SAHIH AL BUKHARI, KITAB UL TAYAMMUM, KITAB NO: 7.
BAAB: BILA UNWAAN (chapter without name)
Hazrat Ayesha r.z. se riwayat hai: Ap ne batlaya Hum Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ke sath baaz safar me the, jab hum muqam e Baida ya Zatul-Jaish par pohnche tu mera ek haar kho gaya. Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм uski talash me wahi thaher gaye aur log bhi Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ke sath thaher gaye, lekin log Hazrat Abu Bakr r.z. ke paas aaye aur kaha, Hazrat Ayesha r.z. ne kya kaam kiya
ke RasoolAllah aur tamaam logon ko thahra diya hai aur pani bhi kahin qareeb me nahi hai aur na logo hi sath hai.?
Fir Abu Bakr Siddiq r.z. tashreef laye, Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм apna sar meri raan par rakhe hue so rahe the, farmane lage ke tum ne Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм aur tamam logon ko rok liya, halanke qareeb me kahin pani nahi hai aur na logon ke pas hai.
Hazrat Ayesha kahti hai ke walid(r.z) mujh par bahut khafa huwe aur Allah ne jo chaha unhone mujhe kaha aur hath se mery kokh me kachoke lagae, Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ka sar e mubarak meri Raan par tha is wajah se mai harkat bhi nahi kar saki thi, Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм jab subha ke waqt uthe to pani ka patta tak na tha, pas Allah tala ne tayammum ki Aayat utari aur logon ne Tayammum kiya, is par Usaid bin Hudair r.z. ne kaha, Aye aal e Abi bakr ye tumhari koi pahli barkat nahi hai. Ayesha (r.z.) ne farmaya, fir hum ne us oont ko hataya jis par mai sawaar thi to haar usi ke niche mil gaya.
Sahih al-Bukhari, 334
Vol. 1, Book 7, Hadith 334.
Jabir bin Abdullah riwayat karte hai ki Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya mujhe panch (5) chizen aisi di gai hai jo mujh se pahle kisi ko nahi di gai thi. -1. Ek mahine ki musafat se ro'ab ke zariye meri madad ki gai hai. -2. Tamam Zameen mere liya sajda gaah aur paki ke laa'iq banai gai, pas meri ummat ka jo insaan namaz ke waqt
ko (jahan bhi) pale use wahan hi namaz ada karleni chahiye. -3. Mere liye ganimat ka maal halal kiya gaya hai, mujh se pahle
ye kisi ke liya bhi halal na tha. -4. Mujhe shafa'at ata ki gai. -5. Tamam Ambiya apni apni qaoom ke liya mab'oos hote
the lekin mai tamam insanon ke liya aam taur par Nabi bana kar bheja gaya hoon.
Sahih al-Bukhari, 335
Vol. 1, Book 7, Hadith 335.
(2) BAAB:J AB NAMAZI PANI NA PAA SAKE AUR NA MITTY DASTIYAB HO TO KYA KARE?
Urwa apne walid se riwayat karte hai aur woh Hazrat Ayesha r.z. se ke unho ne Hazrat Asma r.z. se haar mang kar pahen liya tha, woh gum ho gaya. RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne ek aadmi ko uski talash ke liya bheja jise woh mil gaya tha fir namaz ka waqt aa pohncha aur logo ke paas (jo haar ki talash me gae the) pani nahi tha. Logo ne namaz padhli aur RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм se is ke mutalliq shikayat ki, pas Allah tabarak watala ne Tayammum ki aayat utari jise sun kar Usaid bin Huzair ne Hazrat Ayesha r.z. se kaha, Aap ko Allah bahtarean badla de, wallah jab bhi aap ke sath koi aisi baat pesh aai jis se aap ko takleef hui to Allah tala ne Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ke liya aur tamam musalmanon ke liya is me khair paida farmadi.
Sahih al-Bukhari, 336
Vol. 1, Book 7, Hadith 336.
(3) BAAB: AGAR PANI DASTIYAB NA HO AUR NAMAZ KE FAUT HONE KA ANDESHA HO TO HIZR ME TAYMMUM KARNA
Abu Juhaim Al-Ansari(sahabi) unho ne bayan kiya ke Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ''Bir Jamal'' ki taraf se tashreef la rahe the, raaste me ek shakhs ne Aap ko salam kiya lekin Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne jawab nahi diya, fir Aap diwar ke qareeb aaye aur apne chehre aur hatoon ka masah kiya fir unke salam ka jawab diya.
Sahih al-Bukhari, 337
Vol. 1, Book 7, Hadith 337.
Vol. 1, Book 7, Hadith 337.
(4) BAAB: JAB TAYAMMUM KE LIYE MITTY PAR HATH MARE TO KYA HATHON SE MITTI UDAAI JA SAKTY HAI (CHEHRE PAR HATH FERNE SE PAHLE)?
`Abdur Rahman bin Abza ne bayan kiya ke ek shakhs Umar bin khattab r.z. ke paas aaya aur arz ki ke Mujhe ghusl ki haajat hogai hai aur pani nahi mila (to mai ab kiya karon). Is par Ammar bin yasir r.z. ne Hazrat Umar bin Khattab r.z. se kaha, Kya aap ko yaad nahi jab mai aur Ap safar me the hum dono Jumbi hogaye the, Ap ne to namaz nahi padhi lekin mai zameen par lut put liya aur namaz padhli fir mai ne Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм se iska zikr kiya to RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya ke tumhara ye karna kaafi tha. Fir Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne apne dono hath zameen par mare fir inhe funka aur dono hatho se chehre aur panjon ka masah kiya.
Sahih al-Bukhari, 338
Vol. 1, Book 7, Hadith 338.
Vol. 1, Book 7, Hadith 338.
(5) BAAB: TAYAMMUM SIRF CHEHRE AUR DONO HATHELIYON KE LIYE HAI
Sa`id bin `Abdur Rahman bin Abza riwayat karte hai (apne walid se jinhone kaha) ke Ammar ne yeh waqya(upar wala waqya) bayan kiya aur Shu'ba ne apne hathon ko zameen par mara, fir inhe apne mu'nh ke qareeb karliya (aur phunka) fir use apne chehre aur panjon ka masah
kiya. Ammar ne kaha, "Wuzu (yaha par matlab Tayammum) ek Musalman ke liye kaafi hai agar pani maujud nahi hai."
Sahih al-Bukhari, 339
Vol. 1, Book 7, Hadith 339.
Vol. 1, Book 7, Hadith 339.
`Abdur Rahman bin Abza ne apne walid se riwayat kiya ke woh Hazrat Umar ki khidmat me Hazir the aur Hazrat Ammar ne un se kaha ke hum ek lashkar me gaye huye the pas hum dono jumbi ho gaye aur hamne mitti ko apne hatho se funka [lote(performed the rolling) aur namaz padhi.]
Sahih al-Bukhari, 340
Vol. 1, Book 7, Hadith 340.
Vol. 1, Book 7, Hadith 340.
Ammar ne Umar se kaha ke mai zameen me lot pot hogaya fir RasoolAllaah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ki khidmat mein hazir huwa to Aap ne farmaya ke tere liye sirf chehre aur hatho ke piche ka masah karna kaafi tha (zameen par lotne ki zaroorat na thi).
Sahih al-Bukhari, 341
Vol. 1, Book 7, Hadith 341.
Upar ki tarha hadith (Narrated hadith as same as above)
Sahih al-Bukhari, 342
Vol. 1, Book 7, Hadith 342.
Ammar ne bayaan kiya "RasoolAllaah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne apne haathon ko zameen par maara aur us se apne chahere aur hatho ke piche ka masah kiya"
Sahih al-Bukhari, 343
Vol. 1, Book 7, Hadith 343.
(6) BAAB: PAAK MITTY MUSALMAN KA WAZU HAI AUR ISE PANI KE BADLE KAAFI HAI
Imran riwayat karte hai, unho ne kaha ke Hum Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ke sath ek safar me the ke hum raat bhar chalte rahe aur jab raat ka aakhri hissa aaya to hum ne padao dala. Musafir ke liye us waqt ke neend se zyada mithi koi aur chiz nahi hoti (fir hum is tarha gafil ho kar so gae) ke hame suraj ki garmi ke siwa koi chiz bedar na kar sake. Sab se pahle bedar hone wala shakhs fulan tha fir fulan fir fulan.
(Abu Raja'a ( ek raawi) ne sab ke naam liya lekin Auf ko yeh naam yaad nahi rahe) fir chauthe (4) number par jagne wale Hazrat Umar bin Khatttab r.z. the aur jab Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм aaram farmate to hum Aap ko jagate nahi the yahan tak'ke Aap khud ba khud bedaar hoon kyun ki hame kuch malum nahi hota ke Aap par Khwab me kya Taaza wahi aati hai. Jab Hazrat Umar r.z. jaag gae aur yeh amadah afat dekhi aur woh ek nidar dil aadmi the pas zor zor se takbeer kahne lage. isi tarha ba aawaz buland Ap is waqt tak takbeer kahte rahe jab tak ke Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм unki aawaz se bedar na ho gae. Toh logo ne pesh amadah museebat ke mutalliq Rasoolallah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм se shikayat ki. Is par Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya ke koi harj nahi, safar suru'o karo. Fir Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм thodi der chale is ke baad RasoolAllah thaher gaye aur wuzu ka pani talab farmaya aur wuzo kiya aur Aazan kahi gayi. Fir RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne logo ke sath namaz padhi. Jab RasoolAllah namaz se farig hue to ek shakhs par Rasoolallah ki nazar padi jo alag kinare par khada huwa tha aur us ne logo ke sath namaz nahi padhi thi. RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya Aye fulan! Tumhe logo ke sath namaz me shareek hone se kaun si cheez ne roka? Us ne jawab diya ke mujhe ghusl ki hajat ho gai aur pani maujod nahi hai.
RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya ke paak mitti se kaam nikal lo yahi tum ko kafi hai. Fir Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne safar shuru'o kiya to logo ne pyaas ki shikayat ki. RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм thaher gaye aur fulan (yani Imran bin Haseen r.z.) ko bulaya Ek raawi Abu Raja'a ne unka naam liya tha lekin Auf ko yaad nahi raha) aur Hazrat Ali r.z. ko bhi talab farmaya. Un dono se Rasoolallah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya ke jao pani talash karo. Ye dono nikle raaste me ek aorat mili jo pani ki do thayliiya (bags) apne ou'nt par latkae hue beech me sawar ho kar ja rahi thi. Unho ne inse pucha ke pani kahan milta hai? To usne jawab diya ke kal isi waqt mai pani par maujod thi (yani pani itni door hai ke kal mai i'si waqt wahan se pani lakar chali thi aaj yahan pahnchi hoon) aur hamare Qabile ke mard log piche rah gae hai. Unho ne inse kaha, Accha hamare sath chalo. Usne pocha, kahan chalon? Unho ne kaha RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ki khidmat me. Isne kaha acha wahi jinko log Sabi (naye mazhab ke sath) kahte hai? Achha ab chalo. Akhir ye dono Hazraat is aurat ko huzoor ki khidmat mubarak me laye aur saara Waqiya bayan kiya. Imran ne kaha ke logon ise oont se utaarne me madad karo. Fir Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne ek bartan talab
farmaya aur dono thayliyo ya mashkeezon ke munh is bartan me khool diye fir inka upar ka munh band kardiya.
Iske baad niche ka munh khol diya aur tamam lashkariyon me munada kar diya gaya ke khud bhi sair hokar pani piye aur apne tamaam janwaron wagerah ko bhi pilaye. Pas jisne chaha pani piya aur pilaya (aur sab sair hogaye). Aakhir me is shaqs ko bhi ek bartan me pani diya jise ghusl ki zaroorat thi. Aapѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya lo jaakar ghusl karlo. Wo aurat khadi dekh rahy thi aur Khuda ki qasam! Jab pani liya jaana inse band hua to hum dekh rahe the ke ab mashkeezon me pani pahle se bhi zyada maujood tha. Fir Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya ke kuch iske liye (khane ki chiz) jama karo. Logon ne iske liye umdah qism ki khajoor, Aata aur sattu ikhatta kiya. Ise logon ne ek kapde me rakha aur aurat ko oont par sawar karke iske samne wo kapda rakh diya. RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne isse farmaya ke tumhe maloom hai ke hum ne tumhare pani me koi kami nahi ki hai lekin Allah ta'ala ne hame sairaab kar diya Fir wo apne ghar aayi der kaafi ho chuki thi is liya ghar walon ne pucha ke Aye fulan! Kyun itni der hui? Isne kaha ek ajeeb baat hui, wo ye ke mujhe do admi mile aur wo mujhe is shaqs ke paas legaye jise log Sabi kahte hai. Waha is tarah ka waqya pesh aya, Khuda ki qasam! wo to iske aur iske darmiyan sab se bada jadugar hai aur isne bich ki ungli aur shahadat ki ungli aasman ki taraf utha kar isharakiya. Iski muraad asman aur zameen se thi ya fir wo waqai Allah ke Rasool hai. Iske baad musalman is qabile ke dur wa nazdeek ke mushrikeen par hamla kiya karte the lekin is gharane ko jisse is aurat ka talluq tha koi nuqsaan nahi phunchate the. Ye acha bartao dekh kar ek din is aurat ne apni qaum se kaha ke mera khayal hai ke ye log tumhe jaan bujh kar chhor dete hai to kya tumhe Islam ki taraf kuch rughbat hai?
Qaum ne aurat ki baat maan li aur islam le aayi.
Hazrat Abu Abdullah Imam Bukhari ne farmaya ke Sabi ke maane hai apna deen chhor ke dusre ke deen me chala gaya.
Abul 'Ailya ne kaha hai Sabi'een ahl e kitab ka ek firqa hai jo Zaboor padhte hai.
Sahih al-Bukhari, 344
Vol. 1, Book 7, Hadith 344.
(7) BAAB: JAB JUMBI APNE MUTALLIQ BIMARY, MAUT YA PYAAS KA ANDESHA RAKHTA HAI TO ISE TAYAMMUM KARNE KI IJAZAT HAI
Abu Wail se riwayat hai ke Abu Musa ne Abdullah bin mas'ood se kaha ke agar (ghusl ki hajat ho aur) pani na mile toh kya namaz nahi padhi jaye? Abdullah ne farmaya Haan! Agar mujhe ek mahine tak pani na mile toh mai namaz na padhunga. Agar isme logo ko ijazat de di jaye toh sardi malum kar ke bhi log tayamum se namaz padh lenge. Abu Moosa kahte hai maine kaha ki fir Hazrat Umar r.z. ke samne Hazrat Ammar r.z. ke qaol ka kya jawab hoga. Bole ke Mujhe toh nahi malum hai ke Umar r.z. Ammar r.z. ki baat se mutma'in hogaye the.
Sahih al-Bukhari, 345
Vol. 1, Book 7, Hadith 345.
Shaqiq bin Salama riwayat karte hai, unho ne kaha ke mai Abdullah (bin mas'ood) aur Abu Moosa Ashari ki khidmat me tha, Abu Moosa ne pucha ke Aey Abu Abdur rahmaan! Apka kya khayaal hai ke agar kisi ko ghusul ki hajat ho aur pani Na mile toh woh kya kare? Abdullah ne farmaya ke isey namaz Na padhni chahiye, jab tak isey pani Na Mil Jaye. Abu Moosa ne kaha ke fir Ammaar ki is riwayat ka kya hoga jab ke Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм kareem sallallahualaihi wasallam ne in se kaha tha ke tumhein sirf (hath aur muh ka Tayamum) kafi tha. Ibn e Masood r.z. ne farmaya ke Tum Umar r.z. ko nahi dekhte ke woh Ammar Ki is baat par mutma'in nahi huwe the. Fir Abu Moosa ne kaha ke acha Ammar ki baat ko choro lekin is ayat ka kya jawab do ge (jis me janabat me tayamum karne Ki wazeh ijazat maujood hai).
Abdullah ibn Masood r.z. iska koi jawab na de sake. Sirf yeh kaha ke agar hum iski bhi logo ko ijazat de dein toh in ka haal yeh ho jayega ke agar kisi ko pani thanda malum huwa toh isey chhor diya karega. (Aamash kahte hain ke) Maine shaqiq se kaha ke goya Abdullah ne is wajah se yeh Surat napasand ki thi, toh unho ne jawab diya ke haan.
Sahih al-Bukhari, 346
Vol. 1, Book 7, Hadith 346.
(8) BAAB: TAYAMMUM ME SIRF EK ZARB [one light stroke (on the earth)] HAI
Aamash riwayat karte hai ki Shaqiq ne bayan kiya ke mai Hazrat Abdullah bin Mas'ood aur Hazrat Abu Moosa Ashari ki qhidmat me hazir tha. Hazrat Abu Musa r.z. ne Hazrat Abdullah bin Masood se kaha ke agar ek shaqs ko ghusl ki hajat ho aur mahina bhar pani na paye to kya wo tayammum karke namaz na padhe? Shaqiq kahte hai ke Hazrat Abdullah bin Mas'ood ne jawab diya ke wo tayammum na kare agarche wo ek mahine tak pani na paye (aur namaz mauqoof rakhe).
Abu Musa ne is par kaha fir surah al Maida ki is ayat ka kya matlab hoga, "Agar tum pani na pao to paak mitty par tayammu karlo". Hazrat Abdullah bin Mas'ood bole ke agar logo ko iski ijazat dedy jaye to jald hi ye haal hojayega ke jab inko pani thanda maloom hoga to wo mitty se
tayammum hi kar lenge. Aamash ne kaha Maine Shaqiq se kaha Toh Tumne Jumbi ke liye Tayammum isliye bura jana. Inhone kaha Haan.
Fir Hazrat Abu Moosa Ashari ne farmaya ke Kya Apko Hazrat Ammar ka Hazrat Umar bin Khattab ke samne ye qaul maloom nahi ke mujhe RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne kisi kaam ke liye bheja tha safar me, Mujhe ghusl ki zaroorat ho gayi lekin pani na mila. Is liye mai mitty me janwar ki tarah loot poot liya. Fir Maine RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм se iska zikr kiya to Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya ke tumhare liye sirf itna karna kafy tha: "Aap ne apne hathon ko zameen par ek martaba maara fir inko jhaad kar bayen
hath se dahne ki pusht ko mila liya ya bayen hath ka dahne se masah kiya fir dono hathon se chehre ka masah kiya.
Sahih al-Bukhari, 347
Vol. 1, Book 7, Hadith 347.
(9) BAAB: BILA UNWAAN (without any name)
`Imran bin Husain Al-Khuza`i riwayat karte hai ke RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne ek aadmi ko dekha ke alag khada huwa hai aur logo ke sath namaz me shareek nahi ho raha hai. RasoolAllah ne farmaya ke Aye fulan! Tumhe logo ke sath namaz padhne se kis cheez ne rook diya, is ne arz ki ya RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм mujhe ghusl ki zarorat hogai aur pani nahi hai. RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya fir tum ko paak mitti se Tayammum karna zarori tha bas woh tumhare liye kafi hota.
Sahih al-Bukhari, 348
Vol. 1, Book 7, Hadith 348.
Post a Comment