Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

Kitab al-Istisqa'


Barish Ki Duwa Air Namaz e Istesqa se Muttaliq Ahkaam wa Masayeel :

Baab : 1

Barish Ki Duwa Karna Aur iske Liye Nabi ﷺ ka Bahar Tashreef Le Jana :

Hazrat Abada bin Tameem r.a apne Chacha se riwayat karte hai, inhone farmaya : Nabi ﷺ Barish Ki Duwa ke liye bahar tashreef le gay aur waha ja kar apne chadar ko palta.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1005

Baab : 2

Nabi ﷺ ki Bad-duwa ke ( Mushrakeen ) par aise kahat sale daal jaise Hazrat Usoof A.S ke zamane me the : Hazrat Abu Huraira r.a se riwayat hai ke Nabi ﷺ jab Aakhri rakat ( ke ruku ) se apne sar uthate to Duwa karte " Allah ! Ayash bin Abe Rabiya ko nejad de. Allah ! Salma bin Hassham ko nijad de. Allah ! Waled bin waled ko nijad de. Aye Allah ! Bebas aur natawa Ahle elmaan ko nejad de, aye Allah ! Kabeele Mezr par apni geraft sakht farma, Allah ! In par aise kahte sale daal jaise Hazrat Yousuf A.S ke zamane me the ". Aur Nabi ﷺ ne faramaya : " kabeele Gaffar ko Allah tala ne bakhsh diya aur kabeel Aslam ko Allah tala ne salamat rakha ".

( Raawi e Hadees ) Hazrat Abu Zanad Apne baap se bayan karte huwe farmate hai ke maskura duwae subha ki namaz me the.

Sahih al Bukhari :
Vol : Book : 15 : Hadees : 1006

Hazrat Abdullah bin masood r.a se riwayat hai ke jab Nabi ﷺ ne logo ki Islam se sartabe dekhe to bad-duwa ki " Aye Allah ! Unhe sath baras tak kahte sale me mubtela kar de jaiisa ke Hazrat Yousuf A.S ke Zamane me kahet padha tha " chunancha kahet ne unhe aisa dabocha ke har cheez nist nabuth ho gaye yaha tak ke logo ne chmdhe, murdaar aur Gale sadhe janwar khane shuru kar diye. Aur in me se agr koi aasman ki taraf dekhta to bhook ki waja se ise Duwa sa dekhaye deta. Aakhir Abu Sufeyan ne aakar aap ki khedmat me arz ki : " Aye Mohammed ﷺ ! Aap Allah ki etaat aur Aqraba pairwe ka hukm dete hai, aap ki kom mare ja rahe hai, aap inke liye Allah se Duwa farmaye. Is par Allah tala ne farmaya : " aye Nabi is din ka intezar karo jab aasman se ek saaf dhuwa zaheer hoga ", is farmane elahe tak " jab ham inhe Aakhri se padhenge ".
Hazrat Abdullah bin Masood r.a kahte hai ke : البطشة yaani skht pakdh badar ke din huwe. Quran Masjeed me jis dhuwe, pakdh aur qaid ka zikr hai, ise tarha aayate room ka mazdaaq, Sab waqay ho chuke hai.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1007

Baab : 3
Kahet ke zamane me logo ka imam se barane rahmat ke liye Duwa ki appeal ( darkhost ) karna :

Abdullah bin deenar r.a se riwayat hai ke Hazrat Abdullah bin Umar r.a ( Aksar ) janab Abu taleeb ka Sher padha karte the,
" wo Gore mukhdhe wala jiske rakhe zeba ke waste se abr rahemat ki Duwa mange jate hai. Wo yateemao ka sahara, bewa aur meskeeno ka sarparast hai".

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1008

Hazrat Abdullah bin Umar r.a he se riwayat hai, unhone faramaya ke jab me Nabi ﷺ ke chera Anwar ko duwa e istasqa karte dekhta hu to Aksar mujhe shayar ( Abu Taleeb ) ka Sher yaad aa jata hai. Aap membar se Na utar paate the ke tamam par nale teze se bahne lagte wo Sher ye hai.

" wo Gore mukhdhe wala jiske rukh e zaiba ke waste se abr rahemat ki Duwa mange jate hai. Wo yateemao ka sahara, bewa aur meskeeno ka sarparast hai".

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1009

Hazrat Anas r.a se riwayat hai ke Hazrat umar r.a ki ye aadat the ke jab log kahet sale me mubtela hote to Hazrat Abbas bin Abdul mutalleb r.a se Duwa e Istesqa ki appeal ( darkhost ) karte aur Allah ke hoozor u Duwa karte : " Aye Allah pahle ham apne Nabi ﷺ se Duwa e Istesqa ki appeal kiya karte the to ( inke Duwa ke nateeje me ) tu barish barsa deta tha ab ham tere Nabi ﷺ ke chaha ( ki Duwa ) ke zarye se barish ki elteja karte hai, to ( ab bhe Rahem farma kar ) barish barsa de. Rawe kahta hai ke phir barish barasne lagte the.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1010

Baab : 4
Barane rahmat talab karte waqt chadar palthna :

Hazrat Abdullah bin Zaid r.a se riwayat hai ke Nabi ﷺ ne barish ke liye Duwa ki aur apne chadar ulta de.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1011

Hazrat Abdullah bin Zaid r.a se riwayat hai ke Nabi ﷺ eidgaah ki taraf tashreef le Gaye aur barish ke liye Duwa ki. Aap kebla ruh huwe, apne chadar palte aur 2 rakat adaa kiye.

Abu Abdullah ( imam Bukhari r.a ) kahte hai Sheikh Ibne Ayeena kaha karte the ke mazkura Abdullah bin Zaid sahab Azaan hai lekin ye inka wahem hai kun ke Abdullah bin Zaid aaseem zamani hai Jo ansar ke qabeele zaman se talluq rakhte hai.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1012

Baab : 5
Jab Allah ki hurmato ko pamal kiya jaye to wo kahet ke zarye se logo ko saza deta hai :

Baab : 6
Jama Masjeed me Barish ke liye Duwa Karna:

Hazrat Anas bin Malik r.a se riwayat hai ke ek aadmi Juma ke din Masjeed e nabwe me us darwaze se dakhel huwa Jo member ke bilkul samne tha jab Rasool ﷺ khdhe khutba de rahe the. Wo Rasool ﷺ ke samne khdha ho kar arz karne laga Allah ke raool ! Maal maweshe halaq ho gaye aur raste Tut fut Gaye hai, aap Allah se Duwa kare ke Allah ham par barish barsaye. Rasool ﷺ ne hath utha kar u Duwa farmaye : " Aye Allah ! Ham par barish barsa. Aye Allah ! Ham par barish nazeel farma. Aye Allah ! Hame barane rahmat ataa farma". Hazrat Anas r.a bayan karte hai ke Allah ki kasam ! Hame dur dur tak aasman par koi chota ya bada badal ka tukhdha nazar nahe aa raha tha aur Na hamare aur sela pahadh ke darmeyan koi gahr ya hawele he hayal the. ( ke ham badalo ko Na dekh sakte ho ) achanak sela pahadh ke Peche se dhal ki tarha ek badal namudar huwa. Jab wo aasman ke wasat me aaya to idhar udhar phel gaya, phir wo barasne laga, Allah ki kasam ! Hamne Hafta Bhar suraj Na dekha. Dusre Juma ko phir use darwaze ek aadmi Masjeed me fakhr huwa jab ke rasool ﷺ khdhe khutba de rahe the, usne aap ke samne aa kar arz kiya Allah Ke Rasool ! Maal talf ho gaye aur raste band ho gaye hai, Allah se Duwa kijiye ke wo ham se is barish ko rok le. Hazrat Anas r.a kahte hai ke phir Rasool ﷺ ne apne dono hath utha kar Duwa farmaye : " Aye Allah ! Ab ye barish hamare ird geerd to ho lekin ham par Na barse. Aye Allah use thelo pahadho maidano aur wadiyo bago par barsa " rawe kahte hai ke barish foran band ho gaye aur ham dhup me chlne phirne lage.
( Rawe hadees ) shreek kahte hai ke Hazrat Anas r.a se pucha ye wahe pahla shkhs tha ? Unhone faramaya mujhe maloom nahe.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1013

Baab : 7
Khutba e Juma me kebla e ruh huwe bagair barish ki Duwa Karna :

Hazrat Anas r.a se riwayat hai ke ek shakhs Juma ke din Masjeed me us darwaze se dakheel huwa Jo dare kaza ki taraf tha jab ke rasool ﷺ khdhe khutba de rahe the. Wo shkhs Rasool ﷺ ke samne khdha ho kar azr karne laga Allah ke rasool ! maal maeshe tabah ho gaye aur raste tut fut gaaye hai Allah se Duwa kijiye ke ham par barish barsaye. Raool ﷺ ne dono hath uthaye aur Duwa ki : " Aye Allah ! ham par barish barsa. Aye Allah ! hame barane rahmat ata farma. Aye Allah ! Ham Apr barish barsa". Hazrat Anas kahte hai hame dur dur tak badal ka koi chota ya bada tukhdha nazar nahe aa raha tha aur Na hamare or sela pahadh ke darmeyan koi gahr ya hawele hayal the. Achanak sela pahadh ke Peche se dhal ki tarha ek chota SA badal namudar huwa wa aasman ke darmeyan aaya to phel gaya, phir barasne laga. Allah ki kasam ! Hamne Hafta Bhar suraj Na dekha phir agle June ek shakhs us darwaze se dakheel huwa jab Rasool ﷺ khdhe khutba de rahe the wo aap ke samne khdha hokar arz karne laga Allah ke rasool ! Maal maal maweshe halak ho gay aur raste Tut fhut Gaye Allah se Duwa kijiye wo ham se barish rok le. Phir Anas r.a kahte hai ke Rasool Allah ﷺ ne dono hath uthaye aur Duwa ki : " Ay Allah ! Ab ye barish hamare ird geerd to ho lekin ham par Na barse, Aye Allah ! Thelo , pahadho , wadiyo , darakhto , ke ugne ki jagaho par barish barsa ". Hazrat Anas faramate hai ke barish ruk Gaye aur ham dhup me chlne lage.
Shreek ne kaha Hazrat Anas r.a se pucha kya ye wahe pahla shkhs tha ? Unhone faramaya Mujhe maloom nahe.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1014

Baab : 8
Member par ( khdhe kahdhe ) barish ki Duwa Karna :

Hazrat Anas r.a se riwayat hai ke ek Martaba Juma ke din Rasool Allah ﷺ khutba de rahe the ke ek shkhs aaya aur Arz karne laga Allah ke Rasool ! Barish nahe ho rahe aap Allah se Duwa kare ke wo ham par barane rahmat nazeel faramaye . aap ne Duwa farmaye to ham par barish barasne lage, ham badhe mushkeel se apne ghro ko ponche chunancha aayenda juma tak ham par barish barsti rahe. Hazrat Anas r.a ne faramaya ke ( Agle Jume ) wahe shkhs ya koi dusra khdha huwa aur arz karne laga Allah ke rasool ! Allah se Duwa kare ke ham se barish rok le, chuncha Rasool Allah ﷺ ne Duwa Farmaye : " Aye Allah ! Hamare ird geerd barish ho ham par Na ho ". Hazrat Anas r.a kahte hai ke main badal ko chat kar daye Baye jate dekha phir dusre logo par to barish hoti rahe lekin Ahle Madeena par nahe ho rahe thi.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1015

Baab : 9
Barish ki Duwa ke liye namaz e Juma par iqtafa karna :

Hazrat Anas r.a se riwayat hai, unhone faramaya ke ek shakhs Nabi ﷺ ke pass hazeer ho kar arz karne laga maweshe halaq hone lage aur raste mazdut ho gaye hai, chunancha Rasool ﷺ ne Barish Ki Duwa ki to dusre Juma tak ham par Barish hoti rahe phir koi shkhs aaya aur kahne laga ke ( Barish Ki waja se ) makanat gerne lage aur raste Tut fut Gaye hai, Allah se Duwa kare ke wo Barish rok le. Rasool ﷺ ne Duwa farmaye : " Aye Allah ! Thelo, pahadho, wadeyo, aur bago par barish barsa". Chunancha Madeena muwara se kapdha phatne ki tarha badal chat gaye.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1016

Baab : 10
Jab kasrat e Barish se raste mazdut ho jate to ( iske ruk Jane ki ) Duwa Karna.

Hazrat Anas r.a se riwayat hai , unhone faramaya ek shkhs Rasool ﷺ ki khedmat me hazeer ho kar arz karne laga : " Allah ke Rasool ! Kahet sale ki waja se maal maweshe halaq ho gaye aur raste Tut fut Gaye hai, aap Allah se ( Barish Ki ) Duwa farmaye, chunancha Rasool ﷺ ne Duwa Farmaye to ek Juma se dusre Juma tak Un par Barish barasti rahe. Phir ek aadmi hazeer huwa aur arz karne laga : " Allah KE Rasool ! Kasrat e bara se gahr munaddam, raste tabah aur maweshe halaq ho gaye hai. Rasool ﷺ ne Duwa farmaye : " Aye Allah ! Pahadho ki chotiyo, ret ke thelo, nashebe wadeyo aur darkht ugne ke maqamat par Barish barsa ". Iske baad madeene munawara se istarha badal chat Gaye jis tarha kapdha phat kar tukhde tukdhe ho jata hai.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1017

Baab : 11
Is baat ki haqeeqat ke Nabi ﷺ ne Juma ke din Barish ki Duwa karte waqt chadar nahe palte :

Hazrat Anas r.a se riwayat hai ke ek aadmi ne Nabi ﷺ ke Han maal ke halaq hone aur Ahle ayal ke mashaqat me mubtela hone ki sheqayat ki to aap ne Allah tala se Barish Ki Duwa Farmaye.
Hazrat Anas r.a ne chadar palatne ya isteqbale kibla ka zikr nahe kiya.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1018

Baab : 12
Jab Log imam se Barish ke liye Duwa ki appeal ( darkhost ) kare to wo use Mastar wa Na :

Hazrat Anas bin Malik r.a se riwayat hai, unhone faramaya ek aadmi Rasool ﷺ ki khedmat me hazeer huwa aur arz karne laga : " Allah ke Rasool maweshe tabah aur raste band ho gaye hai, aap Allah se Barish ki duwa Farmaye, Rasool Allah ﷺ ne Duwa Farmaye iske nateeje me us Juma se aayenda juma tak barish hoti rahe phir ek shkhs Nabi ﷺ ke PAAS aaya aur Arz kiya Allah ke Rasool ! Makanat Munaddam ho gaye hai, raste Tut fut ho gaye, maweshe tabah Jo gaye. Chunancha Rasool ﷺ ne Duwa Farmaye :" Aye Allah ! Pahadho ki chotiyo , ret Ke thelo , nadiyo aur bago par Barish barsa ". Iske baad badal madeena se istra chat gaya jis tarha kapdha phat khar tukdhe tukhde ho jata hai.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1019

Baab : 13
Kahet ke waqt jab Mushreekeen Ahle Islam se Duwa ki darkhost kare :

Hazrat Abdullah bin masood r.a se riwayat hai, unhone faramaya jab quresh ne Islam qabul karne me Takheer ki to Nabi ﷺ ne Un ke khelaf bad-duwa farmaye. Iske baad unhe khushq sale aur kahet ne aaleya hatta ke wo halak hone lage aur murdaar aur haddeya wagera khane par majbur ho gaye. Us dwran me Abu Sufeyan aap ke PAAS aaye aur khne laga : " Mohammed ! ( Aap logo ko to ) sulah rahmae ka hukm karte hai lekin aap ki apne kom tabah ho rahe hai, Allah tala se Duwa farmaye, Rasool Allah ﷺ ne ye aayat padhe : " us din ka intezar karo jab aasman par numaya dhuwa cha jayega". Phir wo ( quresh ) kufr ki taraf lot gaye, chunancha irshad bare tala h :" jis roz Han unhe bure tarha sakht andaaz me pakdheneg ". Yaani badar ke din.
( rawe hadees ) asbaat ne apne Sheikh manzoor se bayan karte huwe kaha ke Rasool Allah ﷺ ne Duwa Farmaye to Un par barish huwe phir saat din barish hoti rah. Aakhir kaar logo ne kasart barish ki sheqayat ki to aap ne Duwa farmaye :" aye Allah hamare ird geerd barish ho ham par Na barse ". Chuncha badal aap ke sar Mubarak se chat gaya aur ird geerd logo par khoob barish huwe.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1020

Baab : 14
Jab Barish zeyada ho to حوالينا ولا الينا ke Afaz ke sath Duwa karne chye :

Hazrat Anas bin Malik r.a se riwayat hai inhone farmaya Rasool ﷺ mek dafa juma ke din khutba de rahe the to kuch log uth kar bol padhe. Unhone faryaad ki Allah ke Rasool ! Barish nahe ho rahe Darkaht Peele ho gaye aur maweshe Marne lage, Allah se Duwa Farmaye ke wo ham par barish barsay. Aap ne 2 martba farmaya : " Aye Allah ! Hame syrab farma ". Allah ki kasam ! Hame Asman par badal ka tukhdha dekhaye nahe deta tha ke achanak abr namudar huwa aur barasne laga. Rasool Allah ﷺ member se utre aur namaz padhe, phir wapas gahr ko lote ye barish agle Jume tak barasti rahe. Dusre Juma jab Nabi ﷺ khutba dene ke liye khdhe huwe to kuch log phir buland aawaz se bole ke makanat geer Gaye, aur raste band hogaye, aap Allah se Duwa kare ke wo is barish ko ham se rok de. Nabi ﷺ muskuraye aur Duwa Farmaye : " Aye Allah ! Hamare ird geerd barish ho ham par Na ho. Iske baad madena se badal chat gaye. Iske aas pas barish ho rahe. Madeene me Barish ka ek bhe katra nahe baras raha tha Maine madena muwara ko dekha ke tash ki tarha is ke ird geerd badal the Aur ye darmeyan me tha.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1021

Baab : 15
Barish ke liye khdhe ho kar Duwa Karna :

Abu ishaaq Al sabaye farmate hai ke Hazrat Abdullah bin yazeed r.a Hazrat Bar'ra bin Aazab aur Zaid bin arkam r.a ke ham raah bahar tashreef le gaye. Waha member ke bagair apne paw par kahde ho kar barish ki duwa ki phir 2 rakate padhe aur Un me ba aawaz buland qeerat ki. Iske liye Azaan aur taqbeer ka ahtemaam Na kiya.
( rawe hadees ) Abu ishaaq kahte hai ke Abdullah bin yazeed ansare ne naabi ﷺ ko dekha hai.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1022

Hazrat Ebaad bin Tameem r.a ke Chacha aur wo Nabi ﷺ ke sahabe the..... Se riwayat hai ke Nabi ﷺ Barish Ki Duwa Karna ke liye logo ke hamrah bahar tashreef le gaye. Aap ne khadhe ho kar Duwa ki, phir keble ki taraf mutawajja huwe aur apne chadar ko ulat palat kiya. Chunancha logo par khoob barish huwe.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1023

Baab : 16
Namaz e Istesqa me ba aawaz buland qeerat karna :

Hazrat eebad bin Tameem r.a ke Chacha se riwayat hai, unhone kaha ke Nabi ﷺ logo ke hamrah Barish Ki Duwa karne ke liye bahar tashreef le gaye. Aap ne qeble ki taraf mu kar ke Duwa mange, apne chadar ko ulat palat kiya, phir 2 rakat namaz adaa ki aur Un me qeerat e bulanad aawaz se ke.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1024

Baab : 17
Nabi ﷺ ne logo ki taraf apne pusht kaise phere ?

Hazrat Ebaad bin Tameem r.a ke Chacha se riwayat hai, unhone faramaya jis din Nabi ﷺ Barish Ki Duwa ke liye bahar tashreef le Gaye to Maine aap ko dekha ke aap ne logo ki taraf apne peet pheri aur qeble ki taraf mu kar ke Duwa Karne lage phir apne chadar ko palta. Iske baad aap ne hame 2 rakat padhaye jisme ba aawaz buland qeerat ki.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1025

Baab : 18
Namaz e Istesqa 2 rakat hai :

Hazrat eebad bin Tameem ke Chacha se he riwayat hai ke Nabi ﷺ ne Duwa e Istesqa ke Moqe par 2 rakat namaz padhe aur apne chadar ko palta.

Baab : 17
Nabi ﷺ ne logo ki taraf apne pusht kaise phere ?

Hazrat Ebaad bin Tameem r.a ke Chacha se riwayat hai, unhone faramaya jis din Nabi ﷺ Barish Ki Duwa ke liye bahar tashreef le Gaye to Maine aap ko dekha ke aap ne logo ki taraf apne peet pheri aur qeble ki taraf mu kar ke Duwa Karne lage phir apne chadar ko palta. Iske baad aap ne hame 2 rakat padhaye jisme ba aawaz buland qeerat ki.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1026

Baab : 19
Eidga me Barish Ki Duwa Karna :

Hazrat Ebaad bin Tameem r.a apne Chacha se riwayat karte hai, unhone faramaya Nabi ﷺ Duwa e Istesqa ke liye Eidgaah Tashreef Le Gaye aur qebla rooh ho kar 2 rakate adaa kiye, phir apne chadar ko palta.
Rawe kahta hai ke Rasool ﷺ ne apne chadar ke daye keenare ko Baye janeeb kar liya.

Baab : 17
Nabi ﷺ ne logo ki taraf apne pusht kaise phere ?

Hazrat Ebaad bin Tameem r.a ke Chacha se riwayat hai, unhone faramaya jis din Nabi ﷺ Barish Ki Duwa ke liye bahar tashreef le Gaye to Maine aap ko dekha ke aap ne logo ki taraf apne peet pheri aur qeble ki taraf mu kar ke Duwa Karne lage phir apne chadar ko palta. Iske baad aap ne hame 2 rakat padhaye jisme ba aawaz buland qeerat ki.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1027

Baab : 20
barish ki Duwa karte waqt Qebla rooh hona :

Hazrat Abdullah bin Zaid ansare r.a se riwayat hai ke Nabi ﷺ namaz e Istesqa ke liye Eidgaah Tashreef Le Gaye aur jab Duwa karne lage to qeble ki taraf mu kar liya aur apne chadar ko ulat palat kiya.
Abu Abdullah ( imam Bukhari r.a ) faramate hai ke Abdullah bin Zaid mazan qabeele se talluq rakhte hai aur pahle Abdullah kufa ke rahne Wale hai Jo Yazeed ke bete hai.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1028

Baab : 21
Duwa e Istesqa me log bhe imam ke sath apne hath uthaye :

Hazrat Anas bin Malik r.a se riwayat hai, unhone faramaya ek dehathe Rasool ﷺ ki khedmat me hazeer huwa aur arz karne laha, " Allah ke Rasool ! Maweshe halaq, Ahlo wa Aayal tabah ho gaya aur log Marne lage hai ". Rasool Allah ﷺ ne Duwa KE liye Hath utha liye, log bhe aap ke sath hath utha kar Duwa karne lage. Hazrat Anas r.a ka bayan hai ke abhe ham Masjeed se bahar nahe nikle the ke barish shuru ho gaye, phir ye barish dusre Juma tak jare rahe. Tab ek aadmi Rasool Allah ﷺ ke khedmat me hazeer huwa aur arz karne laga, " Allah ke Rasool ! Musafir tang aa Gaye aur raste band ho gaye hai.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1029

Hazrat Anas r.a se he riwayat hai, wo Nabi ﷺ se bayan karte hai ke aap ne Duwa ke liye dono hath uthaye hatta ke Maine aap ke baglo ki safede dekhe.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1030

Baab : 22
Barish ki Duwa karte waqt imam ka apne hath uthana :

Hazrat Anas r.a se riwayat hai, unhone faramaya ke Nabi ﷺ Barish Ki Duwa ke elawa kisi Moqe par Duwa karte waqt ( zeyada ) hath nahe uthate the. Aur barish ki Duwa me is qadar hath buland karte ke baglo ki safede nazar aa jate.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1031

Baab : 23
Barish ke waqt kya padhna chye ?

Hazrat Ibne Abbas r.a bayan karte hai ke ( کصیب ) se Murad Barish hai aur deegar ne kaha hai ye lafz
صاب يصوب
Aur اصاب se mushtaq hai.

Hazrat Ayesha r.a se riwayat hai ke Rasool ﷺ jab barish hoti dekhte to Duwa karte " Aye Allah ! Nafa aawar barish barsa ".
Is hadees ki matabat Qaseem bin yahyah ne Abedullh umri se ki hai, nez ise imam Awzari aur Akeel ne Hazrta Nafa se bayan kiya hai.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1032

Baab : 24
Jo shkhs barish me nahaye ta ke uski dadhe se paani tapakne lage :

Hazrat Anas bin Malik r.a se riwayat hai, unhone faramaya Rasool Allah ﷺ ke ahde Mubarak me Ek dafa sakht kahet padha, chuncha aap Juma ke din khutba de rahe the ke us doran me ek dekhati khdha ho kar arz karne laga " Allah ke Rasool ! Maal maweshe tabah ho gaya aur Bache bhook se Marne lage, Aap Allah se Duwa Farmaye ke wo ham par barish barsay. Rasool Allah ﷺ ne ( ye sin kar ) Dono hath utha liye jab ke us waqt Asman par badal ka ek bhe tukdha nahe tha. Hazrat Anas r.a ne kaha ke badad aise utha jaise pahadh hote hai. Abhe Rasool Allah ﷺ member se utre nahe the ke Maine dekha barish aap ki dadhe Mubarak se tapak rahe the. Tamam din barish hoti rahe, kal, parso, aur tarso baad az dusre Juma tak barish hoti rahe. Phir wahe dehati ya koi aur shkhs khdha huwa aur arz karne laga Allah ke Rasool ! Makanat gerne lage aur maweshe dubne lage, Allah tala se hamare liye Duwa farmaye, chunancha Rasool ﷺ ne apne dono hath uthaye aur Duwa ki : " Ay Allah ! Hamare ird geerd barish barsa, ham par Na barsa ". Hazrat Anas bayan karte hai ke Rasool Allah ﷺ Asman ki jis taraf ishara faramate udhar se badal chat jata hatt ke Madeena muwara dhal ki tarha ho gaye aur Wade e qanat mahna Bhar bhti rahe . Hazrat Anas r.a faramate hai ke madeene ke atraaf se Jo shkhs bhe aata wo kasrat e Barish Ki khbar deta tha.

Hazrat Ayesha r.a se riwayat hai ke Rasool ﷺ jab barish hoti dekhte to Duwa karte " Aye Allah ! Nafa aawar barish barsa ".
Is hadees ki matabat Qaseem bin yahyah ne Abedullh umri se ki hai, nez ise imam Awzari aur Akeel ne Hazrta Nafa se bayan kiya hai.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1033

Baab : 25
Jab Aandhe chle ( to kya karna chye ? )

Hazrat Anas r.a se riwayat hai, unhone faramaya : jab tez Aandhe chle to Nabi ﷺ ke chare Anwar par khof ke aasar numaya hote.

Hazrat Ayesha r.a se riwayat hai ke Rasool ﷺ jab barish hoti dekhte to Duwa karte " Aye Allah ! Nafa aawar barish barsa ".
Is hadees ki matabat Qaseem bin yahyah ne Abedullh umri se ki hai, nez ise imam Awzari aur Akeel ne Hazrta Nafa se bayan kiya hai.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1034

Baab : 26
Faramane nabwe ke baad e Saba se meri madad ki jate hai :

Hazrat Ibne Abbas r.a se riwayat hai ke Nabi ﷺ ne farmaya : " baad Saba se meri madad ki Gaye aur kom Duwa ko magrabe hawa se halaq kiya gaya ".

Hazrat Ayesha r.a se riwayat hai ke Rasool ﷺ jab barish hoti dekhte to Duwa karte " Aye Allah ! Nafa aawar barish barsa ".
Is hadees ki matabat Qaseem bin yahyah ne Abedullh umri se ki hai, nez ise imam Awzari aur Akeel ne Hazrta Nafa se bayan kiya hai.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1035

Baab : 27
Zazalo aur alamat e qayamat ke mutalliq kya Hedayat hai ?

Hazrat Abu Huraira r.a se riwayat hai ke, unhone kaha naabi ﷺ ne farmaya : " qayamat qayam Na hoge hatta ke elm utha liya jayega, zalzale baksarat aayenge, waqt kam hota jayega, fithno ka zahoor hoga aur qatal wa gaarat Aam hoge, yaha tak ke tumhare ha maal wa dolat ki bahtaat hoge yaani wo Aam ho jayega.

Hazrat Ayesha r.a se riwayat hai ke Rasool ﷺ jab barish hoti dekhte to Duwa karte " Aye Allah ! Nafa aawar barish barsa ".
Is hadees ki matabat Qaseem bin yahyah ne Abedullh umri se ki hai, nez ise imam Awzari aur Akeel ne Hazrta Nafa se bayan kiya hai.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1036

Hazrat Ibn e Umar r.a se riwayat hai, wo bayan karte hai ke Rasool ﷺ ne farmaya : " Ay Allah ! Hamare sham aur yaman me barkat ata farma ". Logo ne phir arz kiya hamare najad me bhe, to aap ne farmaya : " waha zalzale aur fithne barpa honge, nez shetan ka groh bhe wahe hoga ".

Hazrat Ayesha r.a se riwayat hai ke Rasool ﷺ jab barish hoti dekhte to Duwa karte " Aye Allah ! Nafa aawar barish barsa ".
Is hadees ki matabat Qaseem bin yahyah ne Abedullh umri se ki hai, nez ise imam Awzari aur Akeel ne Hazrta Nafa se bayan kiya hai.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1037

Baab : 28
Irshad e Bari tala " tum ne ( deen Islam ki ) takzeeb ko zarye maash bana liya hai " ( ki wazahat ) :

Ibne Abbas r.a bayan karte hai risq se muraad shukr hai.

Hazrat Zaid bin Khalid jahni r.a se riwayat hai, unhone faramaya : hudebiya ke maqam par hame Rasool Allah ﷺ ne subha ki namaz padhaye jab ke raat ko barish ho chuke the. Nabi ﷺ namaz se faragat ke baad logo ki taraf mutawajja huwe aur daryaft kiya :" tum jante ho ke tumhare rab ne us waqt kya Farmaya hai ? " logo ne jawab diya Allah aur iska Rasool he bahtar jante hai, aap ne farmaya : " ( Rab tala ne farmaya hai ke ) kuch mere badne mujhe par eeman Lane Wale bane aur kuch ne mere sath kufr kiya, jinhone kaha ke ham par sirf Allah ke fazal aur uske rahmat se Meena barsa hai to wo mujh par eeman Lane Wale aur setaro se kufr karne Wale hai aur jinhone kaha ke falah setare ke ba'as barish huwe hai wo mere sath kufr karne Wale aur setaro par eeman Lane Wale thare. "

Hazrat Ayesha r.a se riwayat hai ke Rasool ﷺ jab barish hoti dekhte to Duwa karte " Aye Allah ! Nafa aawar barish barsa ".
Is hadees ki matabat Qaseem bin yahyah ne Abedullh umri se ki hai, nez ise imam Awzari aur Akeel ne Hazrta Nafa se bayan kiya hai.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1038

Baab : 29
Allah tala ke sewa koi nahe jaanta ke barish kab hoge :

Hazrat Abu Huraira r.a Nabi ﷺ se bayan karte hai ke aap ne farmaya : " 5 cheezo ka elm Allah ke sewa kisi ko nahe hai ".
Hazrat Abdullah bin Umar r.a se riwayat hai, unhone kaha Nabi ﷺ ne farmaya " gaib ki chweya 5 hai jinhe Allah tala ke sewa koi nahe janta ke Kal kya hoga ? Koi naahe janta ke Sheqam e madar me kya hai ? Kisi ko pata nahe ke wo kal kya karega ? Kisi ko elm nahe ke wo kaha marega ? Kisi ko khabr nahe ke barish kab barsege ?

Hazrat Ayesha r.a se riwayat hai ke Rasool ﷺ jab barish hoti dekhte to Duwa karte " Aye Allah ! Nafa aawar barish barsa ".
Is hadees ki matabat Qaseem bin yahyah ne Abedullh umri se ki hai, nez ise imam Awzari aur Akeel ne Hazrta Nafa se bayan kiya hai.

Sahih al Bukhari :
Vol : 1 : Book : 15 : Hadees : 1039.

 




 

Post a Comment