no:2565.

•٠•●●•٠•

Post a Comment